Friday, April 27, 2012

Mai Alfaz Hu Teri Har Baat Smajta Hu,

Mai Alfaz Hu Teri Har Baat Smajta Hu,
Mai Ehsas Hu Tere Jazbat Samjta Hu,
Kab Pucha Kyu Door Ho Mujse,
Mai DiL Rkhta Hu Tere Halaat Samjta Hu.

Kaha Se Lau HUNAR Use Manane Ka,

Kaha Se Lau HUNAR Use Manane Ka,
Koi JAWAB Nahi Tha Uske Rooth Jane Ka,
Mohabbt Me SAZA Muje Hi Milni Thi Kyuki,
Jurm Maine Kiya Unse DIL Lagane Ka.

Diwana Hu Tera Inkar Nahi,

Diwana Hu Tera Inkar Nahi,
Kaise Kah Du Ki Mujhe Tunse Pyar Nahi,
Kuch Shararat To Teri Nazro Me Bhi Thi,
Mai Akela Hi Iska Guneh Gar Nahi.

Mera Apna DiL Ab Mere Paas N Raha,

Mera Apna DiL Ab Mere Paas N Raha,
Pyar Mera Tere Liye Khaas N Raha,
Badi Taqlif Hoti Hai Ye Soch Ke,
Ki Tujhe Mere Dard Ka Ehsaas Na Raha.

Unki Yaado Ko Humne Sufiyana Rakha,

Unki Yaado Ko Humne Sufiyana Rakha,
Apne DiL Me Unka Aashiyana Rakha,
Jitni Bar Humne Unse Milne Ki Koshish Ki,
Usne Har Baar Ek Naya Bahana Rakha.

Teri Aarzu Mera Khwab Hai,

Teri Aarzu Mera Khwab Hai,
Jiska Raasta Bahut Kharab Hai,
Mere Zakhm Ka Andaza Na Laga,
Is Dil Ka Har Ek Panna Dard Ki Kitaab Hai.

Yaado me apke tanha baithe hai,

Yaado me apke tanha baithe hai,
Apke bina labo ki hansi gawa baithe hai,
Apki dunia me andhera na ho,
Isliye khud ka Dil jala baithe hai.

Apne Pyar Ke Liye Aur Tadpa Mujhe,

Apne Pyar Ke Liye Aur Tadpa Mujhe,
Nahi Chahte Ki Tu Ab Mana Mujhe,
Bas Itni Guzrish Hai Tujhse Janam,
Meri Aakhiri Saans Tak Sata Mujhe.

Mat Ho Itna Udaas Kisi Ke Liye Is Duniya Me,

Mat Ho Itna Udaas Kisi Ke Liye Is Duniya Me,
Kisi ke Liye Jaan Bhi Gawa Do To Kahege yuhi,
Ki Iski Zindagi Hi Itni Thi.

Izhaar mohbt ka kuch aise hua,

Izhaar mohbt ka kuch aise hua,
Kya kahe pyar kaise hua,
Unki ek jhalak pe nisar hue hum,
Sadgi me mar-mite aur Aakho se ikaraar hua.

Tere Bina Kitni Akeli Hai Zindgi,

Tere Bina Kitni Akeli Hai Zindgi,
Uljhi Hui Si Paheli Hai Zindgi,
Badi Hi Masumiyat-Se Banai Hui,
Teri Yado Ki Haveli Hai Zindagi.

Koi Rasta Nahi Tha Dua K Siwa,

Koi Rasta Nahi Tha Dua K Siwa,
Koi Sunta Nahi Kbhi Khuda K Siwa,
Maine B Mehsus Kiya Dard Unke Jate Hue,
Lekin Kah Nahi Paya Kuch Aur Alvida K Siwa.

Takdir K Aaine Me Meri Tasvir Kho Gyi,

Takdir K Aaine Me Meri Tasvir Kho Gyi,
Aaj Hmesa K Liye Meri Ruh So Gyi,
Mohbat Kar K Kya Paya Humne?
Akhir Wo Kal Meri Thi, Aaj Kisi Aur Ki Ho Gyi.

