Tuesday, February 19, 2013

Lehar Ko Pyar Tha Kinare Se,

Lehar Ko Pyar Tha Kinare Se,
Lekin Uski Shadi Ho Gayi Sagar Se,
Aaj Bhi Lehar Kinaro Tak Khichi Aati Hai,
Par Badnam Na Ho Mahobbat Isliye Laut Jati Hai.

Dil Ke Zhakhmo Ko Unse Chupana Pada,

Dil Ke Zhakhmo Ko Unse Chupana Pada,
Palke Bhigi Thi Par Muskurana Pada,
Kaise Ulte Hai Mohabbat Ke Ye Riwaz,
Ruthna Chahte The Par Unko Manana Pada.

Afsos Ki Mere Aansoo Bhi Teri Chahat Ko Khareed Na Sake,

Afsos Ki Mere Aansoo Bhi Teri Chahat Ko Khareed Na Sake,
Aur Logo Ki Hansi Ne Tujhe Apna Bana Liya.

Na Jane Mujhe Kis Mod Pe Le Aai Hai Mohabat,

Na Jane Mujhe Kis Mod Pe Le Aai Hai Mohabat,
Duniya Se Bhi Naraaz Hun Khud Se Bhi Khafa Hun.

Ek haseen pal ki zaroorat hai hume,

Ek haseen pal ki zaroorat hai hume,
Beete hue kal ki zarurat hai hume,
Sara jamana ruth gaya humse,
Jo kabhi na ruthe aise pyar ki zarurat hai hume.

Sunday, February 17, 2013

Tamanna Tere Wajood Ki Hoti To,

Tamanna Tere Wajood Ki Hoti To,
Duniya Se Cheen Lete,
Ishq To Teri Rooh Se Hai,
Isliye Rab Se Mangte Hai.

Zindagi Tasveer Bhi Hai Aur Taqdeer Bhi,

Zindagi Tasveer Bhi Hai Aur Taqdeer Bhi,
Farq To Rango Ka Hai,
Manchahe Rango Se Bane To Tasveer,
Aur Anjane Rango Se Bane To Taqdeer.

Andaaz Badalne Lagte Hai,

Andaaz Badalne Lagte Hai,
Honto Pe Shrarat Hoti Hai,
Nazro Se Pata Chal Jata Hai,
Jis Dil Me Mohabbat Hoti Hai.

Sabke Dil Ki Kahani Ye Bayan Karti Hai,

Sabke Dil Ki Kahani Ye Bayan Karti Hai,
Mohabbat Deewano Ko Sirf Badnam Karti Hai,
Is Badnami Ke Bawzud Jo Bhi Yaha Mohabbat Karte Hai,
Unhi Deewano Ko Marne Ke Baad Duniya Salam Karti Hai.

Masrofiyat Me Aati Hai Behad Yaad Tumhari,

Masrofiyat Me Aati Hai Behad Yaad Tumhari,
Fursat Me Tumhari Yaad Se Fursat Nahi Milti.

Saturday, February 16, 2013

Baad Marne Ke Mere Tum Jo Kahani Likhna,

Baad Marne Ke Mere Tum Jo Kahani Likhna,
Kaise Barbad Hui Meri Jawani Likhna,
Ye Bhi Likhna Ki Mere Hont Hansi Ko Tarse,
Umar Bhar Aankh Se Bahta Raha Paani Likhna.

Wo Rooth Jati Hai Aksar Shikwa Kiye Bagair,

Wo Rooth Jati Hai Aksar Shikwa Kiye Bagair,
Hum Bhi To Seh Jate Hai Shikayat Kiye Bagair,
Hum Sochte Hai Muhabbat Be-Los Hoti Hai,
Ye Yu Hi Ho Jati Hai Inayat Kiye Bagair,
Itna To Soch Le Jannat Kab Milti Hai Ibaadat Kiye Bagair,
Kasur Unka Nahi Hamara Tha,
Hamne Mohabat Bhi Ki To Unki Ijaazat Liye Bagair.

Aye ISHQ Zara Ek Baat To Bata,

Aye ISHQ Zara Ek Baat To Bata,
Kya Sab Ko Azmate Ho,
Ya Mere Sath Dushmni Hai.

