Sunday, July 27, 2014

Kyu itni mohabbat karte hai tumse,

Kyu itni mohabbat karte hai tumse,
Yehi sawal karte hai hamesha apne dil se,
Ye dooriya sahi nahi jati humse,
Yaad bahut karte hai tumko hum kasam se.

Zindagi Tujh Bin Ulfat Si Lagti Hai,

Zindagi Tujh Bin Ulfat Si Lagti Hai,
Ek Pal Ki Judai Muddat Si Lagti Hai,
Pahle Nahi Ab Sochte Hai Hum,
Har Lamha Teri Zarurat Si Lagti Hai.

Thursday, July 24, 2014

Zindagi Se Nafrat Kise Hoti Hai,

Zindagi Se Nafrat Kise Hoti Hai,
Marne Ki Chahat Kise Hoti Hai,
Pyar Bhi Ettefaq Hota Hai,
Warna Aansuo Se Mohabbat Kise Hoti Hai.

Baharo Ki Rangat Har Baghban Me Hoti Hai,

Baharo Ki Rangat Har Baghban Me Hoti Hai,
Ishq Ki Tadap Har Insaan Me Hoti Hai,
Na Kare Mohabbat Aisa Koi Pathar Dil Nahi,
Patjhad Me To Kaliyan Bhi Viran Hoti Hai.

Wednesday, July 23, 2014

Aankhe hai meri nind se bhari,

Aankhe hai meri nind se bhari,
Par ye dil hai ki sulana nai chahta,
Humara dil todna aadat hai unki,
Par ye hai ki unhe bhulana bhi nai chahta.

Monday, July 21, 2014

Agar Wo Khush Hai Dekh Kar Aansu Meri Aankho Me,

Agar Wo Khush Hai Dekh Kar Aansu Meri Aankho Me,
To Rab Ki Kasam Hum Muskurana Chod Denge,
Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko Lekin,
Us Ki Taraf Nazre Uthana Chod Denge,
Wo Manzil Hi Kya Jo Aapko Dukh De,
Rab Ki Kasam Us Manzil Tak Jana Hi Chod Denge.

Tuesday, July 15, 2014

Kabhi roke muskuraye kabhi muskura ke roye,

Kabhi roke muskuraye kabhi muskura ke roye,
Teri yaad jab bhi aayi tujhe bhula bhula ke roye,
Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha,
Jise khush hue the likh kar use mita mita ke roye.

Friday, July 11, 2014

Unki Na Thi Khata,

Unki Na Thi Khata,
Hum Hi Kuch Galat Samjh Baithe,
Wo Mohabbat Se Baat Karte The,
Hum Mohabbat Hi Samjh Baithe.

Saturday, July 5, 2014

Ek Dost Kho Diya Aaj Maine,

Ek Dost Kho Diya Aaj Maine,
Ek Choti Si Baat Pe,
Lafz Uske Chubhe Is Dil Pe,
Halki Si Mulakat Me,
Katra-katra Utra Har Ashk,
Rulane Ki Firaq Me,
Galti Nahi Koi Is Baar Meri,
Maafi Na Mangunga Aitbar Me.

Wednesday, July 2, 2014

Intzar ki aarzu ab kho gayi hai,

Intzar ki aarzu ab kho gayi hai,
Khamoshiyo ki aadat ho gayi hai,
Na sikwa raha na shikayt kisi se,
Agar hai to ek mohbbat,
Jo in tanhaiyo se ho gayi hai.