Friday, October 26, 2012

Wo Jab Se Muje Zyada Satane Lage,

Wo Jab Se Muje Zyada Satane Lage,
Hum Bhi Unse Door Jane Lage,
Humari Rooh Ko Kabar Bhi Nasib Nahi Hui,
Wo Khushiya Meri Maut Ki Manane Lage.

Har Naye Mod Par Sham Ho Jati Hai,

Har Naye Mod Par Sham Ho Jati Hai,
Zindgi Pyar Me Badnaam Ho Jati Hai,
Kaise Dekhu MaI Kal Ke Sapne,
Har Khusi Poori Hone Se Pehle Nilam Ho Jati Hai.

Dil Se Dur Jinhe Hum Kar Na Sake,

Dil Se Dur Jinhe Hum Kar Na Sake,
Paa Kar Unhe Hum Pa Na Sake,
Mita Diya Pyar Jisne Hamara Dil Se,
Hum Unka Naam Likh Ke Bhi Mita Na Sake.

Har chand mile har sitara mile,

Har chand mile har sitara mile,
Har kadam pe aapko sahara mile,
Zindgi me kabhi akele na raho aap,
Kuch hum jaise mile aur koi humse bhi pyare mile.

Zindagi me kabhi pyar mat karna,

Zindagi me kabhi pyar mat karna,
Ho jaye to inkar mat karna,
Nibha sako to chalna usi ki rah par,
Warna kisi ki zindagi barbad mat karna.

Kya had hai mere pyar ki uske liye,

Kya had hai mere pyar ki uske liye,
Muze pata hota to use btata zaroor,
Kya ahmiyat hai uski meri zindagi me,
Mai samz pata to use samzata zaroor,
DiL me basi hai uski tasveer kab se,
DiL chir pata to use dikhata zaroor,
Kaash mai apni jaan dekar use,
Apni mohabbat Ka ahsas kara pata,
To apni sanso ko rok use yakin dilata zaroor.

Hume izhaar karna nahi aaya,

Hume izhaar karna nahi aaya,
Unhe pyar karna nahi aaya,
Hum bas dekhte hi reh gaye,
Aur waqt ko thamna nahi aaya,
Wo chalte chalte itne door chale gaye,
Hume rokna bhi nahi aaya.

Nazar ko nazar ki khabar na lage,

Nazar ko nazar ki khabar na lage,
Koi accha bhi is kadar na lage,
Aapko dekha hai bas us nazar se,
Jis nazar se aapko nazar na lage.

Na jane kyu apno ne muh mod liya,

Na jane kyu apno ne muh mod liya,
Kis tarah hamse fir rishta tod diya,
Kya itna dil dukha diya maine aapka,
Jo dheere dheere mujhko yad karna chod diya.

Rona padta hai ek din muskurane ke baad,

Rona padta hai ek din muskurane ke baad,
Yad aate hai wo dur jane ke baad,
Dil to dukhta hi hai uske liye,
Jo apna na ho sake itni mohabat jatane ke baad.

Thursday, October 25, 2012

Kahi Aaj Jashan Ki Taiyariya Hongi,

Kahi Aaj Jashan Ki Taiyariya Hongi,
Aur Yaha Mai Tanhai Me Usko Yaad Kar Raha Hu,
Wo Apne Shohar Sang Khusi Ke Geet Gayegi,
Aur Mai Yaha Uske Gum Me Pal Pal Mar Raha Hu,
Wo Aaj Ke Din Hi To Judi Thi Kisi Naye Hamsafar Ke Sath,
Aur Ek Mai Hu Jo Uske Baad Thoda Thoda Bikhar Raha Hu,
Use To Shayad Ab Mera Naam Bhi Yaad Na Ho,
Aur Ek Mai Hu Jo Uski Salamti Ki Aaj Bhi Dua Kar Raha Hu.

