Monday, March 26, 2012

Aashiq ne pucha khuda se,

Aashiq ne pucha khuda se,
Tune duniya ko pyar ka dushman kyu bana diya?
Khuda bola aashiqo ne kaunsa mere saath accha kiya,
Unhone bhi to yaar ko khuda bana diya.

Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz,

Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz,
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunayenge Kisi Roz,
Thi Un Ki Zidd K Mai Jau Un Ko Manane,
Mujh Ko Yeh Veham Tha Wo Bulayege Kisi Roz,
Udney Do In Parindon Ko Azaad Fiza Mai,
Tumhre Honge to Laut Hi Ayenge Kisi Roz.

Sau Kisse Hai Milte Julte,

Sau Kisse Hai Milte Julte,
IK Majboori Theek Nahi.
Jo Kehna Hai Khul K Keh De,
Baat Adhoori Theek Nahi..
Koi Gila, Koi Bahana,
Koi Munasib Raah Nikaal..
Mujh Se Aise Milte Rehna,
Ghair Zaroori Theek Nahi.
Roz Mohabat Ho Jati Hai,
Chalte Phirte Logon Se.
Geet Adhoore, Khuwab Adhore,
Ye Maazoori Theek Nahi.
Ek Shikast K Badle Mujh Ko,
Sab K Sab iLzam Na De.
Kuch Kuch Baat RAZA ye Sach he,
Lekin Poori Theek Nahi.

Thursday, March 22, 2012

Yaad me teri aahe bharta hai koi,

Yaad me teri aahe bharta hai koi,
Har saans k saath tujhe yaad karta hai koi,
Maut to sachai hai aani hai,
Lekin teri judai me har roz marta hai koi.

Karoge yaad ek din is pyar k Diwane ko,

Karoge yaad ek din is pyar k Diwane ko,
Chale jaenge jab hum kabhi na wapas aane ko,
Karega mehfil me jab jikar humara koi,
To tum bhi tanhai dundogi aansu bahane ko.

Taqdeer Ne Is Dil Per Itne Zakham Lagaye,

Taqdeer Ne Is Dil Per Itne Zakham Lagaye,
Muskurane Ko Dil Chaha...
To Aansoo Nikal Aaye.

Hum to tere dil ki mahfil sajane aye the,

Hum to tere dil ki mahfil sajane aye the,
Teri kasam tujhe apna banane aye the,
Kis baat ki saza di tune humko,
Bewafa hum to tere dard ko apnane aye the.

Dard ki bazaar bhari padi hai,

Dard ki bazaar bhari padi hai,
Wo cheez na lo jo andar se jali padi hai,
Wafa ki talaash chod do nadan,
Ye duniya Bewafai se bhari padi hai.

Dhoka tum na do ab yakin hume nahi,

Dhoka tum na do ab yakin hume nahi,
Bewafi to dekh chuke ab wafa ka bharosa nahi,
Dosti smjh b sako wo akal tumme nahi,
Kar ke mohabt saza tum saho utna sabar tum me nahi,
Humari myyat par tum Aao ye yakin ab kisi ko nahi.

Dard ki mehfil me ek sher hum bhi arz kiya karte hai,

Dard ki mehfil me ek sher hum bhi arz kiya karte hai,
Na kisi se marham Na duao ki Ummed kiya karte hai,
Kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai,
Hum in aansuo ko ek chehre ke liye piya karte hai.

Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,

Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
Ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye.

Kisi din teri nazro se door ho jayenge hum,

Kisi din teri nazro se door ho jayenge hum,
Door fizao me kahi kho jayenge hum,
Meri yado se lipat k rone aaoge tum,
Jab zameen ko odh ke so jayenge hum.

Samandar me bahut door tak nikla,

Samandar me bahut door tak nikla,
Mujhe saahil na mila ye or baat hai,
Qudrat ne likha tha us ko meri taqdeer me,
Us ki kismat me mai na tha ye aur baat hai.

Tuesday, March 20, 2012

Khwahiso k angan me raat din basere the,

Khwahiso k angan me raat din basere the,
Titliya tumhari thi or phool mere the,
Chand asmano se jab zameen pe utra tha,
Dekhne me raate thi asal me sawera tha,
Tere pass basne k waade kiye the leikin,
Shehar bhi praya tha log bhi lutere the,
Lut gaye hum dono to qasoor kis ka hai,
Khwahise bhi teri thi faisle bhi tere the.

