Monday, August 27, 2012

Wada hai humari ye mohabbat ki dastan khas rahegi,

Wada hai humari ye mohabbat ki dastan khas rahegi,
Aapki surat humesha dil ke pas rahegi,
Nahi bhulenge hum aapko or aapke pyar ko,
Jab tak dil me dhadkan aur ye saanse rahegi.

Meri chahat ne use khushi de di,

Meri chahat ne use khushi de di,
Badle me usne mujhe sirf khamoshi de di,
Rub se dua maangi marne ki,
Lekin us ne bhi tadpane ke liye zindagi de di.

Kalam Se Likh Nahi Sakta,

Kalam Se Likh Nahi Sakta...
Mai Is Dil Ke Afsane,
Mujhe Bas Us Se Mohabbat Hai,
Uske Dil Ki Khuda Jane.

Bachpan ki ameeri ke wo din,

Bachpan ki ameeri ke wo din,
Na jaane kahaa chale gaye,
Warna isi baarish ke paani me kabhi,
Hamare bhi jahaaz chala karte the.

Zindagi ka sochta hu na zamane ka sochta hu,

Zindagi ka sochta hu na zamane ka sochta hu,
Mai to bas use apna banane ka sochta hu,
Us ke rooth jane ke andaz ki kasam,
Wo rooth jaye to manane ka sochta hu,
Usne na ki wafa to koi gila nahi,
Mai us se wafaye nibhane ka sochta hu,
Wo mujh ko rulaye to koi baat nahi,
Mai ro kar bhi use hasane ka sochta hu.

Sunday, August 26, 2012

Sab ke hote hue bhi tanhai milti hai,

Sab ke hote hue bhi tanhai milti hai,
Yaado me bhi gam ki parchai milti hai,
Jitni bhi Dua karte hai kisi ko pane ki,
Utni hi jyada unse Bewafai milti hai.

Kaha Dhoondte ho Tum Ishq ko Aye Be Khabar,

Kaha Dhoondte ho Tum Ishq ko Aye Be Khabar,
Ye khud hi Dhoond leta hai jise Barbaad karna hota hai.

Zindagi se sabhi ko mohabat hai,

Zindagi se sabhi ko mohabat hai,
Par Zindagi kisi ki mohabat nahi banti,
Tamanna le kar jeete hai sab log,
Magar har tamanna Taqdeer nahi banti.

Uske izhar ka intezar aaj bhi karta raha,

Uske izhar ka intezar aaj bhi karta raha,
Wo mile ya na mile usi pe marta raha,
Garaj gaye jo badal mere dil ke asman pe,
Usi badal se barish ka intezar aaj bhi karta raha.

Mere dil ki umeedo ka hausla to dekho,

Mere dil ki umeedo ka hausla to dekho,
Intizar us ka hai jisko mera ehsaas tak nahi.

Saturday, August 25, 2012

Maut Bhi Kam Khobsurat To Nahi Hoti Hogi,

Maut Bhi Kam Khobsurat To Nahi Hoti Hogi,
Jo Bhi Is Se Milta Hai Zindagi Chod Jata Hai.

Humare chale jane ke baad,

Humare chale jane ke baad,
Ye samundar bhi puchega tumse,
Kaha chla gya wo shakhs
jo tanhai me aa kar,
Bus tumhara hi naam likha karta tha.

Lehro se milkar na wo beh sake na hum,

Lehro se milkar na wo beh sake na hum,
Ek duje k dil me na wo reh sake na hum,
Jeet lete aasma ek din lekin,
Palko ki khamoshi ko honto se na wo keh sake na hum.

Jab Deewaro Me Darare Padti Hai To...

Jab Deewaro Me Darare Padti Hai To...
Deeware Gir Jaati Hai,
Aur Jab Dil Me Darare Padti Hai To...
Deeware Ban Jati Hai.

Ek mohabat ke rishte ko nibha jao kisi din,

Ek mohabat ke rishte ko nibha jao kisi din,
Jo mil jaye kabhi fursat to paas aa jao kisi din,
Milta hai sbhi kuch sbhi ko ye suna hai,
Mujh ko to faqat tum hi mil jao kisi din,
Barso se ye dil mera khali hi pada hai,
Tum apne naam ki takhti hi laga jao kisi din,
Mohabt ke naam ko kis tarha basya jata hai apni sanso me,
Mujko bhi hunar aisa sikha jao kisi din,
Muqdar me jo ho to wo kabhi badlta nai,
Fursat mile to dil ko ye samjha jao kisi din.