Jab zindgi smjh aai to zindgi se dur the hum,

Jab zindgi samjh aai to zindgi se dur the hum,
Marna chaha par jine ko majbur the hum,
Har saza kabul ki humne sar jhuka kar,
Kasur itna tha ki bekasur the hum.

Aansuo Ko Pee Kar Humne Hasna Sikha Hai,

Aansuo Ko Pee Kar Humne Hasna Sikha Hai,
Khud Ko Kho Kar Gairo Ko Pana Sikha Hai,
Apno Ne To DiL Har Pal Toda Hai,
Par Humne Usi Dil ko Jodna Sikha Hai.

Gam hai ki tumhe apne pyar ka ehsas kara na sake,

Gam hai ki tumhe apne pyar ka ehsas kara na sake,
Tum rooth na jao ye soch ke tumhe mana na sake,
Tum gair ke na ho jao kisi mod par,
Is dar se kabhi tumhe apna na sake,
Tujhe bhulkar bhi na bhul payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum.
Wo aaye meri zindagi me kahani ban kar,
Is dil me rahe pyar ki nishani ban kar,
Aksar jinhe hum jagah dete hai is dil me,
wo Ankho se nikal jate hai paani ban kar.

Bahut Roye Wo Humare Pas Aake,

Bahut Roye Wo Humare Pas Aake,
Jab Ehsaas Hua Unhe Apni galti Ka,
Chup karwa Dete Hum Agar,
Chehre pe Humare Kafan Na Hota.

Kaash Mere Pyar Ka Ant Kuch is Kadar Ho,

Kaash Mere Pyar Ka Ant Kuch is Kadar Ho,
Ki Meri Kabar Pe Bana UnKa Ghar Ho,
Wo Jab-Jab Soye Jameen Par,
Tab Tab Mere Seene Se Laga UnKa Sar Ho.

Tapish Suraj Ki Hoti Hai,

Tapish Suraj Ki Hoti Hai,
Jalna Zameen Ko Parta Hai,
Kasoor Aankho Ka Hota Hai,
Tadapna Dil Ko Parta Hai.

Kuch meethay lamhe mange the,

Kuch meethay lamhe mange the,
Kuch sard hawaye mangi thi,
Hum ne to zamane walo se,
Do chaar wafaye mangi thi,
Barsaat k her ek badal ne,
Jee bhar k hum ko tarsaya,
Hum bheeg sake ye socha tha,
Aur kali ghataye mangi thi,
Nakam hue jo ulfat me,
Majboor hue jo milne se,
Kuch un k liye kuch apne liye,
Hum ne bhi duae mangi thi.

Kisi ka dard jub had se guzar jata hai,

Kisi ka dard jub had se guzar jata hai,
Samunder ka pani bhi ankho me utar aata hai,
Koi bana leta hai rait per ghar,
Aur kisi ka sab kuch lehro me bikhar jata hai.

Monday, April 23, 2012

Ae Mera Janaza Uthane Walo,

Ae Mera Janaza Uthane Walo,
Dekho Koi Bewafa Paas Na Ho,
Agar Ho To Kehna Use...
Aaj To Khushi Ka Din Hai,
Aaj Ke Din Udaas Na Ho.

Sab kuch mila sukun ki daulat nahi mili,

Sab kuch mila sukun ki daulat nahi mili,
Ek Tujhko bhool jane ki mohlat nahi mili,
Karne ko bahut kaam the apne liye magar,
Humko Tere khayal se Fursat nahi mili.

Mar jau mai agar to aansu mat bahana,

Mar jau mai agar to aansu mat bahana,
Bas kafan ki jagah apna dupatta chada jana,
Koi pooche ki rog kya tha,
To sir jhuka ke mohabbat bata jana.

Ae mere humnashin chal kahin aur chal,

Ae mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman me ab apna guzaara nahi,
Baat hoti phoolo tak to seh lete hum,
Ab to kaanto pe bhi haq hamara nahi.