Shabaab par bahaar thi, fizaa bhi khush-gawaar thi,

Shabaab par bahaar thi, fizaa bhi khush-gawaar thi,
Na jaane kyu machal pada, mai apne ghar se chal pada,
Kisi ne muJhko rok kar, badi adaa se Tok kar,
Kaha tha lauT aaeiye, meri kasam na jaaiiye,
Par muJhe khaBar na thi, maahol par nazar na thi,
Na jaane kyu machal pada, mai apne ghar se chal pada,
Mai shehaR se phir aa gaya, khayal tha ki paa gaya,
Use jo muJhse door thi, magar meri zaroor thi,
Aur ik hasiN shaaM ko, mai chal paDa salaam ko,
Gali ka rang dekh kar, Nayi tarang dekh kar,
MuJhe baDi khushi hui, mai kuch isi khushi mei tha,
Kisi ne Jhaank kar kaha....,
Paraaye ghar se jaaiiye, meri kasam na aaiiye.
Wahi hasin shaam hai, bahaar jiska naam hai,
Chala hoo ghar ko chhodkar, na jaane jaunga kidhar,
Koi nahi jo Tok kar, koi nahi jo Rok kar,
Kahe ke laut aaiiye, meri kasam na jaaiiye.

Socha Nahi Achcha Bura, Dekha Suna Kuch Bhi Nahi,

Socha Nahi Achcha Bura, Dekha Suna Kuch Bhi Nahi,
Maanga Khuda Se Raat Din, Tere Siwa Kuch Bhi Nahi,
Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaaha Tujhe Pooja Tujhe,
Meri Khata Meri Wafa, Teri Khata Kuch Bhi Nahi,
Jispar Hamari Aankh Ne Moti Bichchaaye Raat Bhar,
Bheja Wohi Kaagaz Tujhe, Humne Likha Kuch Bhi Nahi,
Ek Shaam Ki Dahleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak,
Aankho Se Ki Baate Bahut, Humne Kaha Kuch Bhi Nahi.

Phoolo se kya dosti karte ho,

Phoolo se kya dosti karte ho,
Phool to murjha jaate hai.
Agar dosti karni hai to kaanto se karo,
Kyuki wo chubh kar bhi yaad aate hai.

Jaha dekhu samne nazaar ati ho tum,

Jaha dekhu samne nazaar ati ho tum,
Pyaar ki parichayiyo se hamesha yaad ati ho tum,
Mere Khwaboo ki duniya me rehti ho tum,
Mere pass ake muskurati ho tum,
Mohabat ki in raho me ake tadapati ho tum,
Pyaar hume de kar door cheli jati ho tum.

Usse keh do apni khaas hifazat kiya kare,

Usse keh do apni khaas hifazat kiya kare,
Beshak saanse uski hai...
Magar jaan to wo Humari hai.

Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta,

Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta,
Marne wale ke saath har koi nahi marta,
Are Marne ki baat to door rahi,
Yaha to zindgi hai phir b koi yaad nahi karta.

Teri ek Jhalak ko Dil Taras Jata hai Mera,

Teri ek Jhalak ko Dil Taras Jata hai Mera,
Qismat wale hai wo Log Jo Tera Rooz Deedar karte hai.

Hans kar b dekh liya rokar b dekh liya,

Hans kar b dekh liya rokar b dekh liya,
Pakar b dekha kho kar b dekh liya,
Pyar b kiya aur jaan b liya ki,
Zindgi wahi ji skta h jisne akele jina sikh liya.

Teri khushbu ka pata karti hai,

Teri khushbu ka pata karti hai,
Mujh pe ehsaan hawa karti hai,
Sab ki tanhai me ab to aksar,
Guftagu tujh se raha karti hai,
Dil ko us raah pe chalna hi nahi,
Jo mujhe tujh se juda karti hai,
Zindagi meri thi lekin ab to,
Tere kehne me raha karti hai,
Us ne dekha hi nahi warna ye aankh,
Dil ka ehwaal kaha karti hai,
Shaam padte hi kisi shakhs ki yaad,
Koocha ae jaan me sadaa karti hai.

Sunday, March 18, 2012

Khuda Ka Shukar Hai Jo Usne Khwab Bana Diye,

Khuda Ka Shukar Hai Jo Usne Khwab Bana Diye,
Ae Jaan Warna Tamanna Tujse MiLne Ki Kabi Poori Na HoTi.

Teri Yaado Ke Bikhre Tukade Chunkar,

Teri Yaado Ke Bikhre Tukade Chunkar,
Guzre Lanho Ki Tasvir Bana Lu,
Apni Har Khusi Tere Naam Likh Ke,
Tere Dukho Ko Apni Takdir Bana Lu.

