Wednesday, December 26, 2012

Gam ki aahat bhi na aaye tere dar par,

Gam ki aahat bhi na aaye tere dar par,
Pyar ke samundar ka tu bhi ek kinara ho,
Kabhi bhool se jo tapke teri aankho se moti,
Thame wo jo tujhe sabse pyara ho.

Raat Aayi Dard Ki Chadar Liye Hue,

Raat Aayi Dard Ki Chadar Liye Hue,
Soye Rahe Ye Bojh Palko Par Liye Hue,
Raaste Me Mujhko Be-Ghar Dekh Kar,
Dost Aaye Hai Haath Me Patthar Liye Hue.

Aata hai jo nazar wo sabhi sach to nahi hota,

Aata hai jo nazar wo sabhi sach to nahi hota,
Har khush-haal insan andar se khush to nahi hota,
Dard ko kuch log muskurahat mai chupa lete hai,
Hakikat me jinka apna koi ghar nahi hota,
Zindagi saari guzar jaati hai bas ro–ro kar,
Dosto tak unke hal-e-dil ka khabar nahi hota,
Jurm hai zyada bhi sacchai se jina yaha yaro,
Zyada sach bolna aksar accha nahi hota.

Saath Chhod Gayi Gam Nahi Mujhe,

Saath Chhod Gayi Gam Nahi Mujhe,
Gam Ye Hai Tu Meri Zindgi Me Ayi Kyu,
Pyar Ki Is Choti Si Bhool Ke Liye,
Zindgi Bhar Ko Mujhe Rulaya Kyu.

Kahte Hai Mohbbat Haseen Aur Sundar Hoti Hai,

Kahte Hai Mohbbat Haseen Aur Sundar Hoti Hai,
Lekin Kuch Log Ye Bhul Jaate Hai Ki,
Mohbbat Barbadi Ki Rah Bhi Dikhati Hai Aur,
Zindgi Bhar Ka Gam Bhi De Jaati Hai.

In phoolo me ab to mehek hi nahi hai,

In phoolo me ab to mehek hi nahi hai,
In raaho ki ab koi manzil hi nahi hai,
Kar leta mai mom agar koi patthar dil hota to,
Par yaha to kisi me insani dil hi nahi hai.

Ae Meri Zindagi Tu Mere Paas Aa,

Ae Meri Zindagi Tu Mere Paas Aa,
Aaj Tanha Hun Mai Tu Mere Pass Aa,
Dil Ki Duniya Me Halchal Si Hai Tere Bin,
Hai Andhera Bahut Aaj Tanha Hun Mai,
Umar Beeti Hai Ye Yaad Mei Bas Teri,
Aaj Aayi Bahut Yaad Rooh Tadpi Hai Ye,
Tujh Ko Chaha Tuhi Mujh Ko Mil-Na Saki,
Meri Chahat Ka Ye Phool Khil Na Saka,
Khud Ka Ho Kar Bhi Khud Ka Ye Dil Na Raha,
Ae Meri Zindagi Tu Mere Paas Aa.

Zindagi ye rang dikhati hai kitne,

Zindagi ye rang dikhati hai kitne,
Gair ho jate hai ek pal me apne,
Sapno ki duniya me kabhi na jana yaar,
Dil toot jata hai jab toot-te hai sapne.

Hota Kaise Gum Use Ruswai Ka,

Hota Kaise Gum Use Ruswai Ka,
Jab Fark Padta Hi Nahi Use Meri Judai Ka,
Khamoshi Se Saha Maine Har Gum,
To Iljam Mujhpe Hi Lga Diya Bewfai Ka.

Tu Hans De To Mujhe Bhi Hansi Aati Hai,

Tu Hans De To Mujhe Bhi Hansi Aati Hai,
Tu Hi To Hai Jo Mujh Ko Bhati Hai,
Rota Hai Dil Tujhse Milne Ko,
Kaise Batau Raani Tu Kitna Yaad Aati Hai.

Tuesday, December 25, 2012

Na kabhi muskurahat aapke hotho se door ho,

Na kabhi muskurahat aapke hotho se door ho,
Aapki har khwahish hakikat ko manjoor ho,
Ho jaye jo aap mujhse khafa,
Rab na kare mujhse kabhi aisa kasoor ho.

Bina dard ke aansu bahaye nahi jate,

Bina dard ke aansu bahaye nahi jate,
Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate,
Ae dost ek baat yaad rakhna,
Bina dil diye dil paye bhi nahi jate.