Friday, August 24, 2012

Ye Sangdil Walo Ki Duniya Hai,

Ye Sangdil Walo Ki Duniya Hai,
Yaha Sambhal Kar Chalna,
Yaha Palko Par Baithaya Jata Hai...
Nazro Se Girane Ke Liye.

Har pal rona Aasan ho gaya hai,

Har pal rona Aasan ho gaya hai,
Zindagi ka har lamha jaise mehman ho gaya hai,
kuch yu zinda rehte hai aaj kal,
Ki maut ka raasta Zindagi se asaan ho gaya hai.

Ek usko meri chahat ki zarurat na rahi,

Ek usko meri chahat ki zarurat na rahi,
Warna mera to talbgar jahan rehta hai,
Wo samjhti hai ki mai bhool gya hu usko,
Khud se bhi zyada mujhe jis ka dhyan rehta hai.

Meri ankho me nami ka hi smaan rehta hai,

Meri ankho me nami ka hi smaan rehta hai,
Dil me ek dard jo muddat se jawaan rehta hai,
Wo jo kehti thi ki bichdenge to mar jayenge,
Ab ye maloom nahi hai wo kaha rehti hai.

Yaad rakhne k liye koi cheez chahiye,

Yaad rakhne k liye koi cheez chahiye,
Aap nahi to apki tasvir chahiye,
Par aapki tasvir hamare dil bahla na sakegi,
Kyuki wo tumhari tarha muskara na sakegi.

Wednesday, August 22, 2012

Teri dosti ne diya sakun itna,

Teri dosti ne diya sakun itna,
Ki tere baad koi bhi accha na lage,
Tujhe karni ho bewafai to is ada se karna,
Ki tere baad koi bhi bewafa na lage.

Dhoka khana to muhabbat walo ki rasm-e-wafa hai,

Dhoka khana to muhabbat walo ki rasm-e-wafa hai,
Phool khushi ke liye hote to log mayat par na dalte.

Ek waqt ki ye baat hai,

Ek waqt ki ye baat hai,
Wo Mujko Mili Ek Roz Mai Usko Mila,
Aankhe Mili Dil Mile Izhaar Hua Iqrar Hua Khub Pyar Hua,
Wo Chahne Lagi mujhe Mai Chahne Laga use,
Is Zamaane Ki Wajah Se Fir Kuch aisa Hua,
Wo Chod Gayi Mujhe Mai Bikhar Ke Toot Gaya,
Fir Arse Baad Kuch Aise Mile 1 Din,
Wo Tanha Thi Mai Akela Tha,
Bas Ham Do The Aur Koi Na Tha,
Wo Mujhse Lipat Kar Khub Rone Lagi,
Bepanah Mujhe Chumne Lagi,
Mai Tanha Bebas Raha,
Na Pyar Na Izhar Raha,
Bas Farq Sirf Itna Sa Raha,
WO MITTI KE UPAR Roti Rahi,
Aur MAI MITTI KE ANDAR Sota Raha.

Jaagti Aankho Me Ek Khwab Aaya,

Jaagti Aankho Me Ek Khwab Aaya,
Koi Hmdard Hai Mera Ye Yaad Aaya,
Chot Lagi Dil Pe To Dhyan Aaya,
Kal Bhi Tanha The Aur Aaj Bhi Khud Ko Tanha Paya.

Baitha Hu Tanha Kisi Ki Aas Me,

Baitha Hu Tanha Kisi Ki Aas Me,
Kuch Nahi Yado K Siwa Ab Mere Pas Me,
Sochta Hu Kya Hua Jo Koi Nahi Karib Mere,
Registhan Bhi To Jita H Barish ki Aas Me.

Sunday, August 19, 2012

In Aankho Ne Dekha Unhe Aur Dil me Pnah Di,

In Aankho Ne Dekha Unhe Aur Dil me Pnah Di,
Hamne Apni Jaan Samjh kar Unhe Itni Chah Di,
Par Jab Hamne Pucha Saath Doge,
To Unhone Hame Bhul Jane Ki Salah di.

Mohabbat Se Wo Dekhti Thi Sabhi Ko,

Mohabbat Se Wo Dekhti Thi Sabhi Ko,
Bas Hum Par hi Unki Inayat Nahi Thi,
Mai to Sheesha Hu Tootna Meri Fitret Thi,
Isliye To Mujhe Pattharo Se Koi Shikayat Nahi Thi.

