Thursday, January 27, 2011

Gam me hasne valoko kabhi rulaya nahi jata,
Lehro se pani ko kabhi hataya nahi jata,
hone vale ho jate he khud hi dil se apne ,
Kisiko kehkar apna banaya nhi jata…
Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
tut jaaye agar to judna mushkil hota hain ,
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..
Har kisi ko milta nahi pyar ka maza,
Naseeb valon ko milta hai ye meetha zaher mohabbat ka,
Bharosa rakhna apne pyar pe,
Bin bharose vala pyar tikta nahi is sansar mein.
Koi subah aati hai tumhari yaad lekar,
Koi shaam jati hai tumhari yaad dekar,
Hamein to us subah ka intezaar hai,
Jo aaye tumhein saath lekar
Hua jo gam tumhein, dard kahi aur hoga,
Hanso jo tum, khush koi aur hoga,
Socho to zara us anjaan ke bare mein,
Vo anjaan mere sivaa aur kaun hoga ?
Yuhi aankhon se ansu bahte nahi,
Kisi aur ko hum apna kahte nahi,
Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein,
Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi.
Door ho jane se rishtey nahi tootte,
Na hi sirf paas rahne se judte,
Ye to dilon ke bandhan hain,
Isiliye hum tumhein aur tum hamein nahi bhoolte
Tum dil se hamein yon pukara na karo,
Yon tum hamein ishara na karo,
Door hain tumse ye majburi hai hamari,
Tum tanhaiyon mein yun tadpaya na karo.
is daudti hui zindagi mein
to hum bilkul hi ruk hi jayenge
thaam lo hume thamne se pehle
hum kaise yun ji payenge
bahegi jab bhi sard hawaein
hum khud ko tanha payenge
ehsaas tumhare saath ka
hum kaise mehsoos kar payenge
jab bhi hogi pehli baarish
tumko samne payenge
woh bundo se bhara chehra
tumhara hum kaise dekh payenge
Betaab tamannao ki kasak rehney do,
Manzil ko paney ki kasak rehney do,
Aap chahe raho nazron sey door,
Par meri aankhon mein apni ek jhalak rehney do.
Ye aarzu nahi ke kisi ko bhulaye hum
Na tamanna ke kisi ko rulaye hum.
Par dua hai uss rab se,
jisko jitna yaad karte hain,
usko utna yaad aayein hum.
Kalam tha haath mey likhna sikhaya apne
Takat thi haath mey hausla dilaya apne,
Manzil thi saamne raasta dikhaya apne,
Hum to sirf dost the,
AASHIQ BANAYA aap ne!
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lagay
Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lagay
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Say
Jis Nazar Say Aap Ko Nazar Na Lagay
Bahane bahane se aapki baat karte hai
har pal aapko mehsus karte hai
itni baar to aap saans bhi nahi lete honge
jitni baar hum aaapko yaad karte hai!
Dil tootna sazaa hai mohabbat ki,
dil jodna ada hai dosti ki.
Maange jo kurbani woh hai mohabbat,
jo bin maange ho jaye kurban wo hai dosti hamari.
Wo Waqt wo lamhe Kuch ajeeb Honge
Duniya me hum khush Naseeb honge
Door se jab Itna Yaad karte hai aapko
Kya Hoga Jab aap humare Kareeb honge?
Aap to chand ho jise sab yaad karte hai
Aur hamari kismat to taro jaisi hai
Humein yaad karna to door…
Log apni khawahish ke liye
Hamare tutne ki fariyad karte hai…
Pehle bhi kabhi suni thi, ye pyaar ki baatein,
Pehle bhi dil ko bahut dukhaya hai.
Aaj phir tumne kuredein hain, wo zakhm,
Aaj phir iss dil ko tumne rulaya hai…
Ussey yaad karun toh aankh bhar aati hai,
Meri mohabbat mujhe hi rulati hai,
Uske bina hoon udass main,
Bheer mein bhi tanha hoon main…
Nazar chahti hai didaar karna,
dil chahta hai pyaar karna,
kya batayein is dil ka aalam,
naseeb mein likha hai intezar karna.
Haal dekh kar mera khuda bhi tadap jayega,
Jab bhi hogi bewaffai ki baat mujhe bhi koi bhoola yaad aayega,
Are apno ne kya kami rakhi jo ab koi anjan sitam dhayega,
Mat chu palkon ko Hai itna dard isme ke tera daaman bheeg jayega.