Thursday, June 21, 2012

Kisi Ki Yaad Dil Me Aaj Bhi Hai,

Kisi Ki Yaad Dil Me Aaj Bhi Hai,
Bhul Gaye Wo Par Pyar Aaj Bhi Hai,
Hum Khush Rahne Ka Dawa To Karte Hai Par,
Unki Yaad Me Behte Aansu Aaj Bhi Hai.

Ajeeb Tarah Se Socha Tha Zindgi Ke Liye,

Ajeeb Tarah Se Socha Tha Zindgi Ke Liye,
Jeena Marna Tha Sirf Usi Ke Liye,
Wo Mujhko Tanha Chod Gyi To Yaqeen Aaya,
Ki Koi Bhi Nahi Marta Kisi Ke Liye.

Zindgi Se chale Hai Elzam Lekar,

Zindgi Se chale Hai Elzam Lekar,
Bahut Jee chuke Unka Naam Lekar,
Akele Baate Karenge Wo in Sitaro se,
Jab Hum chale Jayenge Unhe Ye Sara Aasma Dekar.

Pyar Ki Mehfil Ishqzado Ka Thikana Hai,

Pyar Ki Mehfil Ishqzado Ka Thikana Hai,
Har Ek Musafir Hai Sabko Kahi Jana Hai,
Fark Sirf Itna Hai Sathiyo,
Kisiki Pas Hai Manzil Kisika Door Ashiyana Hai.

Khushiyo Se Naraz Hai Meri Zindagi,

Khushiyo Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaz Hai Meri Zindagi,
Hans Leta Hoo Logo Ko Dikhane Ke Liye,
Warna Dard Ki Kitaab Hai Meri Zindagi.

Mere Aansuo Ke Har Boond Me,

Mere Aansuo Ke Har Boond Me,
Tere Deedar Ki Hasrat Milegi,
Jitna Jald Ho Sake Aana Warna,
Khamosh Tujhe Teri Mohabbat Milegi.

Log Kehte Hai Ki Pyar Ek Aisi Bimari Hai,

Log Kehte Hai Ki Pyar Ek Aisi Bimari Hai,
Jiski Koi Dawa Nahi Hoti,
Hum Kehte Hai Bewfai Ek Aisi Dawa Hai,
Jisse Ye Bimari Dubara Nahi Hoti.

Unki Mehandi Ka Rang Surkh Kyu Na Hoga,

Unki Mehandi Ka Rang Surkh Kyu Na Hoga,
Meri Hasraton Ka Laho Jo Shamil Hai.

Alfaaz To Bahut Hai

Alfaaz To Bahut Hai Muhabat Byan Krne Ke Liye,
Par Jo Khamoshi Na Samjh Sake Wo Alfaz Kya Samjhenge.

Agar Meri Yaad Aaye To Chand Ko Dekh Lena,

Agar Meri Yaad Aaye To Chand Ko Dekh Lena,
Ye Soch Kar Nahi Ki Kitna Khubsurat Hai,
Ye Soch Kar Ki Hazaro Sitaro Me Tanha Hai Kitna.

Zindgi Me Kabhi Tujhe Chain Na Aayega,

Zindgi Me Kabhi Tujhe Chain Na Aayega,
Tanhai Ka Andhera Tujhe Har Pal Satayega,
Jab Kabhi Chodega Tera Saath Koi,
Tab Tujhe Mera Pyar Yaad Aayega.

Likhu Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza Hai,

Likhu Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza Hai,
Mere Dil Me Dard Abhi Taaza Hai,
Gir Padte Hai Ashq Mere Kagaz Par,
Kalam Me Sayahi Kam Aur Aansoo Jyada Hai.

Bahut Ajeeb Hai Ye Bandishe Mohabbat Ki,

Bahut Ajeeb Hai Ye Bandishe Mohabbat Ki,
Koi Kisi Ko Toot Kar Chata Hai,
Aur Koi Kisi Ko Chah Kar Toot Jata Hai.