Vishwas Ban ke Log Zindagi Me Aate Hai,

Vishwas Ban ke Log Zindagi Me Aate Hai,
Khwab Ban ke Aankho Me Samaa Jaate Hai,
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Wo Hamare Hai,
Fir Na Jaane Kyu Badal Jaate Hai.

Meri HATHELI bhi tum apne pas rakh lo,

Meri HATHELI bhi tum apne pas rakh lo,
Jab dua mango to isko bhi utha dena,
Khushi mile to apne haath aage kar dena,
Gam mile to meri HATHELI me thama dena.

Ye Kaisi Judai Hai Jisne Hume Shayar Bana Diya,

Ye Kaisi Judai Hai Jisne Hume Shayar Bana Diya,
Ye Kaisa Gum Hai Jisne Hume Bebas Bana Diya,
Socha Nahi Tha Juda Ho Jaoge Humse Kabhi,
Karte Bhi Kya Jab Apno Ne Hi Gair Bana Diya.

Saturday, August 18, 2012

Meri Zindagi Gumo Se Ho Gayi Hai Taar,

Meri Zindagi Gumo Se Ho Gayi Hai Taar,
Khushiya Bhi Mere Kareeb Nahi Aaati,
Zamane Bhar Ka Zeher Pee Liya Humne,
Jaan Hai Ki Kambhaqt Nikal Nahi Jaati.

Aankho Ki Thi Khata Aur Saza Dil Ne Payi Hai,

Aankho Ki Thi Khata Aur Saza Dil Ne Payi Hai,
Pyar Me Hume Mili Yaar Se Sirf Ruswai Hai,
Tanhaiyo Ka Hai Daur Aur Dard Se Aankh Bhar Aayi Hai,
Lamho Ki Thi Khata Aur Sadiyo Ki Saza Payi Hai.

Kar Dena Maaf Mujhko Dil se,

Kar Dena Maaf Mujhko Dil se,
Agar Toda Ho Kabhi Dil Aapka,
Zindagi Ka Kya Bharosa,
Kal Kafan Me Lipta Mile Aapko Ye Chehra Mera.

Hum honge lahro ke darmiya,

Hum honge lahro ke darmiya,
Aur door kinara hoga,
Maloom na tha yaad me unki,
Ye haal hamara hoga,
Yu gayi wo karke tanha mujhe,
Ki deedar ko uski taras gaye,
Na jaane kab in nazro ko,
Us chehre ka nazara hoga.

Un Parindo Ko Qaid Kar Ke Rakhna Meri Fitrat Me Nahi,

Un Parindo Ko Qaid Kar Ke Rakhna Meri Fitrat Me Nahi,
Jo Mere Dil Ke Pinjre Me Reh Kar Bhi,
Auro Ke Chaman Me Udne Ka Saukh Rakhte Hai.

Friday, August 17, 2012

Soyi Hogi Raat Ko Jab Chain Ki Neend Me Kahi Tu,

Soyi Hogi Raat Ko Jab Chain Ki Neend Me Kahi Tu,
Kabhi Khawab Ban Ke Kabhi Chand Ban Ke,
Teri Aankho Me Bas Jaunga Mai,
Jab Kabhi Thandi Hawa Ka Jhonka Chuega Tujhe Hole Se,
To Teri Aankho Ko Tere Maathe Ko Hole Se Choom Jaunga Mai.

Bewajah Hum Wajah Dhundte Hai Tere Paas Aane Ko,

Bewajah Hum Wajah Dhundte Hai Tere Paas Aane Ko,
Ye Dil Bekarar Hai Tujhe Dhadkan Me Basaane Ko,
Bujhi Nahi Hai Pyaas In Hontho Ki Abhi,
Na Jaane Kab Milega Sukoon Mere Paimane Ko.

Aap mera sapna mera arman hai,

Aap mera sapna mera arman hai,
Par shayad apni ahmiyat se anjan hai,
Mujhse kabhi bhi ruth mat jana aap,
Kyuki meri duniya aap ke bina viraan hai.

Zindagi 4 Din Ki Thi Magar Hum Anjan The,

Zindagi 4 Din Ki Thi Magar Hum Anjan The,
Aisa Logo Pe Mar Mite Jo Bejan The,
Rakhte The Parda Hum Unki Bewafai Par,
Wahi Katil Nikla Jispe Hum Meherban The.

Ye raaz kaun jane kis ka kasoor tha,

Ye raaz kaun jane kis ka kasoor tha,
Toota wahi sahara hume jis per guroor tha,
Bichad ke hum se wo gair ke ho Gaye,
Mai ab bhi tanha hu humara kya kasoor tha?

