Wednesday, November 28, 2012

Zindagi Ki Raho Me Tum Chod Hi Gye Aakhir,

Zindagi Ki Raho Me Tum Chod Hi Gye Aakhir,
Bade Humdard Bante The Mera Dil Tod Hi Gye Aakhir,
Tum Pe To Bada Maan Tha Meri Umeedo Ko,
Ab Kis Se Gila Karu Tum Muh Mod Hi Gye Aakhir,
Log To Chalo Log The Unhone Jo Kiya So Kiya,
Bhari Duniya Me Aaj Tum Bhi Tanha Chod Hi Gye Aakhir,
Tum To Kahte The Mai Wo Nahi Ki Jo Chodu Tumko,
Apne Wade Apni Kashme Khud Tod Hi Gye Aakhir,
Wah Kya Khoob Mohabat Nibhai Hai Tumne,
Mujh Ko Raah Me Rota Chod Hi Gye Aakhir.

Zindagi To Sabhi Ke Liye Wahi Hai,

Zindagi To Sabhi Ke Liye Wahi Hai,
Fark Hai To Bas Itna Ki...,
Koi Dil Se Jee Raha Hai Aur,
Koi Dil Rakhne Ke Liye Jee Raha Hai.

Ek Wafa Ko Pane Ki Kosish Me,

Ek Wafa Ko Pane Ki Kosish Me,
Maine Zakhmi Kar Di Wafaye Kitni,
Kitna Masoom Sa Lagta Hai Ye Lafz Mohabbat,
Aur Is Me Hai Sazaye Kitni.

Na Karna Pyar Kabhi Kisi Musafir Se,

Na Karna Pyar Kabhi Kisi Musafir Se,
Unka Thikana Bahut Door Hota Hai,
Wo Kabhi Bewafa To Nahi Hote,
Magar Unka Jaana Jarur Hota Hai.

Toote DiL Ke Tukde Jud Nahi Pate,

Toote DiL Ke Tukde Jud Nahi Pate,
DiL Me Daag Ho To Dhul Nahi Pate,
Taklif Ye Nahi Ki Wo Hume Yaad Nahi Karte,
Taklif Ye Hai Ki Hum Unhe Bhul Nahi Pate.

Wo Yaad Nahi Karte Hum Bhula Nahi Sakte,

Wo Yaad Nahi Karte Hum Bhula Nahi Sakte,
Wo Hansa Nahi Sakte Hum Rula Nahi Sakte,
Mohabbat Itni Khubsurat Hai Humari Ki,
Wo Bata Nahi Sakte Aur Hum Jata Nahi Sakte.

Kisi ko meri yaad aaye ek arsa hua,

Kisi ko meri yaad aaye ek arsa hua,
Koi hai hairan to koi tarsa hua,
Is tarah khamosh hai ye dil ye aankhe,
Jaise khamosh ho koi badal barsa hua.

Koi Rooh Ka Talabgar Mile To,

Koi Rooh Ka Talabgar Mile To,
Hum Bhi Mohabat Kare,
Warna Dil To Bahut Milte Hai,
Magar Koi Dil Se Nahi Milta.

Waqt-E-Safar Kareeb Hai Bistar Samait Lu,

Waqt-E-Safar Kareeb Hai Bistar Samait Lu,
Bikhra Hua Hayat Ka Daftar Samait Lu,
Fir Jaane Hum Mile Na Mile,
Zara Ruko Mai Dil Ke Aaine Me Ye Manzar Samait Lu.

Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kafi Hai,

Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kafi Hai,
Tamam Umer Yahi Aasra Hi Kaafi Hai,
Jaha Kahi Bhi Milo Mil Ke Muskura Dena,
Khushi Ke Waste Ye Silsila Hi Kaafi Hai,
Mujhe Bahar Ke Mausam Se Kuch Nahi Lena,
Tumhare Pyar Ki Rangeen Fiza Hi Kaafi Hai,
Ye Log Kaun Si Manzil Ki Baat Karte Hai,
Musafiro Ke Liye Rasta Hi Kaafi Hai.

