Wednesday, December 24, 2014

Fir Na Simtegi Mohabbat Jo Bikhar Jayegi,

Fir Na Simtegi Mohabbat Jo Bikhar Jayegi,
Zindagi Zulf Nahi Fir Jo Sanwar Jayegi,
Thaam Lo Hath Us Ka Jo Pyar Kare Tum Se,
Ye Zindagi Thahregi Nahi Jo Guzar Jayegi.

Tuesday, December 23, 2014

Aapse Door Bhala Ham Kaise Rah Pate,

Aapse Door Bhala Ham Kaise Rah Pate,
Dil Se Aapko Kaise Bhula Pate,
Kaash Ki Aap Sanso Ke Alawa Aaine Me Bhi Hote,
Khud Ko Bhi Dekhte To Pahle Aap Nazar Aate.

Sunday, December 21, 2014

Aye meri zindagi ke humsafar,

Aye meri zindagi ke humsafar,
Meri dhadkano me rawani tum se hai,
Teri har khushi se khushi hai meri,
Aur ankho me pani tum se hai,
Mai pal pal tadapta hu tere liye,
Meri ye zindagani tum se hai,
Mai har baat sochta hu tere liye hi,
Mere jazbaat-e -ruhani tum se hai,
Mera nasib hai ki tum mil gaye mujhe,
Ye Kudrat ki meharbani tum se hai,
Mai tere hi pyar me pagal hu,
Meri har ada diwani tum se hai,
Meri har subah tere naam se hoti hai,
Meri har shaam diwani tum se hai,
Tum ek umar ki baat karte ho,
Mere to har janam ki kahani tum se hai.

Friday, December 19, 2014

Wade jab unke milne ke had se gujar gaye,

Wade jab unke milne ke had se gujar gaye,
Dil ne kaha tum hi chalo wo to aa chuke,
Pahunche jab unke dar pe to aawaj ye aayi,
Ki laut jao tum hum mehandi racha chuke.

Thursday, December 18, 2014

Leke hum dusro ki hansi kya kare,

Leke hum dusro ki hansi kya kare,
Jo apni nahi wo khushi kya kare,
Tanha jine se behatar hai mar jaye hum,
Jab saath tum nahi to zindagi jikar kya kare.

Wednesday, December 17, 2014

Koi Kah De Ye Mohabbat Ke Kharidaro Se,

Koi Kah De Ye Mohabbat Ke Kharidaro Se,
Pyar Wo Chiz Hai Jo Milti Nahi Bazaro Se,
Hum To Pahle Hi Mohabbat Me Jale Baithe Hai,
Kyu Darate Ho Dahakte Angaro Se.

Tuesday, December 16, 2014

Kuch To Jeete Hai Jannat Ki Tamanna Lekar,

Kuch To Jeete Hai Jannat Ki Tamanna Lekar,
Kuch Tamannaye Jina Shikha Deti Hai,
Hum Kis Tamanna Ke Sahare Jiye,
Ye Zindagi Har Tamanna Thukra Deti Hai.

Saturday, December 13, 2014

Tera shukriya kuch is tarah ada karu,

Tera shukriya kuch is tarah ada karu,
Tu zafa kare or mai wafa karu,
Teri mohabbat ne bas itna sikhaya hai mujhe,
Khud mit jau par tere liye duaa karu.

Friday, December 12, 2014

Aaj Se Jana Apna Har Pal Tere Naam,

Aaj Se Jana Apna Har Pal Tere Naam,
Khwab Ke Dhoop Soch Ka Badal Tere Naam,
Jo Teri Tasveer Banaye Aur Hans De,
Aankho Ka Masoom Sa Kajal Tere Naam.

Tuesday, December 9, 2014

जिसने भी की मुहब्बत रोया जरूर होगा,

जिसने भी की मुहब्बत रोया जरूर होगा,
वो याद में किसी के खोया जरूर होगा।
दिवार के सहारे घुटनों में सिर छिपाकर,
वो ख्याल में किसी के खोया जरुर होगा।
आँखों में आंसुओ के आने के बाद उसने,
धीरे से उसको उसने पोंछा जरुर होगा।
जिसने भी की मुहब्बत रोया जरूर होगा।

Tuesday, November 25, 2014

Jiyo itna ki marna muskil ho jaye,

Jiyo itna ki marna mushkil ho jaye,
Hanso itna ki rona mushkil ho jaye,
Kisi ko chahna acchi baat hai magar,
Chaho itna ki bhulana mushkil ho jaye.

