Sunday, September 23, 2012

Ho Chuke Ab Tum Kisi Ke,

Ho Chuke Ab Tum Kisi Ke,
Kabhi Meri Zindagi The Tum,
Bhulta Hai Kaun Mohabbat Pehli,
Meri To Saari Khushi The Tum.

Kadam Yu Hi Dagmaga Gaye Raste Se,

Kadam Yu Hi Dagmaga Gaye Raste Se,
Warna Sambhlna Hum Bhi Jante The,
Thokar Bhi Lagi Us Patthar Se,
Jise Hum Apna Khuda Maante The.

Ye Raate Bhi Kitna Ajeeb Mizaj Rakhti Hai,

Ye Raate Bhi Kitna Ajeeb Mizaj Rakhti Hai,
Kisi Ko Meethi Nind Sulati Hai,
Aur Kisi Ko Kisi Ki Yaado Me Rulati Hai.

Bhatkte Rahe Hai Baadal Ki Tarah,

Bhatkte Rahe Hai Baadal Ki Tarah,
Seene Se Laga Lo Aanchal Ki Tarah,
Gam Ke Raaste Pe Na Chodo Akele,
Warna Toot Jayenge Payal Ki Tarah.

Pyar aur barish dono ek jaise hote hai,

Pyar aur barish dono ek jaise hote hai,
Wo humesha yadgar hote hai,
Fark sirf itana hai ki barish sath rah kar tan bhigati hai,
Aur pyar door rahkar aankhe.

Friday, September 21, 2012

Aankho me tere ashq utaar lenge,

Aankho me tere ashq utaar lenge,
Khushi tujhe dekar gum udhaar lenge,
Tere jaane ke baad aayegi teri yaad,
Tere khayalo me hi wakt gujaar lenge.

Majboor Mahobbat Jataa Na Sake,

Majboor Mahobbat Jataa Na Sake,
Jakhm Khate Rahe Kisi Ko Bata Na Sake,
Chahato Ki Had Tak Chaha Use,
Sirf Apna Dil Nikaal Kar Use Dikha Na Sake.

Wo Kehte Hai Wafa Mujh me Nahi,

Wo Kehte Hai Wafa Mujh me Nahi,
Par Mai Bewafa Bhi Nahi,
Kitni Nafrat Hai Aaj Bata De Mujhe,
Fir Bhi Tere Siwa Is Dil Me Kisi Ko Jagah Nahi.

Dil Ko Aata Hai Jab Khayal Unka,

Dil Ko Aata Hai Jab Khayal Unka,
Tsveer Se Puchhte Hai Haal Unka,
Wo Puchte The Judai Kya Hai,
Aaj Samaj Me Aaya Ye Sawal Unka.

Meri Har Khushi Har Baat Teri Hai,

Meri Har Khushi Har Baat Teri Hai,
Sanso Me Chhupi Ye Hayaat Teri Hai,
Do Pal Bhi Nahi Reh Sakte Tere Bin,
Dhadkano Ki Dhadakti Har Aawaz Teri Hai.

Wednesday, September 19, 2012

Aaj Bheegi Hai Palke Ek Fariyad Me,

Aaj Bheegi Hai Palke Ek Fariyad Me,
Ashq Bhi Simat Gya Hai Apne Aap Me,
Oos Ki Bunde Aise Bikhri Hai Patto Par,
Maano Chand Bhi Roya Ho Kisi Ki Yaad Me.

DIL Ki Khwaish Ko Naam Kya Du,

DIL Ki Khwaish Ko Naam Kya Du,
Pyar Ka Use Paigam Kya Du,
Is DIL Me Dard Nahi Uski Yaade Hai,
Ab Yaade Hi Dard De To Use Ilzaam Kya Du.

Kisiko Kya Bataye Ki Ye Saza Kya Hai,

Kisiko Kya Bataye Ki Ye Saza Kya Hai,
Is Bechain Khamoshi Ki Wajah Kya Hai,
Har Koi Chod Jata Hai Tanha Hume,
Aur Hum Smajh Ni Pate Hamari Khata Kya Hai.

Aaj door se hi koi salam kar gaya,

Aaj door se hi koi salam kar gaya,
Apni yaado ke gulam kar gaya,
Apni jindgi girwi rakhi thi jiske paas,
Aaj wo hi hame nilaam kar gaya.

DiL Dhadkan Ki Kashti Hai,

DiL Dhadkan Ki Kashti Hai,
Khwabo Ki Duniya Me Yaado Ki Basti Hai,
Mohabbat Ke Bazar Me Chahat Ka Kya Sauda,
Wafa Ki Kimat Se Bewafai Sasti Hai.