Mohabbat ek aisi cheej hai,

Mohabbat ek aisi cheej hai,
Jo har gam bhula deti hai,
Magar kismat saath na de to,
Mohabbat bhi daga de jaati hai.

Is do pal ki zindgi me tanhai kyu hai,

Is do pal ki zindgi me tanhai kyu hai,
Logo ko hamse ruswai kyu hai,
Is duniya me insaan kam nahi hai,
Fir hamare saath sirf hamari parchai kyu hai.

Apni zindagi se kuch pal de de mujhe,

Apni zindagi se kuch pal de de mujhe,
Aaj na sahi to apna kal de de mujhe,
Khushi de ya na de marzi teri,
Apne dukh aur dard tu chal de de mujhe.

Unke chehre ko aankho se hata na sake,

Unke chehre ko aankho se hata na sake,
Dil ki betabi dikha na sake,
Kitni dilchasp hai mohabbat ki majboori,
Samne manzil thi par kadam badh na sake.

Tanhai ko hamdam ki jaroorat hai,

Tanhai ko hamdam ki jaroorat hai,
Har jakhm ko marham ki jaroorat hai,
Muddat se bechain hai jee apna,
Shayad ek naye gam ki jaroorat hai.

Fareb tha uski hasi me ham aashiqi samajh baithe,

Fareb tha uski hasi me ham aashiqi samajh baithe,
Maut ko ham apni jindagi samajh baithe,
Waqt ka majaak tha ya badnaseebi meri,
Uski do baato ko ham chaahat samajh baithe.

Dil me intajar ki lakeer chod jayenge,

Dil me intajar ki lakeer chod jayenge,
Aankho me yaado ki nami chod jayenge,
Dhoondhte firoge hame ek din,
Zindagi me ek yaar ki kami chod jayenge.

Gam is kadar mila ki ghabra ke pee gaye,

Gam is kadar mila ki ghabra ke pee gaye,
Khushi thodi si mili ki mila ke pee gaye,
Yu to na the ham peene ke aadi,
Sharab ko tanha dekha to taras kha ke pee gaye.

Monday, December 24, 2012

Haatho se gir gayi lakeere kahi,

Haatho se gir gayi lakeere kahi,
Bhool aaye ham apni takdeere kahi,
Agar tumhe kahi mile to utha lena,
Mere hisse ki saari khusiya apne haatho me saja lena.

Aasmaan ko pata tha ki raat kya hoti hai,

Aasmaan ko pata tha ki raat kya hoti hai,
Jubaan ko pata tha ki baat kya hoti hai,
Ab tak anjaan tha jin thapedo se mai,
Wo bewafa bata gayi ki bewafaai kya hoti hai.

Murjha gaya phool par bahaar wahi hai,

Murjha gaya phool par bahaar wahi hai,
Door rahte hai par pyaar wahi hai,
Jaante hai mil nahi pa rahe aapse,
Magar in aankho me intjaar wahi hai.

Apno ne zahar ka jaam de diya,

Apno ne zahar ka jaam de diya,
Gairo ne bewafa ka naam de diya,
Jo kahti thi hame bhool na jana,
Usi ne bhoolne ka paigam de diya.

Ek tooti hui janjeer ki fariyad hai ham,

Ek tooti hui janjeer ki fariyad hai ham,
Aur duniya ye samajhati hai ki aajad hai ham,
Is aashiqi ne kya diya hai hamko,
Kal bhi barbad the aur aaj bhi barbad hai ham.

Wo aai nahi kabhi mujhe yaad karke,

Wo aai nahi kabhi mujhe yaad karke,
Wo gayi jab bhi mujhe barbaad karke,
Agar wo aaye meri maut pe to use kah dena,
Abhi soya hai tujhe yaad karke.

Aap ki baddua bhi dua ban ke lagi,

Aap ki baddua bhi dua ban ke lagi,
Aapke har gam ne bhi sakoon diya,
Ham zinda hai to ye jaan kar ki,
Pyar se na sahi par aapne hame yaad to kiya.

Dosti ke naam pe deewane chale aate hai,

Dosti ke naam pe deewane chale aate hai,
Shama ke peeche parwane chale aate hai,
Tumhe yaad na aayi khair,
Aana meri maut par,
Us din to begane bhi chale aate hai.

Ye sach hai ki aa jata hai sohrat ka asar,

Ye sach hai ki aa jata hai sohrat ka asar,
Insaan to kya farishte bhi badal jaate hai,
Aur bewafa badle ya na badle,
Waqt aane par wafadaar bhi badal jaate hai.

