Wednesday, December 25, 2013

Koi kehta hai mohabbat zehar hoti hai,

Koi kehta hai mohabbat zehar hoti hai,
Koi kehta hai mohabbat kahar hoti hai,
Hum kehte hai jo tadapti rahi sada kinare ke liye,
Mohabbat ek aisi lehar hoti hai.

Ye choti si yaade bada sila dengi,

Ye choti si yaade bada sila dengi,
Gulab ki tarah aapko khila dengi,
Mat bhulna kabhi humari yaado ko,
Ye khud aapko humse mila dengi.

Darta hu kahi mai pagal na ban jau,

Darta hu kahi mai pagal na ban jau,
Tiki nazar aur sunahre roop ka kayal na ban jau,
Ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujh par,
Chali ja meri nazro se door kahi mai shayar na ban jau.

Nigahe Aapki Pahchan Hai Hamari,

Nigahe Aapki Pahchan Hai Hamari,
Muskurahat Aapki Shan Hai Hamari,
Karna Hifazat Tum Apni,
Kyuki Sanse Aapki Jaan Hai Hamari.

Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho,

Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho,
Kaise Keh Du Ajnabi Tum Ho,
Mai Zamin Par Ghana Andhera Hu,
Aasman Ki Chandni Tum Ho,
Ab Koi Aarzu Nahi Baaki,
Mere Aakhri Justuju Tum Ho.

Friday, December 20, 2013

Palko Me Aansu Aur Dil Me Dard Soya Hai,

Palko Me Aansu Aur Dil Me Dard Soya Hai,
Hansne Walo Ko Kya Pata Rone Wala Kis Kadar Roya Hai,
Ye To Bas Wohi Jaan Sakta Hai Meri Tanhai Ka Aalam,
Jisne Zindagi Me Kisi Ko Pane Se Pahle Khoya Hai.

Parindo Ko Manzil Milegi Yakinan,

Parindo Ko Manzil Milegi Yakinan,
Ye Faile Hue Unke Par Bolte Hai,
Wo Log Rahte Hai Khamosh Aksar,
Jamane Me Jinke Hunar Bolte Hai.

Muddat se door the hum tum,

Muddat se door the hum tum,
Ek zamane ke baad milna accha laga,
Sagar se gahra laga aapka pyar,
Tairna to aata tha par doobna accha laga.

Jinki yaad me hum diwane ho gaye,

Jinki yaad me hum diwane ho gaye,
Wo humhi se begane ho gaye,
Shayad unhe talash hai naye pyar ki,
Kyuki unki nazar me ab hum purane ho gaye.

Dil todna humari aadat nahi,

Dil todna humari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakhna hamari wafao par,
Dil me basa kar hum kisi ko bhulate nahi.

Thursday, December 19, 2013

Teri Wafa Wafa hai,

Teri Wafa Wafa hai,
Kya Meri Mohabbat Kuch Bhi Nahi,
Tera Dard Dard Thehra,
Kya Mera Zakham Kuch Nahi,
Tumhari Baat Patthar pe Lakir,
Kya Meri ilteja Kuch Bhi Nahi,
Tera Gam Gam Hua,
Kya Mere Aansu Kuch Bhi Nahi,
Tera Wajood Sab Kuch Hai,
Aur Kya Meri Hasti Kuch Bhi Nahi.

Ho Sake To Tum Apna Ek Wada Nibha Jana,

Ho Sake To Tum Apna Ek Wada Nibha Jana,
Meri In Pyasi Aankho Ko Apna Didar Kara Jana,
Badi Hasrat Thi Ki Tumare Baho Me Sans Lu,
Agar Ye Sanse Bhi Tham Gyi To,
Meri Lash Se Lipatkar Apne Dil Ka Haal Suna Jana.

Mohabbat khawab Hoti Hai,

Mohabbat khawab Hoti Hai,
Badi Betaab Hoti Hai,
Jo koi Puch Baithe To,
Mohabbat Raaz Hoti Hai,
Machalti Hai Umango Si,
Din Aur Raat Sath Hoti Hai,
Jo Koi Dhundhna Chahe,
To Ye Naayab Hoti Hai,
Mohabbat Bhul Hai Shayad,
Gamo Ki Dhool Hai Shayad,
Chamakti Raat Hai Shayad,
Kisi ki Yaad Hai Shayad.

Wo kahke chale itni mulakat bahut hai,

Wo kahke chale itni mulakat bahut hai,
Maine kaha ruk jao abhi raat bahut hai,
Aansu mere tham jaye to fir shauk se jana,
Aise me kaha jaoge barsaat bahut hai.