Saturday, November 22, 2014

Uske intejar ke mare hai hum,

Uske intejar ke mare hai hum,
Bas uski yado ke sahare hai hum,
Duniya jeet ke kya karna hai ab,
Jise duniya se jeetna tha..,
Aaj usi se haare hai hum.

Tuesday, November 18, 2014

Khoobiya itni to nahi hum me,

Khoobiya itni to nahi hum me,
Ki kisi k dil me ghar kar jayenge,
Par bhulana bhi itna aasan na hoga,
Aisa zarur koi jadu kar jayenge.

Sunday, November 16, 2014

Meri Aankho ke Samandar me Jalan kaisi hai,

Meri Aankho Ke Samandar Me Jalan Kaisi Hai,
Aaj Fir Dil Ko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hai,
Ab Is Raah Pe Chirago Ki Qatare Bhi Nahi,
Ab Tere Shahar Ki Galiyo Me Ghutan Kaisi Hai.

Saturday, November 15, 2014

Door chali duniya mera gam dekh kar,

Door chali duniya mera gam dekh kar,
Jaise lahre jaati hai kinara dekh kar,
Tu kanda na dena mere janaze ko,
Zinda hone ki chahat na uthe tere sahara dekh kar.

Buri bala hai ishq ka tu naam na le,

Buri bala hai ishq ka tu naam na le,
Nashe me bahek jayega tu hatho me jaam na le,
Hogi rushwayi duniya me lut jayega tu,
Sar par apne itna bhari ilzam na le.

Thursday, November 13, 2014

Mohabbat ne aaj hamko rula diya,

Mohabbat ne aaj hamko rula diya,
Jis par marte rahe usi ne bhula diya,
Hum to unki yaad me aansu pite gaye,
Unhone ek din aansuo me bhi zaher mila diya.

Do baate unse ki to dil ka dard kho gaya,

Do baate unse ki to dil ka dard kho gaya,
Logo ne humse poocha ki tumhe kya ho gaya,
Bekarar aankho se sirf hans ke rah gaye,
Ye bhi na kah sake ki hume pyar ho gaya.

Friday, November 7, 2014

Kyu mere dard se tum bechain rehte ho,

Kyu mere dard se tum bechain rehte ho,
Aankho se keemti moti baha dete ho,
Aaj puchu ek sawaal aap se...,
Kyu door hoke bhi mere pass rahte ho.
Aansu kyu chupate ho kyu har had paar karte ho,
Kyu mehfil me bhi tanha ho jate ho.

Tuesday, November 4, 2014

Kai chehre lekar log yaha jiya karte hai,

Kai chehre lekar log yaha jiya karte hai,
Hum to bas ek hi chehre se pyar karte hai,
Na chupaya karo tum apne is chehre ko,
Kyuki hum ise hi dekh ke jiya karte hai.

Saturday, October 25, 2014

Ye mana ki bade hi badnam hai hum,

Ye mana ki bade hi badnam hai hum,
Kar jate hai shararat kyuki insaan hai hum,
Lagaya na kariye hamari bato ko dil se,
Aapko to pata hai kitane nadaan hai hum.

Tuesday, October 21, 2014

Kagaz pe humne zindagi likh di,

Kagaz pe humne zindagi likh di,
Ashko se sinch har khushi likh di,
Dard jab humne ubhara lafzo pe,
Logo ne kaha wah kya ghazal likh di.

Pyar ka anjam kaun sochta hai,

Pyar ka anjam kaun sochta hai,
Chahne se pahle niyat kaun dekhta hai,
Mohabbat hai ek khubsoorat ehsas,
Karte hai sabhi par mukam kaun janta hai.

Friday, October 17, 2014

Kyu rakhu mai ab apni kalam me syahi,

Kyu rakhu mai ab apni kalam me syahi,
Jab koi armaan dil me machalta hi nahi,
Na jane kyu sabhi shak karte hai mujh par,
Jab koi sukha phool meri kitab me milta hi nahi.

