Sunday, January 31, 2016

Dil Ki Hasrat Meri Zuban Pe Aane Lagi,

Dil Ki Hasrat Meri Zuban Pe Aane Lagi,
Tune Dekha Aur Ye Zindagi Muskurane Lagi,
Ye Ishq Ki Inteha Thi Ya Diwangi Meri,
Har Soorat Me Soorat Teri Nazar Aane Lagi.

Saturday, January 30, 2016

Raat gumsum hai magar chand khamosh nahi,

Raat gumsum hai magar chand khamosh nahi,
Kaise kah du fir aaj mujhe hosh nahi,
Aise dooba teri aankho ki gahrai me aaj,
Haath me jaam hai magar peene ka hosh nahi.

Friday, January 29, 2016

Yu najar se baat ki aur dil chura gaye,

Yu najar se baat ki aur dil chura gaye,
Andhero ke saaye me dhadkan suna gaye,
Hum to samjhte the ajnabi aapko,
Aap to humko apna bana gaye.

Thursday, January 28, 2016

Rahte Ho Aaj Bhi Sanso Me Tum,

Rahte Ho Aaj Bhi Sanso Me Tum,
Yaado Me Tum Kitabo Me Tum,
Jab Bhi Kalam Uthata Hu Likhne Ke Liye,
Ban Ke Gazal Aa Jate Ho Lafzo Me Tum.

Wednesday, January 27, 2016

Hatheli par rakhkar nasib apna,

Hatheli par rakhkar nasib apna,
Kyu har shakhsh mukaddar dundhta hai,
Ajeeb fitrat hai us samundar ki,
Jo takrane ke liye patthar dundhta hai.

Monday, January 25, 2016

Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum,

Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum,
Ek Ishare Pe Duniya Chod Jate Hum,
Samundar Ke Beech Me Pahunch Kar Fareb Kiya Usne,
Wo Kahti To Kinare Pe Hi Doob Jate Hum.

Saturday, January 23, 2016

Mujhse mat pooch ki kyu aankh jhuka li maine,

Mujhse mat pooch ki kyu aankh jhuka li maine,
Teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
Jispe likha tha ki tu meri muqaddar me nahi,
Apne maathe ki wo lakir mita li maine,
Har janm sabko yaha saccha pyar kaha milta hai,
Teri chahat me to umar bita li maine,
Mujhko jane kaha ehsaas mere le jaye,
Waqt ke hatho se ek nazm utha li maine,
Ghere rahti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaado se har ek saans saja li maine,
Jiske shero ko wo sun ke bahut roya tha,
Bas wohi ek gazal sabse chupa li maine.

Friday, January 22, 2016

आंसुओं की बूँदें हैं या आँखों की नमी,

आंसुओं की बूँदें हैं या आँखों की नमी,
न ऊपर आसमां है न नीचे ज़मी।।
यह कैसा मोड़ है ज़िन्दगी का,
उसी की ज़रूरत है और उसी की कमी।।

Wednesday, January 20, 2016

Palke kab se bhig rahi,

Palke kab se bhig rahi,
Raate kitni beet gayi,
Chand magar waisa hi hai,
Tare the jo toot gaye,
Ek sapna tha jo sapna na raha,
Koi apna tha jo apna na raha,
Zindagi me na ab koi gam rahe,
Dena chahe koi apno ko duaa,
Tum kaha Ham kaha,
Dard bikhre hue kuch aise hai,
Chehre sab ajnabhi ke jaise hai,
Mil rahe hai khushi khushi sab se,
Hum akele yaha par aise hai,
Chandni jab se rooth gayi,
Kis ko chu kar toot gayi,
Chand magar aisa hi hai,
Tare the jo toot gaye,
Ek sapna tha jo sapna na raha,
Koi apna tha jo apna na raha.

Sunday, January 17, 2016

Kabhi Usne Bhi Hume Chahat Ka Paigam Likha Tha,

Kabhi Usne Bhi Hume Chahat Ka Paigam Likha Tha,
Sab Kuch Usne Apna Humare Naam Likha Tha,
Suna Hai Aaj Unko Humare Jikar Se Bhi Nafrat Hai,
Jisne Kbhi Apne Dil Par Humara Naam Likha Tha.