Uske Alawa Mai Kya Maangu Us Khuda Se,

Uske Alawa Mai Kya Maangu Us Khuda Se,
Aur Kisi Cheez Ka Talabgar Wo Bhi Nahi Mai Bhi Nahi.

Kagaz ki kashti thi pani ka kinara tha,

Kagaz ki kashti thi pani ka kinara tha,
Khelne ki masti thi dil ye awara tha,
Kaha aa gaye is smjhdari ke daldal me,
Wo nadan bachpan hi kitna pyara tha.

Hasil-e-Zindgi Hasraton Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Hasil-e-Zindgi Hasraton Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Ye Kiya Nahi Wo Hua Nahi,
Ye Mila Nahi Wo Raha Nahi.

Mujh Ko Mere Muqadar Per Itna Yakeen To Hai,

Mujh Ko Mere Muqadar Per Itna Yakeen To Hai,
Tujhko Bhi Mere Lafz Meri Baat Chahiye,
Mai Khud Apni Shayri Ko Kya Accha Kahu,
Mujh Ko Teri Tareef Teri Daad Chahiye,
Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Waste Hai Lekin,
Junoon-E-Ishq Ko Teri Har Saughat Chahiye,
Tu Mujh Ko Pane Ki Khwahish Rakhti Hai Shayad,
Lekin Mujhe Jeene Ke Liye Tera Hi Saath Chahiye.

Kash Ye Zindgi Itni Hasin Hoti,

Kash Ye Zindgi Itni Hasin Hoti,
Hum Chahte Aur Manzil Karib Hoti,
Kahne Ko To Sab Apne Hai Par,
Kash Koi Aisa Hota Jise Humare Dard Se Takleef Hoti.

Ashna Hote Hue Bhi Ashna Koi Nahi,

Ashna Hote Hue Bhi Ashna Koi Nahi,
Jante Hai Sab Mujhe Pehchanta Koi Nahi,
Mukhtaser Lafzon Me Ye Hai Mizaj-e-Dosti,
Rabta Beshak Hai Sabse Wasta Koi Nahi.

Mujhe Se Kya Gilla Tumko,

Mujhe Se Kya Gilla Tumko,
Itne Bad Guman Kyu Ho Tum,
Maine Tumko Chaha Hai,
Tum Se To Kuch Nahi Chaha.

Thursday, February 14, 2013

Jis Kashti Ke Muqaddar Me Ho Doob Jana,

Jis Kashti Ke Muqaddar Me Ho Doob Jana,
Ae Dost....,
Toofaan Se Bach Bhi Nikle To Kinare Rooth Jate Hai.

Zamane Me Aise Nadan Hote Hai,

Zamane Me Aise Nadan Hote Hai,
Apni Kashti Le Jate Hai Jaha Tufan Hote Hai,
Kyu Basate Ho Unko DiL Me,
Jo DiL Ki Basti Me Chand Dino Ke Mehman Hote Hai.

Uski Yaado Me Beeti Har Raat Alag Hai,

Uski Yaado Me Beeti Har Raat Alag Hai,
Uske Saath Hui Har Mulaqat Alag Hai,
Har Sakash Meri Zindagi Chu Kar Gya,
Magar Mere Us Mehboob Ki Har Baat Alag Hai.

Lafz Kahne Walo Ka Kuch Nahi Jata,

Lafz Kahne Walo Ka Kuch Nahi Jata,
Lafz Sehne Wale Kamaal Karte Hai.

Uski Aur Meri Mohabbat Ka Afsana Banta Gaya,

Uski Aur Meri Mohabbat Ka Afsana Banta Gaya,
Wo Ho Gayi Laila Aur Mai Deewana Banta Gaya,
Uski Judai Ka Kuch Yu Asar Huaa Yaaro,
Wo Ho Gai Kinara Aur Mai Sagar Banta Gaya.

Wednesday, February 13, 2013

Jab milegi kabhi to bulaunga use,

Jab milegi kabhi to bulaunga use,
Dil ke zakham bhi dikhaunga use,
Uski ye tamnna bhi poori karunga mai,
Jb aakhri saans ayegi uske baad bhool jaunga use.

