Dil teri yaad me jab bhi ghabrayega,
Kaun yado ko zanjir pahnayega,
Sath guzri hui har khushi ki kasam,
Aey mere hamsafar tere jane ka gam,
Naksh ban kar mere dil pe rah jayega,
Kaun yado ko zanjir pahnayega,
Sangdil hai jahan pyar majboor hai,
Dekh to zindagi kitni benoor hai,
Bin tere kis tarah mujko chain aayega,
Kaun yado ko zanjir pahnayega.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.