Tuesday, November 27, 2012

Har Khushi Gum Ka Elaan Hai,

Har Khushi Gum Ka Elaan Hai,
Har Mulakat Judai Ka Anjaam Hai,
Na Rakhna Kisi Se Bhi Umeed Is Duniya Me,
Har Umeed DiL Tutne Ka Farman Hai.

Dil Lagaya Humne Dillagi Kar Li,

Dil Lagaya Humne Dillagi Kar Li,
Na Kholi Jubaan Par Baat Kar Li,
Dekh Liya Humne Yu Dil Ka Lagana,
Deedar Se Unke Poori Sab Aarju Kar Li.

Ikrar Me Shabdo Ki Ahmiyat Nahi Hoti,

Ikrar Me Shabdo Ki Ahmiyat Nahi Hoti,
Dil Ke Jazbat Ki Aawaz Nahi Hoti,
Aankhe Bayan Kar Deti Hai Dil Ki Dastan,
Mohabbat Lafzo Ki Mohtaz Nahi Hoti.

Ye Raate Bhi Kitni Ajeeb Hoti Hai,

Ye Raate Bhi Kitni Ajeeb Hoti Hai,
Kisi Ko Kisi Ki Mithi Yaado Me Sulati Hai To,
Kisi Ko kisi Ki Yaado Me Raat Bhar Rulati Hai.

Saalo Baad Aaj Fir Wo Sama Hai,

Saalo Baad Aaj Fir Wo Sama Hai,
Unki Yaade Mere Dil Me Aaj Bhi Jawa Hai,
Aaj Bhi Unki Aas Lagaye Baitha Hu Mai,
Palke Bhig Gayi Meri Par Najane Wo Kaha Hai.

Bewafa Hai Duniya Kisi Ka Aitbar Na Karo,

Bewafa Hai Duniya Kisi Ka Aitbar Na Karo,
Har Pal Dete Hai Dhokha Kisi Se Pyar Na Karo,
Mit Jao Beshak Tanha Jee Kar,
Par Kisi Ke Sath Ka Intzaar Na Karo.

Kisike Dilme Basna Bura To Nahi,

Kisike Dilme Basna Bura To Nahi,
Kisi Ko Dilme Basana Khata To Nahi,
Gunah Hoga Dunia Ki Nazar Me To Kya Hua,
Kmbakht Ye Duniya Wale Khuda To Nahi.

Aap To Chand Ho Jise Sab Yaad Karenge,

Aap To Chand Ho Jise Sab Yaad Karenge,
Hamari Kismat To Taro Jaisi Hai,
Yaad To Door Log Apni Dua Ke Liye,
Hamare Tootne Ki Fariyad Karenge.

Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai,

Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai,
Nazre Bhi Kabhi Dhoka De Jati Hai,
Guzre Hue Lamho Ko Yaad Karke Dekhiye,
Tanhayi Bhi Kabhi Sukun De Jati Hai.

Kitni Aziyat Se Usne Mujh Ko Bhulaya Hoga,

Kitni Aziyat Se Usne Mujh Ko Bhulaya Hoga,
Meri Yado Ne Use Khoob Rulaya Hoga,
Baat Be-Baat Aankh Us Ki Jo Chalki Hogi,
Usne Chehre Ko Bazuo Me Chupaya Hoga.

Monday, November 26, 2012

Khafa Bhi Rahte Hai Wafa Bhi Karte Hai,

Khafa Bhi Rahte Hai Wafa Bhi Karte Hai,
Apne Pyar Ko Wo Bayan Bhi Karte Hai,
Na Jane Kaisi Narazgi hai Unki,
Khona Bhi Chahte Hai Aur Pane Ki Dua Bhi Karte Hai.

Ek Lafz Me Kya Tarif Karu Aapki,

Ek Lafz Me Kya Tarif Karu Aapki,
Aap Lafzo Me Kaise Sama Paoge,
Jab Log Mohbbat Ke Bare Me Puchenge,
To Meri Aankho Me Sirf Tum Nazar Aoge.

Husn Na Maang Naseeb Maang Ae Dost,

Husn Na Maang Naseeb Maang Ae Dost,
Husn Wale To Aksar...
Naseeb Walo Ke Gulam Hua Karte Hai.

