Friday, May 24, 2013

Dil Ne Jo Chaha Aaj Tak Na Paya,

Dil Ne Jo Chaha Aaj Tak Na Paya,
Jhooti Muskan Se Humne Hmesha Gum Chupaya,
Waise To Har Insan Takdeer ko Azmata Hai,
Ek Hum Hai Jise Har Baar Takdeer Ne Aazmaya.

Maine Poocha Kaise Ho Badle Ho Ya Waise Ho?

Maine Poocha Kaise Ho Badle Ho Ya Waise Ho?
Roop Wohi Andaz Wohi Ya Fir Is Me Koi Kami?
Hijar Ka Kuch Ehsas To Hoga Koi Tumhare Paas To Hoga?
Mai Bichda Ye Majboori Thi Kab Manzoor Mujhe Doori Thi,
Sath Hamara Kab Choota Rooh ka Rishta Kab Toota,
Aankh Se Jo Aansu Bahte Hain Tumko khabar Hai Kya Kahte Hai?
Maine Kaha Aawaz Tumhari Aaj Bhi Hai Humraaz Hamari,
Phool Wafa Ke khil Jayene Ek Din Hum Fir Mil Jayene.

Maangti Hai Rab Se Dua Roz Zindagani Meri,

Maangti Hai Rab Se Dua Roz Zindagani Meri,
Tere Pehlu Me Khatam Ho Ye Kahani Meri,
Ye Faasle Ye Dooriya Bahut Si Hai Tanhaiya,
Sun Lena Kabhi Jazbato Ka Silsila Zubani Meri.

Bichad Ke Wo Mujhse Meri Zid Me Sabhi Ko Apna Bana Rahi Thi,

Bichad Ke Wo Mujhse Meri Zid Me Sabhi Ko Apna Bana Rahi Thi,
Zamane Walo Dar Se Mai Bhi Ghamo Ko Dil Me Chupa Raha Tha,
Wo Bewafa Thi Magar Sabhi Ko Wafa Ke Maani Bata Rahi Thi,
Baad Me Wo Yehi Kahegi Wo To Mujhe Aazma Rahi Thi,
Mujhe Kar Ke Barbad Wo Apna Wada Nibha Rahi Thi.

Kisi Ki Chahat Par DiL Se Amal Karna,

Kisi Ki Chahat Par DiL Se Amal Karna,
DiL Tute Na Uska Itni Fikar Karna,
Ye Zindagi Khaas Hai Apke Liye,
Par Aap Jiske Liye Khaas Ho Uski Kadar Karna.

Mai aaj kitna bebas hu apni kismat ke aage,

Mai aaj kitna bebas hu apni kismat ke aage,
Har sapna toot jata hai haqiqat ke aage,
Jisne kabhi jhukna nahi sikha duniya me,
Wo bhi jhuk jata hai chahat ke aage.

Kisi ko na chahne se pyar kam nahi hota,

Kisi ko na chahne se pyar kam nahi hota,
Keh na pane se izhaar kam nahi hota,
Wo kahte hai hum unhe yaad nahi karte,
Yaado ko na jatane se pyaar kam nahi hota.

Na karna kisi Se Pyar ki Umid,

Na karna kisi Se Pyar ki Umid,
Khwahiso me Sab kuch Gawa doge,
Har koi krega wada Saath Dene ka,
Fir Itna Dhokha khaoge ki khud ko mita doge.

Nigaho Se Dil Me Ghar Karke,

Nigaho Se Dil Me Ghar Karke,
Mere Khawabo Ki Haqiqat Ho Gaye Ho Tum,
Ishq Ke Safar Ki Manzil Banke,
Meri Bekhudi Ki Wahaj Ho Gaye Ho Tum.

Life me kabhi kisi ka saath nahi chodna,

Life me kabhi kisi ka saath nahi chodna,
Kyunki kuch pal lagte hai rishte banane me,
Aur kuch pal lagte hai rishte todne me,
Aur ek pal lagta hai kisi ko rulane me,
Aur zindagi beet jati hai use bhulane me.

Wednesday, May 22, 2013

Kismat Aur Dil Me Itna Sa Fark Hai Ki,

Kismat Aur Dil Me Itna Sa Fark Hai Ki,
Jo Log Dil Me Hote Hai Wo Kismat Me Nahi Hote,
Aur Jo Kismat Me Hote Hai Wo Dil Me Nahi Hote.