Meri Mohbat Bezuban Hoti Rahi,

Meri Mohbat Bezuban Hoti Rahi,
Dil Ki Dhadkan Apna Wajud Khoti Rahi,
Koi Nahi Aaya Mere Dukh Ke Qarib,
Ek Barish Hi Thi Jo Mere Saath Roti Rahi.

Aye Zindagi Kash Tu Hi Ruth Jaati Mujhse,

Aye Zindagi Kash Tu Hi Ruth Jaati Mujhse,
Ye Ruthe Hue Log Mujse Ab Manaye Nahi Jate.

Ae khuda nazaro ko kuch aisi khudai de,

Ae khuda nazaro ko kuch aisi khudai de,
Jidhar dekhu udhar wo hi dikhai de,
Kar de aisi meharbani aaj tu,
Mai unko pukaru aur sirf unhi ko sunai de.

Palke Juke To Pyar Ho Jata Hai,

Palke Juke To Pyar Ho Jata Hai,
Palke Uthe To Izhar Ho Jata Hai,
Na Jane Kya Kashish H Chahat Me Aisi Ki,
Koi Anjan B Is Zindgi Ka Haqdar Ho Jata Hai.

Sukun mil gaya badnaam hokar,

 Sukun mil gaya badnaam hokar,
Har ilzam par bejuban hokar,
Log padhne lage aapki aankho me mohobat humari,
Chahe aap inkar kar do anjaan hokar.

Apki mohbbat Apki Wafa hi kafi hai,

Apki mohbbat Apki Wafa hi kafi hai,
Tamam umar ye Aasra hi kafi hai,
Jaha kahi bhi milo muskura dena,
Meri Khushi ke liye wo lamha hi Kaafi hai.

Vishwas Ek chhota shabd hai,

Vishwas Ek chhota shabd hai,
Use padne me 1 second,
Sochne me 30 minute,
Samjhne me kai din,
Aur sabit karne me zindagi lag jati hai.

Hum Ne Bhi Chaha Har Manzil Karib Ho,

Hum Ne Bhi Chaha Har Manzil Karib Ho,
Har Waqt Aap Ka Saath Naseeb Ho,
Par Wahan Khuda Bhi Kya Kare,
Jahan Insaan Khud Badnasib Ho.

ZaMeen Ban Jaaye Kagaz Ki,

ZaMeen Ban Jaaye Kagaz Ki,
Aur Samundar Ho Syahi Ka,
Phir Bhi Kalam Likh NaHi Sakti..
Dard Judai Ka..!

Saturday, March 17, 2012

Mere Dukh Ko Usne Natak Ka Naam Diya,

Mere Dukh Ko Usne Natak Ka Naam Diya,
Jab Mere Janaze Ko Dekha...
To Bole Ab tak So Rahe Ho..!!

Bas Tujhme Hi Meri Rooh Basi Hai,

Bas Tujhme Hi Meri Rooh Basi Hai,
Tujhse Hi Meri Zindagi Me Hasi Hai,
Tu Chahti Hai Hum Sada Khush Rahe,
TuHi Bhool Gayi Tujhme Meri Khushi Hai.

Aaj Bhula Diya Maine Tujhe Zamaane Ke Baad,

Aaj Bhula Diya Maine Tujhe Zamaane Ke Baad,
Jab Tune Muskura Diya Mera Dil Jalaane Ke Baad,
Tune Basa Liya Ghar Roshni Ke Sheher Me,
Mujhe Andheri Raahon Me Le Jaane Ke Baad,
Teri Ek Khushi Ke Liye Maine Duniya Bhar Ke Gum Sahe,
Aaj Tu Khush Hai Mujhe Mitane Ke Baad,
Mere Pyaar Ko Tune Samjha Nahi Kabhi,
Dekhna Ek Din Pachtaogi Mujhe Thukrane Ke Baad,
Tumhare Saath Milkar Logon Ne Bhi Mujhpe Sitaam Dhaye,
Aur Aaj Sab Ro Rahe Hai Mujhe Aazmane Ke Baad,
Aaj Mere Halat Par Tum Hans Rahe Ho Lekin,
Ek Din Ro Padoge Tum Bhi Muskurane Ke Baad.

Mere dil ka dard kisne dekha hai,

Mere dil ka dard kisne dekha hai,
Mujhe bas khuda ne tadpte dekha hai,
Hum tanhai me baithe rote hai,
Logo ne hume mehfil me hanste dekha hai.

Pyar Se Tab Tak Pyar Na Karo,

Pyar Se Tab Tak Pyar Na Karo,
Jab Tak Pyar Aapse Pyar Na Kare,
Jab Pyar Aapse Pyar Kare To,
Pyar Se Itna Pyar Karo Ki Pyar Kisi Aur Se Pyar Na Kare.