Wo Kaha Hamare Liye Aate Hai,

Wo Kaha Hamare Liye Aate Hai,
Mehfil Bhi Gairo Ke Saath Sajate Hai,
Dete Hai Hansi Auro Ko,
Aur Muze Apni Yaado Se Rulate Hai.

Kisi Insan Ko Dukh Dena Itna Aasan Hai,

Kisi Insan Ko Dukh Dena Itna Aasan Hai,
Jitna Samandar Me Patthar Fhenkna,
Magar Ye Koi Nahi Jaanta Ki,
Wo Patthar Kitni Gehrai Me Gaya Hai.

Ek Ajnabi Si Koi Apni Yaad De Gaya,

Ek Ajnabi Si Koi Apni Yaad De Gaya,
Satane Ke Liye Ek Khwaab De Gaya,
Dil Le Gaya Jism Se Nikaal Kar,
Aur Tasalli Ke Liye Sirf Ek Gulab De Gaya.

Ruk Na Paye Aansu Uske Jane Ke Baad,

Ruk Na Paye Aansu Uske Jane Ke Baad,
Kho Gye The Hum Jiske Aane Ke Baad,
Kabhi Koi Gila Nahi Kiya Hmne Unse,
Jo Hume Chod Gye Kisi Ko Pane Ke Baad.

Pyar Karke Jatae Ye Zaruri To Nahi,

Pyar Karke Jatae Ye Zaruri To Nahi,
Yad Karke Koi Batae Ye Zaruri To Nahi,
Rone Wala To Dil Me Hi Ro Leta Hai,
Aankh Me Aansu Aye Ye Zaruri To Nahi.

Humne Pyar Nahi ISHQ Nahi Ibadat Ki Hai,

Humne Pyar Nahi ISHQ Nahi Ibadat Ki Hai,
Rasmo Se Riwajo Se Bagawt Ki Hai,
Manga Tha Humne Jise Apni Duao Me,
Usine Mujhse Juda Hone ki Chaht Ki Hai.

Ajnabi se Mulakat Kya Ki Qyamat Ho Gai,

Ajnabi se Mulakat Kya Ki Qyamat Ho Gai,
Pahle Pal Me Hume Ye Khabar Ho Gai,
Ab To Uske Bina Jina Mushkil Hai,
Kyuki Dosti Ka Irada Tha Aur Mohbat Ho Gai.

Wednesday, June 20, 2012

Kal Sham Tere Ghar Mukam Kiska Tha,

Kal Sham Tere Ghar Mukam Kiska Tha,
Na Tha Koi Musafir To Mehman Kiska Tha,
Likh Likh Ke Choomti Rahi Jisko Raat Bhar,
Hume Bhi Batao Wo Naam Kiska Tha.

Agar Bhigne Ka Itna Hi Shaukh Hai Baarish Me,

Agar Bhigne Ka Itna Hi Shaukh Hai Baarish Me,
To Dekho Meri Aankho Me,
Baarish To Har Ek Ke Liye Barasti Hai,
Lekin Ye Aankhe Sirf Tumhare Liye Barasti Hai.

DiL Udaas Hai Aankhe Nam Bhi Hai,

DiL Udaas Hai Aankhe Nam Bhi Hai,
Tanha Raate Hai Dil me Gam Bhi Hai,
Viraniyo Me Kabhi Rub Se Poochta Hu,
Kya In Aansuo Ka Koi Mausam Bhi Hai.

Wo samjhe na samjhe hamare jazbaat ko,

Wo samjhe na samjhe hamare jazbaat ko,
Hum maanenge unki har baat ko,
Hum chale jaayenge ek din is duniya ko chod kar,
Wo aansuo se royenge har raat ko.

Koi accha lage to use pyar mat karna,

Koi accha lage to use pyar mat karna,
Uske liye apni ninde bekaar mat karna,
Do din to aayenge khushi se milne,
Teesre din kahenge mera intejaar mat karna.

