Tuesday, January 27, 2015

Jo Lut Gaye Nashe Me,

Jo Lut Gaye Nashe Me,
Wo Sharab Ko Ilzaam Dete Hai,
Jo Lut Gaye Bewafai Se,
Wo Shabab Ko Ilzaam Dete Hai.

Milti Thi Mujhe Wo Kbhi Pal Pal Ke Fark Se,

Milti Thi Mujhe Wo Kbhi Pal Pal Ke Fark Se,
Fir Rafta Rafta Fark Ye Saalo Me Aa Gya,
Fir Yu Hua Ki Aankh Se Aansu Nikal Pade,
Chehra Kabhi Jo Uska Khyalo Me Aa Gya.

Sunday, January 25, 2015

Gam Ke Maare Jo Muskuraye Hai,

Gam Ke Maare Jo Muskuraye Hai,
Aansuo Ko Bhi Pasine Aaye Hai,
Kya Bala Hai Khushi Nahi Malum,
Hum To Bus Naam Sunte Aaye Hai.

Saturday, January 24, 2015

Usne hontho se chu kar,

Usne hontho se chu kar,
Paani ko gulabi kar diya,
Hamari baat to aur thi yaaro,
Machliyo tak ko bhi sharabi kar diya.

Tuesday, January 20, 2015

Fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,

Fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
Samne baithi thi mere aur wo meri na thi,
Ye sab hi viraniya un ke juda hone se thi,
Aankh dhundlayi hui thi shehar dhundlaya na tha,
Wo ek khushbu ki tarah faili thi mere charo or,
Mai jise mehsus kar sakta tha par chu sakta na tha,
Raat bhar pichali hi aahat kaan me aati rahi,
Jhank kar dekha gali me koi bhi aaya na tha,
Yu to chehre the hazaro anjuman me,
Aankh jisko dhundhti thi ek wo chera na tha,
Yaad kar ke bhi unhe taklif hoti thi,
Bhul jane ke siwa ab koi bhi chara na tha.

Monday, January 19, 2015

Ye zulf agar khul ke bikhar jaye to accha hai,

Ye zulf agar khul ke bikhar jaye to accha hai,
Is raat ki takdir sanwar jaye to accha hai,
Jis tarah se thodi si zindgi tere saath kati hai,
Baaki bhi usi tarah guzar jaye to accha hai,
Duniya ki nigaho me bhala kya hai aur bura kya,
Ye bojh agar dil se utar jaye to accha hai,
Waise to tumhi ne mujhe barbaad kiya hai,
Ilzaam kisi aur ke sar jaye to accha hai.

Sunday, January 18, 2015

Justaju jiski thi usko to na paya humne,

Justaju jiski thi usko to na paya hamne,
Is bahane se magar dekh li duniya hamne,
Tujhko ruswa na kiya khud bhi pasheman na huye,
Ishq ki rasm ko is tarah nibhaya hamne,
Kab mili thi kaha bichadi thi hume yaad nahi,
Zindagi tujhko to bas khawab me dekha hamne,
Aye sanam aur sunaye bhi to kya hal apana,
Umar ka lamba safar tay kiya tanha hamne.

Saturday, January 17, 2015

Ye gazlo ki duniya bhi ajeeb hai,

Ye gazlo ki duniya bhi ajeeb hai,
Yaha aansuo ka bhi jaam banaya jata hai,
Kah bhi dete hai agar dard-e-dastan,
Fir bhi wah-wah hi pukara jata hai.

Sunday, January 11, 2015

Jab Paas Ho To Rukh Se Nigahe Na Modna,

Jab Paas Ho To Rukh Se Nigahe Na Modna,
Jab Door Ho To Mera Tasavvur Na Chodna,
Aye Dost Dil Lagane Se Pehle Ye Soch Le,
Muskil Bahut Hai Rishto Ki Zanjire Na Todna.

Saturday, January 3, 2015

Ek Nazar Bhi Dekhna Gawara Nahi Use,

Ek Nazar Bhi Dekhna Gawara Nahi Use,
Zara Bhi Ehsaas Hamara Nahi Use,
Wo Sahil Se Dekhte Rahe Doobna Hamara,
Hum Bhi Khuddar The Pukara Nahi Use.