Friday, September 27, 2013

Reh-Reh Kar Ro Padi Hogi,

Reh-Reh Kar Ro Padi Hogi,
Jab-Jab Usko Khyal Mera Aya Hoga,
Khudko Dekha Hoga Jab Aaine Me,
To Aksh Mera Bhi Nazar Aaya Hoga,
Lag Rahi Hogi Bahut Hi Sunder Wo Laal Jode Me,
Aaj Dekhkar Usko Chand Bhi Sharmaya Hoga.

Rabba Ek Pal Ke Liye Use Mera Bana De,

Rabba Ek Pal Ke Liye Use Mera Bana De,
Kitna Chahta Hu Use Koi Ye Bata De,
Har Pal Dekhu Sapne Usi Ke,
Na Jaagu Mujhe Aisi Nind Sula De.

Judai Ki Pyas Me Ek Katra Bhi Bahut Hai,

Judai Ki Pyas Me Ek Katra Bhi Bahut Hai,
Didar Ke Waste Ek Lamha Bhi Bahut Hai,
Jis Par Hota Hai Bharosha DiL Ko,
Wo Bhul Jaye Wo Sadma Hi Bahut Hai.

Do kadam to sab chal lete hai,

Do kadam to sab chal lete hai,
Zindgi bhar ka saath koi nahi nibhata,
Agar ro kar bhulai jati yaade,
To hans kar koi gam na chupata.

Jane kya hai dil ke andar jo,

Jane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai,
Ek meherban ka hath jaise hatho se chooth raha hai,
Aankho me ashko ka samandar hai,
Lagta hai jaise koi patta shakho se toot raha hai,
Ashko ko Meri Aankho me rahne ki aadat si ho gayi hai,
Ab to Jaise Ishq hi mujhse rooth raha hai.

Thursday, September 26, 2013

Mai aapke pyar me kuch aisa kar jaunga,

Mai aapke pyar me kuch aisa kar jaunga,
Ban kar khushbu hawa me bikhar jaunga,
Bhulna chaho to sanso ko rok lena,
Saans loge to mai dil me utar jaunga.

Kabhi Kahti Thi Mujhe Ki Koi Duaa Hu Mai,

Kabhi Kahti Thi Mujhe Ki Koi Duaa Hu Mai,
Aaj Wo Kah Gyi Mujhko Ki Bewafa Hu Mai,
Wo Jee Na Pati Thi Lamha Kabhi Bagair Mere,
Aaj Kahne Lagi Mujhko Ki Ek Saza Hu Mai,
Yahi Dastoor Hai Aur Aisa Hi Hota Aaya,
Lagi Mashuq Ki Mehndi Aur Aashiq Rota Aaya,
Magar Riwaz Bhi Ye Ulta Kar Diya Maine,
Bina Chahat Kisi Ki Maang Bhar Di Maine,
Kiya Hai Jo Bhi Ispe Khud Se Hi Khafa Hu Mai,
Aaj Wo Kah Gayi Mujhko Ki Bewafa Hu Mai.

Ajnabi raah thi toote se alfaaz the,

Ajnabi raah thi toote se alfaaz the,
Kahi jhuki palko me mohabbat ke kuch raaz the,
Na koi saya tha na koi aahat thi,
Khamosh raaste par chal rahe the hum,
Aur sirf dhadkano ki awaaz thi.

Apne Aankho Ke Aansu Mere Naam Kar Do,

Apne Aankho Ke Aansu Mere Naam Kar Do,
Apne Saare Gam Mere Naam Kar Do,
Saat Janam Se Teri Chahat Basi Hai Dil Me,
Apne Is Janam Ka Saath Tum Mujhe Daan Kar Do.

Kabhi jazbat to kabhi yaado ko dafan karte hai,

Kabhi jazbat to kabhi yaado ko dafan karte hai,
Kabhi aansu to kabhi dard piya karte hai,
Kya khub takdir di hai rab ne,
Har roj mar mar ke jiya karte hai.

Wednesday, September 25, 2013

Ishq wale aankho ki baat samajh lete hai,

Ishq wale aankho ki baat samajh lete hai,
Sapno me mil jaye to mulakat samajh lete hai,
Rota to aasman bhi hai apne bichde pyar ke liye,
Par log use barsaat samajh lete hai.