Armaano ki ginti to mujhe nahi aati,

Armaano ki ginti to mujhe nahi aati,
Par dil ka ek khayal aapse kah du,
Agar paani ki har ek boond pyar ban jaye,
To tohfe me aapko saara samander de du.

Raat ka Aakhri Pehar Tha Mujhse Chand ne Kaha,

Raat ka Aakhri Pehar Tha Mujhse Chand ne Kaha,
"Hamnasheen Alwida Mujhko nind aa rahi hai,
Kal milenge isi jagah",
Mai us ki baat Sun kar muskura diya,
Maine usse kaha "Jane wale lautte nahi,
Tum Nahi aaoge muje hai yakeen ye",
Meri baat sun ke wo ruk gya aur kehne laga,
"Tumse wada karu fir poora na karu,
Aisa mumkin nahi, Sun ae Hamnasheen,
Mai "CHAND" hu "INSAN" TO nahi.

Apni to mohabat ki itni kahani hai,

Apni to mohabat ki itni kahani hai,
Tooti hui kashti or thera hua paani hai,
Ek phool kitabo me dam tod chuka hai,
Magar kuch yaad nahi aata ye kis ki nishani hai.

Meri Mahobbat hi meri khata ban gai,

Meri Mahobbat hi meri khata ban gai,
Ye Deewangi Meri Saja ban gai,
Unki Masumiyat par fida is tarah hue ki,
Unhe Pane ki tamanna hi zindgi ki saza ban gai.

Ab unki chahat me ye naubat aa gayi,

Ab unki chahat me ye naubat aa gayi,
Thandi hawa bhi hume jala gayi,
Kehti hai aap yahan tadapte hi reh gaye,
Mai tumhare sanam ko chu kar bhi aa gayi.

Mohabat ka irada ab badal jana bhi mushkil hai,

Mohabat ka irada ab badal jana bhi mushkil hai,
Tujhe khona bhi mushkil tujhe pana bhi mushkil hai,
Jara si baat pe aankhe bheego ke baith jaate ho,
Tujhe ab dil ka haal batana bhi mushkil hai,
Udaasi tere chehre pe gawara bhi nahi lekin,
Teri khatir sitare tod kar lana bhi mushkil hai,
Yaha logo ne kud pe itne parde daal rakhe hai,
Kisi ke dil me kya hai nazar aana bhi mushkil hai,
Tujhe zindagi bhar yaad rakhne ki kasam to nahi li,
Par ek pal ke liye tujhe bhulana bhi mushkil hai.

Dil ke lut jane ka izhaar zaruri to nahi,

Dil ke lut jane ka izhaar zaruri to nahi,
Ye tamasha sar-e-bazar zaruri to nahi,
Mujhe tha ”ISHQ” teri rooh se or ab bhi hai,
Jism se ho koi sarokar zaruri to nahi,
Mai tujhko toot ke chahu to meri fitrat hai,
Tu bhi ho mera talabgar zaruri to nahi,
Ae sitamgar zara jhank meri ankho me,
Zuban se pyar ka izhaar zaruri to nahi.

Ek lafz Mohbat hai ise kar k dekho tum,

Ek lafz Mohbat hai ise kar k dekho tum,
Barbad na ho jao to mera naam badal dena,
Ek lafz Muqadar hai is se lad ke dekho tum,
Haar na jao to mera naam badal dena,
Ek lafz Wafa hai zamane me nahi milti,
Kahi se dhoond kar le aao to mera naam badal dena,
Ek lafz Aansu hai ise dil me chupa kar dekho tum,
Aankho se na beh jaye to mera naam badal dena,
Ek lafz Judai hai ise seh ke dekho tum,
Toot kar na Bikhar jao to mera naam badal dena.