Thursday, October 16, 2014

Zindagi se kyu rooth gaye ho tum,

Zindagi se kyu rooth gaye ho tum,
Itne mayoos kyo ho gaye ho tum,
Zaroor tumhara bhi kisi ne dil todha hai,
Jo itne gam geen ho gaye ho tum.

Sunday, October 12, 2014

Dil Me Gar Thahre Hue Jazbaat Nahi Hote,

Dil Me Gar Thahre Hue Jazbaat Nahi Hote,
Kah Dete Unko Gar Aise Halat Nahi Hote,
Dil To Nadan Hai Kabhi Bahek Jata Hai,
Dil Churane Ke Unpe Gar Ilzamaat Nahi Hote.

Dard ko hamdard na mila,

Dard ko hamdard na mila,
Shauk ko maut na mili,
Isliye Dard ko qaid kiya,
Shauk ko azaad kiya,
Humse jis tarah bana,
Humne tujhe yaad kiya.

Friday, October 10, 2014

Logo Ne Kaha Ki Mai Sharabi Hu,

Logo Ne Kaha Ki Mai Sharabi Hu,
Maine Kaha Unhone Ankho Se Pilai Hai,
Logo Ne Kaha Ki Mai Ashiq Hu,
Maine Kaha Ashiqi Unhone Sikhai Hai,
Logo Ne Kaha Tu Shayar Diwana Hai,
Maine Kaha Unki Mohabbat Rang Lai Hai.

Thursday, October 9, 2014

Jaan Se Bhi Zyada Unhe Pyar Kiya Karte The,

Jaan Se Bhi Zyada Unhe Pyar Kiya Karte The,
Yaad Unhe Din-Raat Kiya Karte The,
Ab Un Raho Se Guzra Nahi Jata,
Jaha Baith Kar Unka Intzar Kiya Karte The.

Monday, October 6, 2014

Raat Bhar Yaad Koi Aata Hai,

Raat Bhar Yaad Koi Aata Hai,
Waqt Mera Aksar Aise Hi Guzar Jata Hai,
Khusi Aur Gum Dono Me Nazar Aata Hai,
Kyuki Ye Pagal Dil Kisiko Bahut Chahta Hai.

Friday, September 26, 2014

Kadmo Ki Doori Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,

Kadmo Ki Doori Se Dilo Ke Fasle Nahi Badhte,
Door Hone Se Ehsaas Nahi Marte,
Kuch Kadmo Ka Fasla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Aapko Yad Nahi Karte.

Tuesday, September 23, 2014

Nigaho se wo is dil me samaye,

Nigaho se wo is dil me samaye,
Jab ashk bahe to palko par aaye,
Dar hai kahi wo kho hi na jaye,
Palko ko ab hum kaise jhukaye.

Ek Hi Khwab Ko Aankho Me Kai Bar Sajaya Maine,

Ek Hi Khwab Ko Aankho Me Kai Bar Sajaya Maine,
Apne Hi Ashko Se Fir Us Khwab Ko Mitaya Maine,
Raah Ke Jis Mod Par Badal Gayi Thi Manzile Meri,
Aaj Fir Usi Raah Par Kadam Ko Uthaya Maine .

Sunday, September 21, 2014

Toot Jaye Na Bharam Honth Hilau Kaise,

Toot Jaye Na Bharam Honth Hilau Kaise,
Haal Jaisa Bhi Hai Logo Ko Batau Kaise,
Khush Aankho Se Bhi Ashko Ki Mehek Aati Hai,
Mai Tere Gam Ko Zamane Se Chupau Kaise.

Friday, September 19, 2014

Mana teri nazar me tera pyar hum nahi,

Mana teri nazar me tera pyar hum nahi,
Kaise kahe ki tere talabgar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala mita diya,
Lo ab tumhari raah me deewar hum nahi,
Jisko sawara humne tamannao ke khoon se,
Gulshan me us bahaar ke hakdar hum nahi.

Thursday, September 18, 2014

Wafa ka naam na lo yaro,

Wafa ka naam na lo yaro,
Wafa dil ko dukahati hai,
Jab bhi Wafa ka naam lete hai,
Hume ek bewafa ki yaad Aati hai.

