Tuesday, November 26, 2013

Ek Nafrat Hi Hai Jise Duniya,

Ek Nafrat Hi Hai Jise Duniya Chand Lamho Me Jaan Leti Hai,
Warna Chahat Ka Yakin Dilane Me To Zindagi Beet Jaati Hai.

Bichad gaya hai jo uska saath kya mangu,

Bichad gaya hai jo uska saath kya mangu,
Zara si umar hai gam se nijat kya mangu,
Wo saath hoti to zarurate bahut hoti,
Akeli jaan ke liye kaynat kya mangu.

Kal ko milne ki aas rahne do,

Kal ko milne ki aas rahne do,
Zindagi ki baaki pyas rahne do,
Apni khushiya smait lo jana,
Mujhko yu hi udas rahne do.

Dukh De Kar Sawaal Karte ho,

Dukh De Kar Sawaal Karte Ho,
Tum Bhi Kamaal Karte Ho,
Dekh Kar Pooch Liya Haal Mera,
Chalo Kuch To Khayal Karte Ho,
Shehar-E-Dil Me Ye Udasiya Kaisi,
Ye Bhi Mujh Se Sawaal Karte Ho,
Marna Chahe To Mar Nahi Sakte,
Tum Bhi Jina Muhaal Karte Ho,
Ab Kis Kis Ki Misaal Du Tumko,
Har Sitam Be Misaal Karte Ho.

Rab kare koi ishq ka shikar na ho,

Rab kare koi ishq ka shikar na ho,
Juda apne dilbar se koi pyar na ho,
Mai uske bina poori zindagi guzar du,
Par shart ye hai ki usko kisi aur se pyar na ho.

Sunday, November 24, 2013

Jise dekh nahi sakte uski aawaz me khush raho,

Jise dekh nahi sakte uski aawaz me khush raho,
Jise paa nahi sakte uski yaad me khush raho,
Beeta hua kal ja chuka uski meethi yaad me khush raho,
Aane wale kal ka pata nahi to sapno me hi khush raho.

Wo Yaad Aaye Bhulate Bhulate,

Wo Yaad Aaye Bhulate Bhulate,
Dil Ke Zakhm Ubhar Aaye Chupate Chupate,
Sikha Tha Jise Dekh Ke Muskurana,
Usi Ne Rula Dala Aaj Hansate Hansate.

Aapse milne ka man kar raha hai,

Aapse milne ka man kar raha hai,
Man ko samjhaya to Dil tadap raha hai,
Dil ko bataya to aankhe ro padi,
Unhe chup karaya to saanse bol padi...
"I MISS YOU"

Dil jalo ki dua hai shayari,

Dil jalo ki dua hai shayari,
Aashiqo ki wafa hai shayari,
Jab dil toot jaye mohabbat me kisi ka,
Uske liye ek nasha hai shayari.

Rukhsat hui to baat meri maan kar gayi,

Rukhsat hui to baat meri maan kar gayi,
Apne tamaam dard mere naam kar gayi,
Bichdi khuch is ada se ki rut hi badal gayi,
Ek shakhs saare shehar ko viraan kar gayi,
Wo jo baat baat par kahti thi mujhko Jaan,
Wo shaks mujhe aakhir Bejaan kar gayi.

Friday, November 22, 2013

Mai ye nahi kahta ki,

Mai ye nahi kahta ki,
Koi tumhare liye dua na mange,
Mai to bas itna chahta hu ki,
Koi dua me tujhe na mange.

Hasrat Bhari Nigaho Ko Aaram Tak Nahi,

Hasrat Bhari Nigaho Ko Aaram Tak Nahi,
Wo Yu Badal Gayi Ki Ab Salaam Tak Nahi,
Jiski Talab Me Zindagi Apni Guzar Di,
Us Bewafa Ke Lab Pe Mera Naam Tak Nahi,
Jo Kah Gaye The Shaam Ko Baithenge Aaj Fir,
Kuch Saal Ho Gaye Koi Paigaam Tak Nahi.

Chale aao hum tumhe yaad karte hai,

Chale aao hum tumhe yaad karte hai,
Ye wo gunah hai jo hum bar bar karte hai,
Jala ke dil me hasrato ke chirag,
Aapke aane ka intzar karte hai.

