Wednesday, July 25, 2012

So Jata Hai Har Koi Apne Kal Ke Liye,

So Jata Hai Har Koi Apne Kal Ke Liye,
Par Koi Ye Nahi Sochta Ki...
Aaj Jiska Dil Dukhaya Wo Soya Hoga Ya Nahi.

Dard Hi Dard Ko Dard Dene Laga,

Dard Hi Dard Ko Dard Dene Laga,
Fir Dard Hi Ghao Ko Bharne Laga,
Hum Pa Kar Dard Ko Kabhi Na Roye,
Dard Hi Humare Dil Ko Chu Kar Rone Laga.

Hum Na Mile Aapse To Fariyad Milegi,

Hum Na Mile Aapse To Fariyad Milegi,
Hum Jo Mile Aapse To Yaad Milegi,
Maut Khamosh Kar Degi Zuban Ko Magar,
Aapko Har Jagah Humari Aawaz Milegi.

Humne Aansu Se Poocha,

Humne Aansu Se Poocha,
Kyu Mazak Banate Ho Sabke Samne Chale Aate Ho,
Aansu Bole- Mehfil Me Bhi Tumhe Tanha Pate Hai,
To Saath Dene Chale Aate Hai.

Ae Dil Bhool Ja Pagal Duniya Se Dil Lagana,

Ae Dil Bhool Ja Pagal Duniya Se Dil Lagana,
Wafa Karo To Saza Dete Hai,
Khamosh Raho To Bhula Dete Hai.

Yaado Me Na Dhundho Hume,

Yaado Me Na Dhundho Hume,
Man Me Hum Bas Jayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki To,
Haath Rakhna Apne Seene pe,
Hum Dhadkano Me Hi Mil Jayenge.

Umar Bhar Ke Liye Ek Waada Kar Le,

Umar Bhar Ke Liye Ek Waada Kar Le,
Saath Nibhane Ka Aaj Irada Kar Le,
Log To Kahenge Jo Unhe Kehna Hai,
Ya Pyar Kar Le Ya Zamane Se Dar Le.

Umeed Maine Ek Patthar DiL Se Wafa Ki Rakhi,

Umeed Maine Ek Patthar DiL Se Wafa Ki Rakhi,
Ye Pata Hote Hue Bhi Ki...
Kagaz Ke Phoolo Se Khushbu Kabhi Nahi Aati.

Dub Jaye Sagar Me To Pyas Hi Na Rahe,

Dub Jaye Sagar Me To Pyas Hi Na Rahe,
Tham Jaye Sans To Koi Aas Hi Na Rahe,
Khushi Mile Sabko Zindgi Me Is Kadar Ki,
Kisi Ko Humari Kami Ka Ehsaas Hi Na Rahe.

Har Naye Mod Par Sham Ho Jati Hai,

Har Naye Mod Par Sham Ho Jati Hai,
Zindgi Pyar Me Badnam Ho Jati Hai,
Kaise Dekhu Mai Kal Ke Sapne,
Meri To Har Khusi Poori Hone Se Pehle Nilam Ho Jati Hai.

Tuesday, July 24, 2012

Kamaal Ka Hausla Diya Hai Rab Ne Us Sitamgar Ko,

Kamaal Ka Hausla Diya Hai Rab Ne Us Sitamgar Ko,
Waqif Wo Agle Pal Se Bhi Nahi Thi Aur...
Waade Janmo Ke Kar Liye The.

Pyar Zindgi Ko Sajane Ke Liye Hai,

Pyar Zindgi Ko Sajane Ke Liye Hai,
Zindgi Dard Badhane Ke Liye Hai,
Kash Koi To Padh Pata Meri Udasi Ko,
Ye Hansta Hua Chehra To Sirf Dikhane Ke Liye Hai.

Aansu Ki Bunde Hai Ya Ankho Me Nami Hai,

Aansu Ki Bunde Hai Ya Ankho Me Nami Hai,
Na Upar Aasman Na Niche Zami Hai,
Ye Kaisa Mod Hai Zindgi Ka,
"Aapki" Hi Zarurat Hai Aur "Aapki" Hi Kami Hai.

Dil Ne Jo Chaha Kabhi Na Paya,

Dil Ne Jo Chaha Kabhi Na Paya,
Jhuti MuskAan Se Humne Gum Ko Chupaya,
Har Insan Takdir Ko Ajmata Hai,
Ek Hum Hai Jise Har Baar Takdir Ne Aazmaya.

