Monday, April 28, 2014

Bina Bataye Usne Na Jane Kyu Ye Doori Kar Di,

Bina Bataye Usne Na Jane Kyu Ye Doori Kar Di,
Bichad Ke Usne Mohabbat Hi Aduri Kar Di,
Mere Mukkadar Me Gam Aaye To Kya Hua,
Rab Ne Uski Kwahish To Poori Kar Di.

Saturday, April 26, 2014

Dil Se Roye Magar Hontho Se Muskura Baithe,

Dil Se Roye Magar Hontho Se Muskura Baithe,
Yu Hi Hum Kisi Se Wafa Nibha Bathe,
Wo Hume Ek Lamha Na De Paye Apne Pyar Ka,
Aur Hum Unke Liye Zindagi Luta Baithe.

Wo zakham itne diye ki jaise zakhm ki aadat ho gayi,

Wo zakham itne diye ki jaise zakhm ki aadat ho gayi,
Juda un se ho kar jaise gam ki aadat ho gayi,
Pyar aaya to aaya ek sitamgar pe,
Pyar hua to jaise sitam ki aadat ho gayi,
Hum na the shayar na shayari hamara pesha,
Jab se hua hai pyar jaise kalam ki aadat ho gayi,
Zamana sara hame diwana kahta hai,
Ham sare zamane ko diwana kahte hai.

Wednesday, April 16, 2014

Sahil par khade humne shaam kar di,

Sahil par khade humne shaam kar di,
Apna dil aur duniya uske naam kar di,
Ye bhi na socha kaise gujregi zindagi,
Bina soche har khushi uske naam kar di.

Monday, April 14, 2014

Wo hume bhulane ki baat karte hai,

Wo hume bhulane ki baat karte hai,
Zara pucho hume kitna Yaad karte hai,
Chehre pe hansi ka dikhawa hai,
Magar Tanhai me Aansuo se fariyad karte hai.

Chupke se chand ki roshni aapki ho jaye,

Chupke se chand ki roshni aapki ho jaye,
Dhire se hawa aap ko kuch kah jaye,
Dil me jo hai use maang lo rab se,
Hum dua karenge ki aapki har chahat puri ho jaye.

Thursday, April 10, 2014

Nazar Ne Nazar Se Mulakat Kar Li,

Nazar Ne Nazar Se Mulakat Kar Li,
Rahe Dono Chup Par Baat Kar Li,
Khushiyo Ka Mausam Kuch Iss Kadar Badla Ki,
In Aankho Ne Ro-Ro Kar Barsaat Kar Li.

Toote hue khwabo se zindagi bana leta hu,

Toote hue khwabo se zindagi bana letau,
Mai kaanch ke tukdo se aaina bana leta hu,
Fhenkte hai log jo patthar mujhpe,
Mai sabko jodkar moorat bana leta hu,
Raah-e-manzil me ho kitni bhi mushkile,
Mai jab thaanta hu rashta bana leta hu,
Raat ke andhere me bhatkta nahi mai,
Har sitare ko apna chaand bana leta hu,
Na poocho mujhse meri sehat ka raaj,
Mai har dard ko dawa bana leta hu,
Wo itrate hai apni haath ki lakiro pe,
Mai mehnat se apni taqdeer bana leta hu,
Mere ret ke mahal dekh ke hansne walo,
M irado ko faulaad bana leta hu,
Aate nahi jo bure waqt pe kaam mere,
Mai aise dosto ko gujra hua waqt bana leta hu,
Aasman me chaand ko takta nahi mai,
Aage haath bada ke apna bana leta hu,
Milta nahi jab mandiro me wo,
Mai mohabbat ko apna Rab bana leta hu,
Manzil pe pahunch ke rukta nahi mai,
Ek naye suraj ko apna mukaam bana leta hu,
Jeewan me ho mere kitna bhi andhera,
Insaan hu do patthar se aag bana leta hu,
apno se karta nahi koi gila shikwa,
Mai dushmano ko bhi apna dost bana leta hu,
Daulat shohrat ke piche bhagta nahi,
Bhid se alag pehchan bana leta hu,
Ummid ka daman kabhi chodta nahi,
Ek deepak se diwali bana leta hu.

Sunday, April 6, 2014

Ham to musafir hai,

Ham to musafir hai,
Chod jaoge hame yuhi kahi,
Zindagi ki raftaar me hamare khayal se,
Muh mod jaoge yuhi kahi,
Andaza kaha hai tumhe,
Kitne keemti ho tum mere liye,
Laparwah tanha apna jahan bna jaoge yuhi kahi.

Thursday, April 3, 2014

Tumhari yaad aati hai to aankhe bhig jati hai,

Tumhari yaad aati hai to aankhe bhig jaati hai,
Tumhari yaad aati hai to raat beet jaati hai,
Bhulana to bahut chaha magar yaade to yaade hai,
Kabhi hum haar jaate hai kabhi ye jeet jaati hai.