Sunday, March 31, 2013

Chod Diya Humne Hamesha Ke Liye,

Chod Diya Humne Hamesha Ke Liye,
Us Ki Aarzu Karna,
Jis Ko Muhabat Ki Qadar Na Ho,
Use Duao Me Kya Mangna.

Ek umar bhar ki tanhai mere naseeb karke,

Ek umar bhar ki tanhai mere naseeb karke,
Wo gayi hai baate ajeeb karke,
Wafa ka use mai kya naam du,
Khud ho gayi hai door muje kareeb karke.

Mohabbat bhi hui to kisi bewafa se,

Mohabbat bhi hui to kisi bewafa se,
Ibadat bhi hui to kisi bewafa se,
Ek pal me tod gayi saare sapne dil ke,
Is dil ne dillagi bhi ki to kisi bewafa se,
Suna tha mohabbat sabko raas nahi aati,
Toota bhi dil mera to kisi bewafa se,
Chod gayi tanha mujhe kisi aur ki ho ke,
Nafrat bhi na kar saka kisi bewafa se,
Ye bad dua nahi aarzu hai ki,
Toote dil uska bhi kisi bewafa se.

Meri chahat ki intiha hai to,

Meri chahat ki intiha hai to,
Ab khud ko chahu to chahu kaise,
Haal bhi bura hai aur sawal bhi bura hai,
Par tujhko ye batau to batau kaise,
Badi hi bhayanak hoti hai ye ishq ki aag,
Jala hua hu khud bhi ab tujhko jalau to jalau kaise,
Samjha hai jab se muhabat ko khud hi ulajh gaya hun,
Lafz chota hai magar tujhko samjhau to samjhau kaise.

Dua karte hai hum sar jhuka ke,

Dua karte hai hum sar jhuka ke,
Aap apni manzil ko paye.
Agar aapki raho me kabhi andhera aaye,
To roshni ke liye Rab humko jalaye.

Usko mera halka sa ahsas to hai,

Usko mera halka sa ahsas to hai,
Be-dard sahi wo mera hamraz to hai,
Wo aaye na aaye mere pass lekin,
Shidat se mujhe uska intezar to hai,
Abhi nahi to kya hua mil hi jayegi kabhi,
Mere Dil me usse milne ki Aas to hai,
Mohabat ki gawahi meri Aankho se na mang,
Barasti nahi Aankhe magar Dil udas to hai.

Teri Baho Me Simatne Ki Chahat Hai,

Teri Baho Me Simatne Ki Chahat Hai,
Tere Sath Lipatne Ki Chahat Hai,
Khuda Ko Ek Nazar Dekhne Ke Baad,
Tujh Par Mar Mitne Ki Chahat Hai,
Tere Sath Guzara Har Lamha,
Apne Har Pal Tere Sath Rehne Ki Aadat Ho Gayi Hai,
Tum Pyar Bhari Ek Nazar Daalo Mujh Par,
In Aankho Ke Sagar Me Dubne Ki Chahat Hai.

Aaitbar nahi kar sake to intzaar to kar lete,

Aaitbar nahi kar sake to intzaar to kar lete,
Bewafai ka zahar diya to maut ki duaa bhi de dete,
Mera janaza nikla teri hi gali se o bewafa,
Dikhane ke liye hi sahi par do aansu to baha dete.

Hasti mit jaati hai aashiya banane me,

Hasti mit jaati hai aashiya banane me,
Bahut muskil hoti hai apno ko samjhane me,
Ek pal me kisi ko bhula na dena,
Zindagi lag jaati hai kisi ko apna banane me.

Sirf Isharo Me Hoti Mohabbat Agar,

Sirf Isharo Me Hoti Mohabbat Agar,
In Alfazo Ko Khoobsurati Kaun Deta?
Bas Pathar Ban Ke Reh Jata "Taj Mahal",
Agar Ishq Ise Apni Pahchan Na Deta.