Ye Zindgi Bhi Kya Ajib Khel Khelti Hai,

Ye Zindgi Bhi Kya Ajib Khel Khelti Hai,
Pal Me Hasati Hai Or Pal Me Rulati Hai,
Pyar Se Milna Fir Dokha De Jana Or Fir,
Hamesha Ke Liye Use Rota Hua Chod Jana,
Haste Ko Rulana, Mile Ko Alag Karna Aur,
Sukhi Ko Dukhi Karna,
Phoolo Ki Bate Karke Kanto Ko Pakda Jana,
Ye Zindgi Bhi Khud Se Pyar Karna Sikhati Hai,
Fir Khud Se Hi Dur Bhag Jane Ko Kahti Hai,
Tang Aa Gya Hu Mai Is Sali Zindgi Se,
Aisi Bhi Koi Zindgi Hai Kaisi Ye Zindgi Hai.

Ishq Se Milti Hai Jo Tanhaiya,

Ishq Se Milti Hai Jo Tanhaiya,
Hum Kaise Unka Dard Bayan Karenge,
Ek Se Hi Mohabbat Itni Kar Li Hai,
Ki Auro Se Ab Mohabbat Kya Karenge.

Wo Kahte Hai Humse Ki,

Wo Kahte Hai Humse Ki,
Saari Raat Aap Hume Sone Nahi Dete,
Hum Kahte Hai Ki Aapka Noor Hi Aisa Hai Ki,
Aap Hamari Raat Hone Hi Nahi Dete.

Aap se door ho kar hum jayenge kaha,

Aap se door ho kar hum jayenge kaha,
Aap jaisa dost hum payenge kaha,
Dil ko kaise bhi sambhal lenge,
Par aankho ke aansu hum chupayege kaha.

Wednesday, October 24, 2012

Meri Aankho Me Jo Tasveer Basi Hai,

Meri Aankho Me Jo Tasveer Basi Hai,
Us Tasveer Me Hi Meri Duniya Basi Hai,
Kis Tarah Juda Kar Du Usko Apni Aankho Se,
Mohabbat Ki Duniya Mujhe Usi Me Hi Mili Hai.

Talaash Karo Koi Tumhe Mil Jayega,

Talaash Karo Koi Tumhe Mil Jayega,
Magar Hamari Tarha Tumhe Kaun Chahega,
Zarur Koi Chahat Ki Nazar Se Tumhe Dekhega,
Magar Aankhe Hamari Kahan Se Layega.

Aansuo Ko Pee Kar Hasna Seekha Hai,

Aansuo Ko Pee Kar Hasna Seekha Hai,
Khud Ko Kho Kar Pana Seekha Hai,
Apno Ne To Dil Har Pal Toda Hai,
Par Humne Usi Dil Ko Jodna Seekha Hai.

Thukra De Koi To Dil Toot Jata Hai,

Thukra De Koi To Dil Toot Jata Hai,
Tod Deti Hai Yade Jab Koi Apna Hi Samjh Nahi Pata Hai,
Sach Kahte Hai Duniya Wale,
Insan Dimaag Se Nahi Dil Se Haar Jata Hai.

Dil Paraya Ho Sakta Hai Preet Nahi,

Dil Paraya Ho Sakta Hai Preet Nahi,
Dariya Gehra Hai Paani Nahi,
Hum To Hamesha Aapka Sath Denge,
Qki Pyar Ek Tarfa Ho Sakta Hai Par DOSTI Nahi.

Jab Hui Thi Mohabbat To Laga Ki,

Jab Hui Thi Mohabbat To Laga Ki,
Kisi Acche Kaam Ka Asar Hai,
Par Ye Na Thi Khabar Hume Ki,
Gunaho Ki Ek Aisi Bhi Sazaa Hoti Hai.

Koi Rutha Hua Dost Aaj Bahut Yaad Aaya,

Koi Rutha Hua Dost Aaj Bahut Yaad Aaya,
Ek Gujra Hua Waqt Aaj Bahut Yaad Aaya,
Chupa Leta Tha Jo Mere Dard Ko Apne Sine Me,
Aaj Fir Dard Hua To Wo Bahut Yaad Aaya.

Kya Batau Mera Haal Hai Kaisa,

Kya Batau Mera Haal Hai Kaisa,
Ek Din Guzarta Hai Ek Saal Jaisa,
Tadapta Hu Is Kadar Bewafayi Me Uski,
Ye Tan Banta Ja Raha Hai Kankaal Jaisa.

Bada Ajeeb Sa Zehar Tha Uski Yaado Me,

Bada Ajeeb Sa Zehar Tha Uski Yaado Me,
Umar Guzar Gayi Mujhe Marte Marte.

