Thursday, November 24, 2011

Khwab Dekhte Hue Dil Thak Chuka Hai,
Mera Har Khwab Patthar Ho Chuka Hai,
Sheesha Hota To Tutne Ka Gam Na Hota,
Patthar Hokar Bhi Ye Toot Chuka Hai.

Daman me khusiya ho chehre par muskan ho,
Dilse jo socho aap pure wo arman ho,
Dua karte hai muskurate raho aap,
Chahe jindgi ka kaisa bhi imtahan ho.
Humare Liye Unki Chahat Na Thi,
Kisi Khushi Me Koi Dawat Na Thi,
Maine Dil Unke Kadmo Me Rakh Diya,
Par Zamin Pe Dekhne Ki Unki Adat Na Thi.

Raat Gumnaam Hota Hai,
Din Kisi Aur Ke Naam Hota Hai,
Hum Zindgi Ko Aise Jeete Hai Ki,
Har Lamha Sirf Aapke Naam Hota Hai.
Bina pukare hume saath paoge,
Karo wada ki dosti aap bhi nibaoge.
Matlab ye nahi ki roz yad karna,
Bus yad rakhna us waqt jab khud ko akele paoge!

Ek Din Ayega Qayamat Hogi,
Tujhe Baahon Me Bhar Lenge agar Izazat Hogi,
Jab Jab Nazar Ayegi Meri Shayri,
Har Pal Tujhe Mujhse Mohabbat Hogi.
Wo Roye to Muh Mod ke Roye,
Koi Majburi thi jo DiL tod ke Roye,
Humare Samne Humari Tasveer Faad di,
Par Humare Jaane ke baad Tukde jod ke Roye.

Chand Niklega To Dua Magenge,
Apne Hisse Me Mukaddar Ka Likha Mangenge,
Hum Talabgar Nahi Dunia Or Daulat Ke,
Rabse Sirf Aapka hi Pyar Mangege.
Meri Mohbbat Bezubaan Hoti Rahi,
Dil Ki Dhadkan Apna Wjud Khoti Rahi,
Koi Nahi Aaya Mere Dukh Ke Qarib,
Ek Barish Hi Thi Jo Mere Saath Roti Rahi.

Hakikat Me Jina jab Aadat Ban Jati Hai,
Khwabo Ki Duniya Be-Rang Ban Jati Hai,
Koi intezar karta Hai Zindgi ke liye,
Or kisiki Zindgi Intezar Ban Jati Hai.
Tune Sangdili Ki Inteha kar Di,
Mujhe Dekh Maine Zindagi Fida Kar Di.!
Tuje Chahne Ka Jurm Hi Kiya Tha,
Tune Pal-Pal Marna Meri Saza Kar Di..!!

Insano Ke Kandho per insan Ja Rha Tha,
Kafan Me Lipta Koi Arman Ja Rha Tha,
JisKo Mili BEWAFAI MOHBAT Me,
Wafa Ki TLASH Me Wo ShamShan Ja Rha Tha.
Lekar khusiya meri mujhe faqir bana de,
Badle me mere sanam ki taqdir bana de,
Unki palke kabhi nam na ho,
A Khuda unke hatho me aisi lakir bana de.

Bichadne wale ko yaad me kya doge,
Sote hue ko khawab me kya doge,
Hum chahte hai umar bhar ke PYAR ka wada,
Kaho is sawal ka jwab kya doge.
Umid aise ho jo jine ko majbor kare,
Raah aisi ho jo chanle ko majbur kare,
Mahak kum na ho kbhi apni Dosti ki,
Dosti aisi ho jo milne ko majbur kare.

kismat or dil me itna sa farq hai ki,
Jo log dil me hote hai,
Wo kismat me nahi hote,
Or Jo kismat me hote hai,
Wo dil me nahi hote...!!
Khusi unhe nahi milti jo,
Zindgi ko apni sharto par jite hai.
Khusi unhe milti hai jo dusro ki khusi k liye,
Apni zindgi ke mayne badal dete hai.