Tuesday, September 16, 2014

Pyar To Aasani Se Ho Jata Hai Sabhi Ko,

Pyar To Aasani Se Ho Jata Hai Sabhi Ko,
Par Ye Gudde Guddiyo Ka Khel Nahi,
Hoso Hawas Me Karna Padta Hai Wada Kisi Se,
Ye Zindagi Ki Baat Hai Koi Kisi Ka Rakhel Nahi.

Nigahe Nigaho Se Mila Kar To Dekho,

Nigahe Nigaho Se Mila Kar To Dekho,
Jara Hamse Rishta Bana Kar To Dekho,
Hasrate Dil Me Dabane Se Kya Faiyda,
Apne Honto Ko Hila Kar To Dekho,
Aasman Simat Jayega Tumhare Aagosh Me,
Jara Chahat Ki Bahe Faila Kar To Dekho.

Saturday, September 13, 2014

Maut Ke Aagosh Me Sone Ko Jee Karta Hai,

Maut Ke Aagosh Me Sone Ko Jee Karta Hai,
Dil To Kho Diya Ab Zindagi Khone Ko Jee Karta Hai,
Uski Yaad Aati Hai Jab Bhi Mujhe Na Jane Kyu,
Kahi Pe Tanha Baith Ke Rone Ko Jee Karta Hai.

Dard Hi Sahi Mere Ishk Ka Inaam To Aaya,

Dard Hi Sahi Mere Ishk Ka Inaam To Aaya,
Khali Hi Sahi Hatho Me Jaam To Aaya,
Mai Hun Bewafa Sabko Bataya Usne,
Yu Hi Sahi Unke Labo Pe Mera Naam To Aaya.

Monday, August 25, 2014

Humne Apni Sanso Par Unka Naam Likh Liya,

Humne Apni Sanso Par Unka Naam Likh Liya,
Nahi Jante The Ki Humne Kuch Galat Kiya,
Wo Pyar Ka Wada Humse Karke Mukar Gaye,
Khair Unki Bewafai Se Kuch To Sabak Liya.

Friday, August 22, 2014

Bewafa Se Dil Lagane Chale,

Bewafa Se Dil Lagane Chale,
Patthar Se Dil Ko Hum Piglane Chale,
Toot Kar Bikhar Gaye Hum Tukdo Me,
Pattharo Ke Shaher Me Kaanch Ka Ashiyana Jo Banane Chale.

Wednesday, August 20, 2014

Zarurat Nahi Aaj Mohabbat Ki Hame,

Zarurat Nahi Aaj Mohabbat Ki Hame,
Kal Jab Thi Tab Use Gurur Tha,
Hum Hi Naye The Ishq Ke Shahar Me Jo Na Jaan Paye,
Ki Uska Ghar To Bewafai Ke Liye Mashoor Tha.

Tuesday, August 19, 2014

Mai Alfaz Hu Tera Har Baat Samajhta Hu,

Mai Alfaz Hu Tera Har Baat Samajhta Hu,
Mai Ehsas Hu Tere Jazbaat Samajhta Hu,
Kab Pucha Maine Ki Kyu Door Ho Gayi Mujhse,
Mai Dil Rakhta Hu Tere Halaat Samajhta Hu.

Monday, August 18, 2014

Zindagi Ke In Viran Raaho Me,

Zindagi Ke In Viran Raaho Me,
Aapne Yu Tanha Chod Diya,
Jis Wakt Thi Sabse Jyada Jarurat Hame Aapki,
Usi Pal Aapne Hamse Sara Rishta Tod Liya.

Sunday, August 17, 2014

Koi Chala Gaya Door To Kya Kare,

Koi Chala Gaya Door To Kya Kare,
Koi Mita Gaya Sab Nishan To Kya Kare,
Yaad Aati Hai Ab Bhi Unki Hume Had Se Jyada,
Wo Yaad Na Kare To Kaya Kare.

Thursday, August 14, 2014

Apne saye se bhi ashko ko chupa kar rona,

Apne saye se bhi ashko ko chupa kar rona,
Jab bhi rona to chirago ko bujha kar rona,
Jaha chot khana waha muskurana,
Magar is ada se ki roye sara zamana.