Aapki Aankho Se Ojhal Ho Jayenge Hum,

Aapki Aankho Se Ojhal Ho Jayenge Hum,
Door Kho Jayenge Hum,
Royenge Aap Lipatkar Humari Yaado Se,
Jab Raakh Bankar Hawa Me Kho Jayenge Hum.

Jab Achanak Unki Yaad Aati Hai,

Jab Achanak Unki Yaad Aati Hai,
Dil Me Dhimi Si Dhadkan Ruk Jati Hai,
Itni Khubsurat Hai Unki Aankhe Ki,
Unse Nazar Milte Hi Humari Nazar Jhuk Jati Hai.

Raat Hui Sitaro Ne Gagan Chin Liya,

Raat Hui Sitaro Ne Gagan Chin Liya,
Subah Hui Kalio Ne Chaman Chin Liya,
Hum Itne Badnasib Hai Dosto,
Janaze Se Ja Rahe The...
Kanto Ne Kafan Chin Liya.

Kalm Uthai Hai Lafz Nahi Milta,

Kalm Uthai Hai Lafz Nahi Milta,
Jiski Yaad Aati Hai Wo Shaks Nahi Milta,
Usko Sabse Baat Karne Ki Fursat Hai,
Bas Humse Bat Karne Ke Liye Use Waqt Nahi Milta.

Tere Pyar Me Do Pal Ki Zindgi Bahut Hai,

Tere Pyar Me Do Pal Ki Zindgi Bahut Hai,
Ek Pal Ki Hansi Aur Ek Pal Ki Kushi Bahut Hai,
Ye Dunia Mujhe Jane Ya Na Jane,
Teri Ankhe Muje Pehchane Yahi Bahut Hai.

Apni To Zindagi Ki Ajib Kahani Hai,

Apni To Zindagi Ki Ajib Kahani Hai,
Jis Chiz Ko Chaha Wo Hi Begani Hai,
Haste Hai Duniya Ko Hasane Ke Liye,
Warna Duniya Dub Jaye In Aankho Me Itna Paani Hai.

Monday, July 23, 2012

Jiske Bina Hume Saans Nahi Aati,

Jiske Bina Hume Saans Nahi Aati,
Kyu Hawa Usko Apne Saath Nahi Lati,
Kehti Hai Udaas Dil Ki Dhadkan Hume,
Use Shayed Ab Meri Yaad Nahi Aati.

Na Kar Gila Mere Behate Ashko Ka,

Na Kar Gila Mere Behate Ashko Ka,
Is Dil Ko Sabhi Ne Rulaya Hai,
Na Dhundo Mere Dil Ki Kitab Me Khushi Ka Panna,
Har Panna mere Apno Ne Hi Jalaya Hai.

Ye Sang Dilo Ki Duniya Hai,

Ye Sang Dilo Ki Duniya Hai,
Yaha Sunta Nahi Fariyaad Koi,
Yaha Hanste Bhi Log Us Waqt Hai,
Jab Hota Hai Barbaad Koi.

Samunder Ki Rait Me Ghar Mile Na Mile,

Samunder Ki Rait Me Ghar Mile Na Mile,
Fir Ye Zindgi Ye Duniya Mile Na Mile,
Karte Hai Aapko Yaad Dil Se,
Kya Pata Kal Ye Dil Dhadkta Hua Mile Na Mile,

Pyar Wafa Sab Kuch Mita Diya Hota,

Pyar Wafa Sab Kuch Mita Diya Hota,
Uska Naam Tak Bhula Diya Hota,
Agar Tasvir Uski Dil Me Na Hoti,
To Kasam se Khud Ko Bhi Jala Diya Hota.

Ek Din Ruth Kar Hum Bhi Dikhayenge,

Ek Din Ruth Kar Hum Bhi Dikhayenge,
Jee Bhar Ke Sabko Hum Bhi Rulayenge,
Paidal Chal Rahe Honge Dost Saare,
Aur Hum Aaram Se Unke Kandho Par Let Ke Jayenge.

Kya Taarif Karu Aapki,

Kya Taarif Karu Aapki,
Har Lafz Me Jaise Khushbu Ho Gulab Ki,
Rab Ne Diya Hai Itna Pyara Dost,
Bas Tamanna He Ek Mulakaat Ki.