Ummid Hi Kya Unse Jinki Ummid Hum Nai,

Ummid Hi Kya Unse Jinki Ummid Hum Nai,
Khushi Hi Kya Unse Jinki Khushi Hum Nai,
Gum To Is Baat Ka H Ki...
Humare DIL me Wo H Jinke DIL me Hum Nai.

Har dil ke tukde tukde me naam tera hi milega,

Har dil ke tukde tukde me naam tera hi milega,
Agar uske bhi tukde kar do usme b wahi dikega,
Kam na ye mohabat tumhe kahi milegi,
Meri har ek raah me teri hi chah dikhegi.

Koi zakham nahi, na koi dard hai,

Koi zakham nahi, na koi dard hai,
Bas ek khamoshi si is dil me hai,
Kuch diya b nahi, to kuch koya bhi nahi,
bas ek adhoora pan is dil me hai.
Na kuch kehne ko hai na sunne ko,
Sawal b man me nahi karne ko,
Bhulana ko kya koi yaad b nahi,
Bas ek baichaini si is dil me hai kahi.
Chaand se kya kahu, koi andhera b nahi,
Na din ki talaash hai, na roshni ki kami,
Gum, udaasi, koi Aansoo b nahi,
Fir is dil ko kis cheez ki hai kami?

Badnam Zamane Me Mohabbat Nahi Karte,

Badnam Zamane Me Mohabbat Nahi Karte,
Dil Wale To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte,
Ek Baar Jise Chaha Sadaa Ussi Ke Rahe Phir,
Hum Amanat Me Qiyanat Nahi Karte,
Tanhiye Me Karte Hai Yaad Aanso Bahakar,
Zahir Phir Hum Apni Ibadat Nahi Karte,
Waqt Aane Pe Yeh Maloom Ho jayega Tumhe,
Hum Sirf Dikhawe Ki mohabbat Nahi Karte,
Likhte Hai Faqat Tumhare Liye Ghazalein,
Har Shaqs Pe Hum Aisi Inayat Nahi Karte.

Friday, March 16, 2012

Apno se juda kar deti hai, Aakhon mein paani bhar deti hai,

Apno se juda kar deti hai, Aakhon mein paani bhar deti hai,
Kitni shikayat hai zindgi se. Phir bhi iska aitbaar hai,
Phir bhi iska intzaar hai, Humko mohabbat hai zindgi se.
Kabhi khushiyon ka mela lagta hai, Kabhi har koi akela lagta hai.
Kabhi humpe karam pharmati hai, Kabhi humse nazar churati hai.
Palkon se isko chakhte hain, Isey pass hi apne rakhte hain,
Itni nazakat hai zindgi se, Humko mohabbat hai zindgi se.
Humko adaaye dikhati hai ye, Jeena bhi humko sikhati hai ye.
Kabhi paas hai to kabhi door hai, Ye zindgi bhi badi mashhoor hai.
Kabhi karti hai aankh micholi, kabhi sajaye sapno ki doli,
Itni shararat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se.
Door ye ho to ghum hota hai, Pass ho to iska karam hota hai.
Khud apni marzi se chalti hai, Suraj ki tarah se ye dhalti hai.
Ise jab bhi hum dekhte hai, Mann hi mann ye sochte hai,
Kitni hifazat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se.
Aansu bhi ho to pee lete hai, Pal do pal khushi se jee lete hai.
Har pal humko nahi hai roka, Thoda humko bhi deti mouka.
Zindgi gujar jaaye taqraar me, Chahe gujar jaaye ye pyaar mei,
Itni izazat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se.

Sookhe Patton Ki Tarah Bikhre Hue The Hum,

Sookhe Patton Ki Tarah Bikhre Hue The Hum,
Ae Doston Kisine Sameta Bhi To Sirf Jalaane Ke Liye..!

You May Miss Ur Lovable One Just By Saying Bye.

You May Miss Ur Lovable One Just By Saying Bye.
But Ur Heart Silently Say-
I'll Wait For u, Till u Come Into My Life Again.

Thursday, March 15, 2012

Bahut Kuch Shikha Jaati Hai Zindgi,

Bahut Kuch Shikha Jaati Hai Zindgi,
Hansa Ke Rula Jati Hai Zindgi,
Jee Sako Jitna Utna Jee Lo Dosto,
Kyuki Bahut Kuch Baaki Rehta Hai...
Aur Khatam Ho Jati Hai Zindgi.