Thursday, August 16, 2012

Ho Sake To Karo Khud Me Kashish Paida,

Ho Sake To Karo Khud Me Kashish Paida,
Har Kisi Ko Hasrat Se Dekha Nahi Karte,
Har Shakhs Nahi Hota Har Shakhs K Kaabil,
Har Kisi Ko Apne Liye Parkha Nahi Karte.

Aaj jarurat hai jiski wo paas nahi hai,

Aaj jarurat hai jiski wo paas nahi hai,
Ab unke dil me wo ehsas nahi hai,
Tadapte hai do pal baat karne ko,
Shayad ab waqt hamare liye unke pass nahi hai.

Chirag se na pucho Baaki tel kitna hai,

Chirag se na pucho Baaki tel kitna hai,
Sanso se na pucho baaki khel kitna hai,
Pucho us kafan me lipte jism se,
Zindagi me gam aur kafan me sukoon kitna hai.

Aaj kuch waqt ke liye paas mere kaash tum Aa jao,

Aaj kuch waqt ke liye paas mere kaash tum Aa jao,
Bahut tanha hu mai aaj kaash tum Aa jao,
Kbhi khud ko itna kamjor na hone diya maine,
Par aaj bikhar gya hu mai kaash tum Aa jao.

Dost Wo Hai Jo Jzbat Ko Smjhe,

Dost Wo Hai Jo Jzbat Ko Smjhe,
Mohabbat Wo Hai Jo Tumhare Ehsaas Ko Smjhe,
Mil To Jate Hai Duniya Me Sab Apna Kahne Wale,
Par Apna Wo Hai Jo Bina Kahe Har Baat Ko Samjhe.

Tuesday, August 14, 2012

Wo karte hai baat ishq ki,

Wo karte hai baat ishq ki,
Par ishq ke dard ka unhe ehsaas nahi,
Ishq wo chand hai jo dikhta hai sab ko,
Par use pana sab ke bas ka kaam nahi.

MERI KABAR PAR WO RONE AYE HAI,

MERI KABAR PAR WO RONE AYE HAI,
HUMSE PYAR KARTE HAI YE KEHNE AYE HAI,
JAB ZINDAGI THI TAB RULAYA BAHUT,
AAJ HUM AARAM SE SOYE HAI TO WO JAGANE AYE HAI.

Khile gulab ka yu murjhana bura sa lagta hai,

Khile gulab ka yu murjhana bura sa lagta hai,
Mohabbat ki nishani ka yu mit jana bura sa lagta hai,
Fasle mitana acchi baat hai,
Par kisi ka tere nazdeek aana bura sa lagta hai,
Yu to bahti hai hawa roz hi,
Par uska tere tan ko chukar guzar jana bura sa lagta hai,
Teri muskan hai duniya me sabse pyari,
Par tera kisi ko dekh kar muskurana bura sa lagta hai,
Intezar me tere bita denge saari zindagi,
Lekin tera yu mil kar bhi na milna bura sa lagta hai.

Tanhaai Jab Mukaddar Me Likhi Thi,

Tanhaai Jab Mukaddar Me Likhi Thi,
To Kya Shikayat Apne Begane Se,
Hum Mit Gaye Jinki Chahat Me,
Wo Baaj Nahi Aate Hume Aajmaane Se,
Humne Duniya Chhod Di Unki Khatir,
Wo Inkar Kar Gaye Hume Apnane Se,
Agar Mile Khuda To Maang Lu Duaa Usse,
Mohabbat Hi Mita De Zamane Se,
Zinda Laash Kabhi Dard Mehsus Nahi Karti,
Chalti Thi Saans Kabhi Uske Aane Se,
Maine Kabhi Likha Nahi Tha Shauk Se,
Bas Kalam Chal Padi Uska Khayal Aane Se.

Khidki Se Bahar Ka Manzar,

Khidki Se Bahar Ka Manzar,
Baadal Barish Aur Hawa,
Khidki Ke Andar Ka Manzar,
Aankhe Aansoo Aur Duaa.

Monday, August 13, 2012

Kuch is tarah ruswa hokar hum chale is jahaan se,

Kuch is tarah ruswa hokar hum chale is jahaan se,
Insaan hokar bhi hamdardi na pa sake hum insaan se,
Jeete ji beintaha julmo ka shikaar hue so hue,
Kambakht marne bhi na diya kisi ne itminaan se,
Be elam or be adab duniya ka jara dastoor to dekho,
Talaashi kafan ki bhi li sabhi ne bade dhyaan se,
Jalaane chale to hazoom umad pada janaaze ke piche,
Jinda the to nafrat thi sabhi ko mere makaam se,
Bhul kar bhi khud se jyada na dete tabazoo kisi ko,
Kaash hum waakif hote is duniya baeimaan se.