Ek Ajnabi Se Baat Kya Hui Ki Qayamat Ho Gayi,

Ek Ajnabi Se Baat Kya Hui Ki Qayamat Ho Gayi
Sare Shahar Ko Is Chahat Ki Khabar Ho Gayi,
Kyu Na Dosh Du Dil-e-Nadan Ko,
Dosti Ka Irada Tha Aur Mohabbat Ho Gayi.

Ek pal ehsaas ban ke aate ho,

Ek pal ehsaas ban ke aate ho,
Aur dusre pal khwab ban ke ud jate ho,
Ye malum hai ki tanhai se dar hai hume,
Fir bhi bar bar tanha chod jate ho.

Teri yaad me jara aankhe bhigo lu,

Teri yaad me jara aankhe bhigo lu,
Udas raat ki tanhai me so lu,
Akele gum ka bojh ab sambhlta nahi,
Agar tu mil jaye to tujhse lipat kar ro lu.

Chahat Ke Ye Kaise Afsane Hue,

Chahat Ke Ye Kaise Afsane Hue,
Khud Nazro Me Apni Begane Hue,
Kisi Bhi Rishte Ka Khayal Nahi Mujhe,
Ishq Me Tere Is Kadar Diwane Hue.

Tuesday, September 24, 2013

Humari Tanhai Mitane Ke Liye Kaun Aayega,

Humari Tanhai Mitane Ke Liye Kaun Aayega,
In Roti Hui Aankho Ko Chup Kaun Karayega,
Kisi Ko Ab Humari Jarurat Hi Nahi Hai Yaro,
Agar Mar Bhi Gaye To Jalane Kaun Aayega.

Sunhare Lamho Ka Vyapar Mat Karna,

Sunhare Lamho Ka Vyapar Mat Karna,
Kabhi Rishto Ko Taar-Taar Mat Karna,
Ranj Gum Or Tanhai Agar Sah Na Sako,
To Rab Ki Kasam Kisi Se Pyar Mat Karna.

Zindagi Guzar Rahi Hai Uske Khayalo Me,

Zindagi Guzar Rahi Hai Uske Khayalo Me,
Ajeeb Si Ek Laali Thi Us Hasin Ke Galo Me,
Socha Tha Bhool Jayenge Us Bewafa Ko Hum Lekin,
Ek Bhi Yaad Na Mit Saki Dekho Itne Saalo Me.

Jane lage tere shahar se to,

Jane lage tere shahar se to,
Tujhe alvida bhi na kah sake,
Teri sadgi itni hasin thi ki,
Tujhe bewafa bhi na kah sake.

Tanha baitha hu usi raah par kahi,

Tanha baitha hu usi raah par kahi,
Jaha tak nazar gayi tanhai ke siwa kuch nahi,
Akela na hota aaj mai is tarah,
Magar aapne jate jate hume pukara hi nahi.

Saturday, September 21, 2013

Dard gairo ko sunane ki jarurat kya hai,

Dard gairo ko sunane ki jarurat kya hai,
Apne saath auro ko rulane ki jarurat kya hai,
Waqt yuhi kam hai pyar ke liye,
Rooth kar waqt gawane ki jarurat kya hai.

Pyar wo nahi jisme jeet ya haar ho,

Pyar wo nahi jisme jeet ya haar ho,
Pyar koi chiz nahi jo har waqt saath ho,
Pyar to wo hai jisme kisi ko pane ki Ummid na ho,
Fir bhi Uske laut aane ka intezar ho.

Muskurate labo ko aansu pila diya,

Muskurate labo ko aansu pila diya,
Mohabbat ka karz usne chuka diya,
Maine kaha dil me mohabbat ki roshni kar do,
Usne isi bahane mera dil hi jala diya.

Kuch Baate Karke Wo Hume Rula Ke Chale Gaye,

Kuch Baate Karke Wo Hume Rula Ke Chale Gaye,
Hum Na Bhulenge Ye Ehsas Dila Ke Chale Gaye,
Aayenge Kab Wo Ab To Ye Dekhna Hai,
Saari Umar Bujh Rahi Hai Wo Aag Jise Jala Ke Chale Gaye.