Ye Kafan Ye Qabar Ye Janaze,

Ye Kafan Ye Qabar Ye Janaze,
To Rasm-E-Shariyat Hai,
Mar To Insan Tab Hi Jata Hai,
Jab Yaad Karne Wala Koi Na Ho.

Saturday, October 20, 2012

Dard Ko Dard se na Dekho,

Dard Ko Dard se na Dekho,
Dard Ko Bhi Dard Hota Hai,
Dard Ko Bhi Zaroorat Hai Pyar Ki,
Akhir Pyar Hi To Dard Me Hamdard Hota hai.

Maut Ka Aalam Dekh Kar To,

Maut Ka Aalam Dekh Kar To,
Zameen Bhi Do Gaz Jagah Deti Hai,
Ae Dosto Fir Ye Insan Kya Cheez Hai,
Jo Zinda Rehne Par DiL Me Jagah Nahi Deta.

Shab-E-Tanhai Kat Hi Jaayegi,

Shab-E-Tanhai Kat Hi Jaayegi,
Itne Bhi Ham Majboor Nahi,
Dohra Ke Teri Baaton Ko,
Kabhi Hans Lenge Kabhi Ro Lenge.

Ae Mera Janaza Uthane Walo,

Ae Mera Janaza Uthane Walo,
Dekho Koi Bewafa Paas Na Ho,
Agar Ho To Kehna Use...
Aaj To Khushi Ka Din Hai,
Aaj Ke Din Udaas Na Ho.

Kashti Bahti Hai Kinare Ki Talash Me,

Kashti Bahti Hai Kinare Ki Talash Me,
Log MiLte Hai Pyar Ki Aas Me,
Hum Mil Nai Sakte Aapse,
Mgar Waqt To Bitate Hai Aapki Yaad Me.

Friday, October 19, 2012

Jo Jitna Dur Hota Hai Nazaro Se,

Jo Jitna Dur Hota Hai Nazaro Se,
Utna Hi Wo Dil Ke Paas Hota Hai,
Muskil Se Bhi Jiski Ek Jalak Dekhne Ko Na Mile,
Wahi Zindgi Me Sabse Khaas Hota Hai.

Apna Bhi Koi Ek Din Intejar Karega,

Apna Bhi Koi Ek Din Intejar Karega,
Ankho Hi Ankho Me Koi Izhar Karega,
Kya Hua Yaar Aaj Akela Hai Hum,
Par Kabhi Koi Hum Se Bhi Pyar Karega.

Tanha Ho Kabhi To Mujhko Dhundna,

Tanha Ho Kabhi To Mujhko Dhundna,
Duniya Se Nahi Apne Dil Se Puchna,
Aas Pas Hi Kahi Base Rahte Hai Hum,
Yaado Se Nahi Saath Guzare Lamho Se Puchna.

Kaanch Ka Tohfa Na Dena Kabhi,

Kaanch Ka Tohfa Na Dena Kabhi,
Ruth Kar Log Tod Diya Karte Hai,
Jo Bahut Acche Ho Unse Pyar Mat Karna,
Aksar Acche Log Hi Dil Tod Diya Karte Hai.

Sataoge Humko Rulaoge Humko,

Sataoge Humko Rulaoge Humko,
Magar Kis Tarah Bhula Paoge Humko,
Khuda Jane Kya Haal Hoga Tumhara,
Jab Kafan Me Lipta Paoge Humko.

Thursday, October 18, 2012

Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai,

Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai,
Kuch Anjane Bhi Apne Ban Jate Hai,
Kuch Lasho Ko Kafan Nasib Nahi Hota,
To Kuch Lasho Par Tajmahal Ban Jate Hai.

Mana Ki Aaj Hum Akele Reh Gaye,

Mana Ki Aaj Hum Akele Reh Gaye,
Judai Ke Aansu Ankho Se Beh Gaye,
Rote Hue Ko Kaun Chup Karaega,
Jo Chup Karate The Wo Hi Rone Ko Keh Gaye.

Bus Ek Zara Khyal Dosti Ka Tha,

Bus Ek Zara Khyal Dosti Ka Tha,
Warna Bahut Gila Teri Berukhi Ka Tha,
Mujhe Laga Mai Teri Zindgi Me Hu,
Par Ye To Dhoka Meri Zindgi Ka Tha.