Cheej bewafaai se badkar kya hogi,

Cheej bewafaai se badkar kya hogi,
Gam-e-haalaat judaai se badkar kya hogi,
Jise deni ho saja umar bhar ke liye,
Saja tanhaai se badkar kya hogi.

Saturday, December 22, 2012

Kaash ye pal yahi ruk jaye,

Kaash ye pal yahi ruk jaye,
Aap se milne ham daude chale aaye,
Ae khuda ek kaam ye bhi kiya hota,
Ek dil is bedard waqt ko bhi diya hota.

Ae kaash shayri ham bhi likh paate,

Ae kaash shayri ham bhi likh paate,
Lafjo ke khel ham bhi khel paate,
Rab ne dil par chot kuch aisi di,
Aasuo ko chupake kaash ham bhi muskura pate.

Ham raah me khadi imarat ko manzil samajh baithe,

Ham raah me khadi imarat ko manzil samajh baithe,
Chamakne waale patthar ko heera samajh baithe,
Wo to is dil ke rishte ko samajh hi na saki,
Aur ham use apna rab samajh baithe.

Pee hai sharab har gali har mahkhane se,

Pee hai sharab har gali har mahkhane se,
Ek dosti si ho gayi hai sharab ke jaam se,
Gujre hai ham kuch aise mukam se,
Ki nafrat si ho gayi mohabbat ke naam se.

Bahut tamanna thi rishto ka aashiya banane ki,

Bahut tamanna thi rishto ka aashiya banane ki,
Bana chuke to lag gayi najar jamane ki,
Usi ka karj hai jo aaj hai aankho me aansu,
Saja mili hai hame muskurane ki.

Agar Itni Nafrat Hai Humse,

Agar Itni Nafrat Hai Humse,
To Dil Se Aisi Dua Kar Do,
Ki Tumhari Dua Bhi Poori Ho Jaye,
Aur Hamari Zindagi Bhi.

Ajab be-maksad hai silsila-e-ishq,

Ajab be-maksad hai silsila-e-ishq,
Ye lamha humse guzara bhi nahi jata,
Nahi door tak jeet ke aasar magar,
Na jane kyu humse hara bhi nahi jata.

Rulakar wo hume khush ho jayenge,

Rulakar wo hume khush ho jayenge,
Saath mere na sahi door jakar muskurayenge,
Dua hai Rab se unko dard na dena,
Hum to seh gaye par wo toot jayenge.

Jate Jate Wo Aisi Nishani De Gayi,

Jate Jate Wo Aisi Nishani De Gayi,
Saari Umar Yaad Karne Ko Ek Kahani De Gayi,
Ab Saari Zindgi Pyas Hi Na Lagegi,
Wo Aankho Me Itna Paani De Gayi.

Tum Apni Zulf Ki Parchaiya Mujhe De Do,

Tum Apni Zulf Ki Parchaiya Mujhe De Do,
Tum Apni Shaam Ki Tanhaiya Mujhe De Do,
Mai Doob Jau Tumhari Udas Aankho Me,
Tum Apne Dard Ki Gahraiya Mujhe De Do.

Tuesday, December 18, 2012

Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,

Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,
To laga ki mere bahut paas hai wo,
Ho gayi nam ye aankhe jab hosh aaya aur paya ki,
Kabhi na poori hone waali aas hai wo.

Jab suraj dhalta hai to aasman ka rang badal jata hai,

Jab suraj dhalta hai to aasman ka rang badal jata hai,
Jab kismat badalti hai to logo ka dhang badal jata hai,
Din dhalte-dhalte suraj bhi dhal jata hai,
Andhera hote-hote saya bhi saath chod jata hai.

Ae musafir ham bhi chale the kabhi un raho par,

Ae musafir ham bhi chale the kabhi un raho par,
sajaye the hamne bhi aakho ke saajh par kuch sapne,
Lut gaye ham unhi se jo the kabhi mere apne.

Hamne maanga tha saath uska,

Hamne maanga tha saath uska,
Wo judaai ka gam de gayi,
Ham to yaado ke sahare hi jee lete,
Par wo na bhul jane ki kasam de gayi.

Maut pe hame yakeen hai,

Maut pe hame yakeen hai,
Unpe bhi hame aitbaar hai,
Ab dekhna hai ki kaun aata hai pahle,
Hame to dono ka intajaar hai.

Chale bhi aao ki ham tumse pyar karte hai,

Chale bhi aao ki ham tumse pyar karte hai,
Ye wo gunah hai jo ham baar-baar karte hai,
Log maut tak hi dildaar ki raah takte hai,
Ham hai ki kabar me bhi tera intajar karte hai.