Nigaho me manzil thi,

Nigaho me manzil thi,
Gire aur gir kar sambhalte rahe,
Hawao ne bahut koshish ki magar,
Chirag aandhiyo me bhi jalte rahe.

Wednesday, December 18, 2013

Koshish To Kijiye Hume Yaad Karne Ki,

Koshish To Kijiye Hume Yaad Karne Ki,
Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge,
Tamanna To Kijiye Humse Milne Ki,
Bahane To Apne Aap Hi Mil Jayenge.

Zindagi tune mujhe bahut kuch sikhaya hai,

Zindagi tune mujhe bahut kuch sikhaya hai,
Har shaam ke baad subah hai tune bataya hai,
Doobti kaise hai kashti jab saahil ho nazar me,
Ye manzar bhi tune hi mujhe dikhaya hai,
Jin hatho se likhe the khat unko,
Unhi hatho se un khato ko jalaya hai.

Wo nadiya nahi thi aansu the mere,

Wo nadiya nahi thi aansu the mere,
Jis par wo kashti chalate rahe,
Manzil mile unhe ye chahat thi meri,
Isliye hum aansu bahate rahe.

Hum chale tere dar se khamoshiya lekar,

Hum chale tere dar se khamoshiya lekar,
Pal-pal ro pada dil siskiya lekar,
Hans rahe the jo mere doobne par,
Wo hi nikle hai meri talaash me kashtiya lekar.

Na milta gum to aankho ke aansu kaha jate,

Na milta gum to aankho ke aansu kaha jate,
Duniya agar hoti chaman to virane kaha jate,
Accha hua apno me koi begana to nikla,
Gar sabhi apne hote to begane kaha jate.

Saturday, December 14, 2013

Meri aankho me mat dekh,

Meri aankho me mat dekh tujhe apna bana lenge,
Na dil ke karib aa tuje mohabbat sikha denge,
Gahra hai tujhse apna rishta itna ki,
Agar khwabo me aaye to teri ninde chura lenge.

Bekhabar ho tum meri mohabbat se to kya hua,

Bekhabar ho tum meri mohabbat se to kya hua,
Charcha har shaks ki juban pe na la du to kahna,
Gardhish me hai taare humare to kya hua,
Sitara tere naam ka aasman pe na chamka du to kahna,
Chubte hai kaante teri yaado ke to kya hua,
khushbu phool ki tere aangan me na mahka de to kahna,
Tum door ho meri najaro se to kya hua,
Tasveer teri aankho me na basa le to kahna,
Ujhad gya jo chaman mere armano ka to kya hua,
Baharo se tera aashiyana na saja de to kahna,
Na samjho tum hume apna to kya hua,
Tere intzar me sadhiya na bita de to kahna.

Dard De Kar Ishq Ne Hume Rula Diya,

Dard De Kar Ishq Ne Hume Rula Diya,
Jis Per Marte The Usne Hi Hame Bhula Diya,
Hum To Unki Yado Me Hi Jee Lete,
Magar Unhone To Yaado Me Hi Zehar Mila Diya.

Khushi humse daaman bachati hai to bachaye,

Khushi humse daaman bachati hai to bachaye,
Hume to gum hi hai raas aaye,
Mohabbat ka ye ajab dastoor dekha,
Ussi ki jeet hai jo haar jaye.

Mujhe Jeene Ki Ummid Dobara De Do,

Mujhe Jeene Ki Ummid Dobara De Do,
Meri Doobti Kashti Ko Kinara De Do,
Mai Dard Ke Sahil Pe Tanha Khada Hu,
Fir Aa Ke Apni Baaho Ka Sahara De Do,
Mere Aangan Me Aaj Andhera Hai Bahut,
Meri Dehleez Ko Fir Apna Nazara De Do,
Chand Lamhe Tujhe Dekhne Ki Hasrat Hai Bas,
Maine Kab Kaha Ki Waqt Apna Mujhe Sara De Do.

Friday, December 13, 2013

Wo khafa hai humse to khafa hi rahne do,

Wo khafa hai humse to khafa hi rahne do,
Humko unka gunahgar hi rahne do,
Wo samjhte hai ki humne chod diya unko,
Baat to jhoot hai magar sach hi rahne do,
Muddato mangi hai Rab se khushiya unki,
Jo aata hai ilzam hum pe to ilzam hi rahne do,
Unki shart hai ki mai Bewafa banu,
Agar khushi mile unko to mujhe Bewafa hi rahne do,
Aayega waqt to dikhayenge unko apna zakhm,
Abhi khamosh hai humko bas khamosh hi rahne do.