Saturday, March 23, 2013

Kitni Buri Lagti Hai Zindagi,

Kitni Buri Lagti Hai Zindagi,
Jab Hum Tanha Mahsoos Karte Hai,
Marne Ke Baad Milte Hai Char Kandhe,
Aur Jeete Jee Hum Ek Ke Liye Taraste Hai.

Tum Ne Hi Kaha Tha Ki...

Tum Ne Hi Kaha Tha Ki,
Aankh Bhar Ke Dekh Liya Karo Mujhe,
Ab Aankh To Bhar Aati Hai,
Par Tum Nazar Nahi Aate.

Meri Socho Ka Koi Kinara Na Tha,

Meri Socho Ka Koi Kinara Na Tha,
Jise Hum Ne Chaha Wo Kabhi Humara Na Tha,
Mai Uski Mohabbat Me Yu Toot Kar Bikhra Ki,
Dusra Koi Mujhe Sametne Wala Na Tha,
Wo Shakhs Mujhe Zkham Pe Zkham Deta Raha,
Dil Ne Bhi Uske Siwa Kisi Aur Ko Pukara Na Tha,
Ab Iss Jeene Se Maut Hi Behtar Hai "Sanam"
Uski Mohabbat Me "Haar Kar Jeena" Mujhe Gawara Na Tha.

Mere Sath Roti Thi Aur Hansa Karti Thi,

Mere Sath Roti Thi Aur Hansa Karti Thi,
Wo Ladki Jo Mere Dil Me Basa Karti Thi,
Bas Kismat Ki Hai Baat Sirf Juda Ho Gye Hum,
Warna Wo To Muje Taqdir Kaha Karti Thi.

Mujhe kisi ke tasawur me doob jane do,

Mujhe kisi ke tasawur me doob jane do,
Bahut nahi thoda sa hi jal jane do,
Mai jaanta hoon muhabbat nahi use mujhse,
Magar mai khush hoon mujhko fareb khane do,
Mai bhool jau usko ye to ho nahi sakta,
Wo bhulti hai mujhe to bhool jane do,
Meri wafaye kal use bahut rulayengi,
Meri wafa pe use aaj muskurane do.

Friday, March 22, 2013

Sawal kuch bhi ho Jawab tum hi ho,

Sawal kuch bhi ho Jawab tum hi ho,
Rasta koi bhi ho Manzil tum hi ho,
Dukh kitna hi ho Khushi tum hi ho,
Arman kitne bhi ho Aarzoo tum hi ho,
Gussa kitna bhi ho Pyar tum hi ho,
Khwab koi bhi ho Usme tum hi ho.

Yu to sadmo me bhi hans lete the hum,

Yu to sadmo me bhi hans lete the hum,
Aaj kyu bewajah rone lage hum,
Barso se hatheliya khali hi rahi meri,
Fir aaj kyu laga ki sab khone lage hai hum.

Meri Har Ek Ada Me Chupi Thi Teri Mohabbat,

Meri Har Ek Ada Me Chupi Thi Teri Mohabbat,
Tune Mehsoos Na Ki Ye Aur Baat Hai,
Maine Har Dam Tere Hi Khwab Dekhe,
Mujhe Tabeer Na Mili Ye Aur Baat Hai,
Maine Jab Bhi Tujhse Baat Karni Chahi,
Mujhe Alfaz Na Mile Ye Aur Baat Hai,
Mai Teri Mohabbat Ke Samundar Me Door Tak Nikla,
Mujhe Saahil Na Mila Ye Aur Baat Hai,
Kudrat Ne Likha Tha Tujhko Meri TaQdeer Me,
Teri Kismat Me Mai Na Tha Ye Aur Baat Hai.

Jisko Chaha Wahi Kahti Hai Wafa Kuch Bhi Nahi,

Jisko Chaha Wahi Kahti Hai Wafa Kuch Bhi Nahi,
Aisa Lagta Hai Mere Pass Raha Kuch Bhi Nahi,
Yun Bhi Us Ne Mujhe Faramosh Kiya,
Sun Ke Har Baat Meri Jaise Suna Kuch Bhi Nahi,
Bahut Veeraan Si Ho Gayi Hai Zindagi Meri,
Wo Jab Se Chod Ke Gyi,
Aur Mere Pass Raha Kuch Bhi Nahi,
Mujh Se Pooche Koi Kya Dil Pe Mere Beeti Hai,
Us Se Kya Poochte Ho Jiss Ka Gya Kuch Bhi Nahi.