Wo to deewani thi mujhe tanha chod gayi,

Wo to deewani thi mujhe tanha chod gayi,
Khud na ruk saki to Apna saaya chod gayi,
Dukh nahi Gum is baat ka hai,
Aankho se kar k wada baato se tod gayi.

Apni haseen Aankho me chupa lo mujhko,

Apni haseen Aankho me chupa lo mujhko,
Mohabbat agar karte ho to chura lo mujhko,
Khone ka agar khauf hai tum ko to,
Dil ki har dhadkan me basa lo mujhko,
Dhoop ho chaoon ho tere sath sath chalenge,
Yakeen na ho to aazmalo mujhko,
Tere dukh ko seh lange hans kar hum,
Apne badan ki chader agar banalo mujhko,
Sahil se pehle chod to na doge wada karo tum,
Abi aaghaz-e-safar me bata do mujhko,
Zindagi bhi tere naam kar denge bus,
Chand lamhe seene se laga lo mujhko.

Kyu gila kare hum bewfai ka,

Kyu gila kare hum bewfai ka,
Hum khud hi laye the mausam tanhai ka,
Wo to milo door the humse,
Hum hi picha karte rahe unki parchai ka.

Jisne Hak Diya Mujhe Muskurane Ka,

Jisne Hak Diya Mujhe Muskurane Ka,
Use Shauk Hai Ab Mujhe Rulane Ka,
Jo Lehro Se Cheen Kar Laye The Kinaro Par,
Intezar Hai Use Ab Mere Doob Jane Ka.

Saturday, August 11, 2012

Humare To Har Alfaaz Me Hota Tha Pyar,

Humare To Har Alfaaz Me Hota Tha Pyar,
Kash Tum Do Lafz Hi Keh Paate,
Bich Humare Hoti Thi Kitni Baate,
Kash Tum Kuch Ka Matlab Bhi Samajh Paate,
Tumhe Baato Hi Baato Me Har Baat Keh Jaate,
Kisi Ka Tum Kash Dard Hi Jaan Jaate,
Kitne Bahano Se Kiya Izhaar,
Ki Bas Tum Ikraar Hi Kar Paate,
Hum To The Taiyaar Chalne Ko Sath Tumhare,
Kaash Tum Kabhi Do Kadam Hi Badha paate.

Kaha Tha Tumne Ke Pyar Ka Wada Kabhi Na Todna,

Kaha Tha Tumne Ke Pyar Ka Wada Kabhi Na Todna,
Kaha Tha Humne Ke Tanha Hume Kabhi Na Chhodna,
Kyu Ki Aansuo Ko Hum Pee Na Payenge,
Tumsa Juda Hoke Hum Jee Na Payenge.

Ajnabi shehar ke ajnabi raaste,

Ajnabi shehar ke ajnabi raaste,
Meri tanhai pe muskurate rahe,
Mai bahut dair tak yu hi chalta raha,
Tum bahut dair tak yaad aate rahe.

Badi gahrai se chaha hai tujhe,

Badi gahrai se chaha hai tujhe,
Badi duao se paya hai tujhe,
Tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise,
Kismat ki lakiro se churaya hai tujhe.

Aap jab samne se gujar jate hai,

Aap jab samne se gujar jate hai,
Arman dil ke ubhar jaate hai,
Dekh kar aapki pyari surat,
Sahme hue phool bhi nikhar jate hai.

Friday, August 10, 2012

Mohabbat hum ne ki jo ek khata ho gayi,

Mohabbat hum ne ki jo ek khata ho gayi,
Ki wafa or zindagi saza ho gayi,
Wafa karte rahe hum ibadaton ki tarhan,
Fir ibadat khud ek gunah ho gayi,
Kitna suhana tha safar jab sath the hum,
Fir kya hua kyu manzil juda ho gayi,
Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi,
Wo gayi to laga duniya fana ho gayi.

Na jane kyu hamare dil ko tune dil nahi samjha,

Na jane kyu hamare dil ko tune dil nahi samjha,
Ye sheesha tod dala pyar k kaabil nahi samjha,
Chalaye teer wo tumne ki chalni ho gya seena,
Aur us par ye sitam hai ki hume ghayal nahi samjha,
Mohabat ka janoon hum ko kaha tak le chala dekho,
Tumhi ne jaan le li aur tumhe kaatil nahi samjha.

