Tuesday, February 28, 2012

Hum Tod Lete Agar Tum Gulab Hote,
Hum Jawab Hote Agar Tum sawal Hote,
Sabhi Jante Hai ki Hum Nasha Nahi krte,
Fir B Pee Lete Agar tum sharab Hote.
Teri YAAD Me Hum Har Pal Marte Hai,
Tere Liye Hum Itna Taraste Hai,
Fursat MileTo Kabhi Ye Sochna Zarur,
Ki Tere Liye Hum Kitna Tadapte Hai?
Pyar Ne Har Gum Sehna Sikha Dia,
Muskrati Ankho Ko Behna Sikha Dia,
Aksar MehfiLo Me Gunjti Thi Hansi Humari,
Ye Pyar H Jisne Hume Chup Rehna Sikha Dia.
Hum Ab Na Kisi Ke Dost...
Na Hi Kisi Ka Pyar Banne Ki Khwahish Rakhte Hai,
Kyun Ki...,
Mere Sath Meri Tanhai Ab Mujhe Achhi Lagti Hai.
Sang-E-MarMar ki tarif N karo Mujhse,
Mai to teri tarif me gazal Likdu,
TajMahal b jhuk jaega chumne k liye,
Mai jo 1 pathar pe NAAM-E-SANAM likh Du.
Jb Aapka Naame Zuba Par Aata Hai,
Pata Nahi DiL Q Muskurata Hai.!
Mil Jata Hai DiL Ko Sukun,
Ki Koi To Apna H Jo Man Me Khushi Lata Hai.
DiL Me Deep Jalane Se Kya Fayda,
Raakh Me Aag Lgane Se Kya Fayda,
Ek Ko Bhi Aati Nahi Hamari Yaad,
To Zabardasti Yaad DiLane Se Kya Fayda.
Meri yaad aayegi jab dur chala jaunga,
Dur itna laut ke kabhi na aaunga,
Ab tak shayad tere dil me rehta tha,
Fir teri yaad me bus jaunga.
Badi Mushkil Me Hu,
Mai Kaise Izhaar Karu,
Tu To Khushbu Hai...
Tujhe Kaise Giraftaar Karu.

Monday, February 27, 2012

Sapne the, sapno k aap sahil hue,
Na jane kaise hum apki pyaar k kabil hue,
Karazdar rahege hum uss hasin pal k,
Jab aap hamari zindagi me shamil hue.
Thi umeed unse khushiyo ki,
Mgar wo b hume gum de gaye.
Unhe malum tha ki mar jayenge hum unke bagair,
Fir b wo hume jine ki kasam de gaye.
Ye Gam Bus Teri Judai Ka,
Ye Ek Kisa Hai Bewafaai Ka,
Aansu Hi Milenge Hume Bhi Ab,
Ye Sila Bus Teri Ruswaai Ka.
Saara Din Lag Jata Hai Khud Ko Sametne Me,
Phir Raat Ko Unki YAADON Ki Hawa Chalti Hai aur...
Hum Phir Bikhar Kar Reh Jaate Hai.
Pyaar Ka Badla Kbhi Chuka Na Sakunga,
Chah Kar B Apko Bhula Na Sakunga,
Aap Hi Hai Mere Labo Ki Hansi,
Aapse Bichde To Fir Kbhi Muskura Na Sakunga.
Kaha Wafa Ka Sila Dete Hai Log,
Ab To Mohabat Ki Saza Dete Hai Log,
Pahle Sajate Hai Dilo Me Chahto K Khwab,
Phir Aitbar Ko Aag Laga Dete Hai Log.
Teri Jafaa Ko Bhi Hum Sajda Krte Hai,
Aksar Tujhko Hi Yaad Kiya Krte Hai,
Hum Badnasibo K Naseeb Me Mohabt Kaha,
Yehi Soch Ke DiL Samjha Liya Krte Hai.