Jo Dhal jaye Wo Sham Hoti Hai,

Jo Dhal jaye Wo Sham Hoti Hai,
Jo Khatam Ho jaye Wo Zindgi Hoti Hai,
Jo Mil jaye Wo Maut Hoti Hai,
Aur jo Na Mile Wo Mohabbat Hoti Hai.

Tum Haqeeqat Ho Ya Sapna Meri Aakhon Ka,

Tum Haqeeqat Ho Ya Sapna Meri Aakhon Ka,
Na Dil Se Nikalte Ho Na Zindagi Me Aate Ho.

Taqreer Wafa Ki Dene Lagenge,

Taqreer Wafa Ki Dene Lagenge,
Beqaraari Unhe Jab Satane Lagegi,
Deedaar Ko Mere Tarsenge Tab Wo,
Unse Jawaani Jab Daman Chudane Lagegi,
Galtiyo Ka Ehsaas Jab Unko Hoga,
Tab Wafa Meri Unhe Yaad Aane Lagegi,
Ruswa To Kar Du Jamane Me Unko,
Mere Dil Ko Mgar Ye Beyimaani Lagegi.

Koi Toofan Nahi Aata Bachane Dubti Naaw Ko,

Koi Toofan Nahi Aata Bachane Dubti Naaw Ko,
Nahi Koi Maali Aata Bachane Foolo Ko,
Sholo Pe Ghar Bana Saka Na Koi,
Wo Pyar Hai Ek Fashana Jo Kabhi Huaa Na Shancae Ki Murat.
Is Se Behtar Hai Ki Tu Bhul Jana To Use Tum Bhulaja Mere Dil.

Dil Ke Zakhmo Ki Sifarish Na Hui,

Dil Ke Zakhmo Ki Sifarish Na Hui,
Humari Muskan Ki Faramaish Na Hui,
Jise Dekhne Ko Tarasti Rahi Aankhe,
Unhe Humse Milne Ki Khwahish Na Hui.

Yaha Khamosh Nazro Ka Nazara Kaun Banta Hai,

Yaha Khamosh Nazro Ka Nazara Kaun Banta Hai,
Bahut Gehre Samndar Ka Kinara Kaun Banta Hai,
Chalo Hum Dekhte Hai Khud Ko Ab Barbad Kar Ke Bhi,
Ki In Barbadiyo Me Bhi Humara Kaun Banta Hai,
Koi Sheesha Agar Toote To Wapas Jud Nahi Sakta,
Mohabbat Me Fana Ho Kar Dobara Kaun Banta Hai,
Chalo Phir Azma Lo Tum Sabhi Apne Parayo Ko,
Tumhare Dard Me Dekho Tumhra Kaun Banta Hai.

Monday, March 12, 2012

Jane Kaise Anjani Si Raho Par Chalne Lage The Hum,

Jane Kaise Anjani Si Raho Par Chalne Lage The Hum,
Jane Kyu Khud Ko Unke Liye Badalne Lage The Hum,
Duniya Kehti Thi Tera Kasoor Nahi Hai,
Shayad Kisi Ko Pyar Karne Lage The Hum,
Waise To Kbhi Koi Yaad Aata Nahi Tha,
Par Unhe Har Pal Yaad Karne Lge The Hum,
Kuch Bechani Li Unhe Khushi Dekar,
Shayad Un Par Mitne Lge The Hum,
Yaaro Sab Kuch Accha Lagta Tha Tab,
Par Hume Kya Pata Tha Ki Apne Hi Hatho Se,
Ansuo Ki Taqder Likhne Lge The Hum,
Ehsas To Tab Hua Jab Dil Kaanch Ki Tarah Toota,
Shayad Sach Me Kisi Ko Mohabat Karne Lge The Hum.

Heer Paidal Ja Rahi Thi,

Heer Paidal Ja Rahi Thi,
1 Ladka Awaj Deta Hai:-
"Ae Deewani Piche Mud K Dekh...
Tera Dupatta Zameen Se Ghisa Ja Raha Hai".
Heer Boli:- "Ae Diwane Tu Kya Jane,
Ye Bhi Apna Farz Nibha Raha Hai,
Koi Choom Na Le Mere Kadmo Ki Mitti Ko Ranjhe K Siwa,
Isliye Nishan Mitata Ja Raha Hai".

Zindagi Kya Koi Nisaar Kare,

Zindagi Kya Koi Nisaar Kare,
Kisse Duniya Me Koi Pyar Kare,
Apna Saya Bhi To Apna Dushman Hai,
Kaun Ab Kiska Aitbaar Kare.