Koi Chahta Hai Kisi Ko Apnane Ke Liye,

Koi Chahta Hai Kisi Ko Apnane Ke Liye,
Koi Chahta Hai Kisi Ko Tanhai Se Bachane Ke Liye,
Mujhe Bhi Kisi Ne Chaha Tha,
Sirf Apna Dil Behlane Ke Liye.

Guzre dino ki beeti baate yaad rakhta hu,

Guzre dino ki beeti baate yaad rakhta hu,
Khusiyo me bhi ashko ki baraate saath rakhta hu,
Mai ab aksar tanha hokar bhi tanha nahi rehta,
Jahan bhi rahu teri yaade saath rakhta hu,
Kaise bhul sakta hu mai pata apne ghar ka,
Tere kadmo ke nishan teri aankhe saath rakhta hu,
Wo tera mujhse ladna roothna fir khud hi maan jana,
In shararto me chupi thi jo mohabbat mai saath rakhta hu,
Chale the hum haath daale haath me,
Wo sab raashte sab raahe tere bichdne k baad bhi saath rakhta hu.

Ulfat ki janjir se dar lagta Hai,

Ulfat ki janjir se dar lagta Hai,
Kuch apni hi takdir se dar lagta Hai,
Jo Juda karti hai kisi ko kisi se,
Bus Hath ki usi lakir se dar lagta Hai.

Thursday, August 9, 2012

Toota Tara Dekh Kar Dil Ne Kaha,

Toota Tara Dekh Kar Dil Ne Kaha,
Maang Le Tu Fariyad Koi,
Maine Kaha- Jo Khud Toot Raha Hai,
Kaise Poori Karega Wo Muraad Koi.

Kbhi Na Hatho Se Hath Choote KhayaL Rakhna,

Kbhi Na Hatho Se Hath Choote KhayaL Rakhna,
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna,
Bacha K Rakhna Mohabat Ko Sazisho Se,
Wafa Ki Daulat Jafa Na Loote KhayaL Rakhna,
Jo Ho Mohabat To ranjisho Se Gurez Karna,
Kisi Ka Nazuk Sa DiL Na Toote KhayaL Rakhna.

Kuch uljhe sawalo se darta hai dil,

Kuch uljhe sawalo se darta hai dil,
Naa jane kyu tanhai me bhatkta hai dil,
Kisi ko pana koi badi baat nahi,
Par kisi ko khone se darta hai ye dil.

Chahata Hu Mai Tujhe Aaj Bhi Par,

Chahata Hu Mai Tujhe Aaj Bhi Par,
Teri Soch Me Apna Waqt Barbaad Nahi Karta,
Tamasha Na Ban Jaye Kahi Mohabbat Meri,
IsLiye Apna Dard Ko Namodaar Nahi Karta,
Jo Kuch Mila Hai Usi Me Khush Hu Mai,
Tere Liye KHUDA Se Taqrar Nahi Karta,
Par Kuch To Baat Hai Teri Fitrat Me Zalim,
Warna Mai Tujhe Chahane Ki Khata Baar Baar Nahi Karta.

Doob Jata Hu Unki Aankho Me,

Doob Jata Hu Unki Aankho Me,
Gahri Jheel Hai Unki Aankhe,
Bah Jata Hun Unki Aankho Me,
Bahti Nadiya Hai Unki Aankhe,
Kho Jata Hu Unki Aankho Me,
Atha Sagar Hai Unki Aankhe,
Jal Jata Hu Unki Aankho Me,
Jwala Mukhi Hai Unki Aankhe,
Bheeg Jata Hu Unki Aankho Me,
Kali Ghata Hai Unki Aankhe,
Kya Se Kya Ho Jata Hu Unki Aankho Me,
Kaisi Aur Kya Balaa Hai Unki Aankhe.

Wednesday, August 8, 2012

Zindagi Se Poocho Ye kya Chahti Hai,

Zindagi Se Poocho Ye kya Chahti Hai,
Bus Ek usi ki Wafa Chahti hai,
Kitni Masoom or Nadan hai Zindagi,
Khud Bewafa hai or Wafa Chahati hai.

Mujhe Is Baat Ka Gum Nahi Ki...

Mujhe Is Baat Ka Gum Nahi Ki...
Badal Gaya Zamana,
Meri Zindagi To Sirf Tum Ho,
Kahi Tum Na Badal Jana.