Koi To Aisa Ho Jo Sirf Mera Ho,

Koi To Aisa Ho Jo Sirf Mera Ho,
Meri Bato Me Uski Khushboo Ho,
Mere Dil Me Uska Basera Ho,
Chahe To Chahat Meri Ho,
Mange To Mohabbat Meri Ho,
Agar Wo Chand Sa Chamkta Ho,
To Wo Chand Sirf Mera Ho,
Agar Wo Phoolo Ki Khushboo Ho,
To Wo Ehsaas Sirf Mera Ho,
Agar Wo Falak Ka Ujala Ho,
To Wo Chirag Sirf Mera Ho,
Agar Wo Ishq Ya Mohabbat Ho,
To Dil Sirf Mera Ho,
Agar Wo Paani Ki Bund Ho,
To Dariya Sirf Mera Ho,
Agar Wo Kismat Ki Lakir Ho,
To Wo Hath Sirf Mera Ho.

Wo Aaksar Mujhe Kahti Thi,

Wo Aaksar Mujhe Kahti Thi,
“Tumhe To Apna Bana Kar Chodungi”
Aaj Usne Apni Baat Sach Kar Di,
Usne Mujhe Apna Bana Kar Hi Chod Diya.

Na Mila Dard Sirf Ghairo Se,

Na Mila Dard Sirf Ghairo Se,
Apne Bhi Hume Bahut Rulaye,
Dil Pe Yu Baato Ke Teer Pe Teer Chalaye,
Chalni Hua Dil Aankho Se Aansu Nahi Lahu Tapkaye,
Log Use Bhi Pani Samajh Kar Yun Mazak Udaye,
Bolo Zakham Hum Ab Kis Ko Dikhlaye,
Jab Pata Nahin Hai Hume Kaun Apne Kaun Paraye.

Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Hue Hum,

Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Hue Hum,
Na Toot Ke Pyar Kar Sake Na Ro Sake Hum,
Wo Bhi din The Ki Roz Baat Karte The,
Ye Bhi Din Hai Ki Aawaz Ko Taras Gye Hum.

Kabhi Kabhi Ye Zindagi Beimaani Si Nazar aati Hai,

Kabhi Kabhi Ye Zindagi Beimaani Si Nazar aati Hai,
Kisi Viraan Khandar Ki Kahani Si Nazar Aati Hai,
Koi Maksad Nahi Jeene Ka Fir Bhi Ji Raha Hu,
Kyuki Ateet Ki Yaado Ki Ye Nishani Si Nazar Aati Hai,
Kya Dekha Kya Suna Kya Khoya Kya Paya,
Bahut Matlab Hai In Baato Ka Jiwan Me,
Par Jab Dekhte Hai Bhitar Apne Jhank Kar,
Zindagi Khud Hame Bematlab Si Nazar Aati Hai,
Ye Dost Ye Pyar Ye Aasre Sahare,
Bahut Acche Lagte Hai Apnane Me,
Par Jab Apna Hi Koi De Jata Hai Dhokha,
Ye Baate Duniyadari Ki Sab Begani Si Nazar Aati Hai,
Ye Daulat Ye Shohrat Ye Maan Maryada,
Umar Bhar Mayne Rakhte Hai Hamare Liye,
Par Jab Maut Kaat Jaaye Zindagi Ka Raasta,
Ye Chize Tab Saari Anjani Si Nazar Aati Hai,
Ye Hasna Ye Rona Ye Ruthna Manana,
Sab Chalta Hai Jiwan Me Bahot Se Pyar Se,
Par Insaniyat Ke Kaam Na Jab Aa Sake Insaan,
Fir Poori Kaynaat Bi Haiwani Si Nazar Aati Hai,
Kabhi Kabhi Ye Zindagi Beimaani Si Nazar Aati Hai,
Kisi Viran Khandar Ki Kahani Si Nazar Aati Hai.

Tuesday, July 17, 2012

Bekhudi se kabhi kisi ka haq ada nahi hota,

Bekhudi se kabhi kisi ka haq ada nahi hota,
Wo juda ho jaate hai magar gum juda nahi hota,
Chod diya hai bich manzil kisi patthar ke sahare,
Kaise unhe bataye ki har patthar me khuda nahi hota.

Dard E Dil Ne Dekho Kitne Gam Jele Hai,

Dard E Dil Ne Dekho Kitne Gam Jele Hai,
Mere Masoom Dil Me Zakhmo Ke Mele Hai,
Mehfil Ki Khwahish Thi Muje Yaro,
Dekho Zindagi Me Aaj Hum Kitne Akele Hai.

Usko Chaha Par Izhar Karna Nahi Aaya,

Usko Chaha Par Izhar Karna Nahi Aaya,
Kat Gai Umar Hame Pyar Karna Nahi Aaya,
Usne Kuch Maanga Bhi To Mangi Judai,
Aur Hume Inkaar Karna Bhi Nahi Aaya.