Yun hi rakhte rahe bachpan se dil saaf hum apna,
Pataa nahi tha ki keemat to chehro ki hoti hai, Dil ki nahi.
Jis din aap zameen par aaye,
Wo aasman bhi khub roya tha.
Aakhir uske aansu rukenge bhi kaise,
Usne mere liye apna sabse pyara sitara jo khoya tha.

Lamho Ki Ek Kitab Hai Zindagi,
Sanso Aur Khyalo Ka Hisab Hai Zindagi,
Kuch Jarurate Puri Kuch Khwishe Adhuri,
Bas Inhi Sawalo Ka Jawab Hai Zindgi.
Aaj kareeb se guzar kar gayi hai,
Andaaz be naam kar gayi hai,
Maiyat pe meri ruk kar anjaan ban gayi hai,
Poochthi hai logo se....
Ye kis ki maiyat sajayi gayi hai.

Agar kbhi me apko Dukh Du,
Or Aapki Ankho Me Aansu Aa Jaye,
Toh is Yakin Ke Sath Aansu poch Lena Ki,
Us PAL mai apse Kahi Zyada dukhi hu.
Mana ki kal hum akele reh gaye,
Judai ke aansu ankho se beh gaye,
Rote hue ko kaun chup karayega,
Jo chup karate the wo hi aaj chup ho gaye!

Tamannao me Uljhaya Gaya hoon,
Khilone de k behlaya gaya hoon,
Kafan me kyu na Jau muh chupa ke,
Bhari mehfil me Utaya Gaya hoon.
Meri barbadi par tu koi malal na karna,
Bhul jana mera khyal na karna,
Hum teri khusi k liye kafan Odh lenge,
Par tu meri laash se koi sawal na karna.

Nazron ko nazaron ki kami nahi hoti,
Phulon ko baharon ki kami nahi hoti,
Fir kyu hume yad karoge Aap,
Aap toh Aasman Ho aur,
Asman Ko Sitaron ki kami Nahi Hoti.

Sunday, November 20, 2011

"A Sweet Love Story"
A Bird fell in love with a White Rose.
The Bird propose to the Rose.
Rose said: which day I will be red, then I'll love you.
The bird was lying on rose thorns and roses turned red with Bird's blood.
Then rose said: I love you too.
But the bird was dead.
Mehfil Jami Jab Yaro Ki To Hume Bhi Bulawa Aaya Tha.
Kaise Na Jate Whan Pe Unhone Apni Kasam Deke Jo Bulaya Tha.
Jab Mauka Aaya Apne Dil Ka Fasana Batane Ka,
To Khayal Unhi Ka Aaya Tha.
Fir Akshar Akshar Jod Ke Maine Apne Dil Ka Dard Sunaya Tha.
Tab Aansun Unki Yadon Me Na Na Karte Nikal Gaye.
Jo Samjhe KHAMOSH Rahe.
Jo Na Samjhe Wo WAH WAH Karke Chale Gye.
A-Z of a beautiful life.
************************
A - Avoid Negative Sources, Thoughts, People.
B - Believe in Yourself.
C - Consider things from all angles.
D - Don't Give up or Give In.
E - Enjoy Life Today. Tomorrow may not come.
F - Family and Friends are Hidden Treasures. Gift of God to you.
G - Give more than you Planned to Give.
H - Hang on to your Dreams.
I - Ignore those who Discourage you.
J - Just Do it!
K - Keep doing no matter how hard it seems! It will become easier.
L - Love yourself First and Most.
M – Make it Happen.
N - Never Lie, Cheat or Steal. Always strike a fair deal.
O – Own up your Mistakes. That is the least you can do.
P – Practice makes you Perfect.
Q – Quitters Never Win and Winners never Quit.
R – Read, Study and Learn everything Important in your Life.
S – Stop Procrastinating.
T – Take Control of your Destiny.
U – Understand yourself better to understand others.
V - Visualize It!
W - Want it more than anything.
X – Xcellerate your efforts.
Y – You are Unique of God’s Creation. Nothing can Replace you.
Z – Zero in your target and Go for it.
NICE STORY
* * * * * * * * *
A man was polishing his new car. his 4 year old son picked up a stone & scratched on the side of the car.
In anger, the furious Man took his child’s hand & hit it many times. not realizing he was using a wrench.
At the hospital, the child lost all his fingers due to multiple fractures.
When the child saw his father with painful eyes he asked "Dad when will my fingers grow back?"
The man was so hurt and speechless.
He went back to the car and kicked it many times Devastated by his own actions. sitting in front of the car he looked at the scratches, his son had written ‘LOVE YOU DAD’.
Next day that man committed suicide.
Anger and love have no limits.
Always remember.
“Things are to be used and people are to be loved”.
But the problem in today’s world is...
“People are being USED & Things are being LOVED”.
You can sink deep into my eyes and,
Swim in the ocean of my soul because,
You are with me its waters are calm,
They are tame. It's you!
You can walk in my thoughts and,
Travel in my sweet dreams.
You can beat in my heart as my heart,
And fly in my breath! Are you, only you!
You can live on my feel my blood,
Touching my body, Caressing my soul,
Be my ideas, My feelings, My reflexes! It's you!
Who is moving the machine that keeps you,
You can give me or take my joy! That's you!
He who has the magic, which has the power... To stay alive.
If I could have just one wish,
I would wish to wake up everyday...
to the sound of your breath on my neck,
the warmth of your lips on my cheek,
the touch of your fingers on my skin,
and the feel of your heart beating with mine.
Knowing that I could never find that feeling
with anyone other than you.