Unki Nazro me aaj ek sawal nazar aaya,

Unki Nazro me aaj ek sawal nazar aaya,
Dard dene wali ko aaj apne samne paya,
Anjane mai unhone puch liya rog tanhai ka,
Haste hue keh diya hamne anjaam tha mohabbat ka,
Fir judai dikha di kismat ne Hame,
Aur ban gaye sahara jeene ka wo beete lamhe.

Rishto ki bheed me akeli hu mai,

Rishto ki bheed me akeli hu mai,
Ae zindagi tere raah ki paheli hu mai,
Ab aur na sata aa kar mil ja mujhse,
Ae maut teri hi saheli hu mai.

Saturday, November 24, 2012

Aaj bahut yaad aa rahe ho tum,

Aaj bahut yaad aa rahe ho tum,
Aankhe band hai fir bhi nazar aa rahe ho tum,
Na jaane kyu aisa lagta hai ki saamne khade hokar,
Mujhe ab tak rula rahe ho tum.

Jab Kuch Sapne Adhure Reh Jate Hai,

Jab Kuch Sapne Adhure Reh Jate Hai,
Tab Dil Ke Dard Aansu Ban Ke Beh Jate Hai,
Jo Kehte Ki Hum Sirf Aap Ke Hai,
Pata nahi Kaise Alvida Keh Jate Hai.

Pal beet jaega waqt gujar jayega,

Pal beet jaega waqt gujar jayega,
Bas yaado bhara ye safar reh jayega,
Na wo log honge na unki baate,
Yaad karne ko bus wo lamha reh jayega.

Roothi Jo Zindgi To Mana Lenge Hum,

Roothi Jo Zindgi To Mana Lenge Hum,
Mile Jo Gam Wo Seh Lenge Hum,
Bus Aap Rehna Humesha Sath Humare To,
Nikalte Hue Aansuo Me Bhi Muskura Lenge Hum.

Takdeer se lad saku ye meri aukaat nahi,

Takdeer se lad saku ye meri aukaat nahi,
Mai wo shaks hu jiske koi saath nahi,
Waqt aayega to keh dunga khuda se,
Ki meri takdeer likhna tere bas ki baat nahi.

Ek khwab hai jisko khona bhi nahi hai,

Ek khwab hai jisko khona bhi nahi hai,
Takdir ke dhaago me pirona bhi nahi hai,
Lipta hai mere dil se jo raaz ki tarah,
Wo shaks jisko mera hona bhi nahi hai.

Phool sabnam me doob jate hai,

Phool sabnam me doob jate hai,
Jakhm marham me doob jate hai,
Jab koi aasra nahi hota,
To ham aapke gam me doob jate hai.

Saath uska kya chuta ham majaak ban gaye,

Saath uska kya chuta ham majaak ban gaye,
Pata nahi meri takdeer me kya likha tha,
Jo is khaai me aakar gir gaye.

Toote hue taare ko dekh kar maine kaha,

Toote hue taare ko dekh kar maine kaha,
Ae dil maang le tu bhi fariyad koi,
Par dil se aawaj aai ki jo khud toot raha hai,
Kaise poori karega wo fariyad koi.

Kuch gam mere dil se sambhale nahi jate,

Kuch gam mere dil se sambhale nahi jate,
Aansu bhi unhe saath nahi le jaye,
Ek waqt tha jab pee jate the sau gam ke samundar,
Aaj do aansu bhi ab mujhse sambhale nahi jate.

Friday, November 23, 2012

Bikta hai gam husn ke baajar me,

Bikta hai gam husn ke baajar me,
Lakho dard chipe hote hai ek chote se inkaar me,
Ho jab pyar jamane se dukhi,
To swagat hai hamari dosti ke darbar me.

Usne gam de ke bataya meri kismat kya hai,

Usne gam de ke bataya meri kismat kya hai,
Mai bhi gam kha ke bata du ki mohabbat kya hai,
Jamana kyu pareshan hai meri tanhaiyo par,
Gahraai me jaane ki jaroorat kya hai.