Kis kadar hai tumse ulfat na poocho,

Kis kadar hai tumse ulfat na poocho,
Khwabo me Jee rahe hai hakikat na poocho,
Basa lo dil me ghar kahi apna,
Kya hai Mere dil ki Kimat na poocho.

Tay Karna Tha Ek Lamba Safar Par Koi Hamsafar Nahi Tha,

Tay Karna Tha Ek Lamba Safar Par Koi Hamsafar Nahi Tha,
Mujhpe Aate Jate Mausamo Ka Koi Asar Nahi Tha,
Kya Khub Mili Thi Unse Meri Najar Kisi Roj,
Agar Na Mile Wo Ek Pal Bhi To Humko Sabar Nahi Tha.

Is Kadar Hum Unhe Manane Nikle,

Is Kadar Hum Unhe Manane Nikle,
Unki Chahaat Ke Hum Deewane Nikle,
Jab Bhi Unhe Dil Ka Haal Batana Chaha,
Unke Hotho Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle.

Mohabbat Ki Lahero Pe Kastiya Chalane Wale,

Mohabbat Ki Lahero Pe Kastiya Chalane Wale,
Zara Sambhal Ke, Mohabbat Dariya Hai Sahil Nahi,
Uthte Hai Kahi Tofaan Mohabbat Ke Samander Me Bhi,
Ager Us Se Lad Na Sako To Tum Mohabbat Ke Kabil Nahi.

Mat Pooch Sheeshe Se Us Ke Tootne Ki Wajah,

Mat Pooch Sheeshe Se Us Ke Tootne Ki Wajah,
Us Ne Bhi Meri Tarah Kisi Patthar Ko Apna Samjha Hoga.

Wo Ek Chehra Hum Talash Kar Ke Rote Hai,

Wo Ek Chehra Hum Talash Kar Ke Rote Hai,
Zinda Hai Magar Zindgi Talash Kar Ke Rote Hai,
Koi Q Bhul Gya Hume Bana kar Apna,
Hum Khud Me Wo Kami Talash Kar Ke Rote Hai.

Kisi Ke Dil Pe Kya Guzri Koi Anjaan Kya Jane,

Kisi Ke Dil Pe Kya Guzri Koi Anjaan Kya Jane,
Pyar Kisko Kehte Hai Ye Nadan Kya Jane,
Uda Ke Le Gya Ghar Parindo Ka,
Kaise Bana Tha Wo Ghosla Ye Tufan Kya Jane.

Dil Me Har Raaz Daba Ke Rakhte Hai,

Dil Me Har Raaz Daba Ke Rakhte Hai,
Honto Pe Muskaan Saja Ke Rakhte Hai,
Ye Duniya Sirf Khushi Me Saath Deti Hai,
Isliye Hum Apne Aansu Chupa Ke Rakhte Hai.

Chupke Se Jo Mangi Hai,

Chupke Se Jo Mangi Hai,
Un Duao Me Tum Ko Pana Hai,
Tum Rooth Ke Mujse Na Jao,
Muje Sath Tumhara Pana Hai,
Tum Laut Ke Wapis Aa jao,
Muje “Hamsafar” Tumhe Bnana Hai.

Uski Aarzu Meri Zindgi Ka Wo Khawab Hai,

Uski Aarzu Meri Zindgi Ka Wo Khawab Hai,
Jiski Manjil Hi Nahi Rasta Bhi Kharab Hai,
Hansi Se Mere Zakham Ka Andaza Na Lagana,
Is Dil Ka Har Panna Dard Ki Kitab Hai.

Bahut Juda Hai Auro Se Mere Dard Ki Kefiyat,

Bahut Juda Hai Auro Se Mere Dard Ki Kefiyat,
Zakham Ka Koi Nishaan Nahi,
Or Takleef Ki koi Inteha Nahi.

Na Jane Dhoondte Ho Kya Meri Veeran Aankho Me,

Na Jane Dhoondte Ho Kya Meri Veeran Aankho Me,
Chupa Rakhe Humne To Kai Toofaan Aankho Me,
Kahan Wo Shokhiya Pehle Si Ab Kuch Bhi Nahi Baki,
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojne In Be-jaan Aankho Me,
Kisi Ka Haath Lekar Haath Me Jab Tum Mile Humse,
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankho Me,
Na Samjho Chup Hai To Tumse Koi Shikwa Nahi Baki,
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankho Me,
Mile The Baad Muddat Ke Hume Tum Ajnabi Ban Kar,
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankho Me,
Nahi Ab Fir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil,
Ki Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankho Me.

