Friday, January 17, 2014

Jab se dekha hai teri aankho me jhank kar,

Jab se dekha hai teri aankho me jhank kar,
Koi bhi aaina accha nahi lagta,
Teri mohabbat me aise hue hai diwane,
Tumhe koi aur dekhe to accha nahi lagta.

Jab Chote The Hum Zor Se Rote The,

Jab Chote The Hum Zor Se Rote The,
Jo Pasand Hota Use Pane Ke Liye,
Aaj Bade Ho Gaye To Chupke Se Rote Hai,
Jo Pasand Hai Use Bhulane Ke Liye.

Ghaw Itna Gahra Hai Bayan Kya Kare,

Ghaw Itna Gahra Hai Bayan Kya Kare,
Hum Khud Nishana Ban Gye Ab War Kya Kare,
Jaan Nikal Gayi Magar Khuli Rahi Aankhe,
Ab Isse Jyada Unka Intejar Kya Kare.

Hume Hasne Hasane Ki Aadat Hai,

Hume Hasne Hasane Ki Aadat Hai,
Nazro Se Nazar Milane Ki Aadat Hai,
Par Hamari To Nazar Unse Hai Ja Mili,
Jinhe Nazar Jhukake Sharmane Ki Aadat Hai.

January Ki Dhoop Ho,

January Ki Dhoop Ho,
Febuary Ki Sham Ho,
March Ki Khushbu Ho,
April Ki Hawa Ho,
May Ki Subah Ho,
June Ki Chaow Ho,
July Ki Barish Ho,
August Ki Taaro Bhari Raat Ho,
Septmber Ki Rim Jhim Ho,
October Ki Chandni Raat Ho,
November Ki Bahar Ho Aur,
December Ki Sard Shaam Me Tum Hamare Sath Ho.

Wednesday, January 8, 2014

Raat Me Jab Tadapte Hai Nind Ke Liye,

Raat Me Jab Tadapte Hai Nind Ke Liye,
Tab Dilse Bas Yahi Dua Nikalti Hai Ki,
Bahut Buri Hai Ye Cheez Mohabbat,
Kisi Dushman Ko Bhi Na Ho.

Yaad Kar Ke Bhulana Na Aaya Hume,

Yaad Kar Ke Bhulana Na Aaya Hume,
Kisi Ke Dil Ko Manana Na Aaya Hume,
Kisi Ke Liye Tadapna To Sikh Liya Humne,
Par Apne Liye Kisi Ko Tadpana Na Aaya Hume.

Koi to mere khayalo ko chahne wala ho,

Koi to mere khayalo ko chahne wala ho,
Mohabbato ke khazane lutne wala ho,
Us ek shaks ko duniya ki har khushi de du,
Jo mere dard ko apna banane wala ho,
Mujhe bhi apni wafao pe naaz hai lekin,
Yaha koi to wafa azmane wala ho,
Jise aziz ho duniya udhar ka rukh kar le,
Yaha wo aaye jo duniya lutane wala ho,
Rab gawah hai ki badi mushkilo se milta hai,
Wo ek dil jo mohabbat nibhane wala ho.

Friday, January 3, 2014

Aaj Wo Apne Ho Ke Bhi Begane Lage,

Aaj Wo Apne Ho Ke Bhi Begane Lage,
Hawa Ke Thande Jhoke Hume Jalane Lage,
Ek Aah Pe Girte The Jinke Hazaro Aansu,
Aaj Wo Mere Zakhmo Pe Muskurane Lage.

Ek mai jo chah kar bhi tumse kuch kah na saka,

Ek mai jo chah kar bhi tumse kuch kah na saka,
Ek tum jo samajh kar bhi anjaan rah gaye,
Kami to kuch nahi thi hamari chahato me,
Na jane kyu fir bhi hum begane ho gaye.