Monday, January 28, 2013

Duniya Ne Mere Ishq Ko Badnam Kar Diya,

Duniya Ne Mere Ishq Ko Badnam Kar Diya,
Meri Tamam Hasrato Ko Nakaam Kar Diya,
Wo Badan Jo Kabhi Meri Baaho Ka Jannat Tha,
Us Badan Ko Gair Ke Naam Kar Diya.

Dil tootega to fariyaad karoge tum bhi,

Dil tootega to fariyaad karoge tum bhi,
Hum na rahe to hame yaad karoge tum bhi,
Aaj kehte ho hamare paas waqt nahi,
Par ek din mere liye waqt barbaad karoge tum bhi.

Chahe mujrim smjhe ya koi gunahgar hame,

Chahe mujrim smjhe ya koi gunahgar hame,
Saaf kahte hai ki ek shakhs se hai pyar hame,
Dil diya hai kisi ko to mukrna kaisa,
Pyar kiya hai to halaat se darna kaisa,
Apne is jurm ka iqraar hai sau baar hame,
Saaf kehte hai ek shakhs se hai pyar hame.

Mujhe Har Baat Pe Yu Ladna Accha Nahi Lagta,

Mujhe Har Baat Pe Yu Ladna Accha Nahi Lagta,
Accha Lagta Hai Ladne Ke Baad Tera Pyar Jatana,
Aansu Apni Aankh Ka Girane Me Taklif Hoti Hai,
Magar Accha Lagta Hai Tera Mujhe Rota Dekh Gale Se Lagana,
Bhool Karne Ki Meri Aadat To Nahi Galti Karta Hu Kyu Ki,
Accha Lagta Hai Tera Har Baat Pe Mujhe Samjhana,
Mera Dil Nahi Kahta Ki Teri Baate Na Maanu Magar Kya Karu,
Accha Lagta Hai Tera Gusse Me Mujh Pe Hak Jatana.

DIL Yu Hi Kisi Pe Aata Nahi,

DIL Yu Hi Kisi Pe Aata Nahi,
Pyar Yu Hi Kiya Jata Nahi,
Pyar Karo To Dard Sahne Ki Aadat Daal Lena,
Qki Ye Wo Dard Hai Jo Dawa Se Bhi Jata Nahi.

Wohi Barish Ka Mausam Hai,

Wohi Barish Ka Mausam Hai,
Wohi Barse Hue Gam Hai,
Wohi Nadan Se Hum Hai,
Wohi Kagaz Ki Kashti Hai,
Wohi Paani Ka Rela Hai,
Mera Bachpan Zara Dekho,
Wohi Fir Khel Khela Hai,
Wohi Kashti Banayi Hai,
Wo Paani Par Chalai Hai,
Hume Lagta Hai Fir Se Hum,
Usi Kashti Me Baithe Hai,
Magar Bilkul Akele Hai,
Tumhe To Yaad Hai Jaana,
Wo Kagaz ki Bani Kashti,
Kaha Kab Paar Jati Hai,
Humesha Toot Jati Hai,
Chalo Wada Kiya Tum Se,
Chalo Wada Nibhaenge,
Faqat Tum Paar Utroge,
Faqat Hum Doob Jayenge.

Tere bina duniya suni si lagti hai,

Tere bina duniya suni si lagti hai,
Bin tere zindgi adhuri si lagti hai,
Pata nahi kyu chahte hai hum tumhe itna,
Tum bin zindgi bhi majburi si lagti hai.

Khushboo Ki Aarzoo Me Muqadder Bhi So Gaye,

Khushboo Ki Aarzoo Me Muqadder Bhi So Gaye,
Aandhi Chali Kuch Aisi Ki Apne Bhi Kho Gaye,
Kya Tha Tumhara Ye Andaaz Dosto,
Hamdard Bankar Aaye The Kante Chuboo Gaye.

Hum To Apni Tanhaiyo Se Tang Aa Kar,

Hum To Apni Tanhaiyo Se Tang Aa Kar,
Mohabt Ki Talash Me Nikle The,
Hame to Mohabbat Bhi Aesi Mili,
Jo Aur Tanha Kar Gayi.

Pyaar Zindgi Ko Sajane Ke Liye Hai,

Pyaar Zindgi Ko Sajane Ke Liye Hai,
Zindgi Dard Badhane Ke Liye Hai,
Kaash Koi To Padh Pata Meri Udasi Ko,
Ye Hansta Hua Chehra To Sirf Dikhane Ke Liye Hai.