Ab To Ye Chandni Bhi Hamein Jalati Hai,

Ab To Ye Chandni Bhi Hamein Jalati Hai,
Bhari Mehfile Bhi Thanhayi Sathati Hai,
Jab Se Tum Door Gaye Ho Humse,
Humari Aankhein Har Pal Dab-Dabati Hai.

Mujko Rula Kar Dil Uska Bi Roya To Hoga,

Mujko Rula Kar Dil Uska Bi Roya To Hoga,
Uski Ankho Par Bi Aansu Aaya To Hoga,
Agar Na Kiya Kuch Haasil Hamne Pyar me,
Kuch na Kuch Usne Bi Khoya To Hoga.

Zindagi me ek waqt aisa aayega,

Zindagi me ek waqt aisa aayega,
Jab tumko chahne wala hi tumhe rulayega?
Lekin yakin karna uski wafa per,
Akele me wo tumse kahin zyada aansu bahayega.

Aaina Dekhoge To Meri Yaad Aayegi,

Aaina Dekhoge To Meri Yaad Aayegi,
Saath Gujaari Wo Mulakat Yaad Aayegi,
Pal Bhar Ke Liye Waqt Thahar Jayega,
Jab apko Meri Koi Baat Yaad Aayegi.

Hum yu rasto se door hai faaslo se nahi,

Hum yu rasto se door hai faaslo se nahi,
Aap ke Nazro se door hai aankho se nahi,
Hum khwabo se door hai khayalo se nahi
Hum aap se door hai aap ki yaado se nahi.

In phoolo me ab to mehek hi nahi hai,

In phoolo me ab to mehek hi nahi hai,
In raaho ki ab koi manzil hi nahi hai,
Kar leta mai mom agar koi patthar dil hota to,
Par yaha to kisi me insani dil hi nahi hai.

Mujhe khwaab dekhne ki itni bari saza mili,

Mujhe khwaab dekhne ki itni bari saza mili,
Ki ab sone ko bhi dil nahi karta,
Ek pal muskurane per zamane ne itna rulaya ki,
Ab Gum bhi mile to rone ko dil nahi karta.

Humse zyada koi bechain kya hoga,

Humse zyada koi bechain kya hoga,
Hamse zyada koi Betaab kya hoga,
Unki yaado ko baaho me lekar soye rahe,
Isse zyada unke Pyar ka jawaab kya hoga!

Uski yaad me hum barso rote rahe,

Uski yaad me hum barso rote rahe,
Bewafa wo nikle badnaam hum hote rahe,
Mohabbat me madhoshi ka aalam to dekhiye,
Dhool chehre par thi or hum aaina dhote rahe.

Khata ban gaya hai kisi se pyar karna,

Khata ban gaya hai kisi se pyar karna,
Saza ban gaya hai kisi pe aitbar karna,
sochta hu phir khwab sajau per dil kehta hai,
Kya tujhe acha lagta hai intezaar karna.

Meri aadat ko wo samajh nahi pate,

Meri aadat ko wo samajh nahi pate,
Hum bhi unse kuch kah nahi pate,
Ae khuda na jaane ye kaisa yar de diya tune,
Jise yaad kiya bina hum rah nahi pate.

Hume sulane ki khatir jab raat aati hai,

Hume sulane ki khatir jab raat aati hai,
Hum so nahi pate raat khud so jati hai,
Puchne par dil se ye aawaz aati hai,
Aaj unhe yaad kar le raat to roj aati hai.

Bikhre aashko ke moti bana na sake,

Bikhre aashko ke moti bana na sake,
Teri yaad me sari raat so na sake,
Bheeg na jaye aansu me tasvir teri,
Bas yehi soch kar hum ro na sake.

Khuda ne sapne me kaha,

Khuda ne sapne me kaha,
Apne gamo ki numaish na kar,
Apne nasib ki azmaish na kar,
Jo tera hai tere dar par khud ayega,
Roz use pane ki khwaish na kar.

Thursday, April 19, 2012

Is Kadar Na Har Baat Yaro se Puchiye,

Is Kadar Na Har Baat Yaro se Puchiye,
Jo Baat Raaz Ki Ho Isharo Se Puchiye,
Lehro Se Khelna To Samandar Ka Shaukh Hai,
Lagti Hai Chot Kaisi Kinaro Se Puchiye.