Husn Ka Mukaddar Hu Na Pyar Ki Takdeer Hu,

Husn Ka Mukaddar Hu Na Pyar Ki Takdeer Hu,
Zindgi Ke Be-Rango Ki Mai Bas Ek Tasveer Hu,
Na Raat Ko Hai Nind Muze Na Din Me Hi Karar Hai,
Bikhare Hue Sapno Ki Ek Tooti Hui Tabeer Hu,
Zakhmi DiL Ko Jo Pal Me Bana Gayi Ho Naasur,
Gum Ke Nastro Me Aisi Khichi Gayi Ek Lakeer Hu.

Tum Jiske Naseeb Ho Ye Uska Naseeb Hoga,

Tum Jiske Naseeb Ho Ye Uska Naseeb Hoga,
Mere Naseeb Me Teri Yaade Hi Sahi,
Tu Na Sahi Teri Di Hui Ye Yaade Hi Sahi,
Teri Yaado Me Ye Saari Zindgi Gujar Jayegi,
Inko Koi Dar Nai Kyuki Ye Sirf Meri Hai,
Aur Ye Wada Hai Ye Na Kabi Teri Tarah Jayegi.

Wo Keh Gye Humse Ki Ishq Tumne Kiya,

Wo Keh Gye Humse Ki Ishq Tumne Kiya,
Ab Aadat Daal Lo In Gamo Ki,
Dil Ke Kitne Tukde Ho Gye Hai,
Kaise Unhe Ye Baat Smjhaye,
Ek Dil Hota To Mana Bhi Lete,
Par Kis Kis Tukde Ko Ye Aadat Sikhaye.
Humne Jawab Ne Kaha Ki...
Humare Har Gum Ke Baad Bhi Meri Duao Me Aaoge,
Chahe Sab Tukde Milado,
Ya Ek Ek Ko Juda Kar Ke Dekho...
Har Tukde Me Aks Apana Hi Paoge.

Monday, July 16, 2012

Tha Mai Neend Me Or Muje Itna Sajaya Ja Raha Tha,

Tha Mai Neend Me Or Muje Itna Sajaya Ja Raha Tha,
Bade Hi Pyar Se Muje Nehlaya Ja Rha Tha,
Na Jane Tha Wo Kaunsa Ajab Khel Mere Ghar Me,
Baccho Ki Tarah Muje Kandhy Pe Uthaya Ja Raha Tha,
Tha Paas Mere Mera Har Apna Us Waqt,
Phir Bhi Mai Har Kisi Ke Muh Se Bulaya Ja Raha Tha,
Jo Kbhi Dekhte Bhi Na The Mohabbat Ki Nigah Se,
Un Ke Dil Se Bhi Pyar Mujh Pe Lutaya Ja Raha Tha,
Maloom Nahi Hairan Tha Har Koi Mujhe Sote Hue Dekh Kar,
Zor Zor Se Ro Kar Muje Hasaya Ja Raha Tha,
Kanp Uthe Meri Rooh Mera Wo Makaam Dekh Kar,
Pata Chala Mujhe Jalaya Ja Raha Tha.
Ro Pada Fir Mai Bhi Mera Wo Manzar Dekh Kar,
Jaha Mujhe Hamesha Ke Liye Sulaya Ja Raha Tha.

Ek janaza or ek baarat takra gaye,

Ek janaza or ek baarat takra gaye,
Unko dekhne wale bhi chakra gaye,
Uper se aawaz aai "ye kaisi bidai hai",
Mehboob ki doli dekhne yaar ki mayyat aai hai.

Mohabbat Haath Me Pahni Hui Choodi Ke Jaisi Hai,

Mohabbat Haath Me Pahni Hui Choodi Ke Jaisi Hai,
Sanwarti Hai, Khanakti Hai, Khanak Kar Toot Jaati Hai.

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi Wafa Hai Zaat Aurat Ki,

Wo Aksar Mujhse Kehti Thi Wafa Hai Zaat Aurat Ki,
Magar Jo Mard Hote Hai Bade Bedard Hote Hai,
Kisi Bhanwre Ki Surat Gul Ki Khushbu Loot Lete Hai,
Suno! Tumko Kasam Meri Riwayat Tod Dena Tum,
Na Tanha Chod Ke Jana, Na Mohabbat Chod Ke Jana,
Magar Phir Yun Hua Mohsin Mujhe Tanha Raste Par Akela Chod Ke Usne,
Mera Dil Tod Ke Usne Mohabbat Chod Di Usne,
Wafa Hai Zaat Aurat Ki Riwayat Tod Di Usne.