Kin Lafzo Me Byan Karu Mai Apne Dard Ko,

Kin Lafzo Me Byan Karu Mai Apne Dard Ko,
Sunne Wale To Bahut Hai,
Lekin Smajhne Wala Koi Nahi.

Jab Bhi Tanhayi Se Ghabra Kar Simat Jaate Hai,

Jab Bhi Tanhayi Se Ghabra Kar Simat Jaate Hai,
Hum Teri Yaad Ke Daman Se Lipat Jaate Hai.

Dard To Bahut Diye Hai Usne Hume,

Dard To Bahut Diye Hai Usne Hume,
Par In Dardo Ka DiL Pe Koi Zakhm Nahi,
DiL Zakhmi Hai To Sirf Isliye Ki,
Humari Kami Ka Unhe Koi Gum Nahi.

Na pooch mere sabar ki intha kaha tak hai,

Na pooch mere sabar ki intha kaha tak hai,
Tu sitam kar le teri taakat jaha tak hai,
Wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,
Hume to dekhna hai tu bewafa kaha tak hai.

Maut mangte hai to zindagi khafa ho jaati hai,

Maut mangte hai to zindagi khafa ho jaati hai,
Zaher lete hai to wo bhi dawa ho jaati hai,
Tu hi bata aye dost kya karu,
Jisko bhi chaha wo bewfa ho jati hai.

Saturday, January 26, 2013

Saza Ban Jati Hai Guzre Hue Waqt Ki Yaade,

Saza Ban Jati Hai Guzre Hue Waqt Ki Yaade,
Najane Kyu Chod Jane Ke Liye Meharban Hote Hai Log.

Faasla itna badhane ki zarorat kya thi,

Faasla itna badhane ki zarorat kya thi,
Tujhe mujhse roth kar jane ki zarorat kya thi,
Ab jo mujhse roth kar udas rehte ho,
Apne haath mere haath se chudane ki zarorat kya thi,
Duniya kab kisi ke gam ko samjhti hai,
Tujhe apne gam duniya ko dikhane ki zarorat kya thi,
Mai aaj tak is baat ko nahi samjh paya,
Jab saath tumhare mai tha to...
Tumhe zamane ki zarorat kya thi.

Gum se rishta hai mera,

Gum se rishta hai mera,
Khushi mere nasib nahi,
Koi mujhe pyar kare,
Itna to mai khushnasib nahi.

Socha tha har khusi nasib ho,

Socha tha har khusi nasib ho,
Har manzil dil ke karib ho,
Par waha khuda bhi kya kar sakta hai,
Jaha Insaan khud hi Badnasib ho.

Na jane wo kaun tera habib hoga,

Na jane wo kaun tera habib hoga,
Tere hatho me jiska nasib hoga,
Koi tumhe chahe ye koi badi baat nahi,
Lekin tum jisko chaho wo khushnasib hoga.

Tumse dosti karne ka hisab na aaya,

Tumse dosti karne ka hisab na aaya,
Mere kisi bhi sawal ka jawab na aaya,
Hum to jagte rahe tumhare hi khayalo me,
Aur tumhe so kar bhi hamara khawab na aaya.

Ye Ulfate Bhi Ajeeb Hai,

Ye Ulfate Bhi Ajeeb Hai,
Ye Chahte Bhi Ajeeb Hai,
Kabi Mil Ke Bhi Na Paas Hai,
Kabi Paas Ho Ke Bhi Na Mil Sake.

Soch Raha Hoo Ab Bewafa Hone Ka Tareeka Seekh Lu,

Soch Raha Hoo Ab Bewafa Hone Ka Tareeka Seekh Lu,
Mohabbat De De Kar Maine Apni Kadar Kho Di.

Waqt Ki Ho Tez Dhup Ya Ho Tez Aandhiya,

Waqt Ki Ho Tez Dhup Ya Ho Tez Aandhiya,
Kuch Kadmo Ke Nisaan Kabhi Nahi Khote,
Jinhe Yaad Kar Ke Muskura De Chehra,
Wo Door Ho Kar Bhi Door Nahi Hote.

Aziz Bhi Wo Hai Nasib Bhi Wo Hai,

Aziz Bhi Wo Hai Nasib Bhi Wo Hai,
Duniya Ki Bhid Me Karib Bhi Wo Hai,
Unki Dua Se Chalti Hai Zindagi,
Kyuki Rab Bhi Wo Hai Aur Taqdir Bhi Wo Hai.