Ek hi din me begane ho gaye,

Ek hi din me begane ho gaye,
Kal tak hakikat the ab afsane ho gaye,
Shayad tujhpe mar mitne ka hi junoon hai,
Ki tere is sitam ke bhi hum diwane ho gaye.

Jab Bhi Unki Gali Se Guzarta Hu,

Jab Bhi Unki Gali Se Guzarta Hu,
Meri Aankhe Ek Dastak De Deti Hai,
Dukh Ye Nahi Wo Darwaja Band Kar Dete Hai,
Khusi Ye Hai Wo Mujhe Ab Bhi Pahchan Lete Hai.

Thursday, November 21, 2013

Aaj zindagi mita kar humari wo,

Aaj zindagi mita kar humari wo,
Ek nayi duniya basa rahe hai,
Bus ek choti si galti par wo,
Itni badi saza suna rahe hai,
Aaj ajnabi jaisa bankar wo,
Kisi aur ke liye hume bhula rahe hai,
Kuch waqt ke faslo ko wo,
Dilo ki doori se aur bada rahe hai,
Bus ek mauka manga unse aur wo,
Beete baato ka sabab suna rahe hai,
Zindagi ke is padaw pe hume wo,
Bewafa kah akela sa chod Ja rahe hai.

Tujhe Mohabbat Karna Nahi Aata,

Tujhe Mohabat Karna Nahi Aata,
Mujhe Mohabbat Ke Siwa Kuch Nahi Aata,
Zindagi Guzarne Ke Do Hi Tarike The,
Ek Tujhe Nahi Aata Ek Mujhe Nahi Aata.

Meri Har Khushi Har Baat Teri Hai,

Meri Har Khushi Har Baat Teri Hai,
Sanso Me Chupi Ye Hayat Teri Hai,
Do Pal Bhi Nahi Rah Sakte Tere Bin,
Dhadkano Ki Dhadakti Har Aawaz Teri Hai.

Chehre ki Muskan Ban Jata Hai koi,

Chehre Ki Muskan Ban Jata Hai Koi,
Dil Me Dhadkan Ban Kar Bas Jata Hai Koi,
Fir Kaise Jiya Jaye Unke Bin,
Jab Zindagi Jine Ki Wajah Ban Jata Hai Koi.

Hum wo nahi jo dil tod denge,

Hum wo nahi jo dil tod denge,
Thaam kar hath sath chod denge,
Hum pyar karte hai paani aur machli ki tarah,
Juda karna chahe koi to dum tod denge.

Wednesday, November 20, 2013

Kya Yahi Hai Kamaal Ishq-o- Mohabbat Karne Ka,

Kya Yahi Hai Kamaal Ishq-o- Mohabbat Karne Ka,
Umar Jeene Ki Hai Aur Shauk Marne Ka.

Dil tadap jata hai aankh baras jati hai,

Dil tadap jata hai aankh baras jati hai,
Jab raat hote hi yaad teri aati hai,
Soch ke tujhe har zakhm hara hota hai,
Rote rote hiichkiya leke meri raat guzar jati hai.

Mere paas dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi,

Mere paas dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi,
Rakh saku in zakhmo pe marham Aisi dawa Kuch bhi nahi,
Mujh se na kar phoolo ki ummid,
Mere daman me kaanto ke siwa kuch bhi nahi.

Aadat Nahi Thi Hume Tanhai Me Jine Ki,

Aadat Nahi Thi Hume Tanhai Me Jine Ki,
Par Ab Ruswai Me Bhi Ji Lete Hai,
Hontho Par Rakhi Hai Madhushala Poori,
Par Ab Aankh Se Bahe Har Aansu Se Pi Lete Hai.

Sab kuch pa kar bhi maine khona sikha,

Sab kuch pa kar bhi maine khona sikha,
Khuli aankho se maine sona sikha,
Kitna tadpa tha ye dil Jab,
Hans kar bhi maine rona sikha.

Saturday, November 16, 2013

Apni Dhadkano Se Kuch Aisa Mera Naam Lo,

Apni Dhadkano Se Kuch Aisa Mera Naam Lo,
Ye Waqt Ruk Jaye Is Lamhe Ko Thaam Lo,
Teri Aankho Me Jhalak Ho Aaisi Mere Pyar Ki,
Saahil Pe Jaise Dhalti Hasin Shaam Ho,
Lafzo Se Hota Nahi Izhaar Humse Pyar Ka,
Bas Meri Aankho Me Dekh Kar Khud Ko Pahchan Lo,
Jaise Tarasta Hai Sehra Shabnam Ko Choone Ko,
Kabhi Waise Rab Se Tum Bhi Mujhe Maang Lo.