Tuesday, September 18, 2012

Uski Chahat Se Ikraar Na Karte,

Uski Chahat Se Ikraar Na Karte,
Uski Kasmo Ka Aitbaar Na Karte,
Agar Pata Hota Hum Sirf Mazak Hai Unke Liye,
Jaan De Dete Par Pyar Na Karte.

Kbhi Bhulana Chaha To Kbhi Manana Chaha,

Kbhi Bhulana Chaha To Kbhi Manana Chaha,
Maine Bus Use Apna Banana Chaha,
Jane Kya Baat Thi Mere Aansuo Me,
Jo Usne Mujhe Sirf Rulana Chaha.

Phool bhi girte hai tujhe udaas dekh kar,

Phool bhi girte hai tujhe udaas dekh kar,
Ye to hum hai ki rone lagte hai tujhe udaas dekh kar,
Ehsaas hi nahi tujhe mere aansuo ka,
Ye to hum hai ki rone lage teri bewafai ko dekh kar.

Mohabbat Me Teri Fitrat Kya Thi,

Mohabbat Me Teri Fitrat Kya Thi,
Mujh Se Aisi Nafrat Kya Thi,
Teri Chahto Pe Wafa Ki Thi Maine,
Tujhe Bewafa Hone Ki Jarurat Kya Thi.

Bade Masoom Jazbo Se Wo Apne Shookhe Haatho Par,

Bade Masoom Jazbo Se Wo Apne Shookhe Haatho Par,
Wafa ki Surkh Mehndi Se Usi ka Naam Likhti Hai,
Jise Wo Pyaar Karti Hai,
Magar wo Na Smajh Ladki Abi Tak Ye Nahi Samjhi Ki,
Sapne Toot Jaaye To Bahut Barbaad Karte Hai,
Ye Ujle Rang Haatho Par Kabhi Thehra Nahi Karte,
Mohabbat To Haqeeqat Hai Koi Sapna Nahi Hota,
Kisi Ka Naam Likhne Se Koi Apna Nahi Hota.

Friday, September 14, 2012

Na Hum Kuch Hans kar Sikhe Hai,

Na Hum Kuch Hans kar Sikhe Hai,
Na Hum Kuch Rokar Sikhe Hai,
Ab Tak Jo Bhi Sikhe Hai,
Wo Kisi Ke Hokar Ya To,
Kisi Ko Kho kar Sikhe Hai.

Kitna Tadpaya Tune Mujhe Shayad Ehsaas Nahi,

Kitna Tadpaya Tune Mujhe Shayad Ehsaas Nahi,
Ek Aur Gam Bhi Hai Ki Tu Mere Paas Nahi,
Bahut Dil Bahlaya Tune Apna Mere Dil Se Khel Kar,
Tuje Samjhna To Tha Ki...
Wo Mera Dil Tha Koi Patte Ka Taas Nahi.

Kisi Anjaan Manzil Ki Chah To Nahi Karte,

Kisi Anjaan Manzil Ki Chah To Nahi Karte,
Kisi Ki Zindgi Hum Tbaah To Nahi Karte,
Fir Kyu Uthti Hai Duniya Ki Ungliya Hum Par,
Bas Pyar Hi To Karte Hai Koi Gunah To Nahi Karte.

Intezar rehta hai har shaam aapka,

Intezar rehta hai har shaam aapka,
Raate katti hai le kar naam apka,
Muddat se baithe hai ye aas lagaye,
Ki aaj aayega koi paigam aapka.

Dilo Se Khelne Ka Hunar Hame Aata Nahi,

Dilo Se Khelne Ka Hunar Hame Aata Nahi,
IsiLiye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye,
Meri Zindagi Se Shayad Unhe Bahut Pyar Tha,
IsiLiye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye.

Ye Ishq walo ki kismat buri hoti hai,

Ye Ishq walo ki kismat buri hoti hai,
Har mulakat judai se judi hoti hai,
Kahi bhi dekh lena Azmakar,
Sacche pyar ko judai hi naseeb hoti hai.

Bikharti Rait Par Kis Naksh Ko Wo Aabad Rakhegi,

Bikharti Rait Par Kis Naksh Ko Wo Aabad Rakhegi,
Wo Mujhko Yaad Rakhe Bhi To Kitna Yaad Rakhegi,
Use Buniyad Rakhni Hai Abhi Dil Me Muhabbat Ki,
Magar Ye Sang Seene Par Wo Mere Baad Rakhegi,
Palat Kar Bhi Nahi Daikhi Teri Ye Berukhi Humne,
Bhula Denge Tujhy Aisa Ki Tu Bhi Yaad Rakhegi.