Pyar Karke Jataye Ye Zaruri To Nahi,

Pyar Karke Jataye Ye Zaruri To Nahi,
Yaad Karke Koi Bataye Ye Zaruri To Nahi,
Rone Wala To Dil Me Hi Ro Leta Hai,
Aankh Me Aansu Aye Ye Zaruri To Nahi.

Zindgi Dene Wale Marta Chod Gaye,

Zindgi Dene Wale Marta Chod Gaye,
Apnapan Jatane wale Tanha Chod Gaye,
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki,
Wo Jo Saath Chalne Wale Apna Rasta Mod Gaye.

Na Jane Jindgi Me Kitne Gam Aate Hai,

Na Jane Jindgi Me Kitne Gam Aate Hai,
Aankho Me Aansu Bhar Aate Hai,
Ye Aansu Sookh Bhi Nahi Pate,
Ki Doosre Gam Aankho Ko Gila Kar Jate Hai.

Meri sanso se shikwa karte ho tum,

Meri sanso se shikwa karte ho tum,
Chup chup ke chahat ka sauda karte ho tum,
Tum hi socho ye kaisi majboori hai tumhari,
Mujh me rahkar mujhse parda karte ho tum.

Friday, December 14, 2012

Likhu Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza Hai,

Likhu Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza Hai,
Mere Dil Me Dard Abhi Taaza Hai,
Gir Padte Hai Ashq Mere Kagaz Par,
Kalam Me Sayahi Kam Aur Aansoo Jyada Hai.

Saza Hume Ye Kaisi Mili Dil Lagane Ki,

Saza Hume Ye Kaisi Mili Dil Lagane Ki,
Ro Rahe Magar Tamnna Thi Muskurane Ki,
Apna Dard Kise Dikhau Ae Dost,
Dard Bhi Usine Diya Jo Wajah Thi Muskurane Ki.

Har ask mera tumhe yaad karega,

Har ask mera tumhe yaad karega,
Bas kuch pal ke liye hi sahi,
Hatho me hath rahne ki fariyad karega,
Yu hum to khud ke bhi na ho sake,
Par ye man to sirf appke hone ki baat karega,
Zindgi se bas itni hi tamana hai,
Zinda rahte to sath honge aapke,
Aur shayad ye dil to marne ke baad bhi awaaj karega.

Jinke Dil Pe Lagti Hai Wo Ankho se Nahi Rote,

Jinke Dil Pe Lagti Hai Wo Ankho se Nahi Rote,
Jo Apno Ke Nahi Hue Wo Kisi Ke Nahi Hote,
Waqt Ne Mujhe Aksar Ye Sikhaya Hai,
Khwab Toot Jate Hai Par Poore Nahi Hote.

Wo mehndi lage haath dikha ke royi,

Wo mehndi lage haath dikha ke royi,
Mai kisi aur ki hu wo ye bata ke royi,
Maine bola kaun hai wo khush nasib,
Wo mehndi se likhe naam dikha ke royi,
Kahi gam se fat na jaye jigar mera,
Wo hanste hanste mujhe hansa ke royi,
Usne jana jab bhi mere rone ka sabab,
Apne aansu meri hatheli pe saja ke royi,
Jab bhi dekha use hanste hue dekha,
Waqt-e-Hina wo har khushi bhula ke royi,
Dil ne chaha ji bhar ke use dekh lu,
Wo mere aankho ki pyas ko bujha ke royi,
Kabhi kahti thi mai na ji paungi Tum bin,
Aur aaj fir wo ye baat dohra ke royi.

Abhi Tum Baith Jao Na Bahut Si Baat Baaki Hai,

Abhi Tum Baith Jao Na Bahut Si Baat Baaki Hai,
Mere Halaat Baaki Hai Mere Jazbaat Baaki Hai,
Suno Tum Kyu Satate Ho Mujhe Kiitna Rulate Ho,
Mujhe Tum Se Mohabat Hai Mujhe Kyu Azmate Ho,
Tumhi Ko Yaad Karte Hai Tumhi Ko Pyar Karte Hai,
Meri To Zindagi Tum Ho Samajh Tum Kyu Nahi Pate,
Meri To Har Khushi Tumse Meri To Zindagi Tumse,
Meri Har Arzoo Tumse Mujhe Tum Kyu Satate Ho.

Missing a person who is not Alive is normal,

Missing a person who is not Alive is normal,
Missing a person who is far away from you is normal,
But Missing a person whom you see everyday,
And can't talk with that person is not normal it's Painful.