Ye dil na jane kya kar baitha,

Ye dil na jane kya kar baitha,
Puche bina hi mujse faisla kar baitha,
Is zamin par toota sitara tak nahi girta,
Aur ye pagal dil chand se pyar kar baitha.

Ulzi hui duniya ko pane ki zid karo,

Ulzi hui duniya ko pane ki zid karo,
Jo na ho apna use apnane ki zid karo,
Is samundar me tufan bahut aate hai to kya hua,
Iske sahil pe ghar banane ki zid karo.

Humne Socha Unke Pyar Me Tadapna Chod Denge;

Humne Socha Unke Pyar Me Tadapna Chod Denge;
Unke Liye Tarasna Chod Denge;
Dil Ko Bola Tu Bhul Ja Use;
Dil Bola Hum Dhadakna Chod Denge.

Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De,

Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De,
Aisa Kar Ya Rab Meri Hasti Mita De,
Yu Ghut Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai,
Kabhi Na Khule Aankhe Tu Aisi Nind Sula De.

Ye haqiqat hai ki hota hai asar bato me,

Ye haqiqat hai ki hota hai asar bato me,
Tum bhi bhul jaoge do char mulaqato me,
Tum se sadiyo ki wafao ka koi nata na tha,
Tum se milane ke lakire thi mere hatho me,
Tere wado ne hume ghar se nikalne na diya,
Log mausam ka maza le gaye barasato me,
Ab na suraj na sitare na ashman na chand,
Apne zakhmo ka ujala hai ghani rato me.

Ek Na Ek Din Mil Jane Ka Wada Karo,

Ek Na Ek Din Mil Jane Ka Wada Karo,
Meri Zindagi Me Aane Ka Wada Karo,
Bahut Tanha Hu Mai Tumhare Bin,
Mujhe Gale Se Lagane Ka Wada Karo,
Choom Kar Armaan In Hontho KaTum,
Saanso Me Basane Ka Wada Karo,
Mai Jo Kabhi Rooth Jau Tum Se To,
Muskura Kar Manane Ka Wada Karo,
Agar Tham Lu Jo Mai Tera Haath,
Mera Saath Nibhane Ka Wada Karo,
Hai Tamana Aakhiri Dhadkan Tak Tum,
Apne Dil Me Sajane Ka Wada Karo,
Chod Kar Chala Aaunga Saari Duniya,
Mujh Ko Apna Banane Ka Wada Karo.

Badalti nahi kismat hatho ki lakire mitane se,

Badalti nahi kismat hatho ki lakire mitane se,
Yaade nahi mit'ti kisi ke bhul jane se,
Kya fayda jo kisi ki khatir duniya se rooth jaye,
Yaha kisi ko fark nahi padta kisi ke toot jane se.

Meri duniya sanwar de koi,

Meri duniya sanwar de koi,
Mujhe thoda sa pyar de de koi,
Meri dhadkano ko betab kar de koi,
Meri aankho ko intezaar de koi,
Mai bhool jau bekaraari ko,
Mujhe itna qarar de de koi,
Apni baaho me kaid kar le mujhe,
Mujhko mujhse chura le koi,
Uski aankho ke aansu le lu mai,
Khud pe ye ikhtiyar de koi,
Meri duniya sanwar de koi,
Mujhe thoda sa pyar de de koi.

Tujhe Paane Ki Is Liye Zid Nahi Karte,

Tujhe Paane Ki Is Liye Zid Nahi Karte,
Ki Tujhe Khone Ko Dil Nahi Karta,
Tu Milti Hai To Is Liye Nazre Nahi Uthate,
Ki Fir Nazre Hatane Ko Dil Nahi Karta,
Dil Ki Baat Is Liye Tujhse Nahi Karte,
Ki Tera Dil Dukhane Ko Dil Nahi Karta,
Khwabo Me Is Liye Tujh Ko Nahi Sajate,
Ki Fir Nind Se Jagne Ko Dil Nahi Karta.