Tum Mano Na Mano Hum Yaad Karenge,
Tum Smjho Na Smjho Hum Aitbar Krenge,
Maine Sacchi Mohbat Ki Hai Tumse,
Tum Aao Na Aao Hum Intezar Krenge.
Zindgi Me Kabhi To Yaad Karoge,
Mehfil Me nahi To Tanhaai Me Yaad Karoge,
Hum Jaisa Na Koi Mila Hai Na Milega,
Aazma Kar Dekho Kismt Pe Naaz Karoge.

Dosti Ke Wado Ko Yuhi Nibhate Rahege,
Hum Har Waqt Apko Satate-Manate Rahege,
Mar Bhi Jaye To Kya Gum Hai,
Hum Ansu Bankar Apki Ankho Me Aate Rahege.
Rasta Aisa B Dushwar Na Tha,
Bas Usko Humari Chahat Pe Aitbaar N Tha,
Wohi ChaL Na Saki Humare Sath,
Warna Hume To Jaan Dene Se Bi Inkaar Na Tha.

Jana kaha tha aur kaha aa gaye,
Duniya me bankar mehman aa gaye,
Abhi to PYAAR ki kitaab kholi hi thi,
Aur na jane kitne imtehan aa gaye.
Fursat Hi Kise Hai Zakhmo Ko SehLane Ki,
Nigahe Badal Gayi Apne-Begano Ki,
Hum-Safar Hi Sath Chhod Gaya,
Ab Tamanna Na Rahi Aashiyana Banane Ki.

Sagar Ko Chua To Lehro Ki Yad Aai,
Asman Ko Chua To Taro Ki Yad Aai,
PhuLo Ko Chua To Kanto Ki Yaad Aai,
Apne DiL Ko Chua To Sirf Apki Yaad Aai.
Mere alfazon ko jhuth na samjhna,
Yaad aati ho bahut milne ki dua karna,
Jee raha hoon tumhara naam lekar,
Mar jau to bewafa na samajhna.

Pyar Me Satana Koi Apse Sikhe,
Intzar Krwana Koi Apse Sikhe,
Har Pal Teri Raho Me Palke Bichai H Maine,
Par Bina Dekhe Guzr Jana Koi Apse Sikhe.
Har SAAM keh Jaati hai Ek kahani,
Har SUBAH le aati hai Nayi kahani.
RASTE to badalte hai har Din,
Lekin MANZIL reh jati hai Wohi PURANI.

