Thursday, June 27, 2013

Chahe wafa ke chirag buza dena,

Chahe wafa ke chirag buza dena,
Humesha bewafai ki aaj wafa nibha dena,
Log mashgul ho jab arthi sajane me,
Teri tasvir meri arthi me chupa dena.

Samet Kar Le Jao Apne Jhoote Wado Ke Adhoore Kisse,

Samet Kar Le Jao Apne Jhoote Wado Ke Adhoore Kisse,
Agli Mohabat Me Tumhe Fir Inki Zaroorat Padegi.

Muskurane ki koshish to ki thi magar,

Muskurane ki koshish to ki thi magar,
Fir bhi palko me nami rah gayi,
Dard mujhse lipat kar rota raha,
Aur khushi thodi fasle se dekhti rah gayi.

Ho Sake To Tum Apna Ek Wada Nibhane Aana,

Ho Sake To Tum Apna Ek Wada Nibhane Aana,
Meri Pyasi Aankho Ko Apna Deedar Karwa Ke Jana,
Badi Hasrat Thi Tumhari Baho Me Bitau Kuch Pal,
Agar Ye Saans Tham Gayi To Meri Lash Se Aakar Lipat Jana.

Tere Gam Ko Apni Rooh Me Utaar Lu,

Tere Gam Ko Apni Rooh Me Utaar Lu,
Zindagi Teri Chahat Me Sawar Lu,
Mulakat Ho Tujhse Kuch Is Tarah Ki,
Tamaam Umar Ek Mulakat Me Guzar Lu.

Tuesday, June 25, 2013

Unki majburi ke ghaw gahre hai,

Unki majburi ke ghaw gahre hai,
Unki saanso pe bhi pahre hai,
Koi dekh na le ye soch ke,
kahi Ashq aankho me hi tehre hai,
Aakhir kise sunaye dil ka dard,
Karib hai jo wo to bahre hai,
Zindagi ko mehkate rahe sada,
Yaado ke pal bade sunhare hai,
Kis pe kare aitbaar is jahan me,
Nakaab me chupe bewafa chehre hai.

Utra Hai Mere Dil Me Koi Chand Nagar Se,

Utra Hai Mere Dil Me Koi Chand Nagar Se,
Ab Khauf Nahi Koi Andhero Ke Safar Me,
Wo Baat Hai Tujh Me Koi Tujh Sa Nahi Hai,
Kash Koi Dekhe Tujhe Meri Nazar Se.

DiL Kahta Hai Mohabat Nahi Qayamat Hai,

DiL Kahta Hai Mohabat Nahi Qayamat Hai,
Ye Fir DiL Ki Deewar Par Tera Chehra Kyu Hai,
Aur Bhi Zakhm Hai Tere Zakhmo Ke Siwa,
Tere Hi Zakhm Ka Daag Itna Gehra Kyu Hai.

Wo bhooli bisri chand ummide,

Wo bhooli bisri chand ummide,
Pal bhar ke wo fasane yaad aaye,
Toot kar ro pada dil mera,
Jab uske saath beete zamane yaad aaye.

Zindagi me acche waqt se zyada,

Zindagi me acche waqt se zyada acche dost ko Ahmiyat dena,
Kyuki accha waqt accha dost nahi la sakta,
Magar accha dost accha waqt jarur la sakta hai.

Friday, June 21, 2013

Sange Marmar Ki Tarif Na Kar Mujhse,

Sange Marmar Ki Tarif Na Kar Mujhse,
Tu Kahe To Aansuo Se Mohbat Likh Du,
Chumne Ke Liye Jhuk Jayega Taj Mahal Bhi,
Jis Zamin Par Tera Naam Likh Du.

Musafir Bankar Reh Jaate Hai Log Is Dunia Ke KheL Me,

Musafir Bankar Reh Jaate Hai Log Is Dunia Ke KheL Me,
Zindgi Ka KheL Bhi Ajeeb Hai,
Kabi Safar Nahi Milta To Kabi Humsafar.

Koi Ro Ke Dil Bahlata Hai,

Koi Ro Ke Dil Bahlata Hai,
Koi Hans Kar Dard Chupata Hai,
Kya Karishma Hai Kudrat Ka Ki,
Zinda Insan Pani Me Dub Jata Hai,
Aur Murda Tair Ke Dikhata Hai.

