Monday, August 26, 2013

Kitni shiddat se humne teri chahat ki thi,

Kitni shiddat se humne teri chahat ki thi,
Mohabbat tumse khud se bhi jayda ki thi,
Ye afsos rahega ki galat the hum,
Humne ek bewafa se wafa ki thi,
Jisne kaante bichaye humari raaho me,
Humne uske liye har khushi fanaa ki thi,
Wo nahi chahti hume to na chahe,
Humne to us se mohabbat bepanah ki thi.

Tere Labo Pe Muskan Lane Ka Khwab Hai,

Tere Labo Pe Muskan Lane Ka Khwab Hai,
Teri Aagosh Me Simat Jane Ka Khwab Hai,
Tu Lakh Bacha Le Daman Ishq Ke Hatho Se,
Aasman Ban Kar Tujh Par Chaa Jane Ka Khwab Hai.

Apni mohabbat ki khushbu se noor kar do,

Apni mohabbat ki khushbu se noor kar do,
Tumse juda na ho saku itna majbur kar do,
Meri nas nas me bas jaye wafa teri,
Kisi aur ko na dekhu itna magrur kar do.

Tujhe khone ka hausla nahi mujhme,

Tujhe khone ka hausla nahi mujhme,
Mera hak hai duaa karna,
Tujhse bichadne se pahle,
Meri sanse mujhse bichad jaye.

Samne na ho to tarasti hai aankhe,

Samne na ho to tarasti hai aankhe,
Yaad me teri barasti hai aankhe,
Mere liye nahi inke liye hi aa jao,
Aap ka bepanah intezar karti hai aankhe.

Friday, August 23, 2013

Zinda Rahe To Har Din Tumhe Yaad Karte Rahenge,

Zinda Rahe To Har Din Tumhe Yaad Karte Rahenge,
Bhool Gaye To Samajh Lena Rab Ne Hume Yaad Kar Liya.

Aankho Me Dekha Dil Me Utar Ke Nahi Dekha,

Aankho Me Dekha Dil Me Utar Ke Nahi Dekha,
Kashti Ke Logo Ne Samundar Ko Nahi Dekha,
Patthar Mujhe Kahta Hai Mera Chahne Wala,
Mai Moom Hu Usne Mujhe Chu Ke Nahi Dekha.

Palko ki zid hai aankho se aansu girane ki,

Palko ki zid hai aankho se aansu girane ki,
Dil ki zid hai aapse rista nibhane ki,
Aapko zid hai agar hume bhulane ki,
To hume bhi zid hai aapko apni yaad dilane ki.

Meri yaad aayegi tumhe jab mai door chala jaunga,

Meri yaad aayegi tumhe jab mai door chala jaunga,
Dur itna ki kabhi laut kar nai aaunga,
Ab tak tumhare dil me rahta tha,
Fir tumhari yaado me bas jaunga,
Yaad aayegi tumhari baate aur mulakate,
Magar tumse kabhi mil nai paunga,
Tadpogi tum bhi mere bare me soch kar,
Magar mai fir najar nahi aaunga,
Tumhe jaan se jyada chahta hu,
Magar mai sabit nahi kar paunga,
Log kahte hai pyar amar hota hai,
Fir to mai khud ko hi amar kar jaunga,
Mere payr ko sahara dena tab,
Jab aakhri dam par tumhe bulaunga,
Meri yaad aaye to raat ko bahar aakar dekhna,
Mai ek chamkta hua tara ban jaunga,
Aansu mat bahana mujhe yaad karke,
Warna naraaj mai ho jaunga,
Suna he saat janam milte hai insan ko,
Wada raha baaki ke janam bhi tumhare sath bitaunga.

Jaan se jyada chahta hu aapko,

Jaan se jyada chahta hu aapko,
Har khushi se jyada manta hu aapko,
Koi kahe pyar ki had hoti to,
Us had se bhi jyada chahta hu aapko.