Zindagi wo jo teri baaho me gujare,

Zindagi wo jo teri baaho me gujare,
Raat wo jo tere khwabo me gujare,
Hansi wo jo teri hansi par aaye,
Aansu wo jo teri yaad me aaye.

Zindagi ek safar hai imtahano ka,

Zindagi ek safar hai imtahano ka,
Yaha haar bhi hai aur jeet bhi hai,
Jindagi ek fasana hai aashiko ka,
Yaha milna bhi hai aur bichadna bhi.

Chahat me kisi ka imtihan na lena,

Chahat me kisi ka imtihan na lena,
Nibha hi na sako wo wada na dena,
Jise tum bin jeene ki aadat hi na ho,
Use kabhi jeene ki dua na dena.

Thursday, November 22, 2012

Dil ka gulaab jise chum ke diya,

Dil ka gulaab jise chum ke diya,
Usne mujhe bahaar se mahroom kar diya,
Tumhaari berookhi ne to hamara naam kar dala,
Hame shayar bana ke mera saathi jaam bana dala.

Aankho me samaai hai soorat teri,

Aankho me samaai hai soorat teri,
Dil me chupa hai pyar tera,
Tu aa chahe na aa,
Harpal karenge intjaar tera.

Ae dil-e-naadan tujhe hua kya hai,

Ae dil-e-naadan tujhe hua kya hai,
Aakhir is dard ki dawa kya hai,
Hamko unse hai wafa ki ummid,
Jo nahi jaante ki wafa kya hai.

Kis dil se unki wafa maangu,

Kis dil se unki wafa maangu,
Kis pal se unse milne ki taarikh mangu,
Mujhe to dar hai unhe kho dena ka,
Kis rab se unko paane ka naseeb maangu.

Mere dost pahle sher sunte hai,

Mere dost pahle sher sunte hai,
Fir poochte hai tujhe ye kaha se milte hai,
Unka bhi dil meri tarah toota hua ho to,
Unhe pata chale ye to tanhaiyo se milte hai.

Wednesday, November 21, 2012

Pyar me humne kya paya,

Pyar me humne kya paya,
Kabhi khud roye to kabhi aapko rulaya,
Julm pe julm karti gayi duniya,
Aur ek mai tha jo uff tak bhi na kar paya.

Nigahe dar pe lagi hai aur udas baithe hai,

Nigahe dar pe lagi hai aur udas baithe hai,
Tere aane ki lekar aas baithe hai,
Yu hi nahi tej hui dhadkan humari,
Aisa lagta hai ki aap mere paas baithe hai.

Sookhe hue phool jab kitabo me mil jayenge,

Sookhe hue phool jab kitabo me mil jayenge,
Bhool se fir hum tumhe yaad aayenge,
Ehsaas hoga hamari chahat ka,
Jab door bahut hum tumse chale jayenge.

Bin tere jab bhi raat hoti hai,

Bin tere jab bhi raat hoti hai,
Deewaro se hi baat hoti hai,
Sannata poochta hai sawal hamse,
Tere naam se hi to shuruat hoti hai.

Unki Na Thi Khata Hum Hi Kuch Ghalat Samajh Baithe,

Unki Na Thi Khata Hum Hi Kuch Ghalat Samajh Baithe,
Wo Bas Mohabbat Se Baat Karte The,
Aur Hum Mohabbat Samajh Baithe.

Monday, November 19, 2012

Kisi ko mohabbat ki acchayi ne maar dala,

Kisi ko mohabbat ki acchayi ne maar dala,
Kisi ko mohabbat ki gehrai ne maar dala,
Bach na saka is mohabbat se koi,
Jo bach gaya use tanhaai ne maar dala.

Jo Uske Saath Guzaari Wo Zindgi Thi Meri,

Jo Uske Saath Guzaari Wo Zindgi Thi Meri,
Fir Uske Baad Guzara Hai Zindgi Ne Mujhe.,
Mil Jaye Mujhe Sab Kuch Koi Ye Dua Dekar Chali Gayi,
Aur Mujhe Bas Wo Chahiye Thi Jo Ye Dua Dekar Chali Gayi.