Likhte likhte raat guzar jayegi,

Likhte likhte raat guzar jayegi,
Shabdo ke zariye dil ki baat nikal jayegi,
Aur na kaho humse dil ke zakhm dikhane ko,
Warna ankho me chupi ansuo ki barsat nikal jayegi.

Kisi ke dil ka dard kisne dekha hai,

Kisi ke dil ka dard kisne dekha hai,
Jisne dekha hai sirf chehra dekha hai,
Dard to tanhaiyo me hota hai,
Aur tanhaiyo me logo ne hume haste dekha hai.

Sunday, June 16, 2013

Kya Hai Dil Ki Haalat Batana Nahi Aata,

Kya Hai Dil Ki Haalat Batana Nahi Aata,
Kisi Ko Aise Tadpana Nahi Aata,
Sunna Chahte Hai Ek Baar Fir Aawaz Uski,
Magar Baat Karne Ka Bahana Bhi Nahi Aata.

Dil Ke Paas Aap Ka Ghar Bana Liya,

Dil Ke Paas Aap Ka Ghar Bana Liya,
Khwabo Me Aapko Basa Liya,
Mat Pucho Kitna Chahte Hai Hum Aapko,
Aapki Har Khata Ko Apna Mukadar Bana Liya.

Barso Baad Bhi Zid Ki Aadat Nahi Badli Uski,

Barso Baad Bhi Zid Ki Aadat Nahi Badli Uski,
Kaash Hum Mohabbat Nahi Uski Aadat Hote.

Jisse Maine Mohabbat Ki Wo Mohabbat Thi Kisi Aur Ki,

Jisse Maine Mohabbat Ki Wo Mohabbat Thi Kisi Aur Ki,
Dhadkan Mere Dil Ki Aur Sanse Kisi Aur Ki,
Badal Gayi Ye Dunia Wo Dunia Hi Kuch Aur Thi,
Wo Bas Ek Sapna Tha Mera Hakikat Thi Kisi Aur Ki.

Tere Gamo Ko Apni Rooh Me Utar Lu,

Tere Gamo Ko Apni Rooh Me Utar Lu,
Zindagi Teri Chahat Ke Rang Me Sanwar Lu,
Mulaqat Ho Tujse Kuch Is Tarah Ki,
Tamam Umar Ek Mulakat Me Guzar Du.

Friday, June 14, 2013

Samajh Sakte Hai Hum Ye Jajbaat Tere,

Samajh Sakte Hai Hum Ye Jajbaat Tere,
Par Aa Nahi Sakte Hai Hum Paas Tere,
Hum Najar Na Ayenge Apne Wajood Se,
Par Har Kadam Pe Honge Saath Tere.

Char Phool Un Par Gire Char Phool Hum Par Gire,

Char Phool Un Par Gire Char Phool Hum Par Gire,
Hum Bhi Saz Rahe The Wo Bhi Saz Rahe The,
Fark Sirf Itna Tha Hum Duniyan Se Ja Rahe The,
Aur Wo Apni Duniya Basa Rahe The.

Fasle bahut hai par itna maan lijiye,

Fasle bahut hai par itna maan lijiye,
Karib reh kar bhi har koi khas nahi hota,
Aap khayalo me bhi itna karib hai,
Ki faslo ka ehsas hi nahi hota.

Intezaar rahta har shaam tera,

Intezaar rahta har shaam tera,
Raate katti hai le-le kar naam tera,
Muddat se baithe hai ye aas paale,
Ki aaj aayega koi paigaam tera.

Tanhai me gujara waqt beet jata hai,

Tanhai me gujara waqt beet jata hai,
Yaado me ashko ka moti beh jata hai,
Kabhi fursat mile to nazar fira ke dekh,
Meri khuli aankho me sirf tera hi chehra nazar aata hai.

Thursday, June 13, 2013

Mohabbat Me Jhukna Koi Ajeeb Baat Nahi Hai,

Mohabbat Me Jhukna Koi Ajeeb Baat Nahi Hai,
Chamakta Suraj Bhi To Dhal Jata Hai Chaand Ke Liye.