Tuesday, May 21, 2013

Mohhabat Ka Gam Hota Bahut Hai,

Mohhabat Ka Gam Hota Bahut Hai,
Ki Ab Ye Lafz Bhi Ruswa ahut Hai,
Udaasi Ka Sabab Mai Kya Batau,
Gali Kocho Me sannata bahut Hai,
Na Milne Ki Kasam Kha Ke Bhi Maine,
Tujhe Har Raah Me Dhunda Bahut Hai,
Ye Aankhe Aur Kya Dekhe Kisi Ko,
In Aankho Ne Tujhe Dekha Bahut Hai,
Na Jane Kyu Bacha Rakhe Hai Aansu,
Shayd Mujhe Rona Bahut Hai,
Tujhe Maloom To Hoga Mere Humdum,
Tujhe Ek Shakhs Ne Chaha Bahut Hai.

Apne dil ki sun afwao se kaam na le,

Apne dil ki sun afwao se kaam na le,
Mujhe yaad rakh besak mera naam na le,
Tera waham hai ki bhul gaye tujhe,
Meri koi aisi shaam nahi jo tera naam na le.

Ye Aur Baat Hai Hum Tumko Yaad Aa Na Sake,

Ye Aur Baat Hai Hum Tumko Yaad Aa Na Sake,
Sharab Pi Ke Bhi Hum Tumko Bhula Na Sake,
Ye Fasalo Ki Hai Basti Isi Liye Yaro,
Wo Paas Aa Na Sake Hum Bhi Paas Ja Na Sake,
Suku Diya Hai Zamane Ko Mere Nagmo Ne,
Azeeb Baat Hai Khud Ko Hi Hum Hansa Na Sake.

Dil Chahta Hai Tujhse Itni Wafa Mai Karu,

Dil Chahta Hai Tujhse Itni Wafa Mai Karu,
Marke Bhi Hazaro Baar Mai Tujhpe Maru,
Hai Itni Mahobbat Tujhse Ki Samet Na Payegi,
Is Mahobbat Ko Ab Mahobbat Ki Inteha Karu,
Tu Kah De To Sitaro Ko Lakar Kadmo Me Bicha Du,
Tu Kah De To Teri Khatir Saari Kaynaat Se Ladu,
Na Kar Sak Meri Mahobbat Par Yakin Kar Itna,
Ki Mai Hokar Bhi Khafa Bas Tujpe Aitbaar Karu,
Kaash Khuda Kare Ban Jaye Wo Masiha Ye Mahobbat,
Ki Mai Hokar Bhi Fanaa Hamesa Tera Intezar Karu.

Tere Pyar Me Dil Ne Mazboor Kar Diya,

Tere Pyar Me Dil Ne Mazboor Kar Diya,
Har Khushi Se Mujhko Door Kar Diya,
Jitni Chahat Thi Meri Tere Paas Aane Ki,
Utna Hi Kismat Ne Mujhe Door Kar Diya.

Na Jane Kyu Hame Aansu Bahana Nahi Aata,

Na Jane Kyu Hame Aansu Bahana Nahi Aata,
Na Jane Kyu Hale DiL Batana Nahi Aata,
Na Jane Kyu Sab Bichhad Jate Hai Hamse,
Shayad Hame Hi Sath Nibhana Nahi Aata.

Tamam umar mujhe bas yahi malaal raha,

Tamam umar mujhe bas yahi malaal raha,
Jawab uska mere waste sawal raha,
Jo ek pal ke bichdne ko maut kahta tha,
Mere bagair bhi zinda wo hazaro saal raha.

Wo Muhabbat Bhi Aap Ki Thi,

Wo Muhabbat Bhi Aap Ki Thi,
Wo Shararat Bhi Aap Ki Thi,
Agar Kuch Bewafai Thi,
To Wo Bewafai Bhi Aap Ki Thi,
Hum Chod Gaye Aap Ka Shehar,
To Wo Hidayat Bhi Aap Ki Thi,
Aakhir Karte To Kis Se Karte,
Hum Aap Ki Shikayat,
Wo Shehar Bhi Aap Ka Tha,
Aur Wo Adalat Bhi Aap Ki Thi.

Ye kasak dil ki dil me chupi reh gayi,

Ye kasak dil ki dil me chupi reh gayi,
Zindagi me tumhari kami reh gayi,
Ek mai ek tum ek diwar thi,
Zindagi aadhi-aadhi baanti reh gayi,
Raat ki bhigi-bhigi chato ki tarah,
Meri palko par thodi nami reh gayi,
Mere ghar ki taraf dhoop ki peeth thi,
Aate-aate idhar chandani reh gayi.