Wo surat meri jaan bani rahti hai,

Wo surat meri jaan bani rahti hai,
Pyar uska meri pahchan bani rahti hai,
Yaad karte hai hum unhe kitni shiddat se,
Jaante hai wo magar anjaan bani rahti hai.

Wabasta Hai Meri Zaat Uski Yado Se Is Kadar,

Wabasta Hai Meri Zaat Uski Yado Se Is Kadar,
Yaad Na Karu To Raat Nahi Dhalti,
Yaad Kar lu To Aankh Nahi Lagti.

Tujhe jo apna na bana saka to kya,

Tujhe jo apna na bana saka to kya,
Teri yaad ko maine apna bana liya,
Teri yaado ne tanha rehna sikha diya aur,
In Tanhaiyo ne mujh ko jeena sikha diya.

Thursday, December 13, 2012

Meri raho me kyu andhra hai,

Meri raho me kyu andhra hai,
Kaha duba hua sawera hai,
Zakhm kha kha kar jee raha hu mai,
Haye kaisa naseeb mera hai,
Hamne jis dil ko kal basaya tha,
Aaj ujda hua basera hai,
Kisko apna kahu mai ae rubba,
Teri duniya me kaun mera hai.

Husn ka mukaddar hu na pyar ki takdeer hu,

Husn ka mukaddar hu na pyar ki takdeer hu,
Zindgi ke be-rango ki me bas ek tasveer hu,
Na raat ko hai neend mujhe na din me hi karar hai,
Bikhre hue sapno ki ek tooti hui tabeer hu,
Zakhmi dil ko jo pal me bana gayi ho naasur,
Gum ke nastro me aisi khichi gayi ek lakeer hu.

Mai Bhi Muskurata In Khuli Wadiyo Me,

Mai Bhi Muskurata In Khuli Wadiyo Me,
Agar Mai Kisi Se Dil Na Lagata,
Sharmsar Ho Jata Wo Meri Wafao Se,
Agar Mai Apni Hasrate Na Dabata,
Sagar Ki Shiddat Ko Tod Diya Lehro Ne,
Agar Use Kinaro Ne Bulaya Na Hota,
Majhdhaar Se Bhi Nikal Aata Mai,
Agar Meri Naaw Ko Majhi Ne Dubaya Na Hota,
Mai Bhi Muskurata In Khuli Wadiyo Me,
Agar Mai Apni Hasrate Na Dabata,
Main Apni Hi Aag Me Raakh Ho Jaata Ashiq,
Agar Mai Dil Me Lagi Aag Ko Na Bujhata,
Ek Aur Gulaab Khil Jata Is Patjhar Zindagi Me Meri,
Agar Mai Apni Hasrate Na Dabata.

Mumkin ho aap se to bhula dijiye mujhe,

Mumkin ho aap se to bhula dijiye mujhe,
Pathar pe hoo lakeer mita dijiye mujhe,
Har rooz mujhse taaza shikayat hai aapko,
Mai kya hoo ek baar bata dijiye mujhe,
Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu,
Apna bhi koi rang dikha dijiye mujhe,
Main kya hoo kis jagah hoo mujhe kuch khabar nahi,
Hai aap kitni dur zara sada dijiye mujhe,
Ki maine apne zakham ki tash'heer ja baja,
Mai maanta hoo jurm saza dijiye mujhe,
Yu to shoola-e-jaan sard ho chuka,
Lekin sulag uthu to hawa dijiye mujhe.

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahi aaya,

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahi aaya,
Wo shaks aisa gaya fir nazar nahi aaya,
Wafa ke dasht me raasta nahi mila koi,
Siwaye gard-e-safar humsafar nahi aaya,
Kisi chirag ne poochi nahi khabar meri,
Koi bhi phool mere naam par nahi aaya,
Palat kar aane lage shaam ke parinde bhi,
Hamara subha ka bhoola magar nahi aaya,
Hume yakeen hai woh wada khilaaf,
Ye umer kaise kategi agar nahi aaya.

Kyu dil ke mere tukde kar diye,

Kyu dil ke mere tukde kar diye,
Kyu mere aansuo ko apni muskan pe baha diye,
Gunha kya tha mera bas chahna tumhe,
Kyu meri zindgi me tune dard bhar diye.