Wednesday, August 13, 2014

Chupa Liya Hai Aanchal Me Jis Chand Ko,

Chupa Liya Hai Aanchal Me Jis Chand Ko Use Be Nakab To Hone Do,
Bayan Karenge Hale Dil Hum Bhi Ek Baar Deedar To Hone Do,
Kya Gazab Ka Husn Paya Hai Tune Ki Niyat Dol Gayi Meri,
Dekh Lu Tumhe Ek Baar Jee Bher Ke Bus Yehi Arzu Hai Meri.

Sathi Aisa Mila Jo Sath Na De Saka,

Sathi Aisa Mila Jo Sath Na De Saka,
Nigahe Aisi Mili Jo Ro Bhi Na Saki,
Hasna To Chahte The Hum Har Dum Par Kya Kare,
Muskan Hi Aisi Mili Jo Honto Pe Na Aa Saki.

Tuesday, August 5, 2014

Wo aate to hai par samay se nahi,

Wo aate to hai par samay se nahi,
Wo chalte to hai par maan se nahi,
Kaun kahta hai ki wo pyar nahi karte,
Karte to hai par humse nahi.

Sunday, July 27, 2014

Kyu itni mohabbat karte hai tumse,

Kyu itni mohabbat karte hai tumse,
Yehi sawal karte hai hamesha apne dil se,
Ye dooriya sahi nahi jati humse,
Yaad bahut karte hai tumko hum kasam se.

Zindagi Tujh Bin Ulfat Si Lagti Hai,

Zindagi Tujh Bin Ulfat Si Lagti Hai,
Ek Pal Ki Judai Muddat Si Lagti Hai,
Pahle Nahi Ab Sochte Hai Hum,
Har Lamha Teri Zarurat Si Lagti Hai.

Thursday, July 24, 2014

Zindagi Se Nafrat Kise Hoti Hai,

Zindagi Se Nafrat Kise Hoti Hai,
Marne Ki Chahat Kise Hoti Hai,
Pyar Bhi Ettefaq Hota Hai,
Warna Aansuo Se Mohabbat Kise Hoti Hai.

Baharo Ki Rangat Har Baghban Me Hoti Hai,

Baharo Ki Rangat Har Baghban Me Hoti Hai,
Ishq Ki Tadap Har Insaan Me Hoti Hai,
Na Kare Mohabbat Aisa Koi Pathar Dil Nahi,
Patjhad Me To Kaliyan Bhi Viran Hoti Hai.

Wednesday, July 23, 2014

Aankhe hai meri nind se bhari,

Aankhe hai meri nind se bhari,
Par ye dil hai ki sulana nai chahta,
Humara dil todna aadat hai unki,
Par ye hai ki unhe bhulana bhi nai chahta.

Monday, July 21, 2014

Agar Wo Khush Hai Dekh Kar Aansu Meri Aankho Me,

Agar Wo Khush Hai Dekh Kar Aansu Meri Aankho Me,
To Rab Ki Kasam Hum Muskurana Chod Denge,
Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko Lekin,
Us Ki Taraf Nazre Uthana Chod Denge,
Wo Manzil Hi Kya Jo Aapko Dukh De,
Rab Ki Kasam Us Manzil Tak Jana Hi Chod Denge.

Tuesday, July 15, 2014

Kabhi roke muskuraye kabhi muskura ke roye,

Kabhi roke muskuraye kabhi muskura ke roye,
Teri yaad jab bhi aayi tujhe bhula bhula ke roye,
Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha,
Jise khush hue the likh kar use mita mita ke roye.

Friday, July 11, 2014

Unki Na Thi Khata,

Unki Na Thi Khata,
Hum Hi Kuch Galat Samjh Baithe,
Wo Mohabbat Se Baat Karte The,
Hum Mohabbat Hi Samjh Baithe.

Saturday, July 5, 2014

Ek Dost Kho Diya Aaj Maine,

Ek Dost Kho Diya Aaj Maine,
Ek Choti Si Baat Pe,
Lafz Uske Chubhe Is Dil Pe,
Halki Si Mulakat Me,
Katra-katra Utra Har Ashk,
Rulane Ki Firaq Me,
Galti Nahi Koi Is Baar Meri,
Maafi Na Mangunga Aitbar Me.

Wednesday, July 2, 2014

Intzar ki aarzu ab kho gayi hai,

Intzar ki aarzu ab kho gayi hai,
Khamoshiyo ki aadat ho gayi hai,
Na sikwa raha na shikayt kisi se,
Agar hai to ek mohbbat,
Jo in tanhaiyo se ho gayi hai.