Kya Mila Pyar Me Zindgi Ke Liye,

Kya Mila Pyar Me Zindgi Ke Liye,
Roz Aansu Piye Hai Kisi Ke Liye,
Wo Ghairo Me Khushiya Manate Rahe,
Hum Tadapte Rahe Ek Hansi Ke Liye.

Mile To Hazaro Log The Zindagi Me yaaro,

Mile To Hazaro Log The Zindagi Me yaaro,
Wo Sab Se ALag Thi Jo Kismat Me Nahi Thi.

Wednesday, October 17, 2012

Thak Gye Hum Unka Intzar Karte Karte,

Thak Gye Hum Unka Intzar Karte Karte,
Roye Hazar Baar Khuda Se Taqrar Karte Karte,
Do Lafz Zuban Se Na Nikle Aur,
Toot Gaye Hum Ek Tarfa Pyar Karte Karte.

Kitna Dur Nikal Gye Riste Nibhate Nibate,

Kitna Dur Nikal Gye Riste Nibhate Nibate,
Khud Ko Kho Diya Humne Apno Ko Pate Pate,
Log Kahte Hai Dard Hai Mere Dil Me,
Aur Hum Thak Gye Muskurate Muskurate.

ISHQ Ne Hum Par Ye Ilzam Lagaya Hai,

ISHQ Ne Hum Par Ye Ilzam Lagaya Hai,
Wafa Kar ke Bhi Bewafa Ka Naam Aaya Hai,
Raahe Alag Nahi Thi Humari Fir Bhi,
Humne Alag-Alag Manzil Ko Paya Hai.

Sath Chalte-2 Kuch Log Chod Jate Hai,

Sath Chalte-2 Kuch Log Chod Jate Hai,
Azmake Humko Door Ho Jate Hai,
Kya Aap Bhi Shamil Ho Us Bheed Me,
Jaha Log Apna Kehte Hai Or Fir Bhul Jate Hai.

Uske Ishq Me Mai Behosh Tha,

Uske Ishq Me Mai Behosh Tha,
Fariste Le Gate Tab Kuch Hosh Tha,
Rub Ne Bhi Saza Sunayi Maut Ki,
Bus Ek DiL Churane Ka Hi Dosh Tha.

Monday, October 15, 2012

Unki Aankho Me Wafa Dekhi Thi,

Unki Aankho Me Wafa Dekhi Thi,
Mahakte Phoolo Ki Ada Dekhi Thi,
Ye Na Socha Tha Ki Wo Bewafa Hogi,
Usme to Besumar Mohabbt Ki Inteha Dekhi Thi.

Zarre-Zarre Me Jiski Noor Thi,

Zarre-Zarre Me Jiski Noor Thi,
Meri Mohabbat Se wo koso Door Thi,
Rote Rahe Jiske Liye Virano Me Tanha,
Wo Kisi Aur ki Mohabbat Me Choor Thi.

Roz kisi ka intzaar hota hai,

Roz kisi ka intzaar hota hai,
Roz ye dil udas hota hai,
Kash ki koi ye samjh pata ki,
Chup rahne walo ko bhi kisi se pyar hota hai.

Jis Din Tumse Di Laga Baithe,

Jis Din Tumse Di Laga Baithe,
Tanhai Me Gumo Ki Mehfi Saza Baithe,
Tum To Kho Gaye Dunia Ki Bheed Me,
Aur Hum Apni Dunia Me Aag Laga Baithe.

Bahut Keemti Hai Nigahe Teri,

Bahut Keemti Hai Nigahe Teri,
To Tera Ashko Ka Aalam Kya Hoga,
Hum To Teri Berukhi Pe Hi Mar Mite,
To Teri Muhabbat Ka Aalam Kya Hoga.

Sunday, October 14, 2012

Wo Saath Rahte The Aur Kahte The,

Wo Saath Rahte The Aur Kahte The,
Hum Me Kabhi Judai Na Pad Jaye,
Aaj Wo Paas Se Aise Gujre Dosto,
Jaise Ki Kahi Un Par Hmari Parchai Na Pad Jaye.