Jinki Talaash Me Kadam Khud Nikal Gaye,

Jinki Talaash Me Kadam Khud Nikal Gaye,
Jinki Yadon Me Armaan Pighal Gaye,
Khoja Tha Jinko Sare Jahan Me,
Palke Band Ki To Wo Aankho Me Hi Mil Gaye.

Apne Aasman Se Meri Zameen Dekh Lo,

Apne Aasman Se Meri Zameen Dekh Lo,
Tum Khwab Aaj Koi Haseen Dekh Lo,
Azmana Hai Agar Aitbaar Ko Mere,
To 1 Jhooth Tum Bolo Aur Mera YaQeen Dekh Lo.

Falak se juda jab koi sitara hota hai,

Falak se juda jab koi sitara hota hai,
Usme aasma ka bhi ishara hota hai,
Kisi ko dil se karo pyar to pata chale,
Ki bichhadte waqt kya nazara hota hai.

Zindgi itni jiyo koi had na ho,

Zindgi itni jiyo koi had na ho,
Bharosa itna Karo ki koi shaq Na ho,
Intzar aisa karo ki Koi waqt na ho,
Pyar aisa karo ki Na mile to nafrat na ho.

Rone ka mera maksad nahi,

Rone ka mera maksad nahi,
Phir bhi aankh bhar aaye to hum kya kare,
Bhulane ka hume haq nahi,
Koi hume bhool jaye to hum kya kare.

Saturday, March 10, 2012

Tu Jab Tak Mujhse Naraz Hai,

Tu Jab Tak Mujhse Naraz Hai,
Teri Yaado Ka Is Dil Pe Raj Hai,
Mai Itna Gamgin Pehle Nahi Hua,
Teri Berukhi Se Jitna Gum Aaj Hai.

Zindagi Guzaarne Ka Bahana Dhundte Hai,

Zindagi Guzaarne Ka Bahana Dhundte Hai,
Jo Khatam Na Ho Wo Paimana Dhundte Hai,
Hosh Me To Tadpenge Raat Din,
Jo Hosh Na Aane De Wo Maikhana Dhundte Hai.

Din Beet Jate Hai Kahani Bankar,

Din Beet Jate Hai Kahani Bankar,
Yade Reh Jati Hai Nishani Bankar,
Par Rishte Humesha Rahte Hai,
Kabhi Hotho Ki Muskan...
To Kabhi Ankho Ka Pani Bankar.

Tere Bina Duniya Suni Si Lagti Hai,

Tere Bina Duniya Suni Si Lagti Hai,
Bin Tere Zindgi Adhuri Si Lagti Hai,
Pata Nahi Kyu Chahte Hai Hum Tujhko itna,
Ki Tujh Bin Jina B Majburi Si Lagti Hai.

Dur Rehne Walo Ne Aisa Sila Diya,

Dur Rehne Walo Ne Aisa Sila Diya,
Apni Yado Se Humko Rula Diya,
Itna Bhi Sangdil Na Ho Yaar Kisi Ka Ki,
Jab Chaha Pyar Kiya Jab Chaha Bhula Diya.

Hazaro Tammanao Ko Daba Rakha Hai,

Hazaro Tammanao Ko Daba Rakha Hai,
Lahu Ansuo Ke Dariya Me Daba Rakha Hai,
Bus 1 Katra Baaki Hai Is Jism Me,
Jo Teri Mang Ki Khatir Bacha Rakha Hai.

Friday, March 9, 2012

Hum Unse milne Ja Rahe The,
Wo Bhi Samne Se Aa Rahe The,
Aadat Hai Hume Ankhe Padhne ki,
Isliye Wo Apni Palke Zuka Rahe The.
Ae Kalam Zara Ruk-Ruk Ke Chal,
Kya Gazab Ka Mukaam Aaya Hai,
Thodi Der Thehar Ja Use Dard Na Ho,
Teri Nok Ke Niche Meri Jaan Ka Naam Aaya Hai.
Aaj Tak Jo Hum Tumse Keh Na Sake,
Aaj Ye Iqrar Karte Hai,
Jise Tum Roz Dekhte Ho Aaine Me,
Usse Hum Bepanah Pyar Karte Hai.
Mai Aapke Pyar Me Kuch Aisa Kar Jaunga,
Ban Ke Khushbu Fiza Me Bikhar Jaunga,
Bhulna Caho To Sanso Ko Rok Lena,
Sans Loge To Mai Dil Me Utar Jaunga.
Dard Ko Bhi Ab Dard Hone Laga Hai,
Dard Ab Kuhd Mere Zakhm Dhone Laga Hai,
Gam-E-Dard Me Kabhi Nahi Roya,
Dard Khud Mujhe Chu Kar Rone Laga Hai.