Hume ab nahi unke pyar ki chahat,

Hume ab nahi unke pyar ki chahat,
Tanhaiyo me yu rokar toot jana accha lgta hai,
Bahut tarse hai unke ishq ki khatir,
Ab to bas unse door rahna accha lgta hai,
Bas ab dubara wo hume kisi rah me na mile yahi khwaish hai,
Hume yu tanha raaho me chalna accha lgta hai,
Hum yahi soch ye duaa mang rahe hai hum,
Ki Rab ko humari har duaa nakarna accha lagta hai,
Aur esi hi dauao me wo muje...
Mera pyar dilayega is baar kuch esa lgta hai.

Monday, May 20, 2013

Kyu Chale Ja Rahe Ho Mujhse Muh Mod Kar,

Kyu Chale Ja Rahe Ho Mujhse Muh Mod Kar,
Pyar Ki Yado Me Bhatkane Ko Akela Chod Kar,
Aansu Nahi Thamte Hai Teri Yado Me,
Chandni Bhi Jalati Hai Gam Ki Raato Me,
Apne Pyar Ko Na Yu Ruswa Krunga,
Jaan Kaha Hai Tujhe Na Kuch Aur Khunga,
Keh De Ki Khush Ho Door Hokar Mujhse,
Teri Khushi Ke Liye Ye Dunia Bhi Chod Dunga.

Yaado ke hasin pal mitaye nahi jaate,

Yaado ke hasin pal mitaye nahi jate,
Gujare hue lamhe bhulaye nahi jate,
Koi laakh kare mohabbat ki nasihat,
Jo jaan se pyare ho bhulaye nahi jate.

Andhere Ka Ehsas Shaam Se Hota Hai,

Andhere Ka Ehsas Shaam Se Hota Hai,
Nashe Ka Ehsas Jaam Se Hota Hai,
Yu To Hazaro Gam Hai Is Dunia Me,
Magar Dard Ka Ehsas Mohabbat Ke Naam Se Hota Hai.

Jaisi Hai Teri Tamanna Waise Pyar Karenge,

Jaisi Hai Teri Tamanna Waise Pyar Karenge,
Har Dhadkan Par Apni Wafa Ka Ikrar Karenge,
Jaha Bhi Jaoge Har Kadam Hume Hi Paoge,
Ishq Ke Har Mod Par Tera Intezar Karenge.

Zindagi Zakhmo Se Bhari Hai,

Zindagi Zakhmo Se Bhari Hai,
Wakt Ko Marham Banana Seekh Lo,
Harna To Hai Hi Maut Ke Haatho Ek Din,
Filhal Zindgi Ko Jeena Sikh Lo.

Tanhai me muskurana ishq hai,

Tanhai me muskurana ishq hai,
Ek baat ko sab se chupana ishq hai,
Yu to nind nahi aati hai raato ko,
Yu nind se jaag jana bhi ishq hai.

Pyar Ka Ajeeb Sila Diya Hai Usne,

Pyar Ka Ajeeb Sila Diya Hai Usne,
Meri Tanhaiyo Me Mujhi Ko Rula Diya Hai Usne,
Mujhe Kahti Thi Tum Meri Jaan Ho,
Aaj Usi Jaan Ko Bhula Diya Hai Usne.

Ek Jurm Hua Hai Humse,

Ek Jurm Hua Hai Humse,
Ek Yaar Bana Baithe Hai,
Kuch Apna Usko Samajh Kar,
Sab Raaz Bata Baithe Hai,
Fir Uski Pyar Ki Raah Me,
Dil-O-Jaan Gawa Baithe Hai,
Wo Yaad Bahut Aate Hai,
Jo Hum Ko Bhula Baithe Hai.

Dekha hai humne bhi aajma kar,

Dekha hai humne bhi aajma kar,
De jate hai dhokha log karib aakar,
Kahati hai duniya magar dil nahi manta,
Kya aap bhi bhul jaoge hume apna Dost bana kar.

Maut ki gaadi me jis din sona hoga,

Maut ki gaadi me jis din sona hoga,
Na koi takiya hoga na koi bichona hoga,
Saath hongi tum jaise dosto ki meethi yaade,
Aur kabristan ka ek chota sa kona hoga.