Saturday, February 25, 2012

Mohabat Ne Dosti Se Poocha,
"Mere Hote Hue Tumhara Kya Kaam"?
Dosti Ne Jawab Diya.....
"Mai Un Labon Ki Muskurahat Hu,
Jin Ki Aankho Me Tum Aansu Chod Jaati Ho."
Aaj Fir Mere Ishq Ka Imtehan Hai,
Dekhna Hai Kya Unka Farman Hai,
Kyu Dete Ho Zakhm Har Din Naya,
Hum Bhi To Tumhari Tarha Insan Hai.
Pal Pal Traste Hai Jis Pal Ke Liye,
Wo Pal B Aya Kuch Pal Ke Liye,
Socha Us Pal Ko Rok Lu Har Pal K Liye,
Par Wo Pal Na Ruka Ek Pal Ke Liye.
Mere Aansuo Ke Har Boond Me Tere Deedar Ki Hasrat Milegi,
Jitna Jald Ho Sake Aana Warna Khamosh Tujhe Teri Mohabbat Milegi.
Kuch Iss Tarah Aapke Paas Aa Chuke,
Khud Ko Aapka Hissa Bana Chuke,
Ab To Humare Dard Ki Koi Dawa Karo,
Hum To Aapko Apna Bana Chuke.
Har Pal Unke Khwab Aate Hai,
Hume Satane K Tarike Unko Be Hisab Aate Hai,
Agar Qyamat Dekni Hai To Jayege Unki Mehfil Me,
Suna Hai Waha Wo Be-NaQab Aate Hai.
Tum Lakho Dilo Ki Dhadkan Ho,
Tumare Aage Meri Koi Shaan Nahi,
Me To Mahej Ek "SHAYAR" Hu,
Meri Aur Koi Pehchan Nahi.
SHAAM-O-Sehar Kis Ka Khayal Kiya,
Mere MEBOOB Ne Aaj Ye Sawal Kiya,
Anjaan Hai IsiLiye Puchte Hai Mujse,
Tumne Kis Ki Khatir Apna Ye Hal Kiya.
DiL Me Basa Rakha Hai teri Wafao ko,
Ankho Me Chupa Rakha Hai Teri Adao ko,
Is Jaha Me kya De Tujhe...,
Ho sake To Tohfa Samah Lena Meri Duao Ko.
Din Bhi Ab DhaL Chuka Hai,
Koi Hai Jo Muje BhuL Chuka Hai,
Na Ab Tammanna Hai Na Ab Intzar Hai,
Wo Insan Meri Zindgi-Se Bahut dur Ja Chuka Hai.
Zindagi Kya Kya Rang Dikhati Hai,
Kabhi Hasati Hai To Kabhi Rulati Hai,
Is Zindagi Ka Bharosa Mat Karna,
Kuch Deti Hai Lekin Bahot Kuch Chheen Bhi Leti Hai.

Friday, February 24, 2012

Hai ULjhan Badi Ab Kya Yaar Kare,
Kisse Nafrat Aur Kisse Pyar Kare,
Har Chehre K Piche EK Chehra Hai,
Kis Pe Shak Aur Kis Pe Aitbar Kare.
Mere Hotho Ki Hasi Aapke Hotho Pe Aye,
Aapki Aankho Ke Ansu Meri Ankho Me Aye,
Mar Ke Ban Jau mai Wo Tara,
Jo Aapki Har Mannat Pe Toot jaye.
Khwab Dekhne Ki Jab Aadat Ho Jati Hai,
HaQiQat Berang Nazar Aati Hai,
Koi Jeene Ka Intzar Karta Hai,
Aur Kisi ki Zindgi Intzar Me Beet Jati Hai.
Kisi ke Intzar Me Jaan Chali Jayegi,
Pyar Na Karunga Bewafa Chali Aayegi,
AaJ Hume Pareshan Kar Rahe Ho,
Kal Apko hi Hamari Yaad Jyada Aayegi.
Ankho me Aakar ruk jate hai Ansu,
Palko me Aake toot jate hai Ansu,
Dil karta hai baha du inhe,
Par tumko hasta dekh sukh jate hai Ansu.
Rahe door to apki yaad aayi,
Khai thokar to apki yaad aayi,
Bure insan mile zindgi me bahut lekin,
Jab acche insan ki bat ayi to apki yaad aayi.
Tanhaiyo Me Rone Ka Mazaa Kuch aur Hai,
DiLo Ke Tootne Ki Wajah Kuch aur Hai,
Na Aansu Na Maut Na Zindgi,
Pyar Karne walo Ki Saza Hi Kuch Aur Hai.
Tamannaye to Dil ki hasrat Hai,
Poori ho jaye to hum khush kismat Hai,
Na poori ho to gum kya karna,
Adhuri rehna to tamannao ki fitrat Hai.
DiL Ke Udas Shahar Ki Tanhaiyo Me Hu,
Dekh Teri Soch Ki Gehraiyo Me Hu,
Dhup Ki Kya MajaL K JaLa De Muje?
Mai To Tere Pyar Ki Parchaiyo Me Hu.
Nafrat Kya Hoti Hai Hum Nahi Jante,
Jindgi Ko Hum Apna Nahi Mante,
Gum Mile itne Ki Eahsas Nahi Hota,
Koi Pyar Bhi Kare To Vishwas Nhi Hota.
IshQ Karne Ka Usne Hume Khub Sila Diya,
DiL De Ke Hume GuLam Kar Liya,
Aisa IshQ Kiya ZaLim Ne,
Ki Zinda Hote Hue B Zinda Laash Bana Diya.
Har ek Manzar pe udasi chayi hai,
Chand ki Roshni me b kami aayi hai,
Akele acche the apne ashiyane me,
Jaane Q toot kar aaj fir aapki yaad aayi hai.
Itna Tut K Chaha Use,
Ye B Na Socha Ki Wo Bewfa To Nahi,
Meri Har Dua Chahti Thi Uski Khusiya,
Khyal Bhi Na Aya Ki Kahi Wo Khush Mere Bina To Nai.
InKar Ko Ikrar Kehte Hai,
Khamosi Ko Izhar Kehte Hai,
Kya Dastur Hai Is Duniya Ka,
1 Khubsurat Sa Dhoka Hai,
Jise Log Pyar Kehte Hai.