Dil Ne Kaha Aankh Se Dekha Karo Kam,

Dil Ne Kaha Aankh Se Dekha Karo Kam,
Kyuki Dekhte Ho Tum Aur Tadapte Hai Ham,
Us Par Aankh Ne Kaha Dil Se Socha Karo Kam,
Kyuki Sochte Ho Tum Aur Rote Hai Hum.

Wo paas hi na aaye to izhaar kya karte,

Wo paas hi na aaye to izhaar kya karte,
Khud bane nishana to shikar kya karte,
Marne par bhi khuli rahi hamari aankhe,
Isse zyada kisi ka intezar kya karte.

Har baar hausla karte hai,

Har baar hausla karte hai,
Fir khud hi toot jate hai,
Is dil ko khud hi samjha kar,
Is dil se haar jate hai,
Fir se ret ko muthi me pakad kar,
Ret Fisalta pate hai,
Ankho me samandar ko samete,
Aansu chalkta pate hai,
Har baar kuch chah kar,
Wo khud hi kar jaate hai,
Intezar karwate karwate,
Khud hi intezar karta pate hai,
Na jane kyu is dil ko,
Samjha hi nahi pate hai,
Apne aap khud ko mana hi nahi pate hai,
Wo kya samjhenge jajbaat jinhe 'EHSAAS' hi nahi,
Na jane kyu har baar kuch aise hi "HAMSAFAR"bana jate hai.

Maine Har Roz Dua Me Tujhe Manga Hai,

Maine Har Roz Dua Me Tujhe Manga Hai,
Hu Bewafa Magar Wafa Se Tujhe Manga Hai,
Kabhi Sajde Me Ja Kar Pooch Rab Se Ki,
Maine Kis Kis Ada Se Tujhe Manga Hai.

Dil Me Hasrato Ko Dabakar Jeete Hai,

Dil Me Hasrato Ko Dabakar Jeete Hai,
Apne Gum Ko Duniya Se Chupa Kar Jeete hai,
Kya Lootega Zamana Khushiyo Ko Hamari,
Hum Khushiya Doosro Par Luta Kar Jeete Hai.

Bikhrati Sham Ki Parchaiya Mujhe De Do,

Bikhrati Sham Ki Parchaiya Mujhe De Do,
Tum Apni Shaam Ki Tanhaiya Mujhe De Do,
Mai Tum Ko Yaad Karu Aur Tum Chale Aao,
Tum Apne Pyar Ki Suchaiya Mujhe De Do,
Mai Doob Jau Tumhari Udas Ankho Me,
Tum Apne Dard Ki Gehraiya Mujhe De Do.

Tanha Rato Me Bahut Yaad koi Ata Hai,

Tanha Rato Me Bahut Yaad koi Ata Hai,
Waqt Mera Aksar Uski Yaad Me Guzar Jata Hai,
Khushi Aur Gam Me Wohi Nazar Aata Hai,
Kyuki Ye Pagal DIL Use Bahut Cahta Hai.

Nazar Ki Pyas Bujhane Ka Hausla Na Hua,

Nazar Ki Pyas Bujhane Ka Hausla Na Hua,
Mile To Lab Bhi Hilane Ka Hausla Na Hua,
Pukarti Hi Rahi Door Tak Use Nazre,
Magar Zuban Se Bulane Ka Hausla Na Hua.

Dil Ki Kitaab Ka Safha Le Gaya Koi,

Dil Ki Kitaab Ka Safha Le Gaya Koi,
Ankho Se Neend Uda Le Gaya Koi,
Kisi Ki Yad Me Tadapne Ki Aadat Nahi Thi Mujhe,
Apni Yado Se Tadpne ki saza de Gaya koi.

Maut Ke paas Ja Kar Bhi Dekha Hai,

Maut Ke paas Ja Kar Bhi Dekha Hai,
Maine Bhi Dil Laga Kar Dekha Hai,
Chaand Ko Log Door Se Dekhte hai,
Maine chaand ko paas Bula Kar bhi Dekha Hai,
Ishq Ki Qeemat Pooch Lo mujh Se,
Maine Ghar Tak Luta Kar Dakha Hai,
Pyar to Bheek me Bhi mil jata hai,
Maine to Daman ko Bhi Faila Kar Dakha Hai,
Ek Sakhas Hai jo Bhulta Nahi mujhse,
Maine Sari Dunya Ko Bhula Kar Dakha Hai.