Ye Jo Silsila Hai Ek Dard Ka,

Ye Jo Silsila Hai Ek Dard Ka,
Ye Tohfa Yu Hi Mila Nahi,
Mera Jurm Hai Meri Saadgi,
Meri Aur Koi Khata Nahi..!!

Zindagi bhut kuch sikhati hai,

Zindagi bhut kuch sikhati hai,
Thoda rulati hai thoda hasati hai,
Khud se jyda kisi pe bharosa mat karna,
Kyunki andhere mai to parchai bhi sath chod jaati hai.

Wo aate to hai par samay se nahi,

Wo aate to hai par samay se nahi,
Wo chalte to par man se nahi,
Kaun kehta hai ki wo pyar nahi karte,
Karte to hai par hum se nahi.

Tuesday, August 7, 2012

Jab Roshan Thi kismat To Hans Hans Ke Duniya Milti Thi.

Jab Roshan Thi kismat To Hans Hans Ke Duniya Milti Thi.
Aaj Basti Dil Ki Ujadi Hai To Dost Bhi Kinara Kar Gaye!

Aaj Kadam Ruk Se Gaye Phoolo Ko Bazar Me Bikte DeKh Kar,

Aaj Kadam Ruk Se Gaye Phoolo Ko Bazar Me Bikte DeKh Kar,
Wo Mujhe Aksar Kehti thi ki Mohabbat Phoolo Jaisi Hoti Hai.

Dulhan Bankar Ek Din Tu Jaa Rahi Hogi,

Dulhan Bankar Ek Din Tu Jaa Rahi Hogi,
Tere Hatho Me Mehndi Bhi Rachai Hogi,
Us Din Teri Aankho Me Mere Liye Pyar To Nahi Hoga,
Par Us Din Ke Baad Tu Bhi Mere Liye Ro Rahi Hogi.

Aaj Fir uski yaad ne rula diya,

Aaj Fir uski yaad ne rula diya,
kaisa hai ye chera jisne ye sila diya,
Do lafj likhne ka salika na tha,
Uske pyar ne mujhe shayar bana diya.

Wo Haal bhi na pooch sake

Wo Haal bhi na pooch sake Behaal dekh kar,
Hum haal bhi na bata sake use khush haal dekh kar.

Monday, August 6, 2012

Bachpan ke din kitne acche hote the,

Bachpan ke din kitne acche hote the,
Tab dil nahi sirf khilone toota karte the,
Ab ek aanshu gire to saha nahi jata,
Bachpan me to dil bhar ke roya karte the.

Do Aankho Ki Kasis Ek Arman Ban Gayi,

Do Aankho Ki Kasis Ek Arman Ban Gayi,
Majburiya Humari Ishq Me Iljam Ban Gayi,
Wo Aaye Kuch Pal Ke Liye,
Fir Unki Yaade Hi Humari Jaan Ban Gayi.

Waqt ke saath Badalne ka hunar to har koi Rakhta hai,

Waqt ke saath Badalne ka hunar to har koi Rakhta hai,
Maza to tab hai jab waqt badal jaye per Insaan na badle.

Ishq Wahi Hai Jo Ho Ek Tarfa,

Ishq Wahi Hai Jo Ho Ek Tarfa,
Izhaar-e-Ishq To Khwahish Ban Jaati Hai,
Hai Agar Ishq To Aankho Me Dekho,
Zuban Kholne Se Ye Numaish Ban Jaati Hai.

Ishq Jaha Benaam Hota Hai,

Ishq Jaha Benaam Hota Hai,
Tadpana Iska Kaam Hota Hai,
Khush Naseebo Ko Kabhi Bhi Ishq Nahi Ho Sakta,
Ye To Badnaseebo Ka Jaam Hota Hai.

Saturday, August 4, 2012

Tanhai Me Use Na Bulayenge Hum,

Tanhai Me Use Na Bulayenge Hum,
Kabhi Apni Yaad Na Dilayenge Hum,
Use Khush Dekhna Chahte Hai Isliye,
Unse Bahut Door Chale Jayenge Hum.

Zakhm Ki Baat Nahi Hai,

Zakhm Ki Baat Nahi Hai,
Jaane Dard Kyu Hota Hai?
Dhokhe Ki Baat Nahi Hai,
Jaane Vishwas Kyu Hota Hai?
Jaante Hue Ki Ye Bewafai Hai?
Na Jaane Fir Bhi Pyar Kyu Hota Hai?