Monday, February 20, 2012

Kitna Gahra Pyar Karte H Hum Unse,
Kash Unko B Kabhi Ehsas Ho Jaye.
Par Aisa Na Ho Ki Wo Hosh Me Tab Aaye,
Jab Hum Gahri Neend Me So Jaye.
Hum To Uski Har Khwaish Poori Karne Ka Wada Kar Baithe,
Hume Kya Pata Hume Chodna B Uski Ek Khwaish Thi.
Kaash Behte Ashko Ka Bhi Koi Ghar Hota,
Chupa Dete Har Woh Aansu,
Jin Ke Dikhne Ka Dar Hota.!
Zindagi me mohabat ka khumar kya hota hai,
Dil se dilbar ka milaap kya hota hai,
Tum to bewafa ho tumhe kya pata,
Ki pyaar ka haseen ehsas kya hota hai?
Wo Badle Is Qadar Hum Hairan Reh Gaye,
Wo Khush Hai Hum Pareshan Reh Gaye,
Jane Kab Ye Jaan Nikal Jaye,
Hum Apne Hi Jism Me Mehman Reh Gaye.
Ab To Hasne ka Arman Rula Deta Hai,
Jo B Milta Hai DIL ko Dukha Deta Hai,
Waise B Aisa Kya Hai Mujme Jo Yad Kare Koi,
Waqt Acche-2 Ko Bhula Deta Hai.
Ankho me apke kuch arman chhod jaynge,
Zindgi me apke nishan chhod jaynge,
Le jayenge bus 1kafan apne liye,
Or apke liye sara jahan chhod jaynge.
Kya Sunaye Apne Dil Ka Haal Dosto,
Kuch Begano ki badduaye jeene nahi deti,
Aur kuch apno ki duaye marne nahi deti.
Nasib Mera Q Mujse Khafa Ho Jata hai,
Apna Jise Manu Bewafa Ho Jata hai,
Q Na ho Shikayat Meri Nazro Ko is Raat Se,
Sapna Poora Hota Nahi Sawera Ho Jata hai.
Gam Nahi Waha Jaha Ho Fasana Apka,
Khushi B Dhundti H Ashiyana Apka,
Aap Udas Na Hona Kabhi Zindgi Me,
Bahut Accha Lagta H Muskurana Apka.
Kabhi ashiyana ujad gaya,
Kabhi tinka bhi nahi mila.
Kabhi doobe hum kinaro pe aur,
kabhi kinara bhi nahi mila.
Apni mohabbat ka izhar kaise kare,
Wo badi nazuk h pyar kaise kare,
Dekhte hi unhe bahek jata h ye dil,
Beqarar dil pe qarar kaise kare.
Dard Jitna H Meri Nigaho me,
Na De Khuda kisi ki Raaho Me,
Bitana Chahta Hu Zindgi Jinki Chaaw Me,
Zindgi N Sahi Maut Hi Aa Jaye uski Baho Me.
Is Jahan Me Mera Koi Thikana Nahi,
Begane Hai Sab Koi Mera Apna Nahi,
Tum To Bhulkar Khush Ho,
Mere Paas To Tumhe Bhulne Ka Koi Bahana Nahi.