Na pine ka shauk tha na pilane ka shauk tha,

Na pine ka shauk tha na pilane ka shauk tha,
Hume to sirf Nazre milane ka shauk tha,
Par kya kare yaaro hum Nazre hi unse mila baithe,
Jinhe sirf Nazro se pilane ka shauk tha.

Lajwab hai hamare jeene ka fasana,

Lajwab hai hamare jeene ka fasana,
Koi sikhe humse har pal muskurana,
Koi meri hansi ko nazar na lagana,
Badi mushkil se sikha hai maine...
Apna Gam chupakar muskurana.

Tuesday, June 19, 2012

Hum bhi kitney deewane nikle,

Hum bhi kitney deewane nikle,
Diye se andhera mitane nikle,
Ghum-e-Dil pe humare jo hansa karte hai,
Hum unko hi Haal-e-Dil sunane nikle.

Ab To Zamane Ke Rasmo Riwaaj Bhi Badal Gye,

Ab To Zamane Ke Rasmo Riwaaj Bhi Badal Gye,
Hum Jinhen Chate The Un Ke Mizaaj Badal Gye,
Jate Jate Wo Hum Se Kehne Lage...
Badal Jao Tum Bhi Dekho Hum Bhi Badal Gye.

Apni Bhi Zindgi Me Khushiyo Ka Silsila Hota,

Apni Bhi Zindgi Me Khushiyo Ka Silsila Hota,
Fir Na Kisi Se Koi Sikwa Gila Hota,
Sawar Jati Kismat Apni Bhi,
Agar Pyar Kisi Ka Humko Bhi Mila Hota.

Chaha na usne mujhe bas dekhte rahe,

Chaha na usne mujhe bas dekhte rahe,
Meri zindagi se bas wo khelte rahe,
Utre na kabhi meri zindagi ki jheel me,
Bas kinare par baithe pathar phenkte rahe.

Yaar Se Pyar Ko Basaya Jata Hai,

Yaar Se Pyar Ko Basaya Jata Hai,
Pyar Se Pyar Ko Hasaya Jata Hai,
Pyar To Wo Dawa He Mere Dost,
Jis Se Kanch Ko Bhi Kohinoor Banaya Jata hai.

Pyar me koi to dil tod deta hai,

Pyar me koi to dil tod deta hai,
Dosti me koi to bharosa tod deta hai,
Zindagi jina to koi gulaab se sikhe,
Jo khud toot kar do dilo ko jod deta hai.

Tumse bate karne ka dil karta hai,

Tumse bate karne ka dil karta hai,
Tumpe jaan lutane ka dil karta hai,
Log dete hai wafa ki duhai,
Hume to aapki bewafai me bhi jeene ka Dil krta hai.

Yado ki kimat wo kya jane,

Yado ki kimat wo kya jane,
Jo khud hi yado ko mita diya karte hai,
Yado ka matlab to pucho unse,
Jo yado ke sahare zindagi bita diya karte hai.

Gam ki Gam se gujaris hoti hai,

Gam ki Gam se gujaris hoti hai,
Khusi se Gam ki sifarish hoti hai,
Tanhai me baith ke Yad karna apno ko,
Fir dekhna ankho se kaisi barish hoti hai.

Hasrato Ka Jaise Fir Dhua Udne Laga,

Hasrato Ka Jaise Fir Dhua Udne Laga,
Ab To Ghayal DiL Bhi Jalne Laga,
Kya Khub Sajaya Janaza Logo Ne Humara,
Par Ab To Usme Bhi Dum Ghutne Laga.