Diwana Hum Tujhe Bhi Bana Denge,

Diwana Hum Tujhe Bhi Bana Denge,
Dil Me Hum Tere Apni Yaado Ki Sama Jala Denge,
Raho Tum Chahe Jitna Bhi Patthar Dil Ban Ke,
Par Apni Yaado Se Ek Din Tumko Zarur Rula Denge.

Tuesday, September 17, 2013

Na Kabhi Ye Bataya Ki Pyar Kitna Hai,

Na Kabhi Ye Bataya Ki Pyar Kitna Hai,
Na Kabhi Ye Jataya Ki Dard Kitna Hai,
Bas Hume Aur Rab Ko Hai Maloom,
Aapse Milne Ka Intezar Kitna Hai.

Juda Hokar Bhi Unki Hasrat Na Gayi,

Juda Hokar Bhi Unki Hasrat Na Gayi,
Uski judai Par Bhi Usse Mohabbat Na Gayi,
Wo Chale Gaye Kisi Aur Ke Saath,
Fir Bhi Aanko Ko Uske Intzar Ki Aadat Na Gayi.

Tere Naam Ka Ek Jaam Utha Liya,

Tere Naam Ka Ek Jaam Utha Liya,
Teri Yaado Se Apna Dil Bahla Liya,
Jab Bhi Hasrat Hui Tujhe Chune Ki,
Teri Tasvir Ko Sine Se Laga Liya.

Jo Wada Kiya Hai Wo Nibhana Hoga,

Jo Wada Kiya Hai Wo Nibhana Hoga,
Ek Din Laut Kar Tumhe Aana Hoga,
Dil Todkar Muskura Rahe Ho Aaj,
Dekhna Ek Din Tumhe Bhi Pachtana Hoga.

Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar,

Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar,
Tujhe Chahna Meri Bhool Thi,
Kisi Raah Par Jo Uthi Nazar,
Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi,
Wo Gali Gali Wo Shahar Shahar,
Tujhe Dhundna Meri Bhool Thi,
Mere Gam Ki Koi Dawa Nahi,
Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi,
Mera Tere Siwa Koi Aur Nahi,
Yahi Sochna Meri Bhool Thi.

Friday, September 13, 2013

Labjo ne ab chod diya hai,

Labjo ne ab chod diya hai,
Bayan karna hal-e-dil ka fasana,
Itne dhokhe khaye hai pyar me ki,
Dil ne bhi chod diya hai dil me kisi ko basana.

Dil To Tod Hi Diya Hai,

Dil To Tod Hi Diya Hai,
Ab Jala Do Aashiyana Mera,
Taaki Hum Jalkar Khaak Ho Jaye,
Na Dekh Sake Gairo Ke Sang Muskurana Tera.

Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai,

Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai,
Dil Na Chah Kar Bhi Khamosh Ho Jata Hai,
Koi Sab Kuch Kah Kar Pyar Jatata Hai,
To Koi Kuch Na Kah Kar Pyar Nibhata Hai.

Kya Gila Kare Unse Hum Bewafai Ka,

Kya Gila Kare Unse Hum Bewafai Ka,
Hum Khud Hi Laye The Mausam Tanhai Ka,
Wo To Meelo Door The Humse,
Hum Hi Picha Karte Rahe Unki Parchai Ka.

Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gayi,

Bewafai Ki Ye Inteha Ho Gayi,
Ki Tujhse Juda Ho Kar Bhi Jeene Ki Aadat Ho Gayi,
Tum Laut Ke Aaoge Hum Se Milne,
Roz Dil Ko Bahlane Ki Aadat Ho Gayi.

Tuesday, September 10, 2013

Itna Chaha Ki Use Bhula Na Sake,

Itna Chaha Ki Use Bhula Na Sake,
Itna Paas Aaye Ki Door Ja Na Sake,
Ab Tanhaiyo Me Baithe Yahi Sochte Hai,
Kyu Chaha Usko Jise Pa Na Sake.