Kabhi jindgi ke pano ko ulta kar dekhiyega,

Kabhi jindgi ke pano ko ulta kar dekhiyega,
Ye pyaar to ittefaak se hota hai,
Or kya kahe pyar karke bhi pyar na mile,
Ye ittefaak sirf hamare hi saath hota hai.

Kash banane wale ne hame aansu banaya hota,

Kash banane wale ne hame aansu banaya hota,
Aur uski aankh me basaya hota,
Jab girate unaki aankh se unki god me,
To hame marne ka maza aaya hota.

Tujhe dekhna chahta hu har pal,

Tujhe dekhna chahta hu har pal,
Shayad tujhse bahut pyar karta hu,
Kal tak to tujhe jaanta bhi na tha,
Aaj tera intajaar karta hu har pal.

Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,

Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,
Khushbu bhi us phool ki jo mere paas ho,
Manjil na mil saki hame to koi gam nahi,
Gam bhi usi shakhs ka hota jise pyar ka ehasas ho.

Aaj fir dil hai kuch udaas udaas,

Aaj fir dil hai kuch udaas udaas,
Jane kyu ek mayusi si chayi hai,
Aaj fir palko pe paani hai,
Bheed me hu fir kyu ye tanhai hai.

Apni bebasi par aaj rona aaya,

Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki maine,
Lekin khud ko har mod par akela paya.

Kisi ne hame aashiq kaha,

Kisi ne hame aashiq kaha,
Kisi ne hame deewana kaha,
In aankho me aansu tab aaye,
Jab unhone hame begana kaha.

Pyar karoge to dil tootega,

Pyar karoge to dil tootega,
Na karo to daman chootega,
Apan banaoge to rona padega,
Paas aaoge to khona padega.

Sunday, November 18, 2012

Haal dekh kar mera khuda bhi tadap jayega,

Haal dekh kar mera khuda bhi tadap jayega,
Jab bhi hogi bewafai ki baat mujhe bhi koi bhoola yaad aayega,
Are apno ne kya kami rakhi jo ab koi anjan sitam dhayega,
Mat chu palko ko Hai itna dard isme ki tera daaman bheeg jayega.

Har pal ne kaha ek pal se,

Har pal ne kaha ek pal se,
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao,
Pal bhar ka saath kuch aisa ho,
Ki har pal tum hi tum yaad aao.

Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,

Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,
Shayad nazar se wo baat ho jaye,
Is umeed me karte hai intezaar raat ka,
Ki shayad sapne me mulaqat ho jaye.

Dil ki tadap ko kaise lafjo me bayan karu,

Dil ki tadap ko kaise lafjo me bayan karu,
Teri yaad ko kaise apne dil se juda karu,
Dil hi dil me tujhko apna bana liya maine,
Tujh bin guzara kaise mai mere meherba karu.

Lamhe judai ke bekarar karte hai,

Lamhe judai ke bekarar karte hai,
Haalat mere mujhe laachar karte hai,
Aankhe meri pad lo kabhi,
Hum khud kaise kahe ki aapse pyar karte hai.

Saturday, November 17, 2012

Dard De Gaye Sitam Bhi De Gaye,

Dard De Gaye Sitam Bhi De Gaye,
Zakhm Ke Sath Marham Bhi De Gaye,
Do Lafzo Se Kar Gaye Wo Apna DiL Halka,
Aur Mujhko Na Rone Ki Kasam Bhi De Gaye.

Surat Uski Khyalo Se Kyu Nahi Jaati,

Surat Uski Khyalo Se Kyu Nahi Jaati,
Nind Hai Ankho Me Magar Kyu Nahi Aati,
Wo Saath Thi To Maut Ka Khauf Tha,
Ab Tanha Hu To Maut Kyu Nahi Aati.

Zindgi Me Jis Se Pyar Ho Or Wo Mil Jaye,

Zindgi Me Jis Se Pyar Ho Or Wo Mil Jaye,
To Ansuo ki Kimat Nahi Hoti,
Par Jo Mila Ho Usi Se Pyar Ho Jaye To,
Shayad Kbhi Aansuo Ki Jarurat Nahi Hoti.