Tanhayi le jaati hai jaha tak yaad tumhari,

Tanhayi le jaati hai jaha tak yaad tumhari,
Wahi se shuru hoti hai Zindagi hamari,
Nahi socha tha chahenge ham tumhe is kadar,
Par ab to ban gaye ho tum kismat hamari.

Meri Rooh Nikalne Wali Hogi,

Meri Rooh Nikalne Wali Hogi,
Meri Saans Bikharne Wali Hogi,
Fir Daman Zindagi Ka Chootega,
Dhaga Saans Ka Bhi Tootega,
Fir Wapis Hum Na Aayenge,
Fir Hum Se Koi Na Roothega,
Fir Aankho Me Noor Na Hoga,
Fir Dil Gam Se Choor Na Hoga,
Us Pal Tum Hum Ko Thamoge,
Hum Se Pyar Apna Mangoge,
Par Hum Na Kuch Bhi Bolenge,
Aankhe Bhi Na Kholenge,
Us Pal Tum Ro Doge,
Hum Ko Tum Kho Doge.

Chalte chalte shaam ho gayi,

Chalte chalte shaam ho gayi,
Saari umar tamaam ho gayi,
Gairo se nahi zindagi,
Apno se badnaam ho gayi,
Kisko gam dikhaye apna,
Shikwa gila kare to kis se kare,
Jinhe bithaya sar aankho par,
Unhi se neend haraam ho gayi.

Thursday, September 13, 2012

Bolta Nahi Koi Isliye Zamane Se,

Bolta Nahi Koi Isliye Zamane Se,
Ki Log Toot Jate Hai Faisle Sunane Se,
Kyu Uddas Baithe Ho Is Tarah Andhre Me,
Dukh To Kam Nahi Hote Roshni Bujhane Se.

Mohabbat ki ibadat ab hum na karenge,

Mohabbat ki ibadat ab hum na karenge,
Doosro ki basti me sharafat ab hum na karenge,
Khud ko jala denge mohabbat me hum,
Aur dekhne wale kahenge mohabbat ab hum na karenge.

Ulfat Ke Mod Pe Aisa Waqt Aaya Hai,

Ulfat Ke Mod Pe Aisa Waqt Aaya Hai,
Zakhm Dil Ka Zuban Ne Sunaya Hai,
Nahi Roya Jo Kaanto Ki Chubhan Se,
Use Phulo Ki Khushbu Ne Rualya Hai.

Yu Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise,

Yu Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise,
Saath Chal Mauj-e-Saba Ho Jaise,
Log Yu Dekh Kar Hans Dete Hai,
Tu Mujhe Bhool Gayi Ho Jaise,
Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Badha,
Yu Na Mil Hamse Rab Ho Jaise,
Maut Bhi Aai To Is Naaz Ke Saath,
Mujh Pe Ehasan Kiya Ho Jaise,
Aise Anjaan Bane Baithe Ho,
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise,
Hichkiya Raat Ko Aati Hi Rahe,
Tune Fir Yaad Kiya Ho Jaise,
Zindagi Beet Rahi Hai Ab Aaise,
Ek Be jurm Saza Ho Jaise.

Hum jaise tanha logo ka ab rona kya or hansna kya,

Hum jaise tanha logo ka ab rona kya or hansna kya,
Jab chahne wala koi nahi fir jeena kya marna kya,
Sau rang me jisko chaha tha sau roop me jisko socha tha,
Wo jaan to rooth gyi ab us ka haal sunana kya,
Awaz kisi ko de lekin ek nam Us ka honton par,
Har shakal me ubhre Wo hi bus khud ko magar bahlana kya,
Rato ka safar hai din ke liye aur din me tamana rato ki,
Jab pao me manzil kho jaye fir rukna kya ghar jana kya.

Tum aaye zindgi me kahani ban kar,

Tum aaye zindgi me kahani ban kar,
Tum aaye zindgi me raat ki chandni ban kar,
Basa lete hai jinhe hum aankho me,
Wo aksar nikal jate hai aankho se paani ban kar.