Na Jane Kyu Aapki Yaad Aati Hai,

Na Jane Kyu Aapki Yaad Aati Hai,
Honto Par Aapki Hi Baat Aati Hai,
Baith Te Hai Jab Bhi Do Pal Akele Me,
To Yaad Bas Wahi Pahli Mulakat Aati Hai.

Hawaye Sang Lati Hai Mahek Unki,

Hawaye Sang Lati Hai Mahek Unki,
Khwabo Me Aati Hai Jhalak Unki,
Baarish Ko Dekh Ke Lagta Hai Aisa,
Ki Aaj Fir Bhigi Hogi Palke Unki.

Jo gayab ho gaya aks mera,

Jo gayab ho gaya aks mera,
In hawao me ek paigam rah jayega,
Na rahegi yaad meri koi,
Bas naam rah jayega,
Aate hi sawan ek phool naya khil jayega,
Ek boond hi sahi....,
Aanshu mere naam ka bhi koi barsayega,
Kahi mit jayegi meri surat,
Kahi kho jayenge mere alfaaz,
Par sanso ke sang hi sahi,
Ek paigam rah jayega.

Ek lamha jo baar baar satata hai,

Ek lamha jo baar baar satata hai,
Na jane ye dil kya chahta hai,
Kaash aap hote hamari nazro ke samne,
Par ye kaash kaash hi rah jata hai.

Friday, November 15, 2013

Har Raahi Ko Man Chaha Mukaam Nahi Milta,

Har Raahi Ko Man Chaha Mukaam Nahi Milta,
Jisko Jee Bhar Pyar Kar Sake Wo Insaan Nahi Milta,
Aasma Ke Sitaro Ki Tarah Hamare Armaan Bhi Bikharte Rahte Hai,
Jo Apne Dil Me Hume Jagah De Sake Wo Meharbaan Nahi Milta.

Panchiyo Ki Tarah Ek Din Ud Jayenge,

Panchiyo Ki Tarah Ek Din Ud Jayenge,
Sath Bitaye Lamho Ko Samet Le Jayenge,
De Kar Nami Aapki Pyari Si Aankho Me,
Sirf Sunahari Yaade Chod Kar Chale Jayenge.

Aye Rab Meri Mohabbat Ka Maan Rakhna,

Aye Rab Meri Mohabbat Ka Maan Rakhna,
Chahe Mujhe Har Khushi Pane Me Nakaam Rakhna,
Mere Sanam Ko Mile Muh Maangi Khushi,
Chahe Uske Liye Girwi Meri Jaan Rakhna.

Wahi khamoshi wahi tanhai,

Wahi khamoshi wahi tanhai,
Ye hawa apne saath kiski yaad le aayi,
Hum to chand ko dekh rahe the,
Fir na jane kiske liye aankhe bhar aayi.

Ye Zindagi Tere Saath Ho,

Ye Zindagi Tere Saath Ho,
Ye Aarzu Din Raat Ho,
Mai Tere Sang Sang Chalu,
Tu Har Safar Me Mere Sath Ho,
Mai Kanto Par Bhi Chal Padu,
Tere Pyar Ki Jab Barsat Ho,
Kabhi Sham Dhale Jab Hum Mile,
Na Din Dhale Na Raat Ho,
Ye Zindagi Bas Tere Sath Ho.

Wednesday, November 13, 2013

Ruk na paye aansu uske jane ke baad,

Ruk na paye aansu uske jane ke baad,
Kho gaye the hum jiske aane ke baad,
Kabhi koi gila nahi kiya humne unse,
Jo hume chod gaye kisi ko pane ke baad.

Saza Na Do Mujhe Bekasur Hu Mai,

Saza Na Do Mujhe Bekasur Hu Mai,
Thaam Lo Mujh Ko Gamo Se Choor Hu Mai,
Teri Doori Ne Kar Diya Pagal Sa Mujhe,
Aur Logo Ka Kahna Hai Ki Magroor Hu Mai.