Tanhai Me Akelapan Saha Jayega,

Tanhai Me Akelapan Saha Jayega,
Lekin Mehfil Me Akele Raha Na Jayega,
Apka Saath Na Ho To Bhi Jee Lenge,
Par Sath Aapke Koi Aur HoTo Saha Na Jayega.

Is Tarah Ret Par Ungliya Chlate Hai Wo,

Is Tarah Ret Par Ungliya Chlate Hai Wo,
Har Baar Tashvir Meri Banate Hai Wo,
Idhar Hum Unke Liye Tanha Hai,
Udar Tsvir Ko Bhi Tanha Chod Jate Hai Wo.

Dard ka ehsas janna hai to pyar kar ke dekho,

Dard ka ehsas janna hai to pyar kar ke dekho,
Apni aankho me kisi ko utar kar dekho,
Chot unko lagegi aansu tumhe aa jayenge,
Ye ehsas janna ho to dil haar kar dekho.

Sau Baar Chaman Mehka Sau Baar Bahaar Aayi,

Sau Baar Chaman Mehka Sau Baar Bahaar Aayi,
Duniya Ki Wahi Raunak Dil Ki Wahi Tanhaai,
Ye Raat Ki Khamoshi Ye Aalam-E-Tanhai,
Fir Dard Utha Dil Me Fir Teri Yaad Aayi.

Friday, October 12, 2012

Vishwas ek chota sa shabd hai,

Vishwas ek chota sa shabd hai,
Jiske mayne samjho to bahut hai,
Par muskil ye hai ki logo ko viswas par shak hai,
Aur apne shak par viswas hai.

Kabhi kabhi to ro padhti hai yu hi aankhe,

Kabhi kabhi to ro padhti hai yu hi aankhe,
Udaas hone ka koi sabab nahi hota,
Mai apne dil ko ye baat kaise samjhau,
Kisi ko chahne se koi apna nahi hota.

Bas ye hi gila hai Zindgi se,

Bas ye hi gila hai Zindgi se,
Hume kya mila hai Zindgi se,
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hai,
Sitam jaane kya kya humne uthaye hai,
Andhere hi andhere hai roshni nahi hai,
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai,
Sabke sangi saathi hai sab khushi se ji rahe hai,
Zahar ye judai wala bas hum hi pee rahe hai,
Har koi hans raha meri aankho me hi paani hai,
Meri barbadiyo ki ye jaise koi nishani hai,
Bas ye hi gila hai Zindgi se,
Hume kya mila hai Zindgi se.

Dukho Ke Saye Me Zindgi Guzari Maine,

Dukho Ke Saye Me Zindgi Guzari Maine,
Fir Bhi Khush Reh Kar Khud Ko Saza Di Maine,
Dukh Sehne Ki Aadat Si Pad Gayi Hai Mujhko,
Is Dukh Se Jaise Dosti Kar Li Hai Maine,
Mere Dukho Ko Aaj Tak Samjh Na Saka Koi,
Fir Bhi Kisi Se Umeed Lagayi Hai Maine,
Usne Mere Dukho Ko Ek Bahana Samjha,
Fir Bhi Uske Berukhi Ko Apna Liya Maine,
Apne Ansu Or Gam Le Kar Kahan Jau,
Jiske Sath Ye Sab Banta Tha Use Hi Kho Diya Maine.

Bhar aayi meri aankhe jab uska naam aaya,

Bhar aayi meri aankhe jab uska naam aaya,
Ishq nakaam sahi fir bhi bahut kaam aaya,
Hamne MOHABBAT me aisi bhi guzari raate,
Jab tak aansu na bahe DIL ko na araam aaya.

Thursday, October 11, 2012

Wafa ko aazmana chahta hu,

Wafa ko aazmana chahta hu,
Tumhe mai bhool jana chahta hu,
Par mujhe batao mai kya karu,
Tumko mai bhool nahi pata hu,
Aisa tumne kya jadoo kiya hai mujh pe,
Jaha bhi jau bas tumko hi pata hu.

Is dil ko kisi ki aahat ki aas rahati hai,

Is dil ko kisi ki aahat ki aas rahati hai,
Nigaho ko kisi soorat ki pyas rahti hai,
Tere bina zindagi me kami to nahi,
Fir bhi tere bina zindagi udas rahti hai.