Teri Mohobbat Ke Wade Yad Rahenge,

Teri Mohobbat Ke Wade Yad Rahenge,
Tujhe Yad Kar-Kar Ke Aabad Rahenge,
Jo Pal Gujre Hai tere sath Me,
Maut Tak mujhe Wo Najare Yaad Rahenge.

Unki tasvir ko seene se laga lete hai,

Unki tasvir ko seene se laga lete hai,
Is tarah judai ka gum mita lete hai,
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
To hans kar bheegi palke jhuka lete hai.

Mai to chirag hu tere aashiyane ka,

Mai to chirag hu tere aashiyane ka,
Kabhi na kabhi to bujh jaunga,
Aaj shikayat hai tujhe mere ujaale se,
Kal andhere me bahut yaad aaunga.

Tum khafa ho mujhse,

Tum khafa ho mujhse,
Mujhe chahat hai tumse,
Tum mayus ho mujhse,
Mujhe khushi hai tumse,
Tumhe nafrat hai mujhse,
Aur mujhe pyar hai tumse.

La khada kiya hai tune mujhe us mod par,

La khada kiya hai tune mujhe us mod par,
Ki jaha se na jee saku aur na mar saku.

Friday, June 15, 2012

Unko apne haal ka hisab kya dete,

Unko apne haal ka hisab kya dete,
Sawal galat the jawab kya dete,
Wo to 3 lafzo ki hifazt bhi na kar sake,
Fir unke haath me zindgi ki kitab kya dete.

Zindgi se apna har dard chupa lena,

Zindgi se apna har dard chupa lena,
Khushi na sahi gam gale laga lena,
Koi agar kahe mohabbat aasan hai,
To use mera toota hua dil dikha dena.

Kitni Khush Hai Wo Hamari Duniya Ujad Ke,

Kitni Khush Hai Wo Hamari Duniya Ujad Ke,
Khuda Kare Uski Khushi Kabhi Kam Na Ho.

Ajeeb rishta raha kuch is tarah apno se,

Ajeeb rishta raha kuch is tarah apno se,
Na nafrat ki wajah mili,
Na mohabat ka sila.

Wo Kahti Thi Hum Unki Aankho Me Baste Hai,

Wo Kahti Thi Hum Unki Aankho Me Baste Hai,
Aaj Samjh Me Aaya Ki...
Wo Apne Aansuo Ko Baha Kyu Rahi Thi.

Aakhir girte hue aansu ne mujhse puch hi liya,

Aakhir girte hue aansu ne mujhse puch hi liya,
Nikaal diya na mujhe uske liye,
Jiske liye tu kuch bhi nahi.

Mujh Se Naraaz Hai To,

Mujh Se Naraaz Hai To,
Chhod De Tanha Mujh Ko,
Aye Zindagi...!
Dekh Mujhe Roz Tamaasha Na Bana.

Mujhe rone se na roko,

Mujhe rone se na roko,
Ye saja hai use chahne ki,
Inhe aanshu kaho ya deewangi,
Ye to nishani hai uske pyar ki.

Kya Rakha Hai Apni Zindgi Ke Is Afsano Me,

Kya Rakha Hai Apni Zindgi Ke Is Afsano Me,
Kuch Guzri Hai Use Chahane Me,
Aur Jo Baaki Hai...
Wo Guzar Jayegi Use Bhulane Me.

Log Meri Mohabat Ko Fakiri Ka Naam Dete Hai,

Log Meri Mohabat Ko Fakiri Ka Naam Dete Hai,
Ae Ranni Ye Sach Bhi Hai...
Mai Roz Tere Laut Aane Ki,
Rab Se Bheekh Mangta Hu.

Tuesday, June 12, 2012

Lafzo per bat aye to kya karu,

Lafzo per bat aye to kya karu,
Koi itna yad aaye to kya karu,
Dil karta hai usko ek lamhe k liye dekh lu,
Par wo lamha hi na aaye to kya karu.