Usne Mujhse Zyada Ehmiyat Di Apne Dosto Ko,

Usne Mujhse Zyada Ehmiyat Di Apne Dosto Ko,
Mai Uski Ye Ada Mazaak Samjh Baitha,
Usne Kaha Bhi Tha Koi Aur Hai Meri Zindagi Me,
Mai Hi Khud Ko Uski Zindagi Me Samjh Baitha.

Tere Naam Ko Honto Pe Sajaya Hai Maine,

Tere Naam Ko Honto Pe Sajaya Hai Maine,
Tere Ruh Ko Apne Dil Me Basaya Hai Maine,
Duniya Tumhe Dhondte Dhondte Ho Jayegi Pagal,
Dil Ke Aise Kone Me Chupaya Hai Maine.

Usne Mujhe Chaha Hi Nahi,

Usne Mujhe Chaha Hi Nahi,
Mai Chahat Samjh Baitha,
Uski Pal Bhar Ki Muskurahat Ko,
Pyar Samjh Baitha,
Wo To Har Baat Par Haa Karti Thi,
Mai Hi Iqrar Samjh Baitha.

Friday, August 3, 2012

Chale Jayenge Magar Yade Suhani Chod Jayenge,

Chale Jayenge Magar Yade Suhani Chod Jayenge,
Aapke Dil Me Apni Nishani Chod Jayenge,
Kabhi Royoge To Kabhi Muskuraoge,
Hum Dosti Ki Wo Kahani Chod Jayenge.

Kaisi Hai Ye Duniya Hum Samjh Nahi Paye,

Kaisi Hai Ye Duniya Hum Samjh Nahi Paye,
Bhikare Hue Sapne Hum Jod Nahi Paye,
Sayad Honge Hum Hi Itne Bure,
Jo Kisi Ke Dil Me Hum Utar Nahi Paye.

Hua To Kuch Bhi Nahi Bas,

Hua To Kuch Bhi Nahi Bas,
Thoda Sa Maan Toota Hai,
Thode Se Khwab Bikhre Hai,
Thode Se Log Bichde Hai,
Hua To Kuch Bhi Nahi Bas,
Thodi Si Neende Ud Gai Hai,
Thodi Si Khushiya Chin Gai Hai,
Thoda Sa Chain Ganwaya Hai,
Hua To Kuch Bhi Nahi Bas,
Apne Aap Ganwaya Hai.

Wo Bachpan Bhi Kitna Haseen Tha,

Wo Bachpan Bhi Kitna Haseen Tha,
Jab Sar-e-Aaam Roya Karte The,
Ab Ek Bhi Aansu Nikle to...
Hazaro Log Sawal Karte Hai.

Aansuo Ko Yuhi Tum Ponchte Jaoge,

Aansuo Ko Yuhi Tum Ponchte Jaoge,
Yaado Me Meri Tum Yuhi Doobte Jaoge,
Chahkar Bhi Na Hata Paoge Tasveer Dil Se,
In Aankho Me Chupi Tadap Se Tadap Jaoge.

Wednesday, August 1, 2012

Insan Ki Sabse Kamjor Cheez "DIL",

Insan Ki Sabse Kamjor Cheez "DIL",
Aur Insaan Ki Sabse Majboot Cheez...
Toota Hua DIL.
Ajeeb Hai Lekin Sach Hai.

Uske Didar Ki Hasrat Poori Ho Jaye,

Uske Didar Ki Hasrat Poori Ho Jaye,
Fir Chahe Maut Meri Majburi Ho Jaye,
Jab Tak Zindgi Hai Kisi Ka Dil Na Todunga,
Kya Pata Kal Usi Ka Saath Zaruri Ho Jaye.

Mat Kar Itni Mohabbat Ae Dil,

Mat Kar Itni Mohabbat Ae Dil,
Pyar Ka Dard Tu Seh Nahi Payega,
Toot Jayega Kisi Din Apno Ke Haatho Se,
Kisne Toda Ye Bhi Kisi Se Keh Na Payega.

Maine Khuda Se Poocha-

Maine Khuda Se Poocha-
Keemat Kya Hai Pyar Ki,
Khuda Bhi Hans Kar Bola-
Aansu Bhari Aankhe Aur Umar Intjar Ki.

Humdardi Na Kar Mujh Se,

Humdardi Na Kar Mujh Se,
Ae Mere Humdard,
Wo Bhi Badi Humdard Thi,
Jo Dard Hazaaro De Gayi.