Zindagi se sabhi ko mohabbat hai,

Zindagi se sabhi ko mohabbat hai,
Par zindagi kisi ki mehboob nahi banti,
Tamana lekar jeete hai sab log,
Magar har tamana takdeer nahi banti.

Mana ki aaj hamare saath koi dil daar nai,

Mana ki aaj hamare saath koi dil daar nai,
Lekin ye mat samajhna ki hame kisi se pyar nahi,
Kismat ne sab kuch diya hume,
Sirf diya hamara wo yaar nahi.

Dil me jo hai wo hontho pe aati nahi,

Dil me jo hai wo hontho pe aati nahi,
Isliye lab kabhi muskurate nahi,
Aankhe neer bhate nahi,
Nigahe dhoondti hai sirf us nigah ko,
Jis nigah me mera intejar kabhi tha hi nahi.

Wednesday, October 10, 2012

Hontho Ki Zuban Ye Aansu Kahte Hai,

Hontho Ki Zuban Ye Aansu Kahte Hai,
Jo Chup Rahte Hai Lekin Fir Bhi Bahte Hai,
Aur In Aansu Ki Kismat To Dekhiye,
Ye Unke Liye Bahte Hai Jo In Ankho Me Rahte Hai.

Judai me har dil rota hai,

Judai me har dil rota hai,
Milne ki har aas me jalata hai,
Pyar me kabhi koi juda nahi hota,
Wo to hoti hai majbooriya,
Ki unko saccha pyar nasib nahi hota.

Koi Marham Na is dil ke kaam aata hai,

Koi Marham Na is dil ke kaam aata hai,
Ek hawa Ka jhonka Dard Bada Jata hai,
Dosti jitni Puraani ho Utni Hi behtar hai,
Har Naya Dost Ek Naya Zkham Laga jata hai.

Dard ko zakam ne seencha hai,

Dard ko zakam ne seencha hai,
Humko unki mohabbat ne roka hai,
Chal diye hote hum bhi apni duniya me,
Kambakt unki bebasi ne roka hai.

Pyar ka to dushman zamana hai,

Pyar ka to dushman zamana hai,
Har aashiq k pyar ka apna hi fasana hai,
Sabko pata hai Aansu hi milte hai pyar me,
Fir Bhi na jane kyu har koi pyar me Deewana hai.

Sunday, October 7, 2012

Puri Tarah Se Aaj DiL Toot Gaya Mera,

Puri Tarah Se Aaj DiL Toot Gaya Mera,
Humsafar Mujhse Jab Rooth Gaya Mera,
Gam Ke Baadal Yu Chaye Hue The,
Aankho Se Hui Barish Sab Doob Gya Mera.

Mai kaise shikwa karu wo nadan hai bahut,

Mai kaise shikwa karu wo nadan hai bahut,
Udas kar ke mujhe khud bhi pareshan hai bahut,
Kahne ko wo mere dil ke kareeb hai,
Lekin fasla ab tak humare darmiyan hai bahut.

Yu Khuli Palke Jhuka Dene Se Neend Nahi Aati,

Yu Khuli Palke Jhuka Dene Se Neend Nahi Aati,
Sote Wo Log Hai Jin Ke Liye Koi Jaag Raha Ho.

Tum Bhi Kar Ke Dekh Lo Mohabbat Kisi Se,

Tum Bhi Kar Ke Dekh Lo Mohabbat Kisi Se,
Jan Loge Ki Ham Muskurana Kyu Bhul Gaye.

Tum to bas waqt ki zarorat ho,

Tum to bas waqt ki zarorat ho,
Mujh ko aakhir bata diya usne,
Apne haatho se likh ke mujhe jaan,
Jane fir kyu mita diya usne.

Khud ko mujh se juda kiya usne,

Khud ko mujh se juda kiya usne,
Jo na karna tha wo kiya usne,
Yaad karne se bhi na yaad aau,
Aisa mujh ko bhula diya usne.

Wo mujhe zaher dekar maarte,

Wo mujhe zaher dekar maarte,
To duniya ki nazaro me aa jate,
Andaz-E-Qatal to dekho,
Bepanah chaha aur chod diya.