Kabhi aansu kabhi khushi dekhi,

Kabhi aansu kabhi khushi dekhi,
Humne akshar majburi or bekasi dekhi,
Unki naarazgi ko hum kya samjhe,
Humne khud apni taqdeer ki bebasi dekhi.

Bin baat ke hi roothne ki aadat hai,

Bin baat ke hi roothne ki aadat hai,
Kisi apne ka saath pane ki aadat hai,
Aap khush rahe mera kya hai,
Mai to aaina hu mujhe to tootne ki aadat hai.

Hotho pe muskan hi kafi hai,

Hotho pe muskan hi kafi hai,
Dil me ek arman hi kafi hai,
Kuch nahi chahiye jindagi me aapse,
Aap yad karte rahe ye ehsan hi kafi hai.

Dil K Har Dhadkan Me Kuch Baat Hoti Hai,

Dil K Har Dhadkan Me Kuch Baat Hoti Hai,
Ankho K Har Aansu Me Unki Yaad Hoti Hai,
Sabse Kah Dete Hai Ki Bhul Gye Unko,
Magar Har Dua Me Unko Pane Ki Friyad Hoti Hai.

Har mulaqat pe waqt ka takaza hua,

Har mulaqat pe waqt ka takaza hua,
Har yaad pe dil ka dard taza hua,
Suni thi sirf gazlo me judai ki bate,
Ab khud pe beeti to haqikat ka andaza hua.

Unki Yado Me Dub gaye The,

Unki Yado Me Dub gaye The,
Sari Duniya Ko Bhul Gaye The,
Log Agar Puche Mar Kaise Gaye,
To Keh Dena Unke Khwab Me Aakhe kholna Bhul Gaye The.

Kaise Baya Kare Aalam Dil Ki Bebasi Ka,

Kaise Baya Kare Aalam Dil Ki Bebasi Ka,
Wo Kya Samje Dard Aankho Ki Nami Ka,
Unke Chahne Wale Itne Ho Gaye Ki,
Unhe Ehsas Nahi Humari Kami Ka.

Ishq ke mushkil rah hote hai,

Ishq ke mushkil rah hote hai,
Is rah pe chalne wale tabah hote hai,
Jo baat baat pe khafa hote hai,
Aksar wo hi bewafa hote hai.

Socha tha ki wo Bahut toot kar chahenge hume,

Socha tha ki wo Bahut toot kar chahenge hume,
Lekin ye kya Sitam Hai Zindagi ka Ki,
Socha Bhi humne, Chaha Bhi humne,
Aur Toot Bhi Hum hi gaye.

Saturday, June 9, 2012

Honth Thak Gaye Hai Bula Bula Kar,

Honth Thak Gaye Hai Bula Bula Kar,
Ankhe Thak Gai Hai Mana Mana Kar,
Aisa Sang Dil Yaar Mila Hai,
Jo Pyar Bhi Deta Hai Rula Rula Kar.

Meri har baat ka iqrar Hai teri ankhe,

Meri har baat ka iqrar Hai teri ankhe,
Meri auqat mera pyar Hai teri ankhe,
Gunah karne pe mjbur kar diya tha hume,
Humse zyada to gunahgar Hai teri ankhe.

Pyar aur barish- dono ek jaise hote hai,

Pyar aur barish- dono ek jaise hote hai,
Wo humesha yadgar hote hai,
Fark sirf itana hai ki barish sath rah kar tan bhigati hai,
Aur pyar door rahkar aankhe.

Thi Koi Jo Mere Dil Ko Zakhm De Gai,

Thi Koi Jo Mere Dil Ko Zakhm De Gai,
Zindgi Bhar Jeene Ki Kasam De Gai,
Lakho Phulo Me 1Phul Chuna Tha,
Jo Kanto Se B Gehra Zakhm De Gayi.

Zindgi Dene wale Marta Chod Gaye,

Zindgi Dene wale Marta Chod Gaye,
Apnapan Jatane wale Tanha Chod Gaye,
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki,
Wo Jo Saath Chalne wale Apna Rasta Mod Gaye.