Majburiyo Ko Hum Ankho Me Chupa Lete Hai,

Majburiyo Ko Hum Ankho Me Chupa Lete Hai,
Hum Kaha Rote Hai Halaat Rula Dete Hai,
Hum To Har Pal Yad Karte Hai Aapko,
Par Aap Yaad Na Karne Ka ilzam Laga Dete Hai.

Bhari mehfil me tanha mujhe rehna sikha diya,

Bhari mehfil me tanha mujhe rehna sikha diya,
Tere pyar ne duniya ko jhootha kahna sikha diya,
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahi hai ab to,
Sab kuch zindagi me chup-chaap sehna sikha diya.

Nazar Andaz Karte Ho,

Nazar Andaz Karte Ho,
Lo Hat Jate Hai Tumhari Nazro Se,
Inhi Nazro Se Dhundoge,
Nazar Jab Hum Na Ayenge.

Wo apni saari nafrate mujh par lutati rahi,

Wo apni saari nafrate mujh par lutati rahi,
Mere har ashq par mujhe aur rulati rahi,
Unki chahat ka tarika to dekho,
Mujhse kiya wada wo kisi aur se nibhati rahi.

Dil ki dhadkan ko dhadka gaya koi,

Dil ki dhadkan ko dhadka gaya koi,
Mere khawabo ko mehka gaya koi,
Hum to anjane rasto pe chal rahe the,
Achanak hi pyar ka matlab sikha gaya koi.

Sochu To Saari Umar Muhabbat Me Katt Gayi,

Sochu To Saari Umar Muhabbat Me Katt Gayi,
Dekhu To Ek Shakas Bhi Mera Nahi Bana.

Kaise andaz-e-shauk me keh diya tune Alwida,

Kaise andaz-e-shauk me keh diya tune Alwida,
Jaise sadiyo se tere dil pe koi bojh the hum.

Tujhe Inkar Hai Mujse, Mujhe Ikrar Hai Tujhse,

Tujhe Inkar Hai Mujse, Mujhe Ikrar Hai Tujhse,
Tu Khafa Hai Mujse, Mujhe Chahat Hai Tujhse,
Tu Mayoos Hai Mujhse, Mujhe Khushi Hai Tujhse,
Tujhe Nafrat Hai Mujhse Aur Mujhe Pyar Hai Tujhse.

Wo Hamare Nahi To Kya Gum Hai,

Wo Hamare Nahi To Kya Gum Hai,
Hum To Unhi Ke Hai Ye Kya Kam Hai,
Na Gum Kam Hai Na Aansu Kam Hai,
Dekhte Hai Rulane Wale Me Kitna Dam Hai.

Saturday, February 9, 2013

Gum-E-Ulfat Me Kati Hai Zindgi Hamari,

Gum-E-Ulfat Me Kati Hai Zindgi Hamari,
Sham Dhalte Hi Aa Jaati Hai Yaad Tumhari,
Tujhse Juda Hokar Kaise Jeeta Hu Mai,
Yeh Jaanta Hai Khuda Ya Dil Ki Dhadkan Hamari.

Har Baar Mujhe Zakham-e-Judai Na Diya Kar,

Har Baar Mujhe Zakham-e-Judai Na Diya Kar,
Agar Mera Nahi to Mujh Ko Dikhai Na Diya Kar,
Sach Jhoot Teri Aankh Se Ho Jata Hai Zahir,
Kashme Na Utha Itni Safai Na Diya Kar.

Dil Ke Raasto Aur Soch Ki Galiyo Se Guzarte Dekha,

Dil Ke Raasto Aur Soch Ki Galiyo Se Guzarte Dekha,
Pyar Aur Jazbato Ko Yaha Kuchalte Dekha,
Zindagi Ko Mohabat Ka Naam Kaise De Jahan,
Har Shakhs Ko Hamne Zindagi Me Badalte Dekha.

Meri Khushi Ke Lamhe,

Meri Khushi Ke Lamhe,
Hamesha Se Mukhtasir Hai Is Kadar,
Khushiya Hi Guzar Jati Hai,
Mere Muskrane Se Zara Pahle.