Sapno Ki Duniya Ajib Lagti Hai,

Sapno Ki Duniya Ajib Lagti Hai,
Jhuthi Hi Sahi Par Har Khushi Nasib To Hoti Hai,
Beshak Aate Hai Sapne Kuch Pal Ke Liye,
Par In Palo Me "Jannat" Kitni Karib Hoti Hai.

Wo Roz Dekhte Hai Doobte Hue Suraj Ko,

Wo Roz Dekhte Hai Doobte Hue Suraj Ko,
Kaash Mai Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota.

Khayalo me wahi sapno me wahi,

Khayalo me wahi sapno me wahi,
Lekin unki yaado me hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi jo humare sath roti rahi.

Ek Gujarish Hai Tujhse Zara Tham Ke Barasna,

Ek Gujarish Hai Tujhse Zara Tham Ke Barasna,
Aa Jaaye Jab Mera Mehboob To Fir Jam Ke Barasna,
Yu Pehle na Barasna Ki Wo Aa na Sake,
Aa Jaye Mere Pass To Itna Barasna Ki Wo Ja Na Sake.

Yaad karke tujhe bhula nahi,

Yaad karke tujhe bhula nahi,
Waqt banke teri zindagi me fir aaunga,
Chala jaau bhi agar ye jahan chod ke,
Ashq banke teri aankho me fir aaunga.

Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,

Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Sath Hoti Hai Humdum,
Socha Is Mausam Me Tujhe Yaad Nahi Karenge,
Par Fir Socha Ki Hum Baarish Ko Kaise Rok Payenge.

Thursday, July 12, 2012

Koi Humdard Na Tha,

Koi Humdard Na Tha,
To Koi Dard Bhi Na Tha,
Fir Ek Humdard Mila,
Aur Fir Usse Hi Dard Mila.

Dil ne tere pyar per majbur mujh ko kar diya,

Dil ne tere pyar per majbur mujh ko kar diya,
Is jaha ki har khushi se door mujh ko kar diya,
Jis qadar chaha tha dil ne pass tere aane ko,
Is qadar duniya ne tujh ko mujh se door kar diya.

Ek dil - dil ko jakham de gya,

Ek dil - dil ko jakham de gya,
Zindgi bhar jine ki kasam de gya,
Hzaro phoolo me se chuna tha ek phool,
Par wo kanto se bhi jyada chubhan de gya.

Barbad kar gayi wo zindagi pyar ke naam se,

Barbad kar gayi wo zindagi pyar ke naam se,
Bewafai mili wafa ke naam se,
Zakhm hi zakhm diye usne,
Aasman bhi ro pada meri mohabat ke anjaam se.

Bade Ajeeb hai ye zindgi ke raste,

Bade Ajeeb hai ye zindgi ke raste,
Anjane mod par kuch log apne ban jate hai,
Milne ki khushi de ya na de,
Bichadne ka gam zaroor de jate hai.

Udas lamho ka na koi malal rakhana,

Udas lamho ka na koi malal rakhana,
Tufan me bhi wajud sambhal kar rakhana,
Kisi na kisi ke liye poori jindagi ho aap,
Bas yahi soch kar apna khayal rakhana.

Jab naam tera aaya her naam bhula baithe,

Jab naam tera aaya her naam bhula baithe,
Gumnaam hue aise har kaam bhula baithe,
Bazar-e-Mohabat me saudagari kiya kerte,
Jab samne tum aayi sub daam bhula baithe.

Zindgi ka har zakhm us ki mehrbani hai,

Zindgi ka har zakhm us ki mehrbani hai,
Apni zindgi bhi adhuri kahani hai,
Mita deta uska har zakhm seene se magar,
Ye dard hi to uski aakhri nishani hai.

Rah_E_Wafa Me Sazao Ko Kaun Dekhega,

Rah_E_Wafa Me Sazao Ko Kaun Dekhega,
Safar Hai Dhoop Ka Chao Ko Kaun Dekhega,
Hum Apni Zid Pe Aye To Cheen Lenge Tuje,
Tere Shehar Ki Ghatao Ko Kaun Dekhega,
Bichad To Jaye Magar Fir Khayal Aata Hai,
Teri In Dilkash Aadao Ko Kaun Dekhega.

Tuesday, July 10, 2012

Ek Pal Ka Ehsas Bankar Aate Ho Tum,

Ek Pal Ka Ehsas Bankar Aate Ho Tum,
Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ud Jate Ho Tum,
Janty Ho Ki Lagta Hai Dar Tanhaiyo se,
Phir Bhi Bar Bar Tanha Chod jate Ho Tum.