Meri sanso se shikwa karte ho tum,

Meri sanso se shikwa karte ho tum,
Chup chup k chahat ka sauda karte ho tum,
Tum hi socho ye kaise majboori hai tumhari,
Mujh me rahkar mujhse parda karte ho tum.

Lamhe badalte hai zindgi k saath,

Lamhe badalte hai zindgi k saath,
Zindgi badalti hai mohabat k saath,
Mohabat nahi badalti apno k saath,
Bas apne badal jaate hai waqt k saath.

Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe,

Hum Jale To Chirag SamaJh Baithe,
Mehke To Sab Gulaab SamaJh Baithe,
Lafzo Me Kisi Ne Mere Dard Na Dekha,
Shayri Padhi Aur Shayar SamaJh Baithe.

Khushio ki Arzu me muQdar so gye,

Khushio ki Arzu me muQdar so gye,
Andhi aisi chali k apne B kho gye,
kya khub tha unka andaz-e- mohbt,
Pyar Dene aye The aur palke bhigo gye.

Pani Se Pyas Na Bujhi Toh,

Pani Se Pyas Na Bujhi Toh,
Maikhane Ki taraf Chal Nikla,
Socha Shikayat Karu Teri Rab Se,
Par Rab bhi Tera Ashiq Nikla.

Dil k dard ko chupana kitna mushkil hai,

Dil k dard ko chupana kitna mushkil hai,
Toot k phir muskrana kitna mushkil hai,
Door tak jab chalo kisi k sath to phir,
Tanha laut k Aana kitna mushkil hai.

Pichle Baras Ye Khof Tha Tuje Kho Na Du Kahi,

Pichle Baras Ye Khof Tha Tuje Kho Na Du Kahi,
Ab Ke Baras Dua Hai Tera Saamna Na Ho.

Kitni Mayoos Si Sada Hoti Hai,

Kitni Mayoos Si Sada Hoti Hai,
Palat Ke Dekho To Hawa Hoti Hai,
Wo Mujhe Zindgi Ki Tarha Lagti Hai,
Magar Zindagi Bhi To Bewafa Hoti hai.

Dil Tod Kar Jaane Wale Zara Itna To Batate ja,

Dil Tod Kar Jaane Wale Zara Itna To Batate ja,
Saza Pyaar Karne Ki Hai Ya Meri Wafao Ki.

Wo To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,

Wo To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Humari Tanhayio Se Aankh Churate Rahe,
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila Kyuki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe.

Hasane ke baad kyu rulati hai duniya,

Hasane ke baad kyu rulati hai duniya,
Jaane ke baad kyu bhulati hai duniya,
Zindgi me kya koi kasar baaki thi,
Jo mar jaane ke baad bhi jalati hai duniya.

Meri Mahobat hi meri khata ban gai,

Meri Mahobat hi meri khata ban gai,
Ye Deewangi Meri Saja ban gai,
Unki Masumiyat par fida is tarah hue ki,
Unhe Pane ki tamanna hi zindgi ki saza ban gai.

Bichadte hue yaad de jayenge,

Bichadte hue yaad de jayenge,
Khud sone se pehle aapko khawab de jayenge,
Apko gila hai ki hum baat nahi karte,
Sanso ke rukne se pehle har jawab de jayenge.

Khamosh nigaho se jab ansoo aate hai,

Khamosh nigaho se jab ansoo aate hai,
Aap na jaane kitna yaad aate hai,
Aaj bhi khade hai us mod pe,
Jahan tumne kaha tha ruko hum abhi aate hai.

Tere Her Dukh Ko Apna Bana Lu,

Tere Her Dukh Ko Apna Bana Lu,
Tere Har Ghum Ko Dil Se Laga Lu,
Mujhe Karni Aati Nahi Chori Warna,
Mai tere Aankho Se Har Aansu Chura Lu.