Tuesday, August 20, 2013

Bas Ek Choti Si Haa Kar Do,

Bas Ek Choti Si Haa Kar Do,
Humare Naam Is Tarah Sara Jahan Kar Do,
Wo Mohabbat Jo Tumare Dil Me Hai,
Unko Zuban Par Lao Aur Bayan Kar Do,
Aaj Bas Aap Kaho Aur Kahti Hi Jao,
Hum Bas Sunte Rahe Aisa Be-Zuban Kar Do,
Wahi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Fir Se Jawan Kar Do.

Bekhudi se kabhi kisi ka haq ada nahi hota,

Bekhudi se kabhi kisi ka haq ada nahi hota,
Wo juda ho jate hai magar gum juda nahi hota,
Chod diya hai bich manzil kisi patthar ke sahare,
Kaise unhe bataye ki har patthar me 'Rab' nahi hota.

Ruthane Ka Hak Aap Rakhte Hai,

Ruthane Ka Hak Aap Rakhte Hai,
Manane Ki Chahat Ham Rakhte Hai,
Aapke Honto Pe Muskurahat Yu Hi Bani Rahe,
Yahi Dua Rab Se Hum Roz Karte Hai.

Waqt Badal Jate Hai Insaan Badal Jate Hai,

Waqt Badal Jate Hai Insaan Badal Jate Hai,
Waqt - Waqt Pe Rishto Ke Andaz Badal Jate Hai,
Kabhi Kah Diya Apna To Kabhi Kar Diya Paraya,
Din Aur Raat Ki Tarah Zindagi Ke Ehsaas Badal Jate Hai.

Kitabo Ke Panne Palat Ke Sochte Hai,

Kitabo Ke Panne Palat Ke Sochte Hai,
Yu Palat Jaye Zindagi To Kya Baat Hai,
Tamanna Jo Puri Ho Khwabo Me,
Haqikat Ban Jaye To Kya Baat Hai,
Kuch Log Matlab Ke Liye Dhundte Hai Mujhe,
Bina Matlab Koi Aye To Kya Baat Hai,
Katal Kar Ke To Sab Le Jayenge Dil Mera,
Koi Apna Bana Ke Le Jaye To Kya Baat Hai,
Jo Sharifo Ki Sharaft Me Na Ho Baat,
Ek Sharabi Kah Jaye To Kya Baat Hai,
Zinda Rahne Tak To Khushi Denge Sabko,
Kisiko Meri Maut Pe Bhi Khushi Mil Jaye To Kya Baat Hai.

Sunday, August 18, 2013

Apno ko jab apne kho dete hai,

Apno ko jab apne kho dete hai,
Tanhaiyo me aksar wo ro dete hai,
Kyu palko par rakhte hai log unko,
Jo in palko ko hamesha Aansuo se bhigo dete hai.

Is Rah-E-Mohabbat Ki Tum Baat Na Pucho,

Is Rah-E-Mohabbat Ki Tum Baat Na Pucho,
Kis Tarha Guzarte Hai Din Raat Na Pucho,
Anmol Jo Insaan Hai Bemol Bikte Hai,
Duniya Ke Is Bazar Ki Tum Baat Na Pucho.

Dil me tamannao ko dabana sikh liya,

Dil me tamannao ko dabana sikh liya,
Gam ko aankho me chipana sikh liya,
Mere chehre se kahi koi baat zahir na ho,
Daba ke hontho ko humne muskurana sikh liya.

Ye Aarzu Thi Ki Aisa Bhi Kuch Hua Hota,

Ye Aarzu Thi Ki Aisa Bhi Kuch Hua Hota,
Meri Kami Ne Tujhe Bhi Rula Diya Hota,
Mai Laut Aata Tere Pass Ek Lamhe Me,
Tere Labo Ne Mera Naam To Liya Hota.

Dil To Tod Hi Diya Hai,

Dil To Tod Hi Diya Hai,
Ab Jala Do Aashiyana Mera,
Taki Hum Jalkar Khaak Ho Jaye,
Na Dekh Sake Gairo Ke Sang Muskurana Tera.

Saturday, August 17, 2013

Is dil ke har dhadkan ka ehsas ho tum,

Is dil ke har dhadkan ka ehsas ho tum,
Tum kya jano humare liye kitne khaas ho tum,
Juda ho ke tumne hume maut se bhi battar saza di hai,
Fir bhi is tadapte dil ne tumhe khush rahne ki duaa di hai.