Friday, May 17, 2013

Tere Bagair Is Zindagi Ki Hume Zarurat Nahi,

Tere Bagair Is Zindagi Ki Hume Zarurat Nahi,
Tere Siwa Hume Kisi Aur Ki Chahat Nahi,
Tum Hi Rahoge Hamesha Mere Dil Me,
Kisi Aur Ko Is Dil Me Aane Ki Ijaazat Nahi.

Dabi dabi si wo muskurahat labo pe apne saja saja ke,

Dabi dabi si wo muskurahat labo pe apne saja saja ke,
Wo narm lahje me baat karna ada se nazre jhuka ke,
Wo aankh teri shararati si wo zulf mathe pe nachti si,
Nazar hate na ek pal bhi mai thak gaya hu hata hata ke,
Wo tera hatho ki unglio ko mila ke zulfo me kho sa jana,
Haya ko chehre pe fir sajana phool sa chehra khila khila ke,
Wo haath horo ke ghar ho jaise wo pao pariyo ke par ho jaise,
Nahi hai teri misaal jana mai thak gaya hu bata bata ke.

Dil Tadpata Raha Aur Wo Jane Lage,

Dil Tadpata Raha Aur Wo Jane Lage,
Sang Guzre Har Lamhe Yaad Aane Lage,
Khamosh Nazro Se Dekha Jo Usne Mud Kar,
Yu Bhigi Palko Se Ham Bhi Muskurane Lage.

Duriyo ka ehsaas na kara,

Duriyo ka ehsaas na kara,
Pass aane se dar lagta hai,
Mai tujhe kareeb na pau,
To jine se dar lagta hai,
Zindagi tumhare bin kaise kategi,
Ye soch paane se bhi dar lagta hai,
Khushi aur sukun ka rishta hai tujhse,
Fir bhi dil lagane se dar lagta hai,
Ankho se aansu nikal jaye to gam nahi,
Par tere udas hone se dar lagta hai,
Is wafa ko kal nibha paye ya nahi,
Par tere toot jane se dar lagta hai.

Tumhari Yaad Aati Hai To Ham Aansu Bahate Hai,

Tumhari Yaad Aati Hai To Ham Aansu Bahate Hai,
Guzare The Kbhi Jo Sath Me Din Wo Yaad Aate Hai,
Isi Umeed Pe Humne Khula Rakha Hai Darwaza,
Suna Hai Sham Hote Hi Bichde Laut Aate Hai.

Jane Kis Gum Ko Chupane Ki Tamanna hai use,

Jane Kis Gum Ko Chupane Ki Tamanna hai use,
Aaj Har Baat Par Hanste Hue Dekha Usko,
Wo Jo Kanto Ko Bhi Narmi Se Chuwa Karti Thi,
Humne Pholo Ko Masalte Hue Dekha Usko,
Na Jane Wo Duao Me Mangti Hai Kise,
Haath Uthate Hi Sisakte Hue Dekha Usko,
Fir Haath Dua Ke Liye Uthaye Humne,
Jab Muqaddar Se Ulajhte Hue Dekha Usko.

Wo jo poochti hai mujhe baar baar,

Wo jo poochti hai mujhe baar baar,
Ki kya zindagi hai aur kya maut hai,
Aaj tujhe bta doon...
Tujhe pa liya to Zindagi hai..
Tujhe kho diya to Maut hai.

Jiski nigaho me phool barsate ho,

Jiski nigaho me phool barsate ho,
Wo kanto ka dard kya jane,
Jisne kabhi mohabbat ki na ho,
Wo judai ka gum kya jane.

Yado ki dundh me aapki parchai si lagti hai,

Yado ki dundh me aapki parchai si lagti hai,
Kano me gunjati sehnai si lagti hai,
Aap karib hai to apnapan hai,
Warna sine me saans bhi parai si lagti hai.

Wednesday, May 15, 2013

Jo Gujare Hai Pal Humne Saath Unke,

Jo Gujare Hai Pal Humne Saath Unke,
Hum Un Palo Ko Hi Dil Me Utar Lenge,
Bas Aap Khus Raho Ye Dua Hai Hamari,
Hamara Kya Hai Hum Zindagi Yu Hi Gujar Lenge.