Apni Har Baat Bhool Gayi Wo Guzre Hue Kal Ki Tarha,

Apni Har Baat Bhool Gayi Wo Guzre Hue Kal Ki Tarha,
Toot Kar Jise Chaha Tha Ek Pagal Ki Tarha,
Gar Meri Hasti Bhi Mit Jaye To Zara Gam Nahi,
Bus Do Pal Aankh Me Sajaa Lu Kajal Ki Tarha,
Raat Dhalte Hi Seene Me Dard Ki Laher Uthti Hai,
Thahre Hue Pani Me Kisi Hal Chal Ki Tarha,
Mujhe Kis Taraf Jana Hai Kuch Khabar Nahi,
Mere Raaste Bhi Kho Gaye Meri Manzil Ki Tarha.

Kadam mod liye jin raho se kyu dil unhi raho se ja milta hai,

Kadam mod liye jin raho se kyu dil unhi raho se ja milta hai,
Tod diya jinse har rista kyu dil unhi ke kadamo par ja girta hai
Meri zindagi ko ek pal me viraan kar diya jisne,
Kyu uske liye koi kadwa bol mere dil se na niklta hai,
Jab bhi sochta hu unke baare me tanhai me,
Kyu dil uske paas jaane ko machalta hai,
Mere bure waqt me jisne sath na diya mera,
Kyu uski kami ka ahsaas dil ko khalta hai,
Nai ki tasleem usne kabhi bhi apni khamiya,
Kyu dil uski har khami ko maaf karta hai,
Nai rahi wo ab meri yaado me rahne ke kaabil,
Kyu din raat dil uski yaado me jalta hai.

Mit gai chahate ek gila reh gaya,

Mit gai chahate ek gila reh gaya,
Usse itna hi bas silsila reh gaya,
The judai pe teri pareshan bahut,
Fir girebaan mera kyu sila reh gaya,
Meri basti ki har shey hi murjha gayi,
Phool aangan me tere khila rah gaya,
Us rafu ger ne kitne girebaan ceye,
Mera zakhm jigar to chilah rah gaya,
Khawahisho ka na mujhse pouche koi,
Khawahisho ka to ek kafalah reh gaya.

Aansuo Ki Tarah Nazro Se Mujhe Giraya Usne,

Aansuo Ki Tarah Nazro Se Mujhe Giraya Usne,
Apni Khabar Na Mili Kuch Aise Khak Me Milaya Usne,
Elzam Mujh Par Lagaya Magar Bewafa Khud Thi Wo,
Pahle Deewana Banaya Fir Mujhe Thukraya Usne,
Usko Tskeen Milti Hai Mujh Ko Stane Me,
Mujhe Geeli Lakdi Ki Manind Jalaya Usne,
Aaya Na Tha Us Ko Wada Wafa Karna,
Logo Ko Jhuta Apni Wafa Ke Kissa Sunaya Usne,
Tanhaiyo Ke Dard Se Khoob Waqif Thi Wo Fir Bhi,
Duniya Me Mujhe Tanha Banaya Usne.

Wednesday, December 12, 2012

Humne jise dil-o-jaan se jise chaha,

Humne jise dil-o-jaan se jise chaha,
Us bewafa ne kisi aur ko chaha,
Pata nahi hum kyu unke liye fariyad karte hai,
Jo pyar ke bahane hume barbad karte hai.

Wo khud par guroor karte hai,

Wo khud par guroor karte hai,
To is me hairat kya hai,
Jisko hum chahte hai,
Wo aam ho hi nahi sakte.

Samne aa ke tujhko pukara nahi,

Samne aa ke tujhko pukara nahi,
Teri ruswai mujh ko gawara nahi,
Zakhm seene ke tujh se chupaunga mai,
Pyaar ka naam lab par na launga mai,
Haar kar bhi ye baazi mai hara nahi,
Shukriya tumne jo dard mujh ko diya,
Khush raho fir bhi deta hun tum ko duaa,
Koi shikwa zubaan par tumara nahi,
Teri ruswai mujh ko gawara nahi.

Pyar Karna To Door Ki Baat Hai,

Pyar Karna To Door Ki Baat Hai,
Hume To Palat Kar Dekhne Wala Bhi Koi Nahi,
Sirf Ek Thi Jis Par Saari Zindagi Luta Baithe,
Aaj Wahi Keh Gaye Tum Kaun Ho Mujhe Pata Nahi.