Kisi Ko Mil Jati Hai Rangeen Bahare,

Kisi Ko Mil Jati Hai Rangeen Bahare,
Kisi Ko Chaman Bhi Nahi Milta,
Kisi Ki Kabar Par Banta Hai TAJMAHAL,
Kisi Ko Kafan Bhi Nahi Milta.

Ho Gai Saanjh Kisi Ke Intzaar Me,

Ho Gai Saanjh Kisi Ke Intzaar Me,
Beet Gai Raat Kisi Ke Intzaar Me,
Fir Hua Savera Kisike Intzaar Me,
Intzaar Ki Aadat Pad Gai Kisi Ke Intzar Me.

Hawa K Jhonko Ka Hisab Kya Rakhna,

Hawa K Jhonko Ka Hisab Kya Rakhna,
Jo Bit Gaya Use Yad Kya Rakhna,
Bas Ye Sochkar Muskura Diye Hum,
Ki Apni Udasi Se Dusro Ko Udas Kya Rakhna.!

Saare Shikwe Janab Tere Hai,

Saare Shikwe Janab Tere Hai,
Dil Pe Saare Azaab Tere Hai,
Tum Yaad Aao To Nind Nahi Aati,
Nind Aaye To Saare Khwab Tere Hai.

Yaha Logo Ke Andaz Badalte Rehte Hai,

Yaha Logo Ke Andaz Badalte Rehte Hai,
Yaha Din To Kya Rat Badalte Rehte Hai,
In Husan Walo Ka Kya Aitbar Kare,
Ye To Daulat Ki Khatir Yar Badalte Rehte Hai.

Nafrate Lakh Mili Koi Muhabbat Na Mili,

Nafrate Lakh Mili Koi Muhabbat Na Mili,
Zindagi Beet Gai Par Rahat Na Mili,
Teri Mehfil Me Har Shaks Ko Hansta Dekha,
Ek Mai Tha Jise Hansne Ki Ijazat Na Mili.

Ehsaas Use Bhi Hoga Ek Din Apni Jafa Ka,

Ehsaas Use Bhi Hoga Ek Din Apni Jafa Ka,
Rula Dega Use Ek Din Khayal Meri Wafa Ka,
Usne Insaan Sa Sulook Bhi Na Kiya Mujhse,
Jis Insaan Ko Maine Darja Diya Khuda Ka.

Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,

Lamha Lamha Sanse Khatm Ho Rahi Hai,
Jindagi Maut Ke Pahluo Me So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Mat Pucho Meri Maut Ki Wajah,
Wo To Bus Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai.

Kaanch Ki Tarha Ke DIL Hote Hai Hum Garibo Ke,

Kaanch Ki Tarha Ke DIL Hote Hai Hum Garibo Ke,
Kabhi Toot Jate Hai To Kabhi Tod Diye Jate Hai.

Muddat Se Jin Ki Aas Thi,

Muddat Se Jin Ki Aas Thi,
Wo Mile Bhi To Kuch Yu Mile,
Hum Nazar Utha Kar Tarap Uthe,
Wo Nazar Jhuka Kar Guzar Gaye.

Wo Kehti Hai Use Phoolon Ki Chahat Hai,

Wo Kehti Hai Use Phoolon Ki Chahat Hai,
Magar Jab Phool Khiltey Hai Wo Un Ko Tod Deti Hai,
Wo Kehti Hai Use Barish Ka Mosam Acha Lagta Hai,
Magar Jab Barish Hoti Hai Wo Afsurda Ho Kar Baith Jati Hai,
Wo kehti hai Hawaye Ishq Hai Us Ka,
Hawaa Lekin Chale Jab To Wo Khidki Band Rakhti Hai,
Mujhy Ab Dar Sa Lagta hai Wo Jab Bhi Ye Kehti Hai...,
Usey hum Se Mohabbat Hai.

