Sunday, February 23, 2014

Mehfil kabhi udas nahi hoti,

Mehfil kabhi udas nahi hoti,
Pyar ki manzil itni pass nahi hoti,
Hota hai kabhi kabhi aisa bhi zindagi me,
Mil jate hai wo bhi jinki kabhi talash nahi hoti.

Ishq pane ki tamanna me kabhi kabhi,

Ishq pane ki tamanna me kabhi kabhi,
Zindagi khilona ban jati hai,
Jise dil me basana chahte hai,
Wo surat sirf yaad bankar reh jati hai.

Kitna pyar karte hai hum unse,

Kitna pyar karte hai hum unse,
Kaash unhe bhi ye ehsaas ho jaye,
Kahi aisa na ho ki wo hosh me tab aaye,
Jab hum kisi aur ke ho jaye.

Friday, February 14, 2014

Mohabbat ki kasam tumko kiye wade wafa karna,

Mohabbat ki kasam tumko kiye wade wafa karna,
Hamesha ke liye ek sath rahne ki duaa karna,
Tumare pyar ke daam se meri duniya me raunak hai,
Tumare pyar ke badle Ye duniya le kar kya karna,
Tumhe ye kaun kahta hai ki mere paas aa baitho,
Mujhe bas door se hi dekh kar tum hans diya karna.

Kabhi hasati hai to kabhi rulati hai,

Kabhi hansati hai to kabhi rulati hai,
Ye zindagi bhi na jane kitne rang dikhati hai,
Hanste hai to bhi aankho me nami aa jati hai,
Na jane ye kaisi yaade hai jo dil me bas jati hai.

Thursday, February 13, 2014

Maine jamane ke ek beete daur ko dekha hai,

Maine jamane ke ek beete daur ko dekha hai,
Dil ke sukun ka aur galiyo ke shor ko dekha hai,
Mai jaanta hu ki kaise badal jate hai insaan aksar,
Maine kai baar apne andar kisi aur ko dekha hai.

Wo Pani Ki Lehro Pe Kya Likh Rahi Thi,

Wo Pani Ki Lehro Pe Kya Likh Rahi Thi,
Rab Jane Mohabbat Ya Dua Likh Rahi Thi,
Likhe The Jisne Wafa Ke Maane Adhure,
Wo Shakhs Pyar Ki Inteha Likh Rahi Thi,
Zara Se Bhi Uski Aankh Se Aansu Na Nikle,
Wo Shakhs Jab Zindagi Ko Saza Likh Rahi Thi,
Mohabbat Me Nafrat Mili Thi Usse Bhi,
Jo Har Shakhs Ko Bewafa Likh Rahi Thi.

Zuban khamosh aankho me nami hogi,

Zuban khamosh aankho me nami hogi,
Ye bus ak dastan e zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayenge,
Kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi.

Saturday, February 8, 2014

Hume Bhi Pyar Karne Ka Khayal Aaya,

Hume Bhi Pyar Karne Ka Khayal Aaya,
Jab Bhi Ye Khayal Aaya Khud Ko Akela Paya,
Dhundte Rahe Is Duniya Me Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz To Kisi Ko Bewafa Hi Paya.

Koi Chahat Ki Baat Karta Hai,

Koi Chahat Ki Baat Karta Hai,
Aur Koi Chahne Wale Ki,
Hum To Dono Azma Ke Baithe Hai,
Na Chahat Mili Na Chahne Wali.