Mohabbat Ka Ishara Yaad Rahta Hai,

Mohabbat Ka Ishara Yaad Rahta Hai,
Har Pyar Ko Apna Pyar Yaad Rahta Hai,
Do Pal Jo Pyar Ki Baho Me Guzare Ho,
Maut Tak Wo Nazara Yaad Rahta Hai.

Khud ko akelepan ka tana diya na karo,

Khud ko akelepan ka tana diya na karo,
Yaado ka gila shikwa bhi na diya karo,
Kya bataye tumko kitna yaad karte hai,
Hisaab lagana hai to apni saanse gin liya karo.

Kabhi To Ayenge Wo Hamari Wafao Se Sharminda Hokar,

Kabhi To Ayenge Wo Hamari Wafao Se Sharminda Hokar,
Fir Hum Na Milnge Unko Dubara Zinda Hokar,
Kya Mila Unko Hmari Duniya Chod kar,
Khud Bhi Tanha Reh Gye Hume Tanha Chod kar.

Hum To Har Ek Ko Apnakar Rishtha Banate Gaye,

Hum To Har Ek Ko Apnakar Rishtha Banate Gaye,
Jahan Jahan Se Guzre Apni Yaad Chodte Gaye,
Par Kismat Ka Likha Bhi Ajeeb Hai,
Gunegar Koi Aur, Hum Saza Paate Gaye.

Meri aankho me aansu fir bhi hontho pe muskan kyu hai,

Meri aankho me aansu fir bhi hontho pe muskan kyu hai,
Gulshan hai agar safar zindagi ka to fir iski manzil shamshan kyu hai,
Jab judai hai pyar ka matlab to fir Pyar karne wala hairan kyu hai,
Accha karam karna hi zindagi hai To burai ka rasta itna aasan kyu hai,
Agar jina hai marne ke liye To fir zindagi ek vardan kyu hai,
Jo kabhi na milega us se hi lag jata hai Dil,
Aakhir Dil itna nadan kyu hai.

Meri Fitrat Me Nahi Shikayat Ka Izhaar Karna,

Meri Fitrat Me Nahi Shikayat Ka Izhaar Karna,
Agar Tere Wajood Ka Hissa Hu Mai To...
Khud Mehsoos Kar Le Takleef Mere Dil Ki.

Jab Jab Suraj Dhalne Lagta Hai,

Jab Jab Suraj Dhalne Lagta Hai,
Uska Naam Mere Honto Pe Khilne Lagta Hai,
Kuch Is Tarah Se Uski Yaad Aati Hai,
Ki Zindgi Ka Har Pal Mehakne Lagta Hai.

Thursday, November 15, 2012

Mahfil Me Kis Andaz Se Baitha Hai Deewana,

Mahfil Me Kis Andaz Se Baitha Hai Deewana,
Zubaan Khamosh Hai Magar Nazar Kahti Hai Afsana,
Kisi Se Baat Karna Bhi Aafat Hai,
Zara Si Baat Ko Duniya Bana Deti Hai Afsana.

Nazar Jab Tumse Milti Hai Mai Khud Ko Bhool Jata Hu,

Nazar Jab Tumse Milti Hai Mai Khud Ko Bhool Jata Hu,
Bus Ek Dhadkan Dhadakti Hai Mai Khud Ko Bhool Jata Hu,
Tumhe Milne Se Pahle Mai Bahut Sajta Sanwarta Hu,
Magar Jab Tum Sanwarti Ho Mai Khud Ko Bhool Jata Hu.

Utare Jo Zindagi Teri Gehraiyo Me Hum,

Utare Jo Zindagi Teri Gehraiyo Me Hum,
Mehfil Me Reh Ke Bhi Rahe Tanhaiyo Me Hum,
Ise Deewangi Nahi To Aur Kya Kahe,
Pyar Dhondte Rahe Parchaiyo Me Hum.

Har Ek Ke Man Me Kuch Khwab Hota Hai,

Har Ek Ke Man Me Kuch Khwab Hota Hai,
Sach Ho Jane Ka Intzaar Hota Hai,
Humne To Dil Se Manga Tha Unko Par,
Hum To Bhul Gaye Ki Khwab To Khwab Hota Hai.