Aksar meri Aankhon ko wo jheel bana deti hai,

Aksar meri Aankhon ko wo jheel bana deti hai,
Yaad aati hai is Qadar ki mujko rula deti hai,
Bhool jana to nahi Aasan usko magar,
Jane wo kis tarah mujko bhula deti hai.

Ae Katib-e-Takdeer Meri Takdeer me Likh de,

Ae Katib-e-Takdeer Meri Takdeer me Likh de,
Bs uski Muhabt Meri Jageer me Likh de,
Pany ka Usse Dekha hai Jo khwab Humesha,
Wo khwab Meri khwab ki Tabeer me Likh de,

Khuch fasle sirf aankho se hote hai,

Khuch fasle sirf aankho se hote hai,
Dil k fasle do bato se hote hai,
Koi lakh bhulane ki kosish kare,
Par kuch rishte khtam sirf sanso se hote hai.

Meri Zindgi Ko Ek Tamasha Bana Diya Usne,

Meri Zindgi Ko Ek Tamasha Bana Diya Usne,
Bhari Mehfil Me Tanha Bitha Dia Usne,
Aisi Kya Thi Nafrat Usko Mere Masoom Dil Se,
Khushiyan Chura Kar Gham Thama Dia Usne,
Bohat Naz Tha Us Ki Wafa Pe Kabhi HumKo,
Mujh Ko Hi Meri Nazron Me Gira Diya Usne,
Kisi Ko Yaad Karna To Us Ki Fitrat Me Shamil Nahi,
Hawa Ka Jhonka Samjh Kar Bhula Diya Usne.

Zindagi ye rang dikhati hai kitne,

Zindagi ye rang dikhati hai kitne,
Gair ho jate hai ek pal me apne,
Sapno ki duniya me kabhi na jana yaar,
Dil toot jata hai jab toot te hai sapne.

Jane kya soch ke lehre sahil se takrati hai,

Jane kya soch ke lehre sahil se takrati hai,
Aur phir se laut jati hai.
Samaj nahi ata ki wo kinaro se bewafai karti hai,
Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hai.

Teri berukhi ko bhi rutba diya humne,

Teri berukhi ko bhi rutba diya humne,
Pyar ka har farz ada kiya humne,
Mat soch ki hum bhool gaye hai tujhe,
Aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.

Kuch to majburiya rahi hongi,

Kuch to majburiya rahi hongi,
Yuhi koi bewafa nahi hota.
Tatol kar dekho apne dil ko,
Fasla bewaja nahi hota.

Mera dil tod ke kaha jayegi,

Mera dil tod ke kaha jayegi,
Dil jab tera tuttega fir pachtayegi,
Maine to akele rehna sikh liya,
Par kya tu akele rehna seekh payegi.

Hanste haste rula kar chale jate hai log,

Hanste haste rula kar chale jate hai log,
Milte hai or mil ke juda ho jate hai log,
Pal do pal ki mohobaat ko umar bhar ka sath mat samjhna,
Mohobaat bhi karte hai or khafa bhi kar jate hai log,
Naseeb mai pyar nhi tha jo mila nhi mujhe,
Kar Ke Izhaar E Mohabbat beparvah ho jate hai log,
Ab kis se shikwa kare apni mohobaat ka,
Kar ke waffa ka wada, Bewafa ho jate hai log.

Saath Chhod Gayi Gam Nahi Mujhe,

Saath Chhod Gayi Gam Nahi Mujhe,
Gam Ye Hai Tu Meri Zindgi Me Ayi Kyu,
Pyar Ki Is Choti Si Bhool Ke Liye,
Zindgi Bhar Ko Mujhe Rulaya Kyu?

Aarzu Nahi Ki Gum Ka Tufan Tal Jae,

Aarzu Nahi Ki Gum Ka Tufan Tal Jae,
Fikar To Ye Hai Ki Aapka DiL Na BadaL Jae,
Kbhi B Hume Agar Bhulana Chaho Aap,
Dard ItNa Dena Ki Mera Dum Nikal Jaye.