Mere marne ke baad tumko mera manana yaad aayega,

Mere marne ke baad tumko mera manana yaad aayega,
Jab tanhai gheregi tab tumko mera sath nibhana yaad aayega,
Jab koi sath chudane ke liye tumse jhooth bolega,
Tab mujhse banaya har bahana tumhe yaad aayega,
Jab koi baat baat par tumse muh fer lega,
Tab tumhe mujhse bar bar rooth jana yaad aayega,
Jab tumhara pyar kisi ke liye bas jism ka khel ban jayega,
Tab tumhe meri mohabbat ka wo zamana yaad aayega.

Us bewafa se bhala rishta mita kaise du,

Us bewafa se bhala rishta mita kaise du,
Wo Jaan hai meri use bhula kaise du,
Apni rooh me basa ke jise pyar kiya tha,
Sochta hu use ab dagha kaise du,
Kitne khwab sajaye the meri in ankho ne,
Mai apna har khwab bhala jala kaise du,
Wo royegi to aansu mere bhi niklenge,
Us ki bewafai ki use saza kaise du,
Wo kahti hai ki us ki khushi ki duaa mangu mai,
Par wo kisi aur ki ho jaye use ye duaa kaise du.

Tumhara is kadar se chod jana mujhe bada rulata hai,

Tumhara is kadar se chod jana mujhe bada rulata hai,
Tumhare sang jo guzra wo beeta zmana bada yaad aata hai,
Kbhi mai tumhare dil me dhadkan ki tarah basta tha,
Tumhare liye hi rota tumhare liye hi hansta tha,
Ek ye bhi waqt hai jab tumhari surat tak naseeb nahi hoti,
Meri aankh tumhari yaad me har waqt hai roti,
Kabhi tum laut aao to meri subah ho jaye,
Tumhare bina to meri har raat amawas si hai hoti,
Kabhi laut kar tum mujhko meri khata bta dena,
Agar ho sake to is nachiz ko fir se apna bana lena,
Mai apni rooh tak ko tumhare naam kar chuka hu,
Tumhare liye mai khud ko mohabbat ke bazar me nilam kar chuka hu.

Mere ishq ko yu nakaam kiya usne,

Mere ishq ko yu nakaam kiya usne,
Logo ki najro me badnaam kiya usne,
Maine to mangi thi uske pyarki nishani,
Saare jamane ka dard mere naam kiya usne.

Tuesday, September 11, 2012

Dekh ke Hume wo sir jhukate hai,

Dekh ke Hume wo sir jhukate hai,
Bula ke Mehfil me Nazre churate hai,
Nafrat hai Humse to bhi koi baat nahi,
Par Gairo se Mil ke Dil kyun jalate hai.

Hum na samjhe teri nazro ka takaza kya hai,

Hum na samjhe teri nazro ka takaza kya hai,
Kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai,
Mujhko madhosh sa kar rakha hai teri aankho ne,
Warna aye saaki tere mekhane me aur rakha kya hai,
Dekh laila tere majnu ka kaleja kya hai,
Khak me mil ke bhi kahta hai ki bigda kya hai,
Ye surahi sa badan le ke mere samne na aya karo,
Mai sharabi hu sharabi ka bharosa kya hai,
Apne honto ko mere honto se choone to do,
Ek do ghont se botal ka bigadta kya hai.

Usne Chaha to Chahto Ki Hado Se Badh Kar,

Usne Chaha to Chahto Ki Hado Se Badh Kar,
Kahti thi Haath Na Chodna Tufano Se Dar Kar,
Fir Khud Hi tod Diya Wo Talluq Zindagi Ke Ek Mod Par,
Aaj Maine Pucha to Kahti Hai...
Wo Lamha Tha Jo Guzar Gaya Kinaro Ko Tod Kar,
Khud Hi Ro Padi Wo Ek Zindagi Ke Mod Par,
Aur Kah Gayi Tum Kisi Aur Ke Ho Jao Mujhe BhooL Kar,
Fir Wo Chal Padi Meri Wafao Ko Chod Kar,
Magar Mai Karunga Intezar Un Lamhat Ko thaam Kar,
Kabhi to Hoga Use Bhi Ye Ehsaas Ki,
Kisi Ne Chaha tha Use Duniya Ko Chod Kar.

Badi Mehnat Se Dunia Lutai Hogi,

Badi Mehnat Se Dunia Lutai Hogi,
Mohabbat Ki Hasti Bhi Mitai Hogi,
La Tere Pairo Me Malham Laga Du,
Mere DiL Ko Thokar Marne Me Chot Aayi Hogi.

