Tuesday, October 29, 2013

Tadapti hai ye saanse har pal teri judai me,

Tadapti hai ye saanse har pal teri judai me,
Paresan hai ye dil har taraf faili tanhai me,
Na jane ki tamanna hai na koi khwabo ka basera hai,
Bejaan ban gaya hai ye dil teri ruswai me.

Aaj Na Jane Kyu Aankho Me Aansu Aa Gaye,

Aaj Na Jane Kyu Aankho Me Aansu Aa Gaye,
Likhte Likhte Pyare Se Wo Pal Yaad Aa Gaye,
Milne Ki Tamanna Thi Unse Lekin,
Aansuo Me Hi Wo Nazar Aa Gaye.

Koi Mera Bhi To Ho Sath Nibhane Ke Liye,

Koi Mera Bhi To Ho Sath Nibhane Ke Liye,
Mujhe Mange Rab Se Apna Banane Ke Liye,
Mere Aansu Meri Palko Se Churane Ke Liye,
Bas Aisa Koi Chahiye Zindagi Bitane Ke Liye.

Pyasi Nigaho Ne Har Pal Unka Didar Manga,

Pyasi Nigaho Ne Har Pal Unka Didar Manga,
Jaise Amawas Ne Har Raat Chand Manga,
Rooth Gaya Wo Rab Bhi Humse,
Jab Humne Apni Har Dua Me Unka Saath Manga.

Dil Ki Haalat Ki Taraf Kiski Nazar Jati Hai,

Dil Ki Haalat Ki Taraf Kiski Nazar Jati Hai,
Pyar Ki Umar Tamannao Me Gujar Jati Hai,
Mai Ro Padta Hu Jab Yaad Tumhari Aati Hai,
Zamana Hansta Hai Jab Mohabbat Rooth Jati Hai.

Monday, October 28, 2013

Bin Aapke Kuch Bhi Accha Nahi Lagta,

Bin Aapke Kuch Bhi Accha Nahi Lagta,
Ab Mera Wajood Bhi Saccha Nahi Lagta,
Sirf Aapke Didar Ke Intezar Me Kat Rahi Hai Zindagi,
Warna Kab Ki Maut Ki Aagosh Me So Jati Ye Zindagi,
Laut Aao Ki Aapke Bagair Ek Lamha Nahi Kat Ta,
Bin Aapke Kuch Bhi Accha Nahi Lagta.

Itni Mohabbat Na Kar Ki Bikhar Jau Mai,

Itni Mohabbat Na Kar Ki Bikhar Jau Mai,
Thoda Rootha Bhi Kar Ki Sudhar Jau Mai,
Agar Ho Jaye Khata To Ho Jana Khafa,
Par Itna Bhi Nahi Ki Mar Jau Mai.

Muskurati Aankho Me Aa Jate Hai Aansu,

Muskurati Aankho Me Aa Jate Hai Aansu,
Dard Dil Ka Byan Kar Jate Hai Aansu,
Bojh Jab Dil Par Had Se Badh Jaye,
Us Bojh Ko Halka Kar Jate Hai Aansu.

Meri aankho me Aansu aaye na hote,

Meri aankho me Aansu aaye na hote,
Wo hume dekh kar muskuraye na hote,
Sochta hu aksar tanhai me mai,
Meri zindagi me kaash wo aaye na hote,
Na tadapte hum unke liye itna,
Dil ne khawab unke sajaye na hote,
Na toot kar bikharta mai is kadar,
Kaash wo mere dil me apna ghar banaye na hote.

Dil ko mai samjhau kaise,

Dil ko mai apne samjhau kaise,
Aana chahu pass tere to aau kaise,
Meri har saans amanat hai teri yado ki,
Toot kar is se zyada tujhe chahu kaise.

Sunday, October 27, 2013

Kaash Tum Meri Maut Hote,

Kaash Tum Meri Maut Hote,
To Ek Din Zarur Mujhe Mil Jate,
Tum Mohabbat Bhi Mausam Ki Tarah Nibhate Ho,
Kabi Beshumar Pyar Barsate Ho,
To Kabi Ek Ek Boond Ko Tarsate Ho.

Dard Ki Har Ek Had Se Guzar Gaya Hu Mai,

Dard Ki Har Ek Had Se Guzar Gaya Hu Mai,
Fir Na Kabhi Simtunga Yu Bikhar Gaya Hu Mai,
Maut Bhi Nahi Aati Ab To Rooh Ke Nikalne Se Bhi,
Saans Mujhme Baaki Hai Fir Bikhar Gaya Hu Mai.