Chalti Hai Kalam To Dil Ki Aawaz Likhta Hu,

Chalti Hai Kalam To Dil Ki Aawaz Likhta Hu,
Bewafai Aur Judai Ka Andaz Likhta Hu,
Aankho Se Nahi Rukte Aansu Ye Kabhi,
Jab Teri Yaad Me Kuch Alfaaz Likhta Hu.

Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Me,

Akela Sa Mehsus Karo Jab Tanhai Me,
Yaad Meri Aaye Jab Judai Me,
Mehsus Karna Tumhare Hi Paas Hu Mai,
Jab Chahe Mujhe Dekh Lena Apni Parchai Me.

Katra-Katra bahte gaye aansu,

Katra-Katra bahte gaye aansu,
Aur ham unhe sukha bhi na paye,
Isse badi wafa ki saza kya hogi,
Wo roye lipat kar humse kisi aur ke liye,
Aur hum unhe bata bhi na paye.

Nashtar ki tarah chubhate hai dil toota hai jab se,

Nashtar ki tarah chubhate hai dil toota hai jab se,
Tukde ye mere dil ke bikhar kyu nahi jate,
Tum kahte the hai waqt hi har chot ka marham,
Fir zakhm mere dil ke bhi bhar kyu nahi jate,
Ilzam-e-qatl mera gawara nahi tumko,
Masoom agar ho to mukar kyu nahi jate,
Jab gam se hi labrez hai lamhaat khushi ke,
To kafile yado ke thehar kyu nahi jate,
Har lafz farebi hai har chehra chalawa,
Insaan ke mukhaute ye utar kyu nahi jate,
Ta umar gham-e-zeest se tadpa kiye lekin,
Ye hi na kabhi socha ki mar kyu nahi jate,
Kyu ab bhi tera naam hai hotho pe mere,
Murjhaye hue gul se bikhar kyu nahi jate.

Wednesday, December 11, 2013

Aye Mohabbat Tu Meri Mohabbat Ka Khayal Rakhna,

Aye Mohabbat Tu Meri Mohabbat Ka Khayal Rakhna,
Mai Rahu Na Rahu Tu Use Sambhal Rakhna,
Bahut Nadan Hai Wo Meri Jaan-Ae–Wafa,
Tu Uski Hansi Ko Hamesa Barkarar Rakhna,
Na Gire Aansu Ki Ek Bund Bhi Uski Aankho Se,
Tu Motiyo Ki Tarah Uske Aansu Ko Sambhal Rakhna,
Jab Bhi Wo Roye Meri Yaad Me To Use Itna Kehna,
Ki Mai Laut Aaunga Bas Mujhpe Thoda Aitbaar Rakhna,
Aur Jab Tak Mai Laut Na Aau Tab Tak Aye Mohabbat,
Tu Meri Mohabbat Ka Khyal Rakhna.

Hum na jeet sake wo aisi shart lagane lage,

Hum na jeet sake wo aisi shart lagane lage,
Apni pyari si aankho ko humari ankho se Ladane lage,
Hum Jeet hi jate par palak humne tab jhapka li,
Jab unki aankho se aansu aane lage.

Teri Tasvir Ko Hatho Me Liye Baitha Hu,

Teri Tasvir Ko Hatho Me Liye Baitha Hu,
Aur Tere Zikar Ko Baato Me Liye Baitha Hu,
Nind Aati Hai To Palko Se Palat Jaati Hai,
Tera Arman Jo Rato Me Liye Baitha Hu,
Kab Milayega Rab Ham Ko Ye Maloom Nahi,
Bas Tujhe Apni Duao Me Liye Baitha Hu.

Shakt Raho Me Ab Aasan Safar Lagta Hai,

Shakt Raho Me Ab Aasan Safar Lagta Hai,
Ab Anjan Ye Sara Hi Shehar Lagta Hai,
Koi Nahi Mera Zindagi Ki Raho Me,
Mera Ye Gum Hi Mera Humsafar Lagta Hai.

Talash Meri Thi Aur Bhatak Rahi Thi Wo,

Talash Meri Thi Aur Bhatak Rahi Thi Wo,
Dil Mera Tha Aur Dhadak Rahi Thi Wo,
Pyar Ka Talluk Azeeb Hota Hai,
Pyas Meri Thi Aur Sisak Rahi Thi Wo.

Monday, December 9, 2013

Ek Boond Se Kabhi Sagar Nahi Banta,

Ek Boond Se Kabhi Sagar Nahi Banta,
Rone Se Bigda Mukaddar Nahi Banta,
Dil Me Duniya Jitne Ka Hausla Rakho,
Kyuki Ek Jeet Se Koi Sikandar Nahi Banta.