Wafa Na Kar Pau To Naraz Mat Hona,

Wafa Na Kar Pau To Naraz Mat Hona,
Dilse Utar Jau To Naraz Mat Hona,
Pyar Mera Saccha Hai Ek Din Dikhaunga,
Maut Mohlat Na De To Naraz Mat Hona.

Falak Me Apni Jannat Ke Sitare Nahi,

Falak Me Apni Jannat Ke Sitare Nahi,
Hum Unke Hai Par Wo Humare Nahi,
Choti Si Naaw Lekar Us Samundar Me Utar Gaye,
Jis Samundar Me Door-Door Tak Kinare Nahi.

Kisi Roj Sham Ke Waqt,

Kisi Roj Sham Ke Waqt Suraj Ke Aaram Ke Waqt,
Mil Jaye Sath Tera Hath Me Leke Hath Tera,
Door Kahi Tanhai Me Duniya Se Judai Me,
Apne Sang Bithau Tujhe Dil Ka Haal Sunau Tujhe,
Tere Haath Ki Lakiro Me Talash Apna Naam Karu,
Usi Waqt Irada Karu Fir Milne Ka Wada Karu.

Tuesday, November 5, 2013

Guzarte lamho me sadiya talash karta hu,

Guzarte lamho me sadiya talash karta hu,
Ye meri pyas hai nadiya talash karta hu,
Yaha to log ginate hai koobiya apni,
Mai apne aap me kamiya talash karta hu.

Humare Aansu Poch Kar Wo Muskurate Hai,

Humare Aansu Poch Kar Wo Muskurate Hai,
Esi Ada Se Wo Dil Ko Churate Hai,
Hath Unka Chu Jaye Humare Chehre Ko,
Isi Umeed Me Hum khud ko Rulate Hai.

Bar bar zindagi ko aajmaya hai humne,

Bar bar zindagi ko aajmaya hai humne,
Har pal har lamha sirf gam paya hai humne,
Dil ke tukde usi ne kiye hai humare,
Dil ki gahraiyo me jise basaya hai humne.

Aye mere hamnashi chal aur kahi,

Aye mere hamnashi chal aur kahi,
Is chaman me ab apna gujara nahi,
Baat hoti gulo tak to sah lete hum,
Ab to kanto pe bhi hak hamara nahi.

Aansu ki tarah aankho se na bah jao tum,

Aansu ki tarah aankho se na bah jao tum,
Dua hai kabhi meri zindagi se na jao tum,
Maut ka dar nahi wo to ek din aani hai,
Bus dar hai maut se pahle na bichad jao tum.

Sunday, November 3, 2013

Zindagi Ki Sham Dhal Rahi Hai Intzar Me,

Zindagi Ki Sham Dhal Rahi Hai Intzar Me,
Kabhi To Meri Sadao Ko Sun Paoge Tum,
Bekhudi Me Kar Baithe Hai Wada Maut Se,
Us Se To Pahle Laut Aaoge Tum.

Har Kadam Par Usi Ki Yaad Aati Hai,

Har Kadam Par Usi Ki Yaad Aati Hai,
Ab To Roye Bina Hi Aankh Bhar Aati Hai,
Unke Bina Kya Haalat Ho Gayi Ab To,
Har Ek Pal Me Maut Nazar Aati Hai.

Tere pyar ki inteha dekhna chahta hu,

Tere pyar ki inteha dekhna chahta hu,
Ek tera dil jeetne ke liye is zindagi se harna chahta hu,
Dooba hu apne aansuo ke samandar me fir bhi shayad,
Wo tera pyar hi hai jisse apni pyas bujhana chahta hu.

Ek jazba khak hua dil ki gahrayio me kahi,

Ek jazba khak hua dil ki gahrayio me kahi,
Maut par uski koi roya tak nahi,
Sahil se to chale the sath me humsafar bankar,
Sagar ne duboya hum hi ko unhe to bhigoya tak nahi,
Aankho me zinda khwab the ya khwab me zinda aankhe,
Tootne ke baad hi jana ki unhone to samjha tak nahi,
Nadani me jinki khatir sab lutane nikle the hum,
Dekho humare na rahne par bhi unka kuch khoya tak nahi.

Mitti ke putlo me dil nahi hota,

Mitti ke putlo me dil nahi hota,
Har maut ke piche katil nahi hota,
Har dil jitne ki kabilyat rakhte hai hum,
Par na jane kyu unka dil hasil nahi hota.