Surat Unki Khayalo Se Kyu Nahi Jaati,

Surat Unki Khayalo Se Kyu Nahi Jaati,
Nind Hai Aankho Me Magar Kyu Nahi Aati,
Wo Saath The To Maut Ka Khauf Tha Mujhe,
Ab Mai Tanha Hu To Maut Kyu Nahi Aati.

Maine pucha kaisi hoti hai rooh jism se alag,

Maine pucha kaisi hoti hai rooh jism se alag,
Usne mera hath chod kar dikha diya,
Maine pucha kaisi aati hai Maut se pahle kayamat,
Usne meri zindagi se door jakar dikha diya.

Gile kagaj ki tarah hai meri zindagi,

Gile kagaj ki tarah hai meri zindagi,
Koi jalata bhi nahi aur koi bahata bhi nahi,
Aise akele ho gye hai hum aaj kal,
Koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi.

Friday, October 25, 2013

Barsi Aankhe Jiski Yaad Me Barsaat Ki Tarah,

Barsi Aankhe Jiski Yaad Me Barsaat Ki Tarah,
Wo Bhi Badal Gaye Mere Halaat Ki Tarah,
Haal Jeete Ji Koi Puchta Nahi,
Sab Aa Jaate Hai Maut Pe Barat Ki Tarah.

Uth-Uth Ke Kisi Ka Intzar Kar Ke Dekhna,

Uth-Uth Ke Kisi Ka Intzar Kar Ke Dekhna,
Kabhi Tum Kisi Se Pyar Kar Ke Dekhna,
Kaise Toot Jate Hai Mohabbat Ke Rishte,
Galtiya Kabhi Do-Char Kar Ke Dekhna,
Agar Samjhna Ho Kabhi Zindagi Ka Fasana,
To Barish Me Kacchi Diwar Ban Kar Dekhna,
Nafrat Ho Jayegi Tum Ko Bhi Duniya Se,
Mohabbat Kisi Se Beshumar Kar Ke Dekhna.

Yuhi apni dosti me gehrayi rahe,

Yuhi apni dosti me gehrai rahe,
Chahe kyu na umar bhar judai rahe,
Ek hi aarzu dil me samai rahe,
Saje aapki mehfil bhale yaha tanhai rahe.

Jane kya khata hui humse jo wo yu rooth gaye,

Jane kya khata hui humse jo wo yu rooth gaye,
Jude the jo taar dil ke pal bhar me toot gaye,
Sapne dekhe bhi nahi aur toot gaye,
Kuch paya nahi zindagi me aur bewajah lut gaye.

Idhar raat dhalti din udhar nikalta hai,

Idhar raat dhalti din udhar nikalta hai,
Koi yaha rukta koi waha chalta hai,
Deep aur patange me fark sirf itna hai,
Koi jal ke bujhta koi bujh ke jalta hai.

Monday, October 21, 2013

Ek Gazal Tere Liye Zaroor Likhunga,

Ek Gazal Tere Liye Zaroor Likhunga,
Be Hisab Usme Tera Kasoor Likhunga,
Tere Husan Ko Tera Garoor Likhunga,
Toot Gaye Bachpan Ke Tere Saare Khilone,
Ab Dilo Se Khelna Tera Dastoor Likhunga,
Hame Kahne Ki Aadat Nahi Likhne Ka Shauk Hai,
Jazbo Ko Apne Kalam Ki Taseer Likhunga,
Tera Wajood Mera Wajood Mujhe Ek Sa Lage,
Par Tujhe Mai Khud Se Bahut Door Likhunga.

Kitna Mai Tujhe Chahu,

Kitna Mai Tujhe Chahu,
Kaise Ye Tujhe Batau,
Ki Jab Bhi Nazar Uthau,
Tujhko Hi Samne Pau,
Har Baat Me Teri Baat Ho,
Har Waqt Tu Hi Saath Ho,
Jab Bhi Chale Meri Zindagi To,
Usme Bas Teri Hi Saans Ho.

Pyar me to aksar patthar dil bhi pighal jate hai,

Pyar me to aksar patthar dil bhi pighal jaate hai,
Wo Kya jane sacchi mohabbat ko,
Jo Taj Mahal ko Bhi khandar kah kar nikal jate hai.

Mere Wajud Me Kaash Tu Utar Jaye,

Mere Wajud Me Kaash Tu Utar Jaye,
Mai Dekhu Aaina Aur Tu Nazar Aaye,
Tu Ho Samne Aur Waqt Thehar Jaye,
Ye Zindagi Tujhe Yuhi Dekhte Hue Guzar Jaye.