Ek pal me unse mohabbat hui,

Ek pal me unse mohabbat hui,
Na chate hue bhi mulakat hui,
Nahi chahte the unse door hona,
Par fir unki kismat ruthi aur jite jee humari maut hui.

Kabhi Chup Bhi Rehkar Dekho,

Kabhi Chup Bhi Rehkar Dekho,
Kabhi Aansu Bhi Pikar Dekho,
Roshni Nahi Humesha Sath Rehti,
Kabhi Andhero Ko Humsafar Bhi Bana Kar Dekho.

Kitna muskil hai ye zindagi ka safar,

Kitna muskil hai ye zindagi ka safar,
Khuda ne marna haram kiya aur logo ne Jeena.

Saturday, October 6, 2012

Din Nahi Ab Raat Se Dar Lagta Hai,

Din Nahi Ab Raat Se Dar Lagta Hai,
Ghar Hai Kaccha Barsat Se Dar Lagta Hai,
Kisi Ne Tohfe Me Khoon Ke Aansu Diye,
Ab Mujhe Pyar Ki Baat Se Dar Lagta Hai.

Fiza Me Mahekti Shaam Ho Tum,

Fiza Me Mahekti Shaam Ho Tum,
Sagar Me Chalakta Jaam Ho Tum,
Sine Me Liye Firta Hu Yaad Tumhari,
Meri Zindagi Ka Dusra Naam Ho Tum.

Chal diye woh Humko bhulakar,

Chal diye woh Humko bhulakar,
Bhari mehfil Me Humko rulakar,
Ab to aur nikhar Gaye Hai wo,
Kajal jo Lagaya Hai mere dil Ko jalakar.

Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The,

Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The,
Ujale Me Bhi Shor Machaya Karte The,
Usi Ne Jala Diya Mere Hatho Ko,
Jis Diye Ko Hum Hawa se Bachaya Karte The.

Chup Kar Baitha Hu...

Chup Kar Baitha Hu Teri Ankho Me Ansu Bankar,
Tu Yaad To Kar Muje DiL se, Usi WaqT ChaLa Aaunga.

Friday, October 5, 2012

Kudrat Ki Fitrat Me Agar Rat Na Hoti,

Kudrat Ki Fitrat Me Agar Rat Na Hoti,
To Khyalo Me Bhi Unse Mulakat Na Hoti,
Har Gum Ki Waja Hai Ye Dil,
Ye Dil Hi Na Hota To Koi Bat Hi Na Hoti.

Be Irada Rona Chod Diya Hai,

Be Irada Rona Chod Diya Hai,
Aansuo Se Dostana Tod Diya Hai,
Ab Sambhal Liya Hai Khud Ko,
Kyu Ki Logo Ne Bhi Sahara Dena Chod Diya Hai.

Aansuo Se Chehre Pe Lakir Ban Gayi,

Aansuo Se Chehre Pe Lakir Ban Gayi,
Chaha Tha Jise Wo Meri Takdir Ban Gayi,
Mai Yun Hi Ghumane Laga Ungliyan Ret Par,
Na Jane Kaise Teri Tasveer Ban Gayi.

Jahan Mujhse Kinara Kar Raha Tha,

Jahan Mujhse Kinara Kar Raha Tha,
Mai Khwabo Par Gujara Kar Raha Tha,
Samajh Me Nahi Aa Raha Tha Ki,
Pyar Ka Wo Samandar Kya Ishara Kar Raha Tha.

Kahte Hai Wo Majbur Hai Hum,

Kahte Hai Wo Majbur Hai Hum,
Na Chahte Hue Bhi Door Hai Hum,
Chura Li Hai Unhone Dhadkane Humari,
Fir Bhi Kahte Hai Bekasoor Hai Hum.

Thursday, October 4, 2012

Use apni zid ki fikar thi,

Use apni zid ki fikar thi,
Mujhe apni aan ka khayal tha,
Na mil sake hum fir kabhi,
Wo hamari mohabbato ka sawal tha,
Mere liye us ka sath hi sab kuch tha,
Uske liye ye sab mazaq tha,
Use bas apni manzilo ki fikar thi,
Yaha meri zindagi ka sawal tha.