Sunday, January 20, 2013

Ek Ajnabi Se Baat Kya Ki Qyamat Ho Gayi,

Ek Ajnabi Se Baat Kya Ki Qyamat Ho Gayi,
Sare Shaher Ko Is Chahat Ki Khabar Ho Gayi,
Kyu Na Dosh Du Dil-E-Nadan Ko,
Dosti Ka Irada Tha Aur Mohabbat Ho Gayi.

Pagal wo kar deti hogi ab bhi jab wo hansti hogi,

Pagal wo kar deti hogi ab bhi jab wo hansti hogi,
Mujh ko to barbaad kiya hai khud bhi shayad roti hogi,
Arsa beeta hai bin dekhe jaane ab wo kaisi hogi,
Uske haath ki rekhao me ek raikha meri bhi hogi,
Jis din us se milna hoga shaam bhi uske jaisi hogi,
Dulhan ban kar wo is dil me socho kaisi lagti hogi,
Jin haatho ko maine chooma tha unnko ab tak takti hogi,
Sun kar mera naam wo shayad ek lamhe ko chonkti hogi,
Aur kisi ko na bole chahe dil hi dil me mujh pe marti hogi.

Mujhe Maloom Hai Tum Khush Ho Bahut Is Judaai Se,

Mujhe Maloom Hai Tum Khush Ho Bahut Is Judaai Se,
Ab Khayaal Rakhna Apna,
Tumhe Kahi Tum Jaisa Na Koi MiL Jaye.

Dil Ke Sagar Me Lahre Uthaya Na Karo,

Dil Ke Sagar Me Lahre Uthaya Na Karo,
Khwab Bankar Neend Churaya Na Karo,
Bahut Chot Lagti Hai Mere Dil Ko,
Tum Khwabo Me Aa Kar Yu Tadpaya Na Karo.

Kabhi Kabhi Sapne Chori Ho Jate Hai,

Kabhi Kabhi Sapne Chori Ho Jate Hai,
Halaat Se Log Door Ho Jate Hai,
Par Kuch Yaade Itni Haseen Hoti Hai Ki,
Unhe Yaad Karne Ko Hum Majbur Ho Jate Hai.

Friday, January 18, 2013

Na Dard Ne Kisi Ko Sataya Hota,

Na Dard Ne Kisi Ko Sataya Hota,
Na Aankho Ne Kisi Ko Rulaya Hota,
Khushi Hi Khusi Hoti Har Kisi Ke Paas,
Agar Banane Wale Ne DIL Na Banaya Hota.

Tune kaha tha ki har shaam tere saath guzarungi,

Tune kaha tha ki har shaam tere saath guzarungi,
Tum badal chuke ho ya....
Tumhare sahar me shaam nahi hoti.?

Maine Tujhe Chaha Ye Hakikat Thi Hamari,

Maine Tujhe Chaha Ye Hakikat Thi Hamari,
Tune Dil Yu Toda Shayad Ye Fitrat Thi Tumhari,
Hum To Chahenge Bepanah Aaj Bhi Kal Bhi Tumko,
Ab Apnao Ya Thukrao Ye Bhi Kismat Hai Hamari.

Toota ho dil to dukh hota hai,

Toota ho dil to dukh hota hai,
Kar ke mohabbat kisi se ye dil rota hai,
Dard ka ehsaas to tab hota hai jab,
Kisi se mohabbat ho aur uske dil me koi aur hota hai.

Aap Kya Jano Kya Hai Tanhai,

Aap Kya Jano Kya Hai Tanhai,
Is Toote Hua Patte Se Pucho Kya Hai Judai,
Yu Bewafa Ka Ilzaam Na Laga Zalim,
Is Waqt Se Puch Kis Waqt Teri Yaad Na Aayi.

Monday, January 14, 2013

Kuch tabiyat hi mili thi aisi,

Kuch tabiyat hi mili thi aisi,
Chain se jeene ki surat na hui,
Jise chaha use apna na sake,
Jo mila us se mohobbat na hui.

Itna khoobsurat chehra hai tumhara,

Itna khoobsurat chehra hai tumhara,
Har dil diwana hai tumhara,
Log kahte hai chand ka tukda ho tum,
Lekin ham kahte hai chand tukda hai tumhara.