Tuesday, November 13, 2012

Bahut Kuch Hai Dil Ki Gehrai Me,

Bahut Kuch Hai Dil Ki Gehrai Me,
Tadaph Jata Hai Dil Raat Ki Tanhai Me,
Yu To Kahne Ko Dost Bahut Hai,
Par Fark Hota Hai Saya Aur Parchai Me.

Aati Rahi Wo Yaad Bhulane Ke Baad Bhi,

Aati Rahi Wo Yaad Bhulane Ke Baad Bhi,
Jalta Raha Chirag Bujhane Ke Baad Bhi,
Jadu Hai Uske Naam Me Ya Meri Aankho Me,
Dikhta Hai Uska Naam Mitane Ke Baad Bhi.

Reh na paoge kabhi bhula kar dekh lo,

Reh na paoge kabhi bhula kar dekh lo,
Yakeen nahi aata to aazma kar dekh lo,
Har jagah mehsoos hogi kami humari,
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo.

Ek din hum unse bahut door chale jayenge,

Ek din hum unse bahut door chale jayenge,
Satayengi humari yaade har taraf unhe,
Aur wo pareshan ho jayenge,
Charo taraf dekhenge par hum na nazar aayenge,
Jab satayengi hamari yaade...
Wo humse milne ko betab ho jayenge,
Par hum kaha unhe mil payenge,
Yaad ayengi unko humari wafaye,
Unki aankho me aansu aa jayenge,
Dhoondenge wo ek pyar bhare ehsaas ko,
Samundar rahe bhale hi wo pyase reh jayenge,
Ek din hum unse bohut door chale jayenge.

Hume gam mila hamesha Surat badal badal ke,

Hume gam mila hamesha Surat badal badal ke,
Guzri hai umar saari Tanhaiyo me jal ke,
Ye bojh zindagi ka Kab tak chale utha ke,
Pachta rahe hai ae dil Hum to jahan me aa ke,
Kanto ki rah guzar pe Kab tak chale sambhal ke,
Hamdard to bahut hai Koi charagar nahi hai,
Meri zindagi me apna Koi hamsafar nahi hai
Aankho me hum sajaye Kyu jhuthe khawab kal ke.

Monday, November 12, 2012

Roshni bhi hogi honge chirag bhi,

Roshni bhi hogi honge chirag bhi,
Awaaz bhi hogi honge saaz bhi,
Par na hogi uski parchai na uski aahat,
Bahut suni hogi ye diwali,
Bin sanam kaise milegi mujhe rahat.

Hum Ne Waqt Se Bahut Wafa Ki Lekin,

Hum Ne Waqt Se Bahut Wafa Ki Lekin,
Waqt Humse Bewafaai Kar Gaya,
Kuch Humare Naseeb Bure The,
Kuch Logo Ka Humse Jee Bhar Gaya.

Ek Samandar Hai Jo Mere Kabu Me Hai,

Ek Samandar Hai Jo Mere Kabu Me Hai,
Aur Ek Katra Hai Jo Mujhse Sambhala Nahi Jata,
Ek Umar Hai Jo Mujhe Bitani Hai Tere Bagair,
Aur Ek Lamha Hai Jo Mujhse Gujara Nahi Jata.

Pyar ki wo kasme wade sab kuch bhool gayi tu,

Pyar ki wo kasme wade sab kuch bhool gayi tu,
Jaate jaate roka nai aur wapas ana bhool gayi tu,
Teri yaade tere wade wo raate yaad aati hai,
Aane ko jo wada kiya wo wada nibhana bhool gayi tu,
Tere intezar me roote rahe saari zindagi hum,
Umeed ka wo diya jalana bhool gayi tu,
Tu na aayi raho me deep jalaye intezar ke humne,
Ja ke dil lagaya apna aur meri mohabbat bhool gayi tu,
Bin tere ab bewafaai ka shikwa kya karna "Raani"
Mai bhoola nai tuze magar muze bhool gayi tu.