Saza Pe Chod Diya Jaha Pe Chod Diya,

Saza Pe Chod Diya Jaha Pe Chod Diya,
Har Ek Kam Ko Humne Rab Pe Chod Diya,
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Fir Bhula De,
Usi Ka Kaam Tha Uski Raza Pe Chod Diya,
Ab Uski Marzi Bhujha De Ya Jala De,
Chirag Humne Jala Ke Hawa Pe Chod Diya,
Ab Usse Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum,
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chod Diya,
Is Liye To Wo Kahte Hai Dewana Hum Ko,
Ki Humne Sara Zamana Wafa Pe Chod Diya.

Khwahish thi ruthi jaan ko manane ki,

Khwahish thi ruthi jaan ko manane ki,
Unke bazuo me toot kar bikhar jane kI,
Jab pahunche unke aangan me,
To dekha wo dua kar rahe the kisi or ko pane ki.

Kisi Ko Pana Chahat Nahi Hoti,

Kisi Ko Pana Chahat Nahi Hoti,
Na Mil Paye To Ye Kismat Nahi Hoti,
Yu To Mangne Se Mil Jata Hai Dil Bhi,
Par Mange Hue DiL Se Mohabat Nahi Hoti.

Waqt beet gya to log bhula dete hai,

Waqt beet gya to log bhula dete hai,
Bewajah apno ko bhi rula dete hai,
Jo diya raat bhar roshni deta hai,
Subah hote hi log use bhi bujha dete hai.

Na jane kyu abhi ek Aansu Ankh se jhalka,

Na jane kyu abhi ek Aansu Ankh se jhalka,
Dil ko shayad tumhari yaad aayi,
Chahat hai tumse itni milne ki,
Haste hue bhi aankh bhar aayi.

Maine Kaha Wo Ajnabi Hai,

Maine Kaha Wo Ajnabi Hai,
Dil Ne Kaha Ye Dil Ki Lagi Hai,
Maine Kaha Wo Sapna Hai,
Dil Ne Kaha Fir Bhi Apna Hai,
Maine Kaha Wo Do Pal Ki Mulaqat Hai,
Dil Ne Kaha Ye Sadiyo Ka Sath Hai,
Maine Kaha Wo Meri Haar Hai,
Dil Ne Kaha Yahi To Pyar Hai.

Meri Rooh Me Na Samati To Bhul Jata Tumhe,

Meri Rooh Me Na Samati To Bhul Jata Tumhe,
Tum Itna Pass Na Aati To Bhul Jata Tumhe,
Ye Kahte Hue Mera Taluk Nahi Tumse Koi,
Ankho Me Anshu Na Aate To Bhul Jata Tumhe.

Choti si baat par naraj mat hona,

Choti si baat par naraj mat hona,
Bhul ho jaye to maaf kar dena,
Naraj tab hona jab hum rishta tod denge,
Kyuki aisa tab hoga jab hum duniya chod denge.

Mujhe Tum Bas Apni Aankho Me Basa Kar To Dekho,

Mujhe Tum Bas Apni Aankho Me Basa Kar To Dekho,
Srif Tumhare Liye Hi Hogi Meri Har Muskurahat,
Mehak Jayegi Tumhari Zindagi Ghulabo Ki Tarha,
Bas Apni Saans Ko Meri Sanso Se Takra Kar To Dekho,
Bhool Jaoge Is Dukh Bhari Duniya Ke Har Gam Ko,
Srif Ek Baar Meri Baaho Me Aa Kar To Dekho.

Saturday, June 8, 2013

Door hote hue bhi dosti ka rishta nibhate hai aap,

Door hote hue bhi dosti ka rishta nibhate hai aap,
Na jane kyu dil ko lubhate hai aap,
Ye kaisa karishma hai apka,
Jo humko itna yaad aate hai aap.

Itni badi Duniya me koi Bhi sahara nahi,

Itni badi Duniya me koi Bhi sahara nahi,
Apno ki bheed me koi Bhi hamara nahi,
Thokar lagi to ja kar gire unki bahon me,
Par wo Bhi muskura ke bole ye haq ab Tumhra Nahi.