Rah-E-Muhabat Me,

Rah-E-Muhabat Me,
Ajab Sa Huaa Hai Haal Apna,
Na Zakhm Nazar Aata Hai...
Na Dard Saha Jata Hai.

Friday, February 8, 2013

Maine kaha Maut ko thode din tal ja,

Maine kaha Maut ko thode din tal ja,
Maut ne kaha teri kisi ko jaroorat nahi tu chala aa,
Maine kaha koi hai jo humare liye jeeta hai,
Maut ne kaha isliye tu roj paani ki jagah aansu peeta hai.

Wo naraz hai humse ki hum kuch likhte nahi,

Wo naraz hai humse ki hum kuch likhte nahi,
Kaha se laye lafz jab milte nahi,
Dard ki juban hoti to bata deta shayad,
Wo zakhm kaise kahe jo dikhte hi nahi.

Khule aasma me zami ki baat na karo,

Khule aasma me zami ki baat na karo,
Jee lo zindagi khushi ki aas na karo,
Takdeer badal jayegi apne aap hi,
Muskurana sikh lo wajah ki talash na karo.

Jise humne chaha wo judaa ho gaye,

Jise humne chaha wo judaa ho gaye,
Hum se na jane kyu kafa ho gaye,
Hum dil ke zakham bhare kise,
Jab dawa dene wale hi bewafa ho gaye.

Darde Ulfat Sehna Bhi Mohabbat hai,

Darde Ulfat Sehna Bhi Mohabbat hai,
Kisi Se Door Rahna Bhi Mohabbat Hai,
Dil Ki Har Baat Juban Se Kahna Jaruri Nahi,
Kisi Ki Yaad Me Chup Rahna Bhi Mohabbat Hai.

Uski justaju uska intejar aur ye akelapan,

Uski justaju uska intejar aur ye akelapan,
Thak kar muskura dete hai ham jab roya nahi jata.

Aaj Fir Uski Yaad Bahut Dino Baad Aayi Hai,

Aaj Fir Uski Yaad Bahut Dino Baad Aayi Hai,
Bus Inhi Yado Se Uski Tasveer Si Bun Aayi Hai,
Hame To Bus Yahi Ek Gum Satata Hai,
Kya Is Tarha Koi Kisi Ko Chod Jata Hai,
Aarzu To Thi Tere Pyar Me Jaan Dene Ki,
Kashme Waade Hai Sirf Baate Kahne Ki,
Koi To Wajha Hogi Tere Bewafai Karne Ki,
Tujhe Aadat To Nahi Thi Mujhe Dard Dene Ki,
Ab Tera Naam Lene Se Zuban Ladkhadati Hai,
Jab Chaha Tera Naam Lena Yahi Kahti Jaati Hai,
Kyu Us Bewafa Ke Liye Mujhe Takleef Deta Hai,
Ab To Uska Naam Le Jo Tera Naam Leta Hai,
Socha Tha Ab Is Dil Ka Faisla Karna Hai,
Jo Tujhse Na Keh Saka Kisi Aur Se Kahna Hai,
Magar Ye Mera Dil Ganwara Nahi Karta Hai,
Isiliye Abhi Bhi Tera Dard Sahta Hai,
Tere Hur Ek Dhoke Aub Mujhe Yaad Rakhna Hai,
Jo Tune Zakhm Diye Hai Unhe Hara Rakhna Hai,
Khuda Poochega Bata Fanah Tera Qatil Kaun Hai,
To Waqte Aakhir Me Tujhpe Haath Rakhna Hai.

Tu Husn Ko Itna Haseen Na Bana Ae Khuda,

Tu Husn Ko Itna Haseen Na Bana Ae Khuda,
Ki Tera Banda Tujhse Pehle Kisi Aur Ke Aage Jhuke.

Tere char din ke pyar se,

Tere char din ke pyar se,
Mujhe umar bhar ka gam mila,
Mai toot kar bikhar gaya,
Mujhe tod kar tujhe kya mila.

Meri zindagi mujhe ye bata,

Meri zindagi mujhe ye bata,
Mujhe bhool kar tujhe kya mila,
Meri hasrato ka hisab de,
Dil tod kar tujhe kya mila.