Usne kaha Tumme pehli si baat nahi,

Usne kaha Tumme pehli si baat nahi,
Maine kaha Zindagi me tera sath nahi,
Usne kaha Ab bhi kisi ki aankho me doob jate ho,
Maine kaha Ab kisi ki aankh me wo gehrai nahi,
Usne kaha Kyu itna toot kar chaha mujhe,
Maine kaha Insaan hu, patthar to nahi,
Usne kaha Kya mai bewafa hu,
Maine kaha Mujhe ab wafa ki talash nahi,
Usne kaha Bhool jao mujhe,
Maine kaha Tum haqiqat ho koi khwab nahi.

Unhe Fursat Nahi Humse Baat Karne Ki,

Unhe Fursat Nahi Humse Baat Karne Ki,
Kbhi Humse Milne Ka Bahana Dhundte The,
Rahne Lage Hai Unche Mahlo Me,
Kbhi Humare DIL Me Aasiyana Dhundte The.

Samne Tu Ho To Kidhar Dekhu,

Samne Tu Ho To Kidhar Dekhu,
Tu Hi Mehsoos Ho Jidhar Dekhu,
Jane Kyu Tujh Se Jee Nahi Bharta,
Jis Qadar Chahu Jis Qadar Dekhu,
Tu Hi Kaafi Hai Umar Bhar Ke Liye,
Aur Tujh Sa Na Umar Bhar Dekhu,
Jheel Jaisi Hai Wo Kanwal Aankhe,
In Me Ek Roz Doob Kar Dekhu,
Ek Hi Shakhs Hai Bahut,
Kyu Koi Aur Humsafar Dekhu.

Mazak Me Wo Yu hi Ruth Gaye,

Mazak Me Wo Yu hi Ruth Gaye,
Saare Armaan Mere Toot Gaye,
Nafrat ka Dhong Unhone Aisa Dikhaya,
Ki Wo Patthar Ban k Jeene Lage,
Aur Hum Shisha Ban Kar Toot Gaye.

Uske Siwa Koi Mere Jazbat Me Nahi,

Uske Siwa Koi Mere Jazbat Me Nahi,
Aankho Me Wo Nami Hai Jo Barsat Me Nahi,
Pane Ki use Kosish Bahut Ki,
Magar wo Ek Lakir Hai Jo Mere Haath Me Nahi.

Ek wafa ko pane ki kosish me,

Ek wafa ko pane ki kosish me,
Zakhmi hoti hai wafaye kitni,
Kitna masoom sa lagta hai lafz "mohabbat",
Aur is lafz se milti hai sazaye kitni.

Monday, September 10, 2012

Dosti ki mahek ishq se kam nahi hoti,

Dosti ki mahek ishq se kam nahi hoti,
Ishq pe hi zindgi khatm nahi hoti,
Agar sath ho zindgi me acche dosto ka,
Zindgi kisi jannat se kam nahi hoti.

Tum Kya Jano Kya Hai Tanhai,

Tum Kya Jano Kya Hai Tanhai,
Is Tute Hue Patte Se Pucho Kya Hai Judai,
Yu Bewafa Ka Ilzam Na De Zalim,
Is Waqt Se Puch Kis Waqt Teri Yaad Na Aayi.

Nigaho me manzil thi,

Nigaho me manzil thi,
Gire aur gir kar sambhalte rahe,
Hawao ne bahut koshish ki,
Magar chirag aandhiyo me bhi jalte rahe.

Us se juda to ho gaya par yu laga mujhe,

Us se juda to ho gaya par yu laga mujhe,
Jaise jahan me koi apna nahi raha,
Wo bewafa nahi magar itna zaroor hai,
Pahle wo jis tarah ki thi ab waisi nahi rahi.

Hum se poochni hai to sitaro ki baat poocho.

Hum se poochni hai to sitaro ki baat poocho.
khwabo ki baat to wo karte hai jinhe neend aati hai.

Gile Shikwo Se Chahat Me Koi Fark Nahi Padta,

Gile Shikwo Se Chahat Me Koi Fark Nahi Padta,
Aur Ek Baat Ye Bhi Hai...
Jaha Chahat Nahi Hoti,
Waha Shikwe Nahi Hote.

Teri saadgi ko niharne ka dil karta hai,

Teri saadgi ko niharne ka dil karta hai,
Tamaam umar tere naam karne ka dil karta hai,
Ek mukammal shayari hai tu kudrat ki,
Tujhe ghazal bana ke jubaan pe laane ka dil karta hai.