Kitne itminaan se wo thukra gayi mujhe,

Kitne itminaan se wo thukra gayi mujhe,
Aansu bana ke aankh se tapka gayi mujhe,
Kaisi ye rehbari thi ye kaisa fareb tha,
Manzil dikha ke raah se bhatka gayi mujhe,
Khamosh nigaho se kahani suna gayi,
Lafzo ke har fair me atka gayi mujhe,
Mujh ko bhi bachpan ka sa ek mzaaq samaj ke,
Choti si ek hansi me uda gayi mujhe,
Do din me uske dil se mohabat utar gayi,
Aur do hi din me yaad se mita gayi mujhe.

Suna hai tumko koi or bhi chahne laga hai,

Suna hai tumko koi or bhi chahne laga hai,
Humne agar toot ke na chaha to uske ho jana,
Humne tumhari yaad me ansuo ka dariya baha diya,
Uski aankh me nami bhi aa jaye to uske ho jana,
Hamne tumhari khatir khud ko jala diya,
Usne agar apna pehlu bhi jala liya to uske ho jana,
Humne tumari khatir apni neende kurbaan ki,
Usne agar ek shab bhi tumhare naam ki to uske ho jana.

Kabhi yaad me unki hansta hu kabhi rone lagta hu,

Kabhi yaad me unki hansta hu kabhi rone lagta hu,
Us ki baato me kho kar jane kyu us ka hone lagta hu,
Har shaam khayalo me jane kyu uski tasveer banata hu,
Lekin wo meri nahi hai jane ye kyu bhool jata hu,
Mai us ke pyar ke kaabil nahi hu bas yahi baat hai,
Duaa me usko mangu na itni meri aukaat hai,
Mai usko haar ke bhi jeet lunga Haa us se bas itna kahunga,
Kuch aur mai na ab karunga bas uski yaado me khoya rahunga,
Har pal tera bheja hua geet gungunata hu,
Wo meri nahi hai jane ye kyu bhool jata hu,
Zindagi me tum par hi to yakeen tha tera hi sapna tha,
Saari duniya gair thi ek tu hi to apni thi,
Kabhi jo baithe baithe tera khawab ankho me sajata hu,
Wo meri nahi hai jane ye kyu bhool jata hu.

Judai aapki rulati rahegi,

Judai aapki rulati rahegi,
Yaad aapki aati rahegi,
Pal pal jaan jaati rahegi,
Jab tak jism me hai jaan,
Har saans mohabbat nibhati rahegi.

Wednesday, October 3, 2012

Hakiqat Me Zindgi Jina Asaan Nahi,

Hakiqat Me Zindgi Jina Asaan Nahi,
Khusi Or Gam Pal Do Pal K Mahman Nahi,
Dukh Me Bhi Hasna Sikh Lo Saathi,
Har Pal Sukh Milna Itna Aasaan Nahi.

Kalam Chalti Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hu,

Kalam Chalti Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hu,
Gam Aur Judai Ke Andaz-E-Bayaan Likhta Hu,
Rukte Nahi Hai Meri Aankho Se Aansu,
Mai Jab Bhi Uski Yaad Me Alfaz Likhta Hu.

Aapki NashiLi Yaado Me Doob Kar,

Aapki NashiLi Yaado Me Doob Kar,
Humne IshQ Ki Gehrai Ko Samjha,
Aap To De Rahe The Dhokha Aur,
Humne Jan Kar Bhi Kabhi Aapko Bewafa Na Samjha.

Khamosh Palo Me Ishara Rahega,

Khamosh Palo Me Ishara Rahega,
Bejuban Aankho Me Ek Nazara Rahega,
Jab Bhi Girenge Aapki Palko Se Aansu,
Unhe Thamne Me Ek Haath Hamara Rahega.

Aankho se toote hai sitare to kya hua,

Aankho se toote hai sitare to kya hua,
Chalte nahi wo saath humare to kya hua,
Toofan ki zad me azm mere saath saath tha,
Kashti ko mil sake na kinara to kya hua,
Tanhaiyo ne mujh ko gale se laga liya,
Wo ban sake na dil se hamare to kya hua,
Sau hausle hamare kadam chumte hai,
Kuch be-sukoon raat guzare to kya hua,
Manzil bhi karwaa bhi musafir bhi khud raha,
Saathi bane na hamare chaand sitare to kya hua.