Friday, February 17, 2012

Na De Khusi Hum Gum Seh Lenge,
Tu Jis Hal me Rakhe Hum Reh Lenge,
Na Tujhse Karege Koi Sikwa Gila,
Aaina Dekh Kar Khud Ko Hi Sab Keh Lenge.
Hajaro Me Apni Chamak Chod Jaunga,
Pehchan Door Talak Chod Jaunga,
Khamosiyo Ki Maut Gawara Nahi Mujhe,
Shisha Hu Toot K Khanak Chod Jaunga.
Kasam Dekar Mujhe Wo Juda Hue,
Socha-Na-SamJha Bas Wo Khafa Hue,
Wo To MuJhe Bewafa Kehkar Dur Gaye,
Unke pyaar Me To Badnaam Hum Hue.
Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati,
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati,
Ajib Log Hai is Zamane Me,
Koi BhuL Nahi Pata Or KisiKo Yaad Nahi Aati.
Hum Apki khushi ki chahat karte hai,
Bas itna si Dua karte hai,
Aaj fir apke intzar me baithe hai,
Dekhna hai Aap kab hume yad karte hai?
Zamana Hai Ye isko Badalna Mat,
Iski Raah Bhi Magar Chalna Mat,
Agar Girne Lago Tum To Gir Jana,
Par is Zamane K Sahare Sambhalna Mat.
Yado Ki Shama Jab Bujhti Dikhai Degi,
Teri Har Sans Mere Wajud Ki Gawai Degi,
Tum Apne Andar Ka Shor Kam Karo,
Meri Har Aahat Tume Sunai Degi.
Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai,
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai,
Aansu Mere Thum Jaye To Phir Shauq Se Jana,
Aise Me Kahan Jaogi Barsaat Bahut Hai,
Wo Kehne Lagi Jana Mera Bahut Zaroori Hai,
Nahi Chahti Dil Todna Tera Par Majboori Hai,
Agar Hui Ho Koi Khata To Maaf Kar Dena,
Maine Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai,
Samajh Gaya Hu Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi,
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai,
Phir Kabhi Na Aaunga Tumhari Zindagi Me Laut K,
Saari Zindagi Tanhayi Ke Liye, Aaj Ki Raat Bahut Hai.
Bas Ek Choti Si Haan Kar Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kar Do!
Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Me Hai,
Un ko Zuban Par Lao 0r Bayan Kar Do!
Aaj Bas Aap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kar Do!
Ho Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kar Do,
Aa-Jao Ki Aisa Toot Kar Chahon Tumhe,
Humari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kar Do!
Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujhKo,
Rahu Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!
Khub Gaye Pardes Ki,
Apne Deewaro-Dar Bhul Gaye,
Sheesh Mahal Ne Aisa Ghera Ki,
Mitti K Ghar Bhool Gaye.
Uski Galiyo Se Jab Laute,
Apna Bhi Ghar Bhool Gaye.

Sunday, February 12, 2012

Sab Log Rahguzar Nahi Hote,
Saath Chalne Waale B Hum Safar Nahi Hote,
Kitna Khauf Hota H Shaam K Andhere Me,
Pucho Un Parindo Se Jinke Ghar Nahi Hote.
Aankho Me Aansu Ki Chamak Aaj B Hai,
Usko Mere Pyaar Pe Shaq Aaj Bhi Hai,
Naaw Me Baith K Hath Dhoye the Usne,
Samandar Me Mehndi Ki Mahak Aaj B Hai.
Samandar Ki Ret Hatho me Samai Nahi Jati,
DIL Ki Har Baat Batai Nahi Jati,
Karte Hai Unse PYAR Aksar,
Jinse DIL ki Koi Baat Chupai Nahi Jati.
Khamosh Rehte Hai To...
Log Kehte Hai Udasi Acchi Nahi.
Zara Sa Hans Le To...
Log Muskurane Ki Wajah Puchte Hai.
Mai Bhi Bikne Gaya Tha Bazaar-E-MuhabbaT Me,
Ae Yaaro......
Kya Pata Tha Wafa Walo Ko Log...
Kharida Nahi Karte.
Mai Kisi Ko Kya ilzaam Du Apni Maut Ka,
Yaha To Satane Waale Bhi Apne They,
Dafnane Waale Bhi Apne They.
Wo Shaam Yaad Rahegi,
Wo Shehar Wo Makan Yaad Rahega,
Hum Bhool Sake Hai Na Tuze Bhool Sakege,
Tu Yaad Thi Tu Yaad Hai Tu Yaad Rahegi.
Uljhi raat ko pane ki zid na karo,
Na ho apna use apnane ki zid na karo,
Iss samandar me tufan bahut hai,
Usme ghar Banane ki zid na karo.
Wo Humare Kab The Jo Begane Ho Gye,
Zara Si Bat Thi Kya Fasane Ho Gye,
Kya Use ilzam De Kya Sunaye Haal E DiL,
Ab Koi Hoga Naya Hum Purane Ho Gye.