Kuch Pal Me Zindagi Ki Tasvir Ban Jati Hai,

Kuch Pal Me Zindagi Ki Tasvir Ban Jaati Hai,
Kuch Pal Me Zindagi Ki Takdir Badal Jaati Hai,
Kisi Ko Pakar Kabhi Khona Mat Mere Dosto,
Kyuki Ek Judai Se Poori Zindagi Bikhar Jaati Hai.

Thursday, October 17, 2013

Tere haath ki kaash mai wo lakir ban jau,

Tere haath ki kaash mai wo lakir ban jau,
Kaash mai tera mukaddar teri takdir ban jau,
Mai tujhe itna chahu ki tu bhul jaye har rishta,
Sirf mai hi tere har rishte ki tasvir ban jau,
Tu aankhe band kare to aau mai hi nazar,
Is tarah mai tere har khwab ki tabir ban jau.

Kabhi Hum Toote To Kabhi Khwab Toote,

Kabhi Hum Toote To Kabhi Khwab Toote,
Na Jane Kitne Tukdo Me Armaan Toote,
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka,
Har Aaine Ke Saath Lakho Jazbaat Toote.

Zindagi ki raho par akele jaoge,

Zindagi ki raho par akele jaoge,
Paas me ek saya tum hardam paoge,
Mud ke dekhoge to tanhai hogi,
Agar mahsus karoge to humko paoge.

Pal Pal Ki Dosti Ka Wada Hai,

Pal Pal Ki Dosti Ka Wada Hai,
Apnapan Kuch Itna Zyada Hai,
Na Sochna Ki Bhul Jayenge Hum Aapko,
Zindagi Bhar Satane Ka Irada Hai.

Jis anjaam se hum darte the,

Jis anjaam se hum darte the,
Us anjaam tak hume le aaya koi,
Zindagi guzar gayi samjhane me,
Kuch is tarah bekarari sikha gaya koi.

Friday, October 11, 2013

Lazwab Hai Humare Jine Ka Fasana,

Lazwab Hai Humare Jine Ka Fasana,
Koi Sikhe Humse Har Pal Muskurana,
Koi Meri Hansi Ko Nazar Na Lagana,
Mushkil Se Sikha Hai Gum Chupakar Muskurana.

Tu Hi Bata Ae Dil Tujhe Samjhau Kaise,

Tu Hi Bata Ae Dil Tujhe Samjhau Kaise,
Jise Chahta Hai Tu Use Nazdik Lau Kaise,
Yu to Har Tamanna Har Ehsas Hai Wo Mera,
Magar Us Ehsas Ko Ye Ehsas Dilau Kaise.

Aakar Dekh Mera Kya Haal Hai,

Aakar Dekh Mera Kya Haal Hai,
Saans Chal Rahi Hai Jina Behal Hai,
Mere Dil Me Sirf Uska Hi Khyal Hai,
Uski Ek Nazar Ki Baat Hai,
Aur Meri Zindagi Ka Sawal Hai.

Na Khushiya Saath Hai Na Mohabbat Paas Hai,

Na Khushiya Saath Hai Na Mohabbat Paas Hai,
Meri Zindagi Ke Har Pal Ko Tanhai Ras Hai,
Gila Bhi Kare To Hum Kis Se Kare,
Wohi Hume Nahi Shamjhta Jo Sab Se Khas Hai.

Itna Na Zulm Uthao Ki Mar Jau,

Itna Na Zulm Uthao Ki Mar Jau,
Yu Har Waqt Sataya Nahi Karte,
Mana Jine Ki Tamanna Baaki Nahi Magar,
Yu Zinda Laasho Ko Jalaya Nahi Karte.

Thursday, October 10, 2013

Bhulana Tumhe Na Aasan Hoga,

Bhulana Tumhe Na Aasan Hoga,
Jo Bhule Tumhe Wo Nadan Hoga,
Aap To Baste Ho Ruh Me Humari,
Bas Ab Hume Na Bhulana Ye Aapka Ehsaan Hoga.

Manzile Bhi Kadam Chumegi,

Manzile Bhi Kadam Chumegi,
Aage Badh Kar To Dekho,
Har Koi Dega Tohfe Me Bewafai,
Tum Kisi Se Pyar Karke To Dekho.

Bhatakte Rahe Hai Badal Ki Tarah,

Bhatakte Rahe Hai Badal Ki Tarah,
Seene Se Laga Lo Aanchal Ki Tarah,
Gam Ke Raste Pe Na Chodna Akele,
Warna Toot Jayenge Payal Ki Tarah.