Wafa Karein To kis Se Kare,

Wafa Karein To kis Se Kare,
Ye Mitti Se Bane Log To...
Kagaj Ke Tukdo Se Bik Jate Hai.

Jane Kyu Wo Hame Kuch Aisi Nishani De Gaye,

Jane Kyu Wo Hame Kuch Aisi Nishani De Gaye,
Dohra Na Sake Aisi Kahani De Gaye,
Hum To Reh Gaye Pyase Par,
Wo Hamari Palko Ko Pani De Gaye.

Jada gum jab se najare ho gaye,

Jada gum jab se najare ho gaye,
Gardish me hamare sitare ho gaye,
Nibhayi hai kuch yaro ne dosti aisi,
Ki dushman bhi dost se pyare ho gaye.

Sunday, September 9, 2012

Mohabbat Ki Haseen Raho Me

Mohabbat Ki Haseen Raho Me Aksar Maine Dekha Hai,
Jo Sathi Sath Chalte The Bichadte Maine Dekha Hai,
Sajate The Bade Hi Shauk Se Khayalo Ki Haseen Duniya,
Bahut Choti Si Baaton Pe Ujadte Maine Dekha Hai,
Jo Kehte The Ki Ik Pal Bin Tere Hum Reh Na Payenge,
Samna Ab Ho To Chup Chap Guzarte Maine Dekha Hai,
Jo Kehte The Tera Rishta Zamane Bhar Se Afzal Hai,
Unhi Rishto Ko Pal Bhar Me Bikharte Maine Dekha Hai.

Ye Judai Bhi Muhabbat Ka Imtihan Hoti Hai,

Ye Judai Bhi Muhabbat Ka Imtihan Hoti Hai,
Koi Hasta Hai Apni Adao Pe,
Koi Rota Hai Apni Wafao Pe.

Meri Gazal ka Unwan Puchte Hai Log,

Meri Gazal ka Unwan Puchte Hai Log,
DIL me Kaun Rehta Hai Naam Puchte Hai Log,
Chod kar Chali Gayi Mujhko Akela Shehar Me,
Kitne Me Wo Bik Gayi Daam Puchte Hai Log,
Mai Sang Dil Tha Ya Wo Harjai,
Ek Yahi Baat Sar-e-Aam Puchte Hai Log,
Kal kya Hoga Mujhe khud khabar Nahi,
Meri Muhabbat Ka Anjam Puchte Hai Log.

Gile kagaj ki tarah hai zindgi humari,

Gile kagaj ki tarah hai zindgi humari,
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi,
Is kadar akele ho gye hai hum,
Koi stata bhi nahi koi manata bhi nahi.

Sachhe pyar me nikle aansu aur,

Sachhe pyar me nikle aansu aur,
Rote hue bacche ke aansu ek saman hote hai,
Kyuki dono ko pata to hai ki dard kya hai,
Par kisi ko bata nahi sakte.

Toot Jate hai Bikhar Jate hai,

Toot Jate hai Bikhar Jate hai,
Kaanch Ke Ghar me Muqaddar Apne,
Ajnabi To Sada Pyar Se Milte Hai,
Bhool Jate Hain To Aksar Apne.

Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,

Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,
Dard Duniya Ne Bina Soche Hi De Diya,
Jo Sah Gaye Har Dard Ko Hum Chupke Se,
To Humko Hi Patthar-Dil Kah Diya.

Pathar Dil Se Pyar Kiya Hai,

Pathar Dil Se Pyar Kiya Hai,
Apna Dil Bekrar Kiya Hai,
Jise Apni Yaado Ka Haqdaar Kiya Hai,
Usne Muje Ghum Se Aabaad Kiya Hai,

Hume unse koi shikayat hi nahi,

Hume unse koi shikayat hi nahi,
Shayad humari kismat me dosti hi nahi,
Meri takdeer likh kar to Bhagwaan bhi mukar gaya,
Pucha to bola ye to meri likhawat hi nahi.

Mujhe Gam To Uske Chin Jane Ka Hai,

Mujhe Gam To Uske Chin Jane Ka Hai,
Parwah Mujh Par Lage Ilzaam Ki Nahi,
Mera Haath Dekh Kar Najumi Ye Bola,
Bohat Si Chahaten Tere Liye Hai Baaki Lekin,
Tere Haath Me Koi Bhi Lakeer Uske Naam Ki Nahi.

Friday, September 7, 2012

Tanhai kisi ka intezar nahi karti,

Tanhai kisi ka intezar nahi karti,
Kismat kabhi bewafai nahi karti,
Unse door hone ka asar hai warna,
Parchai kabhi jism par waar nahi karti.

Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat Wo Shakhs,

Lipta Hai Mere Dil Se Kisi Raaz Ki Surat Wo Shakhs,
Ki Jis Ko Mera Hona Bhi Nahi Hai,
Yeh Ishq Mohabbat Ki Riwayat Bhi Azab Hai,
Pana Bhi Nahi Hai, Use Khona Bhi Nahi Hai.

Jo Aksar Kaha Karte The Hume Apni Jaan,

Jo Aksar Kaha Karte The Hume Apni Jaan,
Aaj Unke Dar Par Sar Jhukaye Baithe Hai,
Kuch To Saza De Gye Wo Hame Hamari Wafao Ka,
Jo Aaj Kisi Aur Se Dil Lagaye Baithe Hai.

Dhoka Deti Hai Masoom Chehro Ki Chamak Aksar,

Dhoka Deti Hai Masoom Chehro Ki Chamak Aksar,
Har Kaanch Ke Tukde Ko Heera Nahi Kahte.

Kash Ki Lamhe Bhar Ke Liye Ruk Jaye Zameen Ki Gardish,

Kash Ki Lamhe Bhar Ke Liye Ruk Jaye Zameen Ki Gardish,
Aur Koi Awaaz Na Ho Tumhare Dil Ki Dhadkano Ke Siwa.

Unhe chahana hamari kamzori hai,

Unhe chahana hamari kamzori hai,
Unse keh nahi pana hamari majburi hai,
Wo kyu nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai?

Duaa hai meri rab se,

Duaa hai meri rab se,
Ishq aur dard ko juda kar de,
Ya to mohabbat de de,
Ya to mujh ko fana kar de.

Aisi bewafai ki usne,

Aisi bewafai ki usne,
Mohabbat bhi badnaam ho gayi,
Apni mohabbat ki itni kimat vasool ki usne,
Ki hamari arthi bhi nilaam ho gayi.

Har pal kisi ka khayal aata hai,

Har pal kisi ka khayal aata hai,
Wo lamha wo din baar baar yaad aata hai,
Kaun janta hai is dil ki bebasi ko,
Ye tanhapan hi hai jo baar baar tadpata hai.

Meri deewangi ki koi had nahi,

Meri deewangi ki koi had nahi,
Teri soorat ke siwa kuch yaad nahi,
Mai hu phool tere gulshan ka,
Tere siwa mujh pe kisi ka haq nahi.

Thursday, September 6, 2012

Na khwabo me dekha na nazaro me dekha,

Na khwabo me dekha na nazaro me dekha,
Hazaro me ek humne tumhi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yaha,
Har pal khushi dene walo me ek aap hi ko dekha.

Kisi Ka Dil Tod Ke Chale Jana Wafa To Nahi,

Kisi Ka Dil Tod Ke Chale Jana Wafa To Nahi,
Kisi Ko Dil Me Basa Lena Koi Khata To Nahi,
Gunah Ho Ye Zamane Ki Nazro Me To Kya Hua,
Zamane Wale Insaan Hai Bhagwaan To Nahi.

Us Roz Dard-O-Sitam Ki Raat Hogi,

Us Roz Dard-O-Sitam Ki Raat Hogi,
Jis Din Dar Se Rukhsat Unki Barat Hogi,
Ye Soch Kar Ke Aksar Uth Jata Hu Neend Se,
Ki Kisi Gair Ki Baho Me Meri Kaynat Hogi.

Maine Dil ki Mehfil Me Baith kar,

Maine Dil ki Mehfil Me Baith kar,
Fir Ek Bar Apna Dil Jalaya Hai,
Jis Pe Maine Apna Sab Kuch Luta Diya,
Aaj Usi Ne Mere Pyar Ko,
Sare-Aam Jhutlaya Hai.

Batao kaisa lagta hai...

Batao kaisa lagta hai...
Kisi ko paa k kho dena,
Kisi k sath sath chalna,
Magar uska na ho pana,
Khud hi ko kosty rehna,
Magar usko na kuch kehna,
Khud girna sambhalna,
Khud Hansna or ro dena,
Batao kaisa lagta hai...
Khizan ki sakht sardi me,
Hijar ki lambi raaton me,
Kisi ki yaad me udaas hona,
Kisi ko sochte sochte...
Apni ankhe band karna Aur,
Andhero me chale jana,
Naye rishto me rang jana,
Magar kisi ko bhul na pana,
Batao kaisa lagta hai.