Aasma k niche jami to rahegi,
Aakhe thodi shabnami to rahegi,
Zindagi ko aap kitna b sawariye,
Bina hamare kuch kami to rahegi.
Kuch Baatein Zubaan Pe Aake Reh Gayi,
Kuch Khwahishe DiL Me Dabi Reh Gayi,
Jo Socha Tha DiL Ne Wo Hua Nahi,
Bas Wahi Hua Jo Wo Keh gayi.

Har Waqt Sochte Hai Bhalayi Teri,
Sun Nahi Sakte Burayi Teri,
Hanste Hanste Ro Padti Hai Aankhe Meri.
Is Tarah Sehte Hain Judai Teri.
Mehfil na Sahi Tanhai to Milti Hai,
Milna na Sahi Judai To Milti Hai,
Kaun Kehta Hai Pyaar Me Kuch Nahi Milta,
Wafa Na Sahi Be-WAFAI to Milti Hai.

Kisi Ne Humse Kaha-
Aapki Aankhe Badi Pyari Lag Rahi Hai.
Ae DOSTO To Humne Kaha-
Barish Ke Baad Mausam Pyara Ho Hi Jata Hai.
1 Din Use Na Dekha Dil Udas Ho Gya,
Kuch Pal Me Wo Itna Khas Ho Gya,
Ab Tak To Pata Nai Tha Muje,
Lekin Uski Judai Se Uski Ehmyat Ka Ehsas Ho Gya.

Unse Baat Karne Ka Mann Hota Hai,
Wo Baat Na Kare To Gam Hota Hai,
Kaise Samjhaye Is Nadaan DiL ko,
Jitni Baat Karein Utna Kam Hota Hai.
Aaj bheegi hai palke kisi ki yaad me,
Aansu simat gye apne aap me,
Uski bunde aise bikhri hai zameen par,
Mano chand bhi roya ho unki yaad me.

Waqt Aane De Baat Karenge,
Zindagi Me Hum Bhi Mulakat Karenge.
Rasta Chahe jitna kathin ho,
Tujhe pane ki koshish baar baar Karenge.
Bahut Khub Hoti H Mohabbat Me Judai,
Sath Deti Hai Har Waqt Tanhai,
Nigaho Me thehar Jate Hai Aansu,
Puchti Hai Zindgi Ab Tak Maut Kyu Nahi Aai.

Unse Milkar Rab Ki Ibadt Bhul Gye,
Unki Adaye Dekh K Apni Aadat Bhul Gye,
Ye Kaisa Jadu Kar Diya H Unhone,
Unko Chah Kar Duniya Ki Chahat Bhul Gye.
Lamho Ki Ek Kitab Hai Zindagi,
Sanso Aur Khyalo Ka Hisab H Zindagi,
Kuch Jarurate Puri Kuch Khwishe Adhuri,
Bas Inhi Sawalo Ka Jawab Hai Zindgi.

Nazrein Mili Afsaane Bane,
Milne Ke Kitne Bahane Bane,
Hum Tadapte Rahe Hum Taraste Rahe,
Unki Katil Ada Ke Nishane Bane.
Aaina Kuch Nahi Nazar Ka Dhoka Hai,
Nazar Wahi Aata Hai Jo Dil Me Hota Hai,
Aaina Aur Dil Ka Ek Fasana Hai,
Anjam Dono Ka Tutkar Bikhar Jana Hai.

Baaten kar ke rula na dena,
Chup rehke saza na dena,
Na de sako kushi to gum hi sahi,
Bas ek waada karo ki...
Zindagi me hume kabi bhula na dena.
Chahat To Aaj B Utni Hai Unki,
Par Kismat K Haatho Majbur Ho Gye,
Dekhi Jo Unme Apne Liye Berukhi,
Hum Unki Kushi K Liye Unse Dur Ho Gaye..!

Ab Umer Ho gyi hai Dilki KiTab Me..
Kch Khusk Patto K Siwa kuch Nhi Rha.
Jazbat Tamam Kho Gye Lmho k Bhid Me,
Ab Dilme Dhadkno k Siwa kuch Na Raha.
How hard it is to stop the Heart from Loving SOMEONE?
As much as hard to stop the eyes from blinking,
The more you Contrl it the more your eyes get wet.