Ae Maut Tujhe Gale Lagana Chahta Hu,

Ae Maut Tujhe Gale Lagana Chahta Hu,
Kitni Wafa Hai Tujh Me Aazmana Chahta Hu,
Logo Ne Bahut Rulaya Hai Mujhe,
Tera Saath Mile To Logo Ko Rulana Chahta Hu.

Zikar unka hai mere fasane me,

Zikar unka hai mere fasane me,
Jinko jaan se zyada chaha zamane me,
Tanhai me unhi ki yaad ka sahara mila,
Nakamiyab rahe jinko hum bhulane me.

Tadapti hai ye sanse har pal teri judai me,

Tadapti hai ye sanse har pal teri judai me,
Pareshan hai ye dil har taraf faili tanhai me,
Na jane ki tamanna hai na koi khwabo ka basera hai,
Bejaan ban gaya hai ye dil teri ruswai me.

Na Meri Koi Manzil Hai Na Kinara,

Na Meri Koi Manzil Hai Na Kinara,
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaade Mera Sahara,
Tumse Bichad Ke Kuch Yu Waqt Guzara,
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara.

Sunday, September 8, 2013

Tanhai mere dil me samati chali gayi,

Tanhai mere dil me samati chali gayi,
Kismat bhi apna khel dikhati chali gayi,
Mahki hui fiza me dekha jo pyar ko,
Bas yaad usi ki aayi or rulati chali gayi.

Jinki Aankhe Anshu Se Nam Nahi,

Jinki Aankhe Anshu Se Nam Nahi,
Tum Kya Samjhte Ho Unhe Koi Gam Nahi,
Tum Tadap Ke Ro Diye To Kya Hua,
Gam Chupa Ke Hasne Wale Bhi Kuch Kam Nahi.

Aisi bewafai ki usne ki,

Aisi bewafai ki usne ki,
Mohabbat bhi badnam ho gayi,
Apni mohabbat ki itni kismat wasul ki usne,
Ki hamari arthi bhi nilaam kar gayi.

Kisi Ko Aankho Me Basa Ke Dekha Tha,

Kisi Ko Aankho Me Basa Ke Dekha Tha,
Kisi Ko Dil Me Baitha Ke Dekha Tha,
Ab Tak Ruke Nahi Hai Aansu,
Ek Bewafa Se Dil Laga Ke Dekha Tha.

Ye na socha tha ki wo tanhaiya de jayenge,

Ye na socha tha ki wo tanhaiya de jayenge,
Zindagi bhar ke liye viraniya de jayenge,
Humne chodi jiski khatir mehfilo ki raunake,
Kya khabar thi hume wo tanhaiya de jayenge.

Tuesday, September 3, 2013

Tanha rahna sikh liya humne,

Tanha rahna sikh liya humne,
Par khush kabhi na rah payenge,
Teri doori sahna sikh liya humne,
Par tere pyar ke bina jee na payenge.

Har Shaam Se Tera Izhar Kiya Karte Hai,

Har Shaam Se Tera Izhar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere Jo,
Har Waqt Tere Milne Ka Intzar Kiya Karte Hai.

Mohabbat bewafa ke siwa kuch bhi nahi,

Mohabbat bewafa ke siwa kuch bhi nahi,
Duniya gam ke siwa kuch bhi nahi,
Unke paas hamare siwa sab kuch hai,
Par hamare paas unke siwa kuch bhi nahi.

Aaj ye tanhai ka ehsaas kuch had se zyada hai,

Aaj ye tanhai ka ehsaas kuch had se zyada hai,
Tere sang na hone ka malaal kuch had se zyada hai,
Fir bhi kaat rahe hai ye jiye jane ki saza yahi soch kar,
Shayad is zindagani me mere gunaah kuch had se zyada hai.

Dil Dukhaya Hai Tumne Humara,

Dil Dukhaya Hai Tumne Humara Ab Rahat Nahi Milti,
Is Dil Ko Ab Kisi Aur Ki Chahat Nahi Milti,
Bebas Hokar Ab Hum Kare Bhi Kya,
Marne Ke Siwa Aur Koi Saja Nahi Milti.