Na jee bhar k dekha na kuch bat ki,

Na jee bhar k dekha na kuch bat ki,
Badi arzu ti unse mulaqaat ki,
Na chale sang hamare do kadam b wo,
Aur hume tamanna thi umar bhar Saath ki.

Monday, April 16, 2012

Pyar Jab Milta Nahi To Hota Kyu Hai,

Pyar Jab Milta Nahi To Hota Kyu Hai,
Agar Khwabo Me Wo Aye To insan Sota Kyu Hai,
Jab Yahi Pyar Aankho K Samne Kisi Aur Ka Ho Jaye,
To Dil itna Rota Kyu Hai.

Socha Tha Muskurayenge Rone K Baad,

Socha Tha Muskurayenge Rone K Baad,
Wo Fir Mil Jayenge Khone K Baad,
Ye Sapna Hai Mera Toot Jayega Ek Din,
Jo Aata Hai Har Raat Sone K Baad.

Raat bhar yaad koi aata hai,

Raat bhar yaad koi aata hai,
Waqt mera aksar aise hi guzar jata hai,
Khushi or gum dono me nazar aata hai,
Qki ye Pagal DIL kisiko bahut chahta hai.

Dost Teri Nafrat Me Wo Dam Nahi,

Dost Teri Nafrat Me Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De.
Ye Mohabbat Hai Koi KheL Nahi,
Jo Aaj Hans Ke kheLa Aur KaL Ro Ke BhuLa De.

Kabhi Teri Palko Pe Jilmilau Mai,

Kabhi Teri Palko Pe Jilmilau Mai,
Kabi Tere Khwab Me Haqiqat Ban Jau Mai,
Samundar Me Le Ja K Fareb Na Karna,
Kaho To Kinare Par Hi Dub Jau Mai.

Jis Ghadi Teri Yado Ka Sama Hota Hai,

Jis Ghadi Teri Yado Ka Sama Hota Hai,
Fir Hume Aaram Kaha Hota Hai,
Hosla Mujh Me Nahi TuJhko Bhula Dene Ka,
Kaam Sadiyo Ka H Lamho Me Kaha Hota Hai.

Khushi ne wada kiya tha ki wo 5 din bad Laut Ayegi.

Khushi ne wada kiya tha ki wo 5 din bad Laut Ayegi.
Par jab humne Zindgi ki Kitab Khol k Dekha To...
Kambakht Zindagi hi 4 Din ki Thi.

Har FooL Nahi Hote Khushbu WaLe,

Har FooL Nahi Hote Khushbu WaLe,
Har RaaZ Nahi Hote Sabko Batane WaLe,
Kabhi Tanhai Me AaKaR DeKna,
Kis Tarah Rote H Sabko Hasane Wale.

Jiske Liye Sab Kuch Luta Diya Humne,

Jiske Liye Sab Kuch Luta Diya Humne,
Wo Kehte H Unko BhuLa Diya Humne,
Gaye The Hum Unke Aansu Pochne,
To iLzaM De Diya Ki Unko Rula Diya Humne.

Kyu Yad Aata Hai Wo Kal,

Kyu Yad Aata Hai Wo Kal,
Jo Laut Ke Nahi Ayega,
Itna Malum N Tha Ki Waqt Is Kadar Rulayega,
Ji Bhar Ke Jilo Yaro Kyoki,
Ye Aaj Fir Kal Ban Jayega.

1 Raat Hui Jiska Savera Na Hua,

1 Raat Hui Jiska Savera Na Hua,
1 Diya Jalaya Par Usse Ujala Na Hua,
Ise Ittefak Kahu Ya Nasib Ka Khel,
Jise Apna Bnana Chaha Wo Apna Na Hua.

Mera Har Din Teri Har Raat Se Accha Hoga,

Mera Har Din Teri Har Raat Se Accha Hoga,
Mera Har Sher Tere Jazbat Se Accha Hoga,
Dekh Lena Bewafa 1din Janaza Mera,
Teri Baarat Se Accha Hoga.