Tum Mujhe Chahoge Ek Din Dekhna,

Tum Mujhe Chahoge Ek Din Dekhna,
Haan Chale Aaoge Ek Din Dekhna,
Yu Karo Mat Mere Jazbo Se Mazak,
Warna Pachtaoge Ek Din Dekhna,
Soch Lo Ye Berukhi Acchi Nahi Hai,
Khud Ko Tadapaoge Ek Din Dekhna,
Mere Chahere Ki Jhalak Ke Liye,
Tum Taras Jaoge Ek Din Dekhna.

Tuesday, March 19, 2013

Yaar jo mila dil jala kar gaya,

Yaar jo mila dil jala kar gaya,
Khak me meri hasti mila kar gaya,
Naaz uski wafa par mujhe tha magar,
Teer wo bhi jigar par chala kar gaya,
Dhundte the kabhi jo mujhe har gali,
Aankho wo aaj mujhse bacha kar gaya,
Mangta tha sahara jo har dam mujhse,
Besahara mujhe wo bana kar gaya,
Neend aagosh me jiski aane lagi,
Maut ki neend mujhko sula kar gaya,
Aarzu thi yaaro kisi ki mujhe,
Khwab mere wahi to mita kar gaya.

Aur bhi banti lakire dard ki shayad kai,

Aur bhi banti lakire dard ki shayad kai,
Shukar hai tera Rabba jo hath chota sa diya,
Tune jo bakhshi hamme bas chaar din ki zindagi,
Ya Rabba accha kiya jo sath chota sa diya.

Zinda Hai Par Jeene Ka Irada Badal Diya,

Zinda Hai Par Jeene Ka Irada Badal Diya,
Waqt Ke Tufan Ne Har Ek Wada Badal Diya,
Chal Sake Kisi Ke Saath Is Qabil Na Rahe Ab,
Thokro Ne Hame Itna Zyada Badal Diya.

Mujhe Malom Hai Ki Wo Meri Kabhi Bhi Nahi Ho Sakti,

Mujhe Malom Hai Ki Wo Meri Kabhi Bhi Nahi Ho Sakti,
Mujhe Bas Shauq Hai Us Ki Khatir Zindagi Barbad Karne Ka.

Tanhai hai pyar me, Barbadi hai pyar me,

Tanhai hai pyar me, Barbadi hai pyar me,
Aansu hai pyar me, Bebasi hai pyar me,
Gum bhi hai pyar me, Hame sab pta hai lekin,
Kya kare Hum bhi hai pyar me.

Tuesday, March 12, 2013

Ye Bhagwan aaj nazaro ko kuch aisa dikha de,

Ye Bhagwan aaj nazaro ko kuch aisa dikha de,
Jaha dekhu bas wahi dikhai de,
Kash aisi meharbaniya ho jaye aaj hawa me,
Ki usko pukaru aur sirf usko hi sunai de.

Saza Ye Mili Ki Ankho Se Cheen Li Neende Usne,

Saza Ye Mili Ki Ankho Se Cheen Li Neende Usne,
Jurm Ye Tha Ki Uske Sath Jeene Ka Khwab Dekha Tha.

Mohabbat hum bhi karte hai magar shikwa nahi karte,

Mohabbat hum bhi karte hai magar shikwa nahi karte,
Hum apni mohabbat ko yu ruswa nahi karte,
Jo paas aa baithe use dil se chahte hai,
Jo uth kar chala jaye use roka nahi karte.

Baat muqaddar par aa kar ruki hai warna,

Baat muqaddar par aa kar ruki hai warna,
Koi kasar to na chodi thi tujhe chahne me.

Ye pal do pal ki zindgani hai,

Ye pal do pal ki zindgani hai,
Fir bhi hamse ye lagti begani hai,
Khul ke jee lo jab tak ye zindgani hai,
Kyu ki maut ek din har ek ko aani hai.