Thursday, February 9, 2012

Mat Karo Koi Wada Jise Tum Nibha Na Sako,
Mat Chaho Kisiko Itna Ki Use Bhula Na Sako,
Pyar Kaha Kisika Pura Hota Hai,
Pyar Ka Pehla Akshar Hi Adhura Hota Hai.
Udhr Mere Mehboob Ki Baraat Saji Hai,
Idhar Mere Armano Ko Aag Lagi Hai,
Agar Wo Aaye To Unse Keh Dena,
Mat Jagao Abhi Abhi To Aankh Lagi Hai.
Dard Kya Hai Batayenge Kisi Din,
Dil Cheer Ke Dikhayenge Kisi Din,
Udne Do In Parindo Ko Fizao Me,
Apne Hai To Laut Aayenge Kisi Din.
1Din Jab Hua Ishq Ka Ehsas Unhe,
Wo Humre Pas Aakar Pure Din Rote Rahe,
Aur Hum B Itne Khudgarz Nikle Yaro,
Ki Ankhe Band Kar k Kafan Me Sote Rahe.
Agar Mujse Mohabat Nahi To Rote Q Ho,
Tanhai Me Mere Bare Me Sochte Q Ho,
Agar Manzil Judai Hai To Jane Do Mujhe,
Laut Ke Kab Aaoge Puchte Q Ho.?
Aisi Bewafai ki us Bewafa Ne,
Ki Mohabt B Badnam Ho Gai.
Apni Mohbat ki Aisi kimat wasool ki usne,
Ki Hamari Qabar Tak Neelam Ho gai.
Majbur itne ki mohabat jata na sake,
Zakham khate rahe kisi ko bata na sake,
Chahato ki had tak chaha use,
Sirf apna dil nikal kar use dikha na sake.
Raho Me Nikle To Rasta Viran Tha,
1Taraf Aabadi 1Taraf Qabristan Tha,
Har Viran Qabar Ka Yahi Byan Tha,
Dekh K Chal Musafir Kabhi Mai B Insan Tha.
Hum Jagte Rahe Or Wo So Gyi,
Viraan Rasto Me Tanha Chhod Gyi,
Yaado Ka Kaarwa Yu Chalne Laga,
Jise Haq Se Apna Kehte The Wo Khi Kho Gyi.
Kitna Hasin Chand Sa Chehra Hai,
Uspe Shabab Ka Rang Gehara Hai,
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe,
Tbi To Ek Chand Pe Hazaro Taro Ka Pehra Hai.
Aaj wo apne ho k bhi begane lage,
Hawa ke thande jhoke hume jalane lage,
1Aah pe meri girte the jinke ansu,
Aaj wo mere zakhmo Pe muskurane lage.
Ye Pal Judaai Ke Guzrte Q Nahi?
Mai Tut Gya Hu To Bikharta Q Nahi?
Tera Sath Saanso Ki Tarah Tha,
Ae Raani Tu Sath Ab Nahi To Mai Mrta Q Nahi?
Khayalo ko kisi aahat ki aas rehti hai,
Nigaho ko teri talaash rehti hai,
Tere bina koi kami nahi lekin,
Tere bagair tabiyat udaas rehti hai.
Pyar wo hame bepana kar gaye,
Fir zindagi me humko tanha kar gaye.
Chahat thi unke ishq me fanna hone ki,
Par wo laut kar aane ko bhi mana kar gaye.
Khusiya mile bata na sake,
Jakham mile ro na sake,
Zindagi ka yahi raaj raha hai,
Jise chaha use pa na sake.
Afsos Hota Hai us Pal jab,
Apni Pasand koi Chura leta Hai,
Hum khwabo me dekha krte Hai,
Aur Hakikat koi aur bana leta Hai.
Tute Khwabo Ko Phir sajana Aata Hai,
Ruthe Dil Ko Manana Aata Hai,
Aap Humare Jakham Dekhkar Pareshan Na Ho,
Hume To Dard Me Bhi Muskurana Aata Hai?
Mohabbat ki kashti me sawaar they hum,
Socha tha pahuch jayenge chahat ke ganw me,
Doobne lage toh hosh aaya,
Hum to beithe they kagaj ki naaw me.