Zindagi me tujhe chain Na aayega,

Zindagi me tujhe chain Na aayega,
Tanhai ka andhera tujhe harpal satayega,
Jab kabhi tujhse bhi karega koi bewafai,
Tab tujhe mera pyar yaad ayega.

Kalam se dil ki awaaz likhta hu,

Kalam se dil ki awaaz likhta hu,
Gum aur judai ke andaz-e-bayan likhta hu,
Rukte nahi aankho se aansu,
Jab bhi uski yaad me alfaz likta hu.

Wo Sagar Nahi Aansu The Mere,

Wo Sagar Nahi Aansu The Mere,
Jis Par Wo Kashti Chalate Rahe,
Manzil Mile Unhe Ye Aarzu Thi Meri,
Is Liye Hum Aansu Bahate Rahe.

Friday, June 7, 2013

Koi naraz hai humse ki hum kuch likhte nahi,

Koi naraz hai humse ki hum kuch likhte nahi,
Kaha se laye lafz jab wo milte nahi,
Dard ki zuban hoti to bata dete,
Wo zakhm kaise bataye jo dikhte nahi.

Gunah Karke Saza Se Darte Hai,

Gunah Karke Saza Se Darte Hai,
Jahar Pee Ke Dawa Se Darte Hai,
Dushmno Ke Sitam Ka Khauf Nahi,
Hum To Dosto Ki Wafa Se Darte Hai.

Tum Hanso To Khushi Mujhe Hoti Hai,

Tum Hanso To Khushi Mujhe Hoti Hai,
Tum Rootho To Aankhe Meri Roti Hai,
Tum Door Jao To Bechaini Mujhe Hoti Hai,
Mehsoos Kar Ke Dekh Lo Mohabat Aisi Hi Hoti Hai.

Yu To Kai Baar Bhige Barish Me,

Yu To Kai Baar Bhige Barish Me,
Magar Khayalo Ka Aangan Sukha Hi Raha,
Jab Aankho Ki Deeware Gili Hui Uski Yaado Se,
Tab Hi Jana Humne Barish Kya Hoti Hai.

Wo Phool Chadane Aaye Meri Kabar Par,

Wo Phool Chadane Aaye Meri Kabar Par Tab Mai So Raha Tha,
Jab Nind Khuli To dekha Koi Ro Raha Tha,
Usne Kaha Mai Aa Gayi Maine kaha Ab Aane Ka Kya Faida,
Tab Kaha Thi Jab Mai Pyar Me Fana Ho Raha Tha.

Sunday, June 2, 2013

Muddat se yahi jaan-e-ada soch raha hu,

Muddat se yahi jaan-e-ada soch raha hu,
Tum kaise hue mujh se khafa soch raha hu,
Shikwa nahi tum se na khud se gila hai,
Ulfat me hui kis se khata soch raha hu,
Mud ke nahi dekha tha alag baat hai lekin,
Jate hue aai thi jo sada soch raha hu,
Ab tere siwa rab se duao me kya mangu,
Agar hath uthe hai to dua soch raha hu,
Jisne bhi kabhi duniya me sach bool diya hai,
Kyu log hue us se khafa soch raha hu.

Kisi ki khatir mohabat ki intha kar,

Kisi ki khatir mohabat ki intha kar,
Par itna bhi nahi ki use khuda kar do,
Mat chaho kisi ko toot ke itna ki,
Use apni wafa se bhi bewafa kar do.

Har mahfil har Shaks ka dil royega,

Har mahfil har Shaks ka dil royega,
Jaha dubegi meri kasti wo sahil bhi royega,
Itna pyar bikher denge zamane me hum ki,
Katl karke mera katil khud bhi royega.

Agar Mujhse Mohabbat Nahi To Rote Kyu Ho,

Agar Mujhse Mohabbat Nahi To Rote Kyu Ho,
Tanhai Me Mere Bare Me Sochte Kyu Ho,
Agar Manzil Judai Hai To Jane Do Mujhe,
Laut Ke Kab Aaoge Puchte Kyu Ho.

Piya Hai Jaam Kitna,

Piya Hai Jaam Kitna,
Nasha Aata Hi Nahi Tha,
Aur Ek Jaam Hai Tere Honto Ka,
Choom Lo To,Barso Nasha Jata Hi Nahi Tha.