Kisi Ki Yaado Me Khona Accha Nahi Lagta Hume,

Kisi Ki Yaado Me Khona Accha Nahi Lagta Hume,
Kisi Ke Liye Tanha Jeena Accha Nahi Lagta Hume,
Hum To Kaat Chuke Hai Bahut Pahle Tanha Zindagi,
Ab Fir Se Kisi Ke Liye Marna Accha Nahi Lagta Hume.

Ajeeb Lagti Hai Subah Sham Kabhi Kabhi,

Ajeeb Lagti Hai Subah Sham Kabhi Kabhi,
Zindagi Lagti Hai Bejaan Kabhi Kabhi,
Samjh Me Aa Jaye To Hume Bhi Bata Dena Ae Dost,
Kyu Karti Hai Yaad Itna Pareshan Kabhi Kabhi.

Friday, November 9, 2012

Taraste The Jo Hamse Milne Ko Kabhi,

Taraste The Jo Hamse Milne Ko Kabhi,
Na Jane Kyu Aaj Mere Saye Se Bhi Wo Katrate Hai,
Hum Bhi Wahi Hai Dil Bhi Wahi Hai,
Na Jane Kyu Log Badal Jate Hai.

Kisi ki chahat par dil se amal karna,

Kisi ki chahat par dil se amal karna,
Dil tute na unka itni fikar karna,
Ye jindagi khas hai sabke liye,
Par aap jinke liye khas ho unki kadar karna.

Gamo Ka Daur Jaari Hai,

Gamo Ka Daur Jaari Hai,
Aaj Ki Raat Badi Bhari Hai,
Yaha Dilo Ka Tutna Koi Nayi Baat Nahi,
Aaj Meri To Kal Kisi Aur Ki Baari Hai.

Ae Dil Kisi Ki yaad me rona fijul hai,

Ae Dil Kisi Ki yaad me rona fijul hai,
Aansu bade anmol hai inhe khona fijul hai,
Ro tu unke liye jo tujh par nisar hai,
Unke liye kya rona jinke aashik hajaar hai.

Waqt ki aandhi me tufaan badal jate hai,

Waqt ki aandhi me tufaan badal jate hai,
Zindagi ki raho me Insaan badal jate hai,
Badalta nahi pyar kabhi,
Pyar karne wale insaan badal jate hai.

Wednesday, November 7, 2012

Apna Humsafar Bana Le Mujhe,

Apna Humsafar Bana Le Mujhe,
Tera Hi Saya Hu Apna Le Mujhe,
Ye Raat Ka Safar Or Bhi Hasin Ho Jayega,
Tu Aa Ja Mere Sapno Me Ya Bula Le Mujhe.

Dil Diya Aitbar Ki Had Thi,

Dil Diya Aitbar Ki Had Thi,
Jaan De Di Ye Mere Pyar Ki Had Thi,
Mar Ke Bhi Aankhe Khuli Reh Gayi,
Aur Kuch Nahi Ye Teri Intezar Ki Had Thi.

Kanto Se Guzar Jana Sholo Se Nikal Jana,

Kanto Se Guzar Jana Sholo Se Nikal Jana,
Phulo Ki Basti Me Jana To Sambhal Ke Jana,
Wo Shaks Bhala Mera Kya Sath Nibhayega,
Mausam Ki Tarah Jis Ne Sikha Hai Badal Jana.

Mehsos hota hai dard dil ka,

Mehsos hota hai dard dil ka,
Yaad karta hu jab tumhe dil me,
Karne gya tha tujh se izhar-e-mohabbat,
Reh gayi dil ki baate mere dil me,
Bhulana jo chaha har ek ka chehra to,
Bas gayi sirf teri surat kahi dil me.

Thursday, November 1, 2012

Yaaro Ki Mehfil Aise Jamai Jati Hai,

Yaaro Ki Mehfil Aise Jamai Jati Hai,
Kholane Se Pehle Botal Hilayi Jati Hai,
Fir Awaz Lgayi Jati Hai Aa Jao Tute DiL Walo,
Yaha Dard-E-DiL Ki Dawa Pilayi Jati Hai.