Tute Hue PhuL Khushbu De Jate Hai,

Tute Hue PhuL Khushbu De Jate Hai,
Bite Hue PaL Yade De jate Hai.
Har Dost Ka Andaj H Apna Apna,
Koi Hansi Ka PhuL To Koi Gum K Sagar De Jate Hai.

Haatho Ki Lakiro Par Mat Kismat Ka Guman Karna,

Haatho Ki Lakiro Par Mat Kismat Ka Guman Karna,
Yaaro Kismat To Unki Bhi Hoti Hai,
Jinke Haath Nahi Hote.

Hamare bin adhure Tum Rahoge,

Hamare bin adhure Tum Rahoge,
Kabhi koi tha Hamara Tum khud kahoge,
Na honge Hum to ye Aalam na hoga,
Milenge bahut lekin koi Humsa na hoga.

Din guzarta Hai teri talash me,

Din guzarta Hai teri talash me,
Raat guzarti Hai teri yaad me,
Gujarti nahi zindagi ab tere bina,
Magar Jiye ja rahe H Milne ki aas Me.

Humare aansu wo jaan na sake,

Humare aansu wo jaan na sake,
Mohobbat ki kahani wo maan na sake,
Kaha tha unhone marne k baad b yaad karenge,
Jeete jee to wo yaad kar na sake.

Zamane Me Koi Na Sahara Nazar Aaya,

Zamane Me Koi Na Sahara Nazar Aaya,
Bus Tu Hi Ek Humara Nazar Aaya,
Tere Pyar Me Is Kadar Behta gaya,
Na Tufan Nazar Aaya N Kinara Nazar Aya.

Apne Ahsas Ke Sab Rang Utar Jane Do,

Apne Ahsas Ke Sab Rang Utar Jane Do,
Meri Ummid Mere Khwab BiKhar Jane Do,
Meri Barbadi Ka ILzam Tum Par Na Aa Jaye,
Meri HaLat Ko Aur Bigad Jane Do.

Hum yaad rahe to thik warna bhula dena,

Hum yaad rahe to thik warna bhula dena,
Hui ho humse koi khata to saja dena,
Hum to ek kore kagaj ki tarah hai,
Kuch likho to thik warna jala dena.

Dil Tadap Jata Hai Ankh Baras Jati Hai,

Dil Tadap Jata Hai Ankh Baras Jati Hai,
Jab Raat Gaye YaaD Teri Aati Hai,
Soch K Tujhe Har Zakhm Hara Hota Hai,
Hichkiya Leke Meri Raat Guzar Jati Hai.

Zuban khamosh ankho me nami hogi,

Zuban khamosh ankho me nami hogi,
Yahi bas 1 dastane zindgi hogi,
Bharne ko to har zakhm bhar jayega,
Kaise bhregi wo jagah jaha sirf uski hi kami Hogi.

Muddat hui koi afsna na mila,

Muddat hui koi afsna na mila,
Hum khojte rahe koi thikana na mila,
Aaj fir chali gyi zindgi nazro ke samne se,
Aur use rokne ka koi bahana na mila.

Zindgi Ko Pyar Aapse Jyada Nahi Karte,

Zindgi Ko Pyar Aapse Jyada Nahi Karte,
Kisi Pe Aitbar Aapse Jyada Nahi Karte,
Aap jee Sake Mere Bina To Acchi Baat Hai,
Hum jee Lege Aapke Bin Ye Wada Nahi Karte.

Dil Tadapta Raha Aur Wo Jane Lage,

Dil Tadapta Raha Aur Wo Jane Lage,
Sang Guzre Har Lamhe Yaad Aane Lage,
Khamosh Nazro Se Dekha Jo Usne Mud Kar,
To Bhigi PaLko Se Hum Bhi Muskrane Lage.

Monday, April 2, 2012

Kehte H Mohbat Haseen Aur Sundar Hoti Hai,

Kehte H Mohbat Haseen Aur Sundar Hoti Hai,
Lekin Kuch Log Ye Bhul Jaate Hai Ki...
Mohbat Barbadi Ki Rah Bhi Dikhati Hai Aur,
Zindgi Bhar Ka Gam Bhi De Jaati Hai.