Wo mujhse najre milate kyu nahi,

Wo mujhse najre milate kyu nahi,
Saath hai mere to paas aate kyu nahi,
Shikwa nahi mujhe uski berukhi ka,
Mager wo berukhi ki wajah batati kyu nahi,
Hona hi hai agar juda mujhse to,
khud ko mujhse nikaal pati kyu nahi,
Agar muzrim hu mai uska to,
Mujhe meri saza sunati kyu nahi,
Wo na mili jise manga tha har duaa me,
Meri hi dua me asar aata kyu nahi,
Suna Hai wo mila karti hai nasibo se,
To fir rab mera hi nasib jagata kyu nahi.

Saza Labo Se Apne Sunayi To Hoti,

Saza Labo Se Apne Sunai To Hoti,
Rooth Jaane Ki Wajah Batai To Hoti,
Baich Deta Mai Khud Ko Tumhare Liye,
Kabhi Kharidne Ki Chahat Jatai To Hoti.

Kabhi Kahti Thi Mujhe Ki Koi Duaa Hu Mai,

Kabhi Kahti Thi Mujhe Ki Koi Duaa Hu Mai,
Aaj Wo Kah Gyi Mujhko Ki Bewafa Hu Mai,
Wo Jee Na Pati Thi Lamha Kabhi Bagair Mere,
Aaj Kahne Lagi Mujhko Ki Ek Saza Hu Mai,
Yahi Dastoor Hai Aur Aisa Hi Hota Aaya,
Lagi Mashuq Ki Mehndi Aur Aashiq Rota Aaya,
Magar Riwaz Bhi Ye Ulta Kar Diya Maine,
Bina Chahat Kisi Ki Maang Bhar Di Maine,
Kiya Hai Jo Bhi Ispe Khud Se Hi Khafa Hu Mai,
Aaj Wo Kah Gayi Mujhko Ki Bewafa Hu Mai.

Karne Lage Safar To Kuch Duriya Mili,

Karne Lage Safar To Kuch Duriya Mili,
Pairo Me Is Zamane Ki Majburiya Mili,
Kya Khoob Mili Unko Dua Dene Ki Saza,
Jeene Ko Zindagi Ki Hume Baddua Mili.

Thursday, August 15, 2013

Galtiyo Se Juda Tum Bhi Nahi Hum Bhi Nahi,

Galtiyo Se Juda Tum Bhi Nahi Hum Bhi Nahi,
Dono Insan Hai Bhagwan Tum Bhi Nahi Hum Bhi Nahi,
Tum Mujhe Aur Hum Tumhe Ilzaam Dete Hai,
Apne Andar Jhankte Tum Bhi Nahi Aur Hum Bhi Nahi,
Galat Fehmiyo Ne Kardi Hai Dono Me Paida Duriya,
Warna Fitrat Ke Bure Tum Bhi Nahi Hum Bhi Nahi,
Is Ghumti Zindagi Me Dono Ka Safar Jaari Raha,
Ek Lamha Ruke Tum Bhi Nahi Hum Bhi Nahi,
Chahte To Dono Ek Dusre Ko Bahut Hai Magar,
Ye Hakikat Mante Tum Bhi Nahi Hum Bhi Nahi.

Maut ke agosh me sone ko jee karta hai,

Maut ke agosh me sone ko jee karta hai,
Dil kho diya ab zindagi khone ko jee karta hai,
Uski yaad aati hai jab bhi mujhe,
Jane kyu tanha Baith ke rone ko jee karta hai.

Yaado me teri tanha baithe hum,

Yaado me teri tanha baithe hum,
Tere bina labo ki hansi gawa baithe hum,
Teri duniya me andhera na ho,
Isliye khud ka dil jala baithe hum.