Hamara safar kab kidhar ka ho jaye,

Hamara safar kab kidhar ka ho jaye,
Ye wo nahi jo kisi raah gujar ka ho jaye,
Usi ko jeene ka haq hai jo is jamane me,
Idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jaye.

Chahe Kisi Safar Me Rahna,

Chahe Kisi Safar Me Rahna,
Tum Meri Nazar Me Rahna,
Jaha Bhi Jaana Chaho Tum,
Bas Meri Khabar Me Rahna,
Mujhse Juda Ho Kar Bhi Tum,
Mere Dil or Jigar Me Rahna,
Bhool Na Jana Mujhe Kahi Tum,
Chahe Kisi Bhi Shehar Me Rahna.

Tanhaiyo Me Khayal Aata,

Tanhaiyo Me Khayal Aata,
Khayalo Me Wo Naam Chala Aata,
Bekarar Dil Ko Karar Nahi Aata,
Milne Ka Hamhe Kyu Unko Khayal Nahi Aata,
Jaage Bhi Wo Soye Bhi Wo,
Ye Silsila Thum Hi Nahi Pata,
Soche To Kya Soche...,
Koi Vichar Aur Smajh Nahi Aata,
Rab Se Ajeej Wo Kaisa Saaya Hai,
Itna Kya Man Ko Jo Bhaya,
Naam Lena Chahu Rab Ka Aur,
Uska Hi Naam Zubaan Pe Aa Jata.

Koi samajh na paye wo baat hu mai,

Koi samajh na paye wo baat hu mai,
Dhal ke nayi subah layi wo raat hu mai,
Chale jaate hai log is duniya se rishte bana kar,
Kabhi chod ke na jaye wo saath hu mai.

Saturday, December 7, 2013

Jinke liye jiya karte the,

Jinke liye jiya karte the,
Aaj unhe bhulane ki naubat aayi hai,
Jinke liye kuch bhi kar sakte the,
Aaj unki hi yaade bhulane ke liye unki kasam khayi hai.

Dosti ki judaai ka gam mat karna,

Dosti ki judaai ka gam mat karna,
Door rehke bhi dosti kam mat karna,
Agar milaye zindagi kisi mod pe,
To hume dekh kar aankhe band mat karna.

Dheere Dheere Umar Kat Jaati Hai,

Dheere Dheere Umar Kat Jaati Hai,
Zindagi Yaado Ki Kitab Ban Jaati Hai,
Kabhi Kisi Ki Yaad Bahut Tadpati Hai,
Aur Kabhi Yaado Ke Sahare Zindagi Kat Jaati Hai.

Kiya Hai Pyar To Dhokha Nahi Denge,

Kiya Hai Pyar To Dhokha Nahi Denge,
Aapko Aansuo Ka Tohfa Nahi Denge,
Aap Dil Se Roye Hame Yaad Karke,
Aisa Hum Kabhi Aapko Mauka Nahi Denge.

Tu Hi Bata Meri Yado Ko Bhulane Wale,

Tu Hi Bata Meri Yado Ko Bhulane Wale,
Mai Teri Yaad Ko Is Dil Se Bhulau Kaise,
Phool Hota To Tere Dar Par Saja Rahta,
Zakhm Lekar Teri Dahliz Par Aau Kaise.

Monday, December 2, 2013

Teri mohabbat se mujhe inkaar nahi,

Teri mohabbat se mujhe inkaar nahi,
Kaun kahta hai jaan mujhe tujhse pyar nahi,
Tujhse wada hai saath nibhane ka,
Par mujhe apni saanso pe aitbar nahi.

Aaj arse baad jab suni uski aawaz,

Aaj arse baad jab suni uski aawaz,
To laga ki mere bahut pass hai wo,
Ho gayi nam ye aankhe jab hosh aaya,
Aur paya ki kabhi na puri hone wali aas hai wo.

Tumhi ko dil diya tumhi ko jaan denge,

Tumhi ko dil diya tumhi ko jaan denge,
Kabhi mujhse ye kaha karte the,
Inhi baato ke sahare tumhara intezar kiya,
Inhi yaado me apni zindagi bita denge.

Zindagi se meri mujhe koi shikayat nahi,

Zindagi se meri mujhe koi shikayat nahi,
Ha magar dil ki sunai deti koi aahat nahi,
Suna suna sa hai berang hai bazaar-e-zindagi,
Kya nazara hai ki ab maut ko bhi meri chahat nahi.

Kya pata uski zuban se bhi izhar nikale,

Kya pata uski zuban se bhi izhar nikle,
Kya pata unke dil me bhi pyar nikle,
Sach hai uske bina ji nahi sakte hum,
Kya pata uske dil se bhi yahi baat nikle.