Jeete the hum kabhi shaan se

Jeete the hum kabhi shaan se,
Mahek uthi fija kisi ke naam se,
Par gujre hai kuch aise mukam se,
Nafrat si ho gai hai mohabat ke naam se.

Monday, March 5, 2012

Hath pakad kar rok leta Aapko,
Agar Aap par Mera koi zor hota,
Na Rote Hum Bhi Aapke liye,
Agar Hamari Zindgi me Aapke siwa koi aur Hota.
Mere Dil Me Ek Dhadkan Teri Hai,
Us Dhadkan Ki Kasam Tu Zindagi Meri Hai,
Meri Sans Me Ek Sans Teri Hai,
Wo Sans Jo Ruk Jaye To Maut Meri Hai.
Ek Din Tuzse Ruth kar Dekhna hai,
Tere Manane ka Andaz Dekhna hai,
Abhi to do pal hi sath chale hai,
Kab tak sath Chaloge Wo Ehsaas Dekhna hai.
Jis din meri zindgi ki aakhiri raat hogi,
Bahut si ankho se gum ki barsat hogi,
Aap meri maut pe ansu Na bahana,
Qki aapse to meri Agle Janam me mulakat hogi.
Hansi ke raste pe chala karo,
Khushiyo ki mahak liya karo,
Pyar se dilon ko chuaa karo,
Jaha tume gum nazar aye,
Is nacheez ko yaad kiya karo!
Kaise Pahchanoge Un Rishto Ke Chehre,
Jo Chehre Pe Hasin Chehra Lagate Hai,
Dekhe Hai Aise Farebi Rishto Ko Humne,
Jo Rishto Me Bhi ZHER Milate hai.
Jisne Kbhi Pyar Ka Paigam Likha Tha,
Usne Apna Sab kuch Mere Naam Likha Tha,
Aaj Use Mere Zikar se Nafrat Hai,
Jisne kabi Hathli Pe Mera Naam Likha Tha.
Its Hard To Love Someone Who Doesn't Give U Time.
But It Hurts More When U Realise That...
You Didn't Gave Time To Someone Who Really Loved You.
Kash Sapne Haqiqat Hote To,
Hum Har Sapne Me Apko Dekha Karte,
Kash Zindagi Me Har Dua Poori Hoti To,
Hum Har Dua Me Apko Manga Karte.
Kisi Ko Mohabat Ki Sachai Mar Degi,
Kisi Ko Mohabat Ki Gehrai Mar Degi,
Kar Ke Mohabat Koi Na Bachega,
Jo Bacha Hai Use Tanhai Mar Degi.
Udas Hai Dil Or Ankho Me Nami Hai,
Jaise Rutha Hai Asman Or Khamosh Ye Zami Hai,
Yaad Na Karne Ki Koi To Wajah Batao,
Naraz Ho Humse Ya Waqt Ki Kami Hai.
Hum Unse Mohbat Behisab Kar Gaye,
Unke Khatir Shayri ki kitab Ban Gaye,
Usne Puca 1Roz kise Chahte Ho Tum,
Wo Apne Hi SawaL Ka Jawab Ban Gaye.
Guzri Hai Kal Humpe Wo Raat Ajib Si,
Krti Rahi Wo Humse Chahat Ajeeb Si,
Ab Sari Zindgi Tanha Hi Jina Hoga,
Bichdte Waqt Wo Kar Gyi Hai Baat Ajib Si.
Tute Mere DIL Ko Jodne Chale Aao,
Bahut Jiya Hu Akele Saath Dene Chale Aao,
Aaj To Meri Mayyat Ka DIn Hai,
Bas Janaze Me Shariq Hone Chale Aao.
Hichkiya dila kar ye kaisi uljhan bada rahe ho,
Ankhe band hai fir bhi nazar aa rahe ho,
Bas itna batado ki muje yad kar rahe ho,
ya apni yaad dila rahe ho.
Khub Nahi Bahut Khubsurat Ho Tum,
Mere DIL Me Thi Wo Murat Ho Tum,
Mile The Ek Ajnabi Ban Kar Lekin,
Aaj Mere DIL ki Zarurat Ho Tum.
Dil Me Har Raaj Daba Ke Rakhte Hai,
Hontho Pe Muskan Saja Ke Rakhte Hai,
Ye Duniya Sirf Khushi Me Sath Deti Hai,
Isliye Hum Apne Aanshu Chupa Ke Rakhte Hai.
Shikwa Kisi Ka Na Fariyad Kisi Ki,
Honi Thi Yuhi Zindgi Barbad Kisi Ki,
Ehsaas Mita Or Miti Ummide,
Sab Mit Gaya Par Na Miti Yaad Kisi Ki.
Aapne Jab Har Taraf Nigaah Ki Hogi,
Mere Hi Pyar Ne Sada Di Hogi,
Ye Jo Moti Barste Hai Yaad Me Aapki,
Baadlon Ne Mere DIL Ko Dua Di Hogi.
Dil ke tutne ka intzar mat karna,
Ishq par kabi aitbar mat karna,
Agar jeene ki tamanna ho char din ki,
To duniya me kisi se pyar mat karna.
Usne Dur Rahne Ka Mashwara B Likha,
Sath Hi Pyar Ka Wasta B Likha,
Usne Ye B Likha Ki Mere Ghar Na Aana,
Or Saaf Lafzo Me Ghar Ka Pata B Likha.
Wafa Jinse Karte Rahe Umar Bhar,
Hum Pe Unki Jafa Muskurati Rahi,
Shayad Qasoor Meri Mohabat Ka Hai,
Jo Sab Seh Kar Bhi Unhe Chahti Rahi.
Gum-E-Rukhsat Unhe Samjha Raha Hu,
Gale MiL Lo Ki Ab Mai Ja Raha Hu,
Ye Nikla DiL Lagane Ka Natija,
Unhe DiL De K Mai Ab Pachta Raha Hu.
Sapno ki tarah aa kar chale gaye,
Apno ko bhula kar chale gaye,
Kis baat ki saza di aap ne hume,
Pehle hasaya phir rulakar chale gaye.
Mere pyar ko duniya me koi samajh na paya,
Rote they jab tanha koi mere saath na aaya,
Mita diya khud ko unke liye pyar me,
Aur wo kehte hai ki mujhe pyar karna na aaya.