Wo samma ki mahfil hi kya?
Jisme DIL jal kar khak na ho,
Maza to tab aata hai chahat ka,
Jab DiL to jale magar raakh na ho.
Dheere dheere sab Door hote gaye,
Waqt ke aage majboor Hote gaye,
Rishton Me humne aisi chot khai,
ki Bas hum bewafa aur sab bekasoor hote gaye.

Har Kisi Ka Acha Naseb Nhi Hota,
Har Insan Khusiyo Ke kareeb Nhi Hota,
Kuch Aise Bhi Hai Jo Pate Hai 'MOHABBAT'
Har Koi Hum Jaisa BadNaseb Nhi Hota.
Palko Ki Zid Hai Ansu Girane Ki,
Dil Ki Zid Hai Rista Nibhane Ki,
Apko Zid Hai Agar Hume Bhulane Ki,
To Hume Bhi Zid Hai Apko Apni Yad Dilane Ki.

Roj Roj Tufan Nahi Aate,
Har Roj Haseen Lamhe Nahi Aate,
Ji Lo Ye Jindagi Jab Hum Sath Hai,
Qki Har Janam Me Hamare Jaise Sath Nahi Aate.
Waqt mila tab yaad karte ho,
Mood hua tab baat karte ho,
Ek zamana tha jab ek msg roz karte the,
Ab to ek zamane ke baad yaad karte ho.

Khamoshi teri muzpe barasti hai,
Meri har aah tera dard samjhti hai,
Maloom hai ki mazboor hai tu,
Fir bhi meri nazar tere didar ko tarasti hai.
Bahut naaz hai tujhe apne dosto ki mohabbat par,
Aye insaan tere hi janaze par aa kar kahenge-
"KITNI DER HAE DAFNANE ME"

Chand niklega to dua mangenge,
Apne hisse me muqaddar ka likha mangenge,
Hum talabgar nai duniya or daulat ke,
Hum khuda se sirf apki WAFA mangenge.

Tuesday, November 15, 2011

Mat Kar Pyar Mujhse Ae Ajnabi,
Sab Jante Hai Mai Zamane Me Badnam Hu,
Tere Samne Zindagi Padi Hai Guzarne K Liye,
Mai To Likh Kar Mitaya Hua Ek Naam Hu.

Mohobat Ka Imtihaan Aasan Nahi,
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi,
Mudatein Beet Jaati Hai Kisi Ke Intezar Me,
Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi.

Zindgi Ki Haqiqat Sirf Itni Hoti Hai,
Jab Jagta Hai Insan To Kismat Soti Hai,
Insan Jis Par Apna Haq Khud Se Zyada Smzhta Hai,
Wo Amanat Aksar Kisi Aur Ki Hoti Hai.
Har Mulaqt Par Waqt Ka Takaza Hua,
Har Yad Par Dil Ka Dard Taza Hua,
Suni Thi Sirf Gazlo Me Judai Ki Bate,
Ab Khud Pe Biti To Haqiqt Ka Andaza Hua.

Ahat Dil Par Bewajah Nahi Hoti,
Har Judai ISHQ Ki Saza Nahi Hoti,
Ye Dastur Purana Hai Zamane Ka,
Dil Usi Ka TotTa Hai Jiski Koi Khata Nahi Hoti.
Zindgi Guzar Jayegi Ahista Ahista,
Fir Ye Waqt Yaad Aayega,
Kya Aap Muje Yaad Rakhoge Humesha,
Ya Fir Meri Yaad Bhi Mit Jayegi Ahista Ahista.

Wo Na Dikhe To Ye Ruh Tadpe,
Uske Didar Ko Meri Ye Aankhe Tarse,
Dil Roya Ye Fariyad Kar Ke,
Rab Salamat Rakhna Usko,
Jiski Yaad Me Ye DiL Dhadke.
Kyu Hum Chah Kar B Mohbat Nibha nahi Pate,
Kyu Hum Chah Kar B Rista Bana Nahi Pate,
Kyu Leti Hai Zindgi Esi Karwat,
Ki Hum Chah Kar Bhi Pyar Jata Nahi Pate.