Na jane kyu har shaam udaas si ho gayi hai,

Na jane kyu har shaam udaas si ho gayi hai,
Bahaar me bhi meri zindagi veeran si ho gayi hai,
Jis pal se maine jeene ki khwahish chod di hai,
Us pal se maut bhi mujhse naraz si ho gayi hai.

Aisa Khamoshi ka Alam ho jayega hamare Jane k Baad,

Aisa Khamoshi ka Alam ho jayega hamare Jane k Baad,
Ho kar Udaas Parinde bhi Tera Shaher Chod jayenge.

Raste par mat baitho hawa tang karegi,

Raste par mat baitho hawa tang karegi,
Gujare hue lamho ki saja tang karegi,
Kisi ko mat lao dil ke itne kareeb,
Uske jane par uski har ek ada tang karegi.

Pata hi nahi chala kab wo dost se hamara pyar ban gaye,

Pata hi nahi chala kab wo dost se hamara pyar ban gaye,
Saath gujare hue kuch pal aaj yaadgar ban gaye,
Kar na sake unse izhaar hum is baat ka,
Aur dekhte hi dekhte wo kisi aur ke dildaar ban gaye.

Tere intezar me ye najre jhuki hai,

Tere intezar me ye najre jhuki hai,
Tere didar karne ki caah jaagi hai,
Na janu tera naam na tera pata,
Na jane kyu is pagal dil me...
Ek anjanii si behchaini jaagi hai.

Tuesday, September 4, 2012

Agar hum aansu hote to...

Agar hum aansu hote to...
Aapki aankho se girkar marna pasand karte,
Aur agar aap meri aankho ke aansu hote,
To wada hai hum zindagi bhar nahi rote.

Jo kaamp uthti thi mujhe Gawane ke khauf se,

Jo kaamp uthti thi mujhe Gawane ke khauf se,
Wo chod gayi mujhe zamane ke khauf se,
Duniya me kuch khas khush nahi hai ham,
Jee rahe hai bas mar jane ke khauf se,
Hamari misal bhi un phoolo jaisi hai,
Jo khile hi nahi murzane ke khauf se.

Dil Ke Kareeb Aa Ke Jab Wo Door Ho Gaye,

Dil Ke Kareeb Aa Ke Jab Wo Door Ho Gaye,
Saare Haseen Khwab Mere Choor Ho Gaye,
Humne Wafa Nibhai To Badnamiya Mili,
Jo Log Bewafa The Wo Mashhor Ho Gaye.

Kisi Ne Hume Rulaya To Kya Bura Kiya,

Kisi Ne Hume Rulaya To Kya Bura Kiya,
Dil Ko Dhukaya To Kya Bura Kiya,
Hum To Pehle Se Hi Tanha Te,
Kisi Ne Ehsas Dilaya To Kya Bura Kiya.

Mai Uske Haatho Me Tha...

Mai Uske Haatho Me Tha...
Toote Hue Sheeshe Ki Tarha,
Badi Umeed Thi Ki Bikharne Nahi Degi,
Bus Giraya Kuch Iss Ada Se Ki,
Simatne Ki Aas Hi Na Rahi.

Sunday, September 2, 2012

Jane kyu log hume aajmate hai,

Jane kyu log hume aajmate hai,
Kuch pal saath rahne ke baad door chale jate hai,
Sach hi kahte hai log ki...
Sagar ke milne ke baad log barish ko bhul jate hai.

Har daali ko phool sa uphar nahi milta,

Har daali ko phool sa uphar nahi milta,
Har raat ko chandni ka shringar nahi milta,
Hum yahi soch kar sabar kar lenge,
Har kisi ko uska pyar nahi milta.

Tanhai me fariyad to kar sakta hu,

Tanhai me fariyad to kar sakta hu,
Veerane ko aabad to kar sakta hu,
Jab chahu tumhe mil nahi sakta lekin,
Jab chahu tumhe yaad to kar sakta hu.

Pyar ke ujale me gum ka andhera kyu hai,

Pyar ke ujale me gum ka andhera kyu hai,
Jisko hum chahe wahi rulata kyu hai,
Mere rubba agar wo mera nasib nahi to,
Aise logo se hume milata kyu hai.

Har Kadam Par Uski Yaad Aati Hai,

Har Kadam Par Uski Yaad Aati Hai,
Ab To Rooye Bina Hi Aankh Bhar Aati Hai,
Unke Bina Kya Haalat Ho Gayi Ab To,
Har Ek Pal Me Maut Nazar Aati Hai.