Thursday, March 1, 2012

Maine usse ek ishara kiya,
Usne salaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.
Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.
Maine pucha kab miloge?
Usne Qyamat ki sham likh ke bheja.
Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne Mera hi naam likh ke bheja.
Dard se dosti ho gayi yaro,
Zindagi bedard ho gayi yaro,
Kya hua jo jal gaya aashiya hamara,
Door tak roshni to ho gayi yaro.
Mujhse Kya Gila Hai Tumko,
Itni Nafrat kyu Karti Ho Mujhse,
Maine to Sirf Tumko Chaha Hai,
Tumse to Kuch Nahi Chaha Na..!
Zindgi-Se Humne Kuch Manga Hi Kaha,
Bas Tujhse Mangte Rahe Thodi Si Wafa,
Ummid Humne Kuch Jyada Hi Kar Liya,
Na Tera Koi Kasur Na Meri Koi Khata.
Koi Lamha Iss Kadar Aata Hai,
Jisme Bita Hua Kal Nazar Aata Hai,
Yaade Bach Jaati Hai Yaad Karne Ke Liye,
Waqt Sab Kuch Leke Guzar Jaata Hai.
Waqt Bura hai Humara to Sab ilzaam Seh Rahe Hai.
Warna Kabhi Hume Bhi Log Mohabbat Kiya Karte The.
Tamanna Jab Kisiki Nakam Ho Jati hai,
Zindgi 1 Sham Ho Jati hai,
Dil k Sath Daulat Ka Hona B Zaruri hai,
Warna Garib Ki Mohabat B Nilam Ho Jati hai.
Wo Na Aaye Unki Yaad Wafa kar Gyi,
Unse Milne ki Tamana Tabah kar Gyi,
Aahat hui Socha Asar Dua kar Gyi,
Darwaza khol kar dekha MAZAK Hawa kar Gyi.
Mere khwabon me aana aapka kasur tha,
Aapse dil lagana hamara kasur tha,
Aap aaye the zindagi me pal do pal ke liye,
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha.
Duniya jise neend keheti hai,
Jane woh kya cheez hoti hai,
Aankhe to hum bhi band karte hai,
Aur wo aapse milne ki tarkeeb hoti hai.
Wo kehte hai dil pe bharosa itna nahi karte,
Hum kehte hai mohabat me socha Nahi karte,
Wo kehte hai nazro se door par dil ke paas hu,
Humne kaha sapno se dil ko behlaya nahi karte.
Child LoveStory.........
9 saal ke bache ki girlfrnd sunami me mar gyi.
Wo roz smandar kinare jata.
lahre uske pair bhiga jati.
wo rota or kahta-
"kitna bhi pair chhule maaf nahi kruga".