Saturday, March 9, 2013

Teri is duniya me aisa manzar kyu hai,

Teri is duniya me aisa manzar kyu hai,
Kahi jakham to kahi peeth par khanzar kyu hai,
Suna hai ki tu jarre-jarre me rehta hai,
To fir jami par kahi mandir aur maszid kyu hai,
Jab rahne wale is duniya ke hai tere hi bande,
To fir koi dost aur koi dushman kyu hai,
Tu hi likhta hai jab sabka mukkadar,
To koi badnasib aur koi sikandar kyu hai.

Aaj fir Rab ne phucha,

Aaj fir Rab ne phucha,
Tera hasta hua chehra udas kyu hai,
Jinki nazro me tu kuch bhi nahi,
Wo tere liye khaas kyun hai.

Bebas hai insaan apni kismat ke aage,

Bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Bebas hai sapne hakiqat ke aage,
Koi ruki huwi dhadkan se puche,
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.

Rahne walo se nahi jeene walo se pucho...

Rahne walo se nahi jeene walo se pucho...
Ki zindgi kya cheez hoti hai,
Pane walo se nahi khone walo se pucho...
Ki izzat kya cheez hoti hai,
Amiro ko kya dekhte ho zara garibo se pucho...
Ki daulat kya cheez hoti hai,
Are jisne dil diya hai usse nahi jiska dil toota hai usse pucho...
Ki mohabbat kya cheez hoti hai.

Pal pal uska saath nibhate hum,

Pal pal uska saath nibhate hum,
Ek ishare par duniya chod jaate hum,
Samndar ke beech me pahunch kar fareb kiya usne,
Wo kahti to kinare par hi doob jaate hum.

Thursday, March 7, 2013

Usne Mere Dil Ko Khilona Bana Diya,

Usne Mere Dil Ko Khilona Bana Diya,
Jab Jee Chaha Khel Kar Man Bahla Liya,
Mai Hans Kar Sehta Raha Uske Sare Gum,
Fir Bhi Usne Sathi Koi Aur Bana Liya.

Uski baate baar baar yaad kar ke roya,

Uski baate baar baar yaad kar ke roya,
Uske liye RAB se fariyad kar ke roya,
Uski khushi ke liye chod diya use,
Fir usi ki kami ka ehsaas kar ke roya.

Duriya badhane ko jab dil machalne lage,

Duriya badhane ko jab dil machalne lage,
Kisi aur ka sath rass aane lage,
Tanhai me thehar kar talashna mujhe,
Jab bhi har aur andhera hone lage.

Jise Chaha Kash Wo Humara Hota,

Jise Chaha Kash Wo Humara Hota,
Meri Khwahish Ka Bhi Koi Kinara Hota,
Ye Soch Kar Maine Us Ko Roka Nahi,
Door Hi Kyu Jata Agar Wo Humara Hota.

Zindgi Khubsurat Hai Par Muje Jeena Nahi Aata,

Zindgi Khubsurat Hai Par Muje Jeena Nahi Aata,
Har Chiz Me Nasha Hai Par Muje Peena Nahi Aata,
Sab Mere Bina Jee Sakte Hai,
Sirf Muje Hi Tere Bina Jeena Nahi Aata.

Monday, March 4, 2013

Bahut Nazdeek Ho Ke Bhi,

Bahut Nazdeek Ho Ke Bhi,
Wo Itni Door Hai Mujhse,
Ishara Ho Nahi Sakta,
Pukara Ja Nahi Sakta.

Socha Nahi Accha Bura, Dekha Suna Kuch Bhi Nahi,

Socha Nahi Accha Bura, Dekha Suna Kuch Bhi Nahi,
Manga Rab Se Har Waqt, Tere Siwa Kuch Bhi Nahi,
Dekha Tujhe Chaha Tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe,
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata Kuch Bhi Nahi,
Jis Par Hamari Aankh Ne, Moti Bichaye Raat Bhar,
Bheja Wohi Kagaz Use, Humne Likha Kuch Bhi Nahi,
Aur Ek Shaam Ki Dehleez Par, Baithe Rahe Wo Dair Tak,
Aankho Se Ki Batain Bahut, Muh Se Kaha Kuch Bhi Nahi,
Do-Chaar Din Ki Baat Hai, Dil Khaak Mai Mil Jayega,
Aag Par Jab Kagaz Rakha, Baki Bacha Kuch Bhi Nahi.