Use Rokta Bhi To Kis Tarah,

Use Rokta Bhi To Kis Tarah,
Ki Wo Shakhs Itni Ajeeb Thi,
Kabhi Tadap Uthi Meri Aah Se,
Kabhi Ashk Se Na Pighal Saki,
Sar-e- rah Mili Wo Agar Kabhi,
To Nazar Chura Ke Guzar Gayi,
Wo Utar Gayi Meri Aankh Se,
Mere Dil Se Kyu Na Utar Saki,
Wo Chali Gayi Jahan Chod Ke,
Mai Waha Se Fir Na Palat Saka,
Wo To Sambhal Gayi Mujhe Chod Ke,
Mai Bikhar Ke Fir Na Simat Saka,
Mere Khwab Ki Duniya Me Wo Aaj Bhi Muskurati hai,
Kaise Batau Yaaro Kyu Uski Yaad Aati Hai.

Shayaro ki mehfil me baat chali ek diwane ki,

Shayaro ki mehfil me baat chali ek diwane ki,
Din raat jalne wale ek pagal parwane ki,
Maine socha koi aur hoga ye sarfira,
Dekha to ungli meri taraf uthi zamane ki.

Monday, August 12, 2013

Na Tamannao Ki Barish Hui,

Na Tamannao Ki Barish Hui,
Na Hasrato Ka Tufan Utha,
Bas Khwaisho Ki Maut Hui,
Aur Sapno Ka Kafila Luta,
Jaha Chahat Ki Baat Hui,
Waha Mayusi Ka Aasra Juta,
Aur Jaha Armano Ki Barat Saji,
Waha Chupke Se Mera Dil Toota.

Mohabbat ki saza bemisal di usne,

Mohabbat ki saza bemisal di usne,
Udas rahne ki aadat dal di usne,
Humne kaha agar nafrat karte ho to kar do izhaar,
To khamosh rehkar ye baat bhi taal di usne.

Sisakti hui zindagi ka maza humse puchiye,

Sisakti hui zindagi ka maza humse puchiye,
Mohabbat me jo mile saza humse puchiye,
Kyu ho udas tum gam ki talash me,
Gam ki har gali ka pata humse puchiye.

Hum to tere dil ki mahfil sajane aaye the,

Hum to tere dil ki mahfil sajane aaye the,
Teri kasam tujhe apna banane aaye the,
Kis baat ki saza di tune humko,
Bewafa hum to tere dard ko apnane aaye the.

Takdir ka gam duniya ka sitam,

Takdir ka gam duniya ka sitam,
Har haal me sahna padta hai,
Shikwe bhi labo par aate hai,
Khamosh bhi rahna padta hai.

Sunday, August 11, 2013

Ye pal kabhi nai rukta kisi ke liye,

Ye pal kabhi nai rukta kisi ke liye,
Har pal har mod Tanha hai sirf mere liye,
Koi nai apna kahne ke liye,
Zindagi ek saza hai jine ke liye,
Pyar ek dhokha hai paane ke liye,
Yu to yaha bhid hai logo ki,
Par har koi yaha marta Paiso ke liye,
Jina Padega Janam dene walo ke liye,
Marna padega ek din Zamane ke liye,
Apne liye Kya kiya maine,
Har pal marta raha Pyar pane ke liye.

Humne Unki Khatir Apni Zindagi Luta Di,

Hmne Unki Khatir Apni Zindagi Luta Di,
Unhone To Apne Dil Se Meri Yaad Hi Mita Di,
Fir Bhi Aaj Tak Puch Na Sake Hum Unse,
Ki Unhone Hume Kis Baat Ki Saza Di.

Koi ilzam laga kar saza di hoti,

Koi ilzam laga kar saza di hoti,
Fir meri laash sare bazar jala di hoti,
Itni nafrat thi to pyar se dekha kyu tha,
Mujhe pahle hi meri aukaat bata di hoti.

Hum Yahi Samjhte The Ab Tak,

Hum Yahi Samjhte The Ab Tak,
Sitam Dena Bhi Teri Ek Ada Hogi,
Na Malum Tha Jo Pyar Diya Tune Mujhko,
Wo Pyar Hi Mere Liye Ek Saza Hogi.

Hum unki khushi ki duaa mangte rahe,

Hum unki khushi ki duaa mangte rahe,
Behad aur bepnah mangte rahe,
Aaj wo khush hai kisi or ke saath,
Ab samjh aaya hum apne liye hi saza mangte rahe.