Tanha Rehta Hu To Teri Yaad Satati Hai,
Dunia Ko Mere Berang Sa Kar Jati Hai,
Kitna Ajeeb Ho Gaya Hu Mai,
Aaina Bhi Dekhta Hu To Nazar Tu Aati Hai.
Shikayat Hai Kuch Par Bol Nahi Sakte,
Bahut Dard Chupa Hai Dil Me Par Dikha Nahi Sakte,
Mile Bina Reh Lenge Hum,
Magar Yaad Kiye Bina Reh Nahi Sakte.

Unse Milke Jaise Bichdna Dastur Ho Gya,
Yado Me Unki Dil Majbur Ho Gya,
Kasur Nahi Isme Unka Koi,
HUmari Chahat Hi Itni Thi Ki Unhe Gurur Ho Gya.
Tanhai Ke Saharo Me Ek Ghar Basa Liya,
In Aansu Ko Apna Mandir Bana Liya,
Suna Hai Yaha Patthar Ko Pujte Hai Log,
Isliye Dil Ko Hi Patthar Bana Liya.

Teri Pyari Si Umid Kaise Tod Jau,
Tu Khwab Dekhe Aur Mai Nazar Na Aau,
Kuch To Baat Hai Pyar Me Apne,
Kya Tere Kadam Nahi Kahte...
"Ek Bar Mil Aau."
Aaj Hum Unhe Bewafa Bata K Aaye Hai,
Unke Khato Ko Pani Me Bahakar Aaye Hai,
Koi Nikal K Padh Na Le Isliye,
Paani Me Bhi Aag Lagakar Aaye Hai.

Aansu Na Hote To Akhe Itni Khubsurat Na Hoti,
Dard Na Hote To Khusi Ki Chahat Na Hoti,
Agar Mil Jata Chane Se Koi To,
Dunia Me Khuda Ki Jarurat Na Hoti.

Dil Ki Kitab Ka Panna Chura Le Gya Koi,
Ankho Se Nind Uda Le Gya Koi,
Kisi Ki Yado Me Tadpne Ki Aadat Nahi Thi Hume,
Aapni Yado Me Tadpna Sikha Gya Koi.
Aansu Peene Ki Aadat Ho Gai,
Bin Tere Jine Ki Aadat Ho Gai.
Ehsaas Nahi Hota Ab Dard Ka,
Kyuki Sine Me Jakhm Chhupane Ki Aadat Ho Gai.

Tanha Sanso Ko 1 Yad Ki Zarurat Hogi,
Dil Ki Kasti Ko 1 Kinare Ki Zarurat Hogi,
Kya Sath Rahoge Aap Us Din Humare,
Jis Din Hume 1 Sahare Ki Zarurat Hogi.

Sapne Hai Aanko Me Par Neend Kahi Aur Hai,
Dil Hai Jism Me Par Dhadkan Kahi Aur Hai,
Kaise Bayan Kare Apna Haal-E-DiL Dost,
Jee Rahe Hai Par Zindagi Kahi Aur Hai.
Khuda Apni Khudai Har Lamha Dikhata Hai,
Tum Pyar Karo Isliye Dil Bnata Hai.
Pyar Ki Gahraiyo Me Kaha Tak Dube Ho,
Ye Dekhne Ke Liye Juda Karke Aazmata Hai.

Na Maut Milti Hai Na Zindagi Milti Hai,
Zindagi Ki Raho Me Bebasi Milti Hai.
Rula Dete Hai Na Jane Kyu Duniya Wale,
Jab Bhi Mujhe Koi Khushi Milti Hai.

Dilo Me Aarzu Ke Diye Jalte Rahenge,
Aankho Se Aansu Nikalte Rahenge,
Tum Shama Bankar Dil Me Roshni Karo,
Hum Mom Bankar Pigalte Rahenge.

Tuesday, November 8, 2011

Karti Hai Saanse Bas Ek Hi Ishara,
Dua Me Bas Naam Hai Tumhara,
Tham Jaye Ye Shama Yahi Par,
Nahi Chahiye Hume Koi Tumse Bhi Pyara.