Kash Tum Samjh Pate Kitna Chaha Hai Tum Ko,

Kash Tum Samjh Pate Kitna Chaha Hai Tum Ko,
Kitna Manga Hai Tum Ko Kis Qadar Mohabbat Hai,
Kash Tum Samjh Pate Jaan Ye Tumhari Hai,
Har Khushi Tumhari Hai Dil Lagi Tumhi Se Hai,
Zindagi Tumhi Se Hai Kash Tum Samjh Pate,
Rooh Ki Zarorat Ho Tum Dil Ki Ibadat Ho Tum,
Meri Mohabbat Ho Tum Kash Tum Samjh Pate,
Sirf Tum Se Mohabbat Hai Sirf Tum Ko Chaha Hai,
Kash Tum Samjh Pate, Kash Raani Tum Samjh Pate.

Na Tuje Chod Sakte Hai, Tere Ho Bhi Nai Sakte,

Na Tuje Chod Sakte Hai, Tere Ho Bhi Nai Sakte,
Ye Kaisi Bebasi Hai Aaj, Hum Ro Bhi Nai Sakte,
Ye Kaisa Dard Hai, Pal Pal Hume Tadpaye Rakhta Hai,
Tumhari Yaad Aati Hai, To Fir So Bhi Nai Sakte Hai,
Na Chupa Sakte Hai Aur Na Hum Dikha Sakte Hai Logo Ko,
Kuch Aise Daag Hai Dil Par, Jo Hum Dho Bhi Nai Sakte Hai,
Kaha Tha Chod Dete Hai Sahar Par Fir Ruk Gaye,
Tumhe Paa To Nai Sakte, Magar Kho Bhi Nai Sakte.

Tumhari yaado ki mahak in hawao me hai,

Tumhari yaado ki mahak in hawao me hai,
Pyar hi pyar bikhara in fizao me hai,
Aisa na ho ki dooriya dard ban jaye,
Ab to aa jao ki intezar nigaho me hai.

Saturday, March 2, 2013

Surat hamari dekh li unhone,

Surat hamari dekh li unhone,
Dil hamara dekh na sake,
Khushi hamari dekh li unhone,
Gum hamare dekh na sake,
Pyar ham se kar liya unhone,
Kadar hamari kar na sake,
Hansi humari dekh li unhone,
Aansu hamare dekh na sake,
Bewafa hume kahne lage,
Wo chahat hamari dekh na sake,
Khwab samjh kar bhul gaye hame,
Mohobbat hamari dekh na sake.

Duniya ko is ka chehra dhikhana pada mujhe,

Duniya ko is ka chehra dhikhana pada mujhe,
Parda jo darmiyan tha hathana pada mujhe,
Ruswaiyo ke khauf se mehfil me aaj,
Fir is bewafa se haath milana pada mujhe.

Dil hi dil me kuch chupati hai wo,

Dil hi dil me kuch chupati hai wo,
Yaado me aksar chain churati hai wo,
Khwabo me ek ehsaas jaga rakha hai,
Band aankho me ashq banke tadapti hai wo.

Sab Kuch Mila Sukun Ki Daulat Nahi Mili,

Sab Kuch Mila Sukun Ki Daulat Nahi Mili,
Ek Tujh Ko Bhool Jane Ki Mohlat Nahi Mili,
Karne Ko Bahut Kaam The Apne Liye,
Magar Hum Ko Tere Khayal Se Fursat Nahi Mili.

Ab Uss Ke Saath Rahu,

Ab Uss Ke Saath Rahu,
Ya Kinara Kar Lun,
Zara Thahar Aye Dil,
Mai Ye Faisla Dobara Kar Lu.