Mohabbat har Insan ko ajmati hai,

Mohabbat har Insan ko ajmati hai,
Kisi se ruth jati hai kisi pe muskurati hai,
Mohabat khel hi aisa hai,
Kisi ka kuch nahi jata aur kisi ki jaan hi chali jati hai.

Sari umar aankho me ek sapna yaad raha,

Sari umar aankho me ek sapna yaad raha,
Sadiya beet gayi wo lamha yaad raha,
Jane kya baat hai aap me,
Sari mehfil bhul gaye bas wo pal yaad reh gya.

Toot gya dil par arman wahi hai,

Toot gya dil par arman wahi hai,
Door rehte hai par pyar wahi hai,
Jante hai ki mil nahi payenge,
Fir bhi in aankho me intejar wahi hai.

Unhone dekha aur aansu gir pade,

Unhone dekha aur aansu gir pade,
Bhari basant me jaise phool gir pade,
Dukh ye nahi ki unhone hame alavida kaha,
Dukh to ye hai ki uske baad wo khud bhi ro pade.

Ek Din Mujhse Kaha Bhagwan ne:-

Ek Din Mujhse Kaha Bhagwan ne:-
Mat Kar Intezar Is Janam Me Uska Milna Mushkil Hai.
Maine bhi keh diya: Lene de maza intezar ka,
Agle janam me to mumkin hai.
Fir Bhagwan ne kaha: Mat kar itna pyar bahut pachtaega.
Muskura ke maine kaha : Dekhte hai tu kitna meri ruh ko tadpayega.
Fir Bhagwan ne kaha : Chod use Chal tujhe jannat ki apsra se milata hu.
Maine kaha : Aa niche dekh mere pyar ka muskurata chehra,
tujhe jannat ki apsra Ko Bhi bhulwata hu.
Gusse me kaha Bhagwan ne: Mat bhool apni aukat ki to ek insan hai.
Maine kaha : To mila de mujhe mere pyar se aur Saabit kar ki tu hi Bhagwaan hai.

Bahut chaha usko jise hum pa na sake,

Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalo me kisi aur ko hum la na sake,
Usko dekh kar aansu to poch liye humne,
Par kisi aur ko dekh kar muskura na sake.

Pyar Karne walo ki kismat kharab hoti hai,

Pyar Karne walo ki kismat kharab hoti hai,
Har waqt inteha ki ghadi saath hoti hai,
Waqt mile to rishto ki kitab khol ke dekh lena,
Dosti har rishte se lajawab hoti hai.

Aapki har baat se mohabbat ki hai,

Aapki har baat se mohabbat ki hai,
Aapke ehsaas se mohabbat ki hai,
Aap humare paas nahi hai phir bhi,
Aapki yaad se mohabbat ki hai.

Mat Kar Itna Garoor Surat Par

Mat Kar Itna Garoor Surat Par Ae Haseena,
Teri Surat Pe Nahi Hum To Teri Sadgi Pe Marte Hai.

Jo Kehte The Dil Cheez Hai Kya,

Jo Kehte The Dil Cheez Hai Kya,
Jaan Bhi Luta Denge Aap Par,
Aaj Wo Kahte Hai Chod Do Haath,
Meri Izzat Ka Sawal Hai.

Wo Nazar Kaha Se Lau Jo Unhe Bhula De,

Wo Nazar Kaha Se Lau Jo Unhe Bhula De,
Wo Dawa Kahan Se Lau Jo Dard Mita De,
Milna To Likha Hota Hai Takdeero Me,
Wo Takdeer Kaha Se Lau Jo Mila De.

Humne jise dil-o-jaan se jise chaha,

Humne jise dil-o-jaan se jise chaha,
Us bewafa ne kisi aur ko chaha,
Pata nahi hum kyu unke liye fariyad karte hai,
Jo pyar ke bahane hume barbad karte hai.

Mera bus chale to teri yaade kharid lu,

Mera bus chale to teri yaade kharid lu,
Apne jeene ke waste teri baate kharid lu,
Kar saken jo har waqt deedar tera,
Sub kuch luta kar wo aankhe kharid lu.

Zindagi ka Pinjra Kisi Din Toot Jayega,

Zindagi ka Pinjra Kisi Din Toot Jayega,
Fir Musafir Kisi Rah Me Choot Jayega,
Abhi Sath Hai To Baat Kar Lia Karo,
Kya Pata Kab Zindagi Ka Sath Choot Jayega.