Log apno ko bhi bhula dete hai,
Bewajah apno ko bhi rula dete hai,
Jo"DIYA"raat bar roshani deta hai,
Subha hote hi"LOG"use bhi bujha dete hai.
Jo Wafa Ka Yaqeen Dilate Hai Par,
Wade Akshar Wo Bhool Jate Hai,
Ashq Palko Tale Chupa Kar Hum,
Tere Kehne Pe Muskurate Hai.

Ye Aarzu Thi Ki Aisa Bhi Kuch Hua Hota,
Meri Kami Ne Tuje Bhi Rula Dia Hota,
Mai Laut Aata Tere Pass Ek Lamhe Me,
Tere Labon Ne Mera Naam To Liya Hota.
Dukh hai Dard hai to dawa hai dosti,
Is ghutan bhari zindgi ki hasi fiza hai dosti,
Jo na smjhe uske liye kuch nhi par,
Dosto ke liye to khuda hai Dosti.

Ek pehchan hazar dost bana deti hai,
Ek muskan hazar gam bhula deti hai,
Zindgi ke safar me sambhal kar chalna,
Ek galatfemi hazaro sapno ko jala deti hai.

Pyar Use Is Qdar Krta Chala Jau,
Wo Zakhm De Or Mai Bharta Chala Jau,
Uski Zid Hai Ki Wo Muje Maar Hi Dale,
To Meri Bhi Zid Hai Uspe Marta Chala Jau.
Ishq ibadat hai ise khone mat dena,
Bewafai gunah hai ise hone mat dena,
Agar tumne bhi kisise pyar kiya hai,
To tumhe pyar ki kasam use rone mat dena.

Uske Sath Reh Nai Sakta,
Use Kho Kar Bhi Jee Nai Sakta,
Ye Kaisa Imtehan Le Raha He Mere Khuda,
Jise Jaan Se Jyada Chahta Hu Use Paa Nai Sakta.

Kab Milenge Apse Khayal Karte Hai,
Aapko Hum Itna Yaad Jo Karte Hai,
Ho Na Jaye Pagal Hum Darte Hai,
Kya Kare Aapse Itna Pyar Jo Karte Hai.
Kash koi Hume bata de,
Log kaise apne PYAR ko bhul jate hai,
Kasme khate hai jiske sath Jeene Marne ki,
Fir kaise Wo Uska dil 1 pal me tod jate Hai.

Jeena chahte hai magar Zindagi ras nhi ati,
Marna chahte hai Magar Maut pas nhi ati,
Bahut udas hai Hum is Zindgi se,
Kismat bhi tadpane se baz nhi Ati.

Yar Ek Bar Aake Muskara Do,
Tum Jaha Ho Ek Paigam Bhizwa Do,
Raah Dekhti Hai Ye Aakhe,
Ek Bar Aapne Pyari Awaz Suna Do.
Bahut Kuch Hai Is Dil Ki Gahraiyo Me,
Tadap Jata Hai Dil Rat Ki Tanhaiyo Me,
Dost To Bahut Hai Kahne Ko Yaha,
Par Bada Fark Hai Saye or Parchayi me.

Chahe wafaa me thokre khate raho,
Fir Bhi Rasm-e-Wafaa nibhate raho,
Yahi to Ishq ka dastoor hai,
Ki Zakhm khao fir Bhi muskrate raho.

Tanhaiyo Me Rone Ka Mazaa Kuch Or Hai,
Dilo Ke Tutne Ki Wajah Kuch Or Hai,
Na Aansu Na Mout Na Zindgi,
Pyar Karne WaLo Ki Saza Hi Kuch Or Hai.
Rakhte hai Yad apki har 1 bat ko,
Tarasta hai dil har choti si Mulakaat ko,
Pass rehkar bhi itni door na ho jana,
Ki taras jaye hum apki Awaz ko.