Wednesday, August 7, 2013

Koi Khushiyo Ki Chah Me Roya,

Koi Khushiyo Ki Chah Me Roya,
Koi Dhukho Ki Panah Me Roya,
Ajib Silsila Hai Ye Pyar Ka,
Koi Viswas Ke Liye Roya,
Aur Koi Viswas Kar Ke Roya.

Hamare Liye Unke Dil Me Chahat Na Thi,

Hamare Liye Unke Dil Me Chahat Na Thi,
Kisi Khushi Me Koi Dawat Na Thi,
Maine Dil Unke Kadmo Me Rakh Diya,
Par Zamin Pe Dekhne Ki Unki Aadat Na Thi.

Choom To Lu Uske Dilkash Labo Ko Magar,

Choom To Lu Uske Dilkash Labo Ko Magar,
Baat Bahut Door Tak Jayegi,
Aag Lagegi Mere Seene Me,
Aur Jal Puri Duniya Jayegi.

Aankhe ro padi unka na paigam aaya,

Aankhe ro padi unka na paigam aaya,
Chale gaye hume akela chod ke ye kaisa mukam aaya,
Meri tanhai Hansi mujhpe aur boli,
Bata Aakhir mere siwa tere kaun kaam aaya.

Koi Acchi Si Saza Do Mujhe,

Koi Acchi Si Saza Do Mujhe,
Chalo Aisa Karo Rula Do Mujhe,
Dil Dukhaya Ho To Maut Aa Jaye Mujhe,
Dil Ki Gahrai Se Ye Dua Do Mujhe.

Friday, August 2, 2013

Hai khata meri mohabbat sanam tumse kar baithe,

Hai khata meri mohabbat sanam tumse kar baithe,
Dil tumse laga kar rote hai ye kya kar baithe,
Auro ka gila kya jab apne hame barbad kar baithe,
Pagal to diwane hote hai ham hosh mai diwane ban baithe,
Jite hai unki mohabbat me isiliye har sitam seh baithe,
Mohabbat ki meri kadar na ki aur ruswa hame kar baithe.
Ehsaas jab hoga pachtaoge dhundhoge hame par na paoge,
Bhul pe apni nadan honge ki ye kya kar baithe,
Par jakham tera to tabij bana kar gale laga baithe,
Patthar ho tum jo har dard bhula baithe.

Kabhi Zindgi Ka Naam Hai Mohabbat,

Kabhi Zindgi Ka Naam Hai Mohabbat,
Kabhi Mout Ka Naam Hai Mohabbat,
Kabhi Mohabbat Se Milti Hai Khushi,
Kabhi Gam Ki Shaam Hai Mohabbat,
Kabhi Mohabbat Aansuon Ki Barish Hai,
Kabhi Hansi Ka Jaam Hai Mohabbat,
Kabhi Dil Ki Jalan Hai Mohabbat,
Kabhi Dil Ka Aaram Hai Mohabbat,
Kabhi Milan Ka Roop Hai Mohabbat,
Kabhi Tanhai Ki Tarah Be Naam Hai Mohabbat,
Kabhi Be Naam Zindgi Hai Mohabbat,
Kabhi Zindgi Kahti Hai Mera Naam Hai Mohabbat.

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aajao,

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aajao,
Bahut Tanha Hun Mai Aaj Kaash Tum Aajao,
Kabhi Khud Ko Itna Kamzor Na Hone Diya Maine,
Par Aaj Bikhar Gaya Hu itna Mujhe Apni Baho Me Sama Lo.

Lakar tanha chod diya kaise mukam par,

Lakar tanha chod diya kaise mukam par,
Aapne bhi dhoka diya majbori ke naam par,
Gamo se tha pahle bhi bahut purana mera hisab,
Dil ka dard thoda aur badha tere kayam par,
Fursat mile jo tujhe in chandani raato se kabhi,
Ek nazar idhar bhi daal lena kisi ki doobti shaam par.

Saans tham jati hai par jaan nahi jati,

Saans tham jati hai par jaan nahi jati,
Dard hota hai par awaaz nahi aati,
Ajeeb log hai is zamane me,
Koi bhool nahi pata or kisi ko yaad nahi aati.