Yu dost saare apne apne raste badal gaye,

Yu dost saare apne apne raste badal gaye,
Kuch peeche ruk gaye to kuch aage nikal gaye,
Halaat ki dhoop zara si der ko tez kya hui,
Jitne wafa ke patthar the sare pighal gaye,
Wado ke tare raato se bahar na ja sake,
Irado ke din nikalne se pehle hi dhal gaye,
Wafao ke rang shabnam ke Katro ne dho diye,
Mohabbat ke phool jazbo ki shiddat se jal gaye.
Taano ke teer duniya ki kamano pe jab chadhe,
Sabar ke daman hatho se ekdum fisal gaye,
Aankhe khuli to khwabo ko bura laga magar,
Kuch der wo reh ke khafa humse wo khud hi bahal gaye,
Pehle pehal to ajeeb lage badle hue chehre,
Fir yu hua ki waqt ke saath hum bhi sambhal gaye.

Tuesday, December 11, 2012

Mat khuredo mere is Dil ko,

Mat khuredo mere is Dil ko,
Banzar zami se hasil kuch nahi hota,
Jiske ehsaas ko kuchal de kisi ki behrukhi ke kadam,
Wo DiL kabhi kisi ke kabil nahi hota.

Dil ne bhi bahut majboor kiya,

Dil ne bhi bahut majboor kiya,
Milne bhi lakho bar gaye,
Jee bhar ke unhe na dekh sake,
Aankho ki sharafat maar gayi.

Kuch unki wafao ne loota,

Kuch unki wafao ne loota,
Kuch unki inayat maar gayi,
Hum raz-e-mohobbat keh na sake,
Chup rahne ki aadat mar gayi.

Kuch aisi jung hui Husn-o-ishq ki,

Kuch aisi jung hui Husn-o-ishq ki,
Unka husn jeet gaya or meri mohabbat haar gayi,
Jab wo chod kar chale gaye to aisa laga,
Maut to marti hai sabko lekin,
Hame to apni hi zindagi maar gayi.

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na krenge,

Chahenge tumhe par kabhi ruswa na krenge,
Saye se bhi tere kabi sikhwa na karenge,
Bhul se kabi raah me mil jaunga tuzko,
Milne ka kabi dubara wada na karenge,
Puchenge hawao se gatao se tera haal,
Milne k waste kabi aaya na karenge,
Jis pyar ki tabir kiya karte the pahle,
Us naam ko diwaro pe likha na karenge.

Hamare chehre pe muskurahat to ek bahana hai,

Hamare chehre pe muskurahat to ek bahana hai,
Gum nai chehre pe dil me gamo ka tarana hai,
Tanhai is waqt me ab humko gujar jana hai,
Baate wo purani jhuthe pyar ka fasana hai,
Jhuthe the ya farebi tha bewfa pyar tera,
Magar ye aashiq aaj bi tera deewana hai.

Ab to barish me bhi usko meri yaad nahi aati,

Ab to barish me bhi usko meri yaad nahi aati,
Wo jo baadal ke garjne se lipat jati thi mujhse,
Ye shaam ye sard hawa or ye Hijar ka aalam,
Guman hota hai is baar sardi maar hi dalegi,
Teri yaade sardiyo ki shaam jaisi,
Jo aati hai to jana bhul jaati hai,
khiza ke zard patton ka wo manzar yaad karta hai,
Use kahna use "Amrit" bahut yaad karta hai.

Anjan si mulakat ek pahchan ban gayi,

Anjan si mulakat ek pahchan ban gayi,
Ek mithe se rishte ki jaan ban gayi,
Do kadam tum chale do kadam hum chale,
Aur dosti ki rah kitni asaan ban gayi.

Koi kyu mera intzar karegi,

Koi kyu mera intzar karegi,
Apni zindgi mere liye bekar karegi,
Hum kaun se kisi ke liye khas hai,
Kya soch kar koi hume pyar karegi.

Aaj mera muskurane ka man nahi tha,

Aaj mera muskurane ka man nahi tha,
Kisi se itni mohabbat kar baitha is ka koi gam nahi tha,
Tere ishq me khud ko kuch is kadar bhula diya humne,
Ki teri bewafai ka dard bhi kuch kam nahi tha.

Sunday, December 9, 2012

Maine Use Pucha Mai Kaha Hu,

Maine Use Pucha Mai Kaha Hu,
Usne Hans Ke Kaha Mere DiL Me,
Sanso Me Dhadkan Me,
Fir Maine Pucha Mai Kaha Nahi Hu,
Usne Bhigi Aankho Se Kaha Mere Nasib Me.

Koi jazba adhura reh gaya hai,

Koi jazba adhura reh gaya hai,
Saal aansuo me beh gaya hai,
Ye dil khamosh ho kar reh gaya hai,
Na jane aaj wo kya keh gayi hai,
Ye aankhe hai hamari kitni gahri,
Samundar me samundar beh gaya hai,
Tumhare saath wabasta tha sab kuch,
Siwaye ab yaad ke kya reh gaya hai,
Palat kar dekhne par humne jana,
Dil-e-nadaan kya kya seh gaya hai,
Bahut bhid hai bazaro me lekin,
Tera Amrit akela reh gaya hai.

Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha,

Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha,
Aur Tanha Meri Zaat Hai,
Fir Toot Ke Wo Yaad Aayi,
Ajeeb Sardiyo Ki Ye Raat Hai.

Pyar kiya to unki mohabbat nazar aayi,

Pyar kiya to unki mohabbat nazar aayi,
Dard huaa to palke unki bhar aayi,
Do dilo ki dhadkan me ek baat nazar aayi,
Dil to unka dhadka par aawaz is dil se aayi.

Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega,

Sar Jhukaoge To Patthar Devta Ho Jayega,
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho Jayega,
Hum Bhi Dariya Hai Hume Apna Hunar Maloom Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jayega.

Dar badar kar dete hai zamane me log,

Dar badar kar dete hai zamane me log,
Laga dete hai aag aashiyane me log,
Milte hai pyar se dil me basa ke nafrat,
Rakhte hai maharat badal jane me log.

Kaash ye dil sishe ka bana hota,

Kaash ye dil sishe ka bana hota,
Chot lagti to beshak ye fanah hota,
Par sunte jab wo aawaj iske tootne ki,
Tab unhe bhi apne gunaho ka ehsaas hota.

Unpe khatm ye chahat hogi,

Unpe khatm ye chahat hogi,
Fir na kisi pe ye ye inayat hogi,
Kuch is tarah karenge yaad ab tumhe,
Na tumko khabar hogi na zamane ko shikayat hogi.

Hai Yaad Mulaqat Ki Wo Shaam Abhi Tak,

Hai Yaad Mulaqat Ki Wo Shaam Abhi Tak,
Mai Tujh Ko Bhulane Me Hoo Nakaam Abhi Tak.

Mohabbat Farz Jaisi Hai Nibhana Seekh Jaoge,

Mohabbat Farz Jaisi Hai Nibhana Seekh Jaoge,
Dilo Pe Karz Jaisi Hai Chukana Seekh Jaoge,
Labo Pe Phool Jaisi Hai Khilna Seekh Jaoge,
Nazar Me Aag Jaisi Hai Lagana Seekh Jaoge,
Tum Tak Faasla Jo Hai Mitana Seekh Jaoge,
Kabhi Jo Dil Me Aa Beithe Zamana Bhool Jaoge.

Monday, December 3, 2012

Wo Mere Ghar Se Guzri To Bahut Royi,

Wo Mere Ghar Se Guzri To Bahut Royi,
Duniya Ke Dard Me Bikhri To Bahut Royi,
Wo Kahti Thi Ki Mai Jee Lungi Tumhare Siwa,
Par Jab Wo Mujh Se Bichdi To Bahut Royi,
Wo Kahti Thi Ki Mai Teri Nahi Hu,
Jab Mujh Ko Yaad Kar Ke Soyi To Bahut Royi,
Kabhi To Mujh Ko Yaad Bhi Na Kiya Karti Thi,
Ab Jo Mere Khayalo Me Khoyi To Bahut Royi,
Meri Chahat Ko Wo Samajh Na Payi,
Jab Wo Kisi Aur Ki Hui To Bahut Royi.

Ishq Wahi Hai Jo Ho Ek Tarfa,

Ishq Wahi Hai Jo Ho Ek Tarfa,
Izhaar-e-Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai,
Hai Agar Ishq To Aankho Me Dekho,
Zuban Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai.

Badla Jo Waqt To Gehri Mohabbat Badal Gayi,

Badla Jo Waqt To Gehri Mohabbat Badal Gayi,
Suraj Dhala To Saye Ki Soorat Badal Gayi,
Ek Umar Tak Hum Uski Zaroorat Bane Rahe,
Fir Yu Hua Ki Uski Zaroorat Badal Gayi.

Wo meri mohabbat se yu beimaan ho gaye,

Wo meri mohabbat se yu beimaan ho gaye,
Jo kabhi apne the aaj anjaan ho gaye,
Unki berukhi ki inteha to dekhiye,
Wo lekar meri jaan kisi aur ki jaan ho gaye.

Pyar me fana hona pyar nahi hota,

Pyar me fana hona pyar nahi hota,
Teen lafz kahne se pyar byan nahi hota,
Pyar karo to aisa ki zamana bhi kahe,
Kaash humne bhi kisi se pyar kiya hota.