Rah Taakte Taakte Unki Jab...

Rah Taakte Taakte Unki Jab Thak Gayi Ankhe Meri,
To Dhoondne Unko Fir Meri Ankho Ke Ansu Nikle..!

Ankho me kyu aansu jhalk jate hai,

Ankho me kyu aansu jhalk jate hai,
Tanhayio me kyu Gum yaad aate hai,
Aansu poch kar koi itna bata de hume,
Door rehne wale aksar itna kyu yaad aate hai.

Tere saath baate karte karte waqt yu hi gujar gaya,

Tere saath baate karte karte waqt yu hi gujar gaya,
Door hokar bhi raani, tera pyar dil ko chhu gaya,
Ji liya hai maine un har lamho ko,
Kal ka kya pata tha dekho waqt kaha chala gaya.

Baar Baar Zindagi Ko Aazmaya Hai Humne,

Baar Baar Zindagi Ko Aazmaya Hai Humne,
Har Pal Har Lamha Sirf Gam Paya Hai Humne,
Dil Ke Tukde Usi Ne Kiye Hai Humare,
Dil Ki Gehraiyo Me Jise Basaya Hai Humne.

Rootha jo Pyar Hum Se Dobara Nahi Mila,

Rootha jo Pyar Hum Se Dobara Nahi Mila,
Kya Bewafa tha Shakhs Dobara Nahi Mila,
Ik Bar aa Gaya Tha Sailab Aankh Me,
Darya ko us k Bad Kinara Nahi Mila.
Mujh ko B Raas Aata Nahi Dosra koi,
Usko B Mere Jaisa Sahara Nahi Mila,
Barso se phir Rha Tha Mai Jiski Talash Me,
Wo Mil Gaya to Us se Sitara Nahi Mila.

Tum Hume Mana Ki Khud Khafa Ho jate Ho,

Tum Hume Mana Ki Khud Khafa Ho jate Ho,
Kch Din Na Milo To Bewfa Ho jate Ho,
Karte Ho Tang Mujhe Apni Yaade De K Raat Bhar,
Hume Pareshan Kar K Bekhabar So jate Ho.

Bharosa Toot jane se zara pehley bta dena,

Bharosa Toot jane se zara pehley bta dena,
Mujhe tum Aazmane se zara pehley bta dena,
Kisi Helay bahaney se zara pehle bta dena,
Ki Mujhko tum bhulane se zara pehle bta dena,
Suno ! daman Churane se zara pehle bta dena,
Kisi bhi mod pe humdum bura pao agar mujhko,
Zamane ke btane se zara pehle bata dena.

Sans lene se teri yaad aati hai,

Sans lene se teri yaad aati hai,
Na lene se meri jaan jati hai,
Kaise keh du ki sirf sans se jinda hu,
Ye sanse bhi to teri yaad k baad aati hai.

Mai yu to ab tumme hi basta hu,

Mai yu to ab tumme hi basta hu,
Tere hriday k komal bhawo ko rachta hu,
Tum soti ho ummido ke pankho par,
Apne sundar-swapn sajaaye.
Jo dhadkan ban kaid hua ho dil me tere,
Kaise tujhse door wo jaae?
Mai har pal teri palko par thehra hu,
Mithe sapno ki dehri par pehra hu.
Tum jab palkon ko khola karti ho,
Har saksh mere aks se tola karti ho.
Mai teri pad-chaapon me,
Teri sadhi hui saanson me,
Laybaddh geet sa mukhrit hu,
Tujhse milkar o madhu yamini pulkit hu.
Tum chatak sa ter rahi ho,
Swati jal bundo ko her rahi ho,
Mai kaali badri ban chhaunga,
Tum tak swati jal ban aaunga.

Humne Jab Kabhi Khushi Mehsoos Ki,

Humne Jab Kabhi Khushi Mehsoos Ki,
Har Kadam Par Apki Kami Mehsoos Ki,
Door Rehkar Bhi Apki Dosti Kam Na Hui,
Ye Baat Humne Dil Se Mehsoos Ki.