Jee chahta hai unse pyari si baat ho,

Jee chahta hai unse pyari si baat ho,
Haseen chand taare ho lambi si raat ho,
Fir raat bhar yahi guftagu rakhe hum dono,
Tum meri zindagi ho tum meri kaynat ho.

Hum Mar Jayenge Ek Din Dekh Lena,

Hum Mar Jayenge Ek Din Dekh Lena,
Ro Doge Bahut Tum Us Din Dekh Lena,
Duniya Me Hai To Parwah Nahi Humari,
Chod Jayenge Tumhe Ek Din Dekh Lena,
Aansu Chupate Firoge Sab Se Tum,
Itna Hum Yaad Aayenge Dekh Lena,
Kuch Yaade Meethi Meethi Si Tum Ko Bahut Stayengi,
Tum Khud Ko Na Rok Paoge Dekh Lena,
Mana Ki Kuch Nahi Hai Aaj Hum Tere Liye,
Kal Tumhare Liye Ek Yaad Ban Jayenge Dekh Lena.

Pagal Hue Jo Hum To Ulfat Use Bhi Thi,

Pagal Hue Jo Hum To Ulfat Use Bhi Thi,
Chaha Jo Hmne Usko To Chahat Use Bhi Thi,
Usko Na Bhool Payenge Wo Janti Thi,
Aur Har Baat Bhool Jane Ki Aadat Use Bhi Thi.

Saturday, January 12, 2013

Chand ko maine aasman ki god me sote dekha,

Chand ko maine aasman ki god me sote dekha,
Chand ki bewafai se maine lakho taaro ko rote dekha,
Us pal ne to hume bhi rula diya,
Jab maine in aanko se tujhe kisi aur ka hote dekha.

Log phoolo se mohabbat karte hai,

Log phoolo se mohabbat karte hai,
Kaanto ko kisne yaad kiya,
Hum kaanto se mohabbat karte hai,
Kyuki phool ne hame barbaad kiya.

Daulat na shohrat na koi hoor ki chahat hai,

Daulat na shohrat na koi hoor ki chahat hai,
Yahi paigam jhaan ko mere naam kar dena,
Dosto mile tumhe zindgi me be-shumar khusiya,
Bas katra-e-mohobat hi mere naam kar dena.

Pyar me koi dil tod deta hai,

Pyar me koi dil tod deta hai,
Dosti me koi Bharosa tod deta hai,
Zindagi Jeena to koi gulab se seekhe,
Jo Khud toot kar do Dilo ko jod deta hai.

Yun to sanjoye khawabo ki ye manzil nahi hai,

Yun to sanjoye khawabo ki ye manzil nahi hai,
Par ab jaane ka aage Dil nahi hai,
Kuch to jee bhar gya hamara jahan se,
Kuch ye duniya bhi rehne ke kaabil nahi hai.

Tuesday, January 8, 2013

Ek Shaks Paas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe,

Ek Shaks Paas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe,
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe,
Mai Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaise Du,
Usne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe,
Pathar Samajh Kar Pao Se Thokar Laga Diya,
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe,
Kya Umeede Baandh Kar Aaya Tha Samne,
Us Ne To Aankh Bhar Ke Dekha Nahi Mujhe.

Accha karte hai wo log jo,

Accha karte hai wo log jo,
Mohabbat ka izhar nahi karte,
Khamoshi me mar jate hai magar,
Kisi ko badnaam nahi karte.

Ek Ummid Ka Diya Jal Raha Tha,

Ek Ummid Ka Diya Jal Raha Tha,
Jise Baarish Ne Bujha Diya,
Tanha Akele Khushi Se Jee Rahe The,
Kambakht Unki Yaad Ne Rula Diya.

Sard Mausam Ka Maza Kitna Alag Sa Hai,

Sard Mausam Ka Maza Kitna Alag Sa Hai,
Thandi Raat Me Intazaar Kitna Alag Sa Hai,
Dhund Bani Naqab Aur Chupa Liya Sitaro Ko,
Unki Tanhai Ka Ab Ahsas Kitna Alag Sa Hai.

Tuesday, January 1, 2013

Happy New Year 2013

Nav Varsh Ki Pawan Bela Me,
Hai Yahi Shubh Sandesh,
Har Din Aaye Aapke Jiwan Me,
Lekar Khushiya Vishesh.
Happy New Year 2013.