Anjane Me Dil Gawa Baithe,

Anjane Me Dil Gawa Baithe,
Is Pyar Me Kaise Dhoka Kha Baithe,
Unse Kya Gila Kare, Bhool To Humari Thi,
Jo Bina Dil Walon Se Dil Laga Baithe.

Mat Roko Iss Behte Dard Ko,

Mat Roko Iss Behte Dard Ko,
Saza Hai Ye Kisi ke Intezar Ki,
Keh Lo Inhe Ashq Ya Fir Keh Lo Deewangi,
Hai To Ye Nishani Kisi ke Pyar Ki.

Yaad karte hai tumhe tanhai me,

Yaad karte hai tumhe tanhai me,
Dil duba hai gamo ki gehrai me,
Hume mat dhundna duniya ki bhid me,
Hum milenge tumhe tumhari hi parchai me.

Monday, July 2, 2012

Jeene ki khwaish me har roz marte hai,

Jeene ki khwaish me har roz marte hai,
Wo aaye na aaye hum intzar karte hai,
Jhutha hi sahi mere yaar ka wada,
Hum sach mankar aitbar karte hai.

Har Ek Chehre Pe Gumaan Uska Tha,

Har Ek Chehre Pe Gumaan Uska Tha,
Basa Na Koi DiL Me Ye Khaali Makaan Uska Tha,
Tamaam Dukh Mere DiL Se Mit Gaye,
Lekin Jo Na Mit Saka Wo 1 Naam Uska Tha.

Kabhi subah ko yaad aate ho,

Kabhi subah ko yaad aate ho,
Kabhi shaam ko yaad aate ho,
Kabhi to itna yaad aate ho ki,
Aaina hum dekhte hai aur nazar aap aate ho.

Zindagi hai nadan isliye chup hu,

Zindagi hai nadan isliye chup hu,
Dard hi dard subah shaam isliye chup hu,
Kah du zamane se dastan apni,
Us me aayega tera naam isliye chup hu.

Hume Ab Neend Ki Talab Nahi Yaaro,

Hume Ab Neend Ki Talab Nahi Yaaro,
Raato Ko Jaagna Accha Lagta hai,
Mujhe Nahi Maloom Ki Wo Meri Kismat Me Hai ya Nahi,
Par Khuda Se Use Mangna Accha Lagta Hai.

Wo kehte hai mujhe bewafa ho tum,

Wo kehte hai mujhe bewafa ho tum,
Mujhe mili zindagi me wo saja ho tum,
Halat se majboor aur waqt se bebas the hum,
Isiliye aaj khusiyo se koso dur hai hum.

Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki,

Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki,
Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki,
Apna dard kise dikhau aye dost,
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki.

Wo Roz Humse Milte Hai Khyalo Ke Aashiyano Me,

Wo Roz Humse Milte Hai Khyalo Ke Aashiyano Me,
Wo Roz Humse Bichadte Hai Zindagi Ki Raho Me,
Hum Khwab To Dekhte Hai Har Ek Pal Mohabat Ke,
Par Toot Ke Bikharte Hai Bas Nafrat Ki Baho Me.

Ek hi tamanna rahi ek zamane se,

Ek hi tamanna rahi ek zamane se,
Bane hamare bhi apne banane se,
Dunia ki nazar aur hamari nazar me itna antar kyu raha,
Koi hume samajha hi nahi hamare sachche dostane se.

Kab Hui pyar ki Barsat Mujhe Yaad Nahi,

Kab Hui pyar ki Barsat Mujhe Yaad Nahi,
Khauf me doobi mulaqat Mujhe Yaad Nahi,
Mai to Madhosh tha kuch itna Uski Chahat Me,
Us Ne Kab Chod Diya Saath Mujhe Yaad Nahi.

Bahut Kuch Kahna Chahta Tha Unse,

Bahut Kuch Kahna Chahta Tha Unse,
Magar Kismat Ne Kabi Saath Na Diya,
Sochta Tha Zindgi Bhar Nibhaunga Saath Unka,
Par Afsos Unhone Apna Haath Na Diya.

Humne Waqt Se Bahut Wafa Ki,

Humne Waqt Se Bahut Wafa Ki,
Lekin Waqt Humse Bewafa Kar Gaya,
Kuch To Hamare Nasib Bure The,
Kuchh Unka Humse Jee Bhar Gya.

Ek Bar Bhigi Aankho Ne Dil Se Shikayat Ki

Ek Bar Bhigi Aankho Ne Dil Se Shikayat Ki-
Aansuo Ka Bojh Kewal Hum Hi Kyu Uthaye?,
Dil Ne Muskurate Hue Jawab Diya-
Sapne Kisne Dekhe The.