Andheri Raat Ke Lamhe Tamaam Hone Tak,

Andheri Raat Ke Lamhe Tamaam Hone Tak,
Tujhe Hi Sochta Hu Subah Se Shaam Hone Tak,
Mai Aisa Jism Hu Jiski Rooh Bhi Tu Hai,
Adhuri Zaat Hu Mai Bin Tere Naam Hone Tak,
Teri Aawaz Sun Na Lu To Mera Dil Nahi Lagta,
Tadapta Rahta Hu Tujh Se Hum Kalaam Hone Tak,
Teri Nazar Ki Kimat Pe Bik Raha Hu Mai Jana,
Mujhe Kharid Le Tu Mahnge Daam Hone Tak,
Ishq Ki Aag Jo Seene Me Laga Baithe Hai,
Sulagti Rahti Hai Ye Ninde Haram Hone Tak.

Kismat ruk gayi Dil ke taar toot gaye,

Kismat ruk gayi Dil ke taar toot gaye,
Wo bhi ruth gayi sapne bhi toot gaye,
Khazane me the sirf do aansu,
Jab yaad aayi aapki to wo bhi lut gaye.

Tuesday, October 8, 2013

Tu Meri Hai Tera Naam Koi Aur Na Le

Tu Meri Hai Tera Naam Koi Aur Na Le,
In Bhigti Aankho Ka Jaam Koi Aur Na Le,
Kuch Isliye Bhi Maine Tera Haath Na Choda,
Tu Gir Gayi To Tujhe Tham Koi Aur Na Le.

Jitni Kashish Tumhari Aankho Me Hai,

Jitni Kashish Tumhari Aankho Me Hai,
Utni Saare Zamane Me Nahi,
Jitna Nasha Teri Aankho Me Hai,
Utna Poore Mahkhane Me Nahi,
Jo Maza Tere Har Alfaz Me Hai,
Wo Duniya Ke Kisi Afsane Me Nahi,
Aur Jitni Madhoshi Tere Karib Aane Me Hai,
Utni Kisi Aur Me Sama Jane Me Nahi.

Teri Yaado Me Jiyenge Marenge,

Teri Yaado Me Jiyenge Marenge,
Tujhe Apni Palko Me Chipa Lenge,
Us Chaand Se Hume Kya Lena,
Hum To Is Chaand Ko Seene Se Laga Lenge.

Samjha Tumne Mohabbat Ke Kabil Mujhe,

Samjha Tumne Mohabbat Ke Kabil Mujhe,
Mai To Zindagi Bhar Tujhe Pyar Karunga,
Toot Kar Chahunga Mai Zindagi Bhar Tujhe,
Tere Har Dukh Ko Apne Dukh Me Shumaar Karunga.

Ek ajeeb sa manjar najar aata hai,

Ek ajeeb sa manjar najar aata hai,
Har ek aansu samandar najar aata hai,
Kaha rakhu mai shishe sa dil apna,
Har kisi ke haath me patthar najar aata hai.

Saturday, October 5, 2013

Jaan Kah Kar Wo Jaan Le Gaye,

Jaan Kah Kar Wo Jaan Le Gaye,
Apna Kah Kar Wo Jahan Le Gaye,
Ham To Chal Diye Unke Sath Yaaro,
Magar Jannat Ke Bahane Wo Shamshan Le Gaye.

Aankhe Kyu Hui Meri Nam,

Aankhe Kyu Hui Meri Nam,
Kyu Hua Hum Pe Itna Sitam,
Pyar To Hum Dono Ne Kiya Tha,
Lekin Sirf Mujhe Hi Kyu Mila Itna Gum.

Koi Pyar Pane Ki Zid Me Hai,

Koi Pyar Pane Ki Zid Me Hai,
Shayad Koi Hume Azmane Ki Zid Me Hai,
Mujhe Jis Ki Yaad Aati Hai Itni Shiddat Se,
Shayad Wo Mujhse Door Jane Ki Zid Me Hai.

Zindagi Ek Chahat Hai Silsila Hai,

Zindagi Ek Chahat Hai Silsila Hai,
Koi Mil Jata Hai Koi Bichad Jata Hai,
Jise Mangte Hai Hum Apni Duao Me,
Wo Bina Mange Kisi Aur Ko Mil Jata Hai.

Wo Aam Si Shaam Thi Jab Juda Hue Hum,

Wo Aam Si Shaam Thi Jab Juda Hue Hum,
Na Toot Ke Pyar Kar Sake Na Ro Sake Hum,
Wo Bhi Din The Ki Roz Baat Karte The,
Aur Ek Ye Din Hai Ke Aawaz Ko Taras Gaye Hum.