Guzar Jayega Bin Bataye Ye Pal,
Jinhe Hum Intzar Or Aap WaQt Kehte Hai,
Kya Pata BhuL Jaoge Aap is Dosti Ko,
Jise Hum Ek Rishta Or Ap Ek Lafz Kehte Hai.

Yaado Ke Sath Jeene Me Kya maza Hai,
Khayalo Me Pyar Kiya To Kya Kiya,
Mera Har Lamha Tanha Sa Hai,
Hamsafar Hi Sath Na Ho To Safar Ka Kya Maza Hai.
Uski baato ko baar-baar yad kar k roye,
Uske liye dar pe fariyad kar k roye,
Uski khushi k liye use Chod diya,
fir uski hi kami ka ehsas kar k roye.

Teri chahat ab meri aankho me hai.
Tera nasha ab meri sanso me hai,
Mere dil ko jo ghayal kar jaye,
Raani aisi ada sirf teri baaton me hai.

Dil K Bazar me Daulat Ni Dekhi Jati,
Pyar Ho Jaye To Surat Ni Dekhi Jati,
Ek Hi insaan Par Lutado Sab,
Qki pasand Ho chiz to Kimat Ni Dekhi Jati.
Aao Tumko Palko Me Chhupa Le,
Be-karar Dil Ki Dhadkan Me Basa Le,
Kya Pata Kis Mod Pe Bichhad Jaye Hum,
Isse Pehle Pyar Ki Ek Duniya Basa Le.

Puri umar apko pyar hi pyar mile,
Kadam kadam par khushiyon ki bahaar mile,
jis khushi ke liye tarasti hai duniya,
khuda kare wo apko bar bar mile.

Hum Pe Shaq Kiya Na Karo,
Har Baat Pe Mera Naam Liya Na Karo,
Hum Denge Sath Tumara Zindgi Bhar,
Har Kadam Pe Hume Ajnabi Samza Na Karo.
Tu Mera Sapna Mera Armaan Hai Par,
Shayad Tu Apni Ahmiyat-Se Anjaan Hai,
Mujse Kabhi Bhi Ruth Mat Jana Aap,
Kyuki Meri Duniya Aap Ke Bina Viraan Hai.

Har Khushi Gum Ka Elaan Hai,
Har Mulakhaat Judai Ka Paigam Hai,
Na Rakhna Is Duniya Me Ummid Kisise,
Qki Har Ummid Dil Tutne Ka Farman Hai.

Mohbat ki shama jalake to dekho,
Zara dilki duniya sajakar to dekho.
Tumhe na ho jaye mohbat to kehna,
Zara hamare kareeb aa k to dekho.
Wo Doondhte Rahe Hame Idhar Udhar,
Shayad Unhe Hamari Talash Thi.
Par Afsos Jis Jagah Par The Unke Kadam,
Usi Ke Neeche Dafan Hamari Laash Thi.

Shaam Udas Thi Subah Udas Thi,
Kafan Me Lipti Meri Laash Thi,
Ae Duniya Walo Mujhe Wahi Dafnana,
Jaha Meri or Uski Pehli Mulakat Thi.!!

Apni Khamosh Zindagi Mei Bulana Mujhko,
Apni Haseen Khusboo Ki Tasveer Banana Mujhko,
Mai Jo Poochu Tumhare DIL Ka Haal,
Apni Har Dhadkan Sunana Mujhko.
Ek Din Hamare Aansu Humse Pooch Baithe,
Hume Roz -Roz Kyu Bulate Ho,
Humne Kaha Hum Yaad To Unhe Karte Hai,
Tum Kyu Chale Aate Ho.

Jaise Nikle Hawa Patton Ke Beech Se,
Waise Naiaon Se Sapne Niklte Rahe,
Bina Mange Mil Gye Dukh Mujhe Sare,
Ek Mila Na Pyar Jo Hum Mangte Rahe.

Itna Tod Ke Na Ja Kahi Mar Hi Na Jaye,
Tere Wadoon Ki Tarha Kahi Ruk Hi Na Jaye,
Kahi Hogi Anhoni Fir Bada Pachtayegi,
Jo Mai Hi Na Raha To Jhoothi Kasme Kiski Khayegi.