Thursday, June 26, 2014

Tujhko Apni Jaan Ka Salam Likhenge,

Tujhko Apni Jaan Ka Salam Likhenge,
Dil Ki Kitab Me Apne Arman Likhenge,
Agar Mil Jaye Aasman Ki Hukumat,
To Sitaro Ki Jagah Tera Naam Likhenge.

Tuesday, June 24, 2014

Kab tak rahoge aakhir yu door door humse,

Kab tak rahoge aakhir yu door door humse,
Milna padega aakhir ek din zaroor humse,
Daaman bachane wale ye berukhi hai kaisi,
Kah do agar hua hai koi kasoor humse,
Hum chod denge tumse yu baate karna,
Tum puchte firoge apna kasoor humse,
Ham chin lenge tumse ye Shaan-E-Benyazi,
Tum mangte firoge apna garur humse.

Har dard-e-dil ki aawaz hai shayari,

Har dard-e-dil ki aawaz hai shayari,
Gam-e-mohobbat ka saaz hai shayari,
Har likhne wale ka naaz hai shayari,
Galib ka anmol alfaz hai shayari.

Thursday, June 19, 2014

Haadshe banke log yaha mila karte hai,

Haadshe banke log yaha mila karte hai,
Zakhm dene ke hi saaman diya karte hai,
Roz gir jati hai deewar tere wado ki,
Roz hi hum maut ke saye me jiya karte hai.

Wednesday, June 18, 2014

Sukun sa mil raha hai in hawao me,

Sukun sa mil raha hai in hawao me tujhe mahsus karke,
Lagta hai jaise tere karib aa raha hu,
Ye jhoka tujhe bhi chu ke aaya hoga mera paas,
Tabhi to ek rahat ki saans le pa raha hu,
Ye kaynat mere pyar ki gawah hai,
Tabhi ise dekhkar tere pyar ko byan kar pa raha hu.
Mila dena mujhe mere pyar se rabba,
Jiske liye mai ye alfaaz gaye ja raha hu.

Monday, June 16, 2014

Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum,

Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum,
Mile Jo Gam Wo Seh Lenge Hum,
Bus Aap Rahna Humesha Sath Humare,
To Nikalte Hue Aansuo Me Bhi Muskura Lenge Hum.

Wo Jinme Chamakte The Wafa Ke Moti,

Wo Jinme Chamakte The Wafa Ke Moti,
Yakin Jano Wo Aankhe Hi Bewafa Nikli.

Thursday, June 12, 2014

Karke Wada Wafa Ka Wo Mukar Gayi,

Karke Wada Wafa Ka Wo Mukar Gayi,
Ek Chote Se Tufaan Se Wo Kitna Dar Gayi,
Pata Nahi Koi Majburi Thi Uski,
Ya Fir Iss Khilone Se Uska Dil Bhar Gaya.

Monday, June 9, 2014

Hum Nafrat Ke Kabil The To,

Hum Nafrat Ke Kabil The To,
Nafrat Se Hi Maar Dete,
Bewafa Ne Kyu Apni Mehfil Me Bula Kar,
Pyar Se Kah Diya Ki Kaun Ho Tum.

Sunday, June 8, 2014

Laut Aa Sanam Bhul Kar Meri Sab Khataye,

Laut Aa Sanam Bhul Kar Meri Sab Khataye,
Bula Rahi Hai Tumko Meri Bikhri Wafaye,
Ab Is Ummid Par Hi Chal Rahi Hai Saanse,
Ki Marne Se Pahle Tujhko Dekhe Ye Nigahe.

Tuesday, May 27, 2014

Bewafa To Use Kahte Hai Jo Wafa Nahi Karte,

Bewafa To Use Kahte Hai Jo Wafa Nahi Karte,
Agar Tumse Pyar Na Hota To Tumhe Bewafa Kaise Kahte,
Fir Bhi Tumne Mere Pyar Ka Aisa Sila Diya Hai,
Ki Tumhe Bewafa Kahna Bhi Bewafai Ki Tauhin Hoti Hai.

Sunday, May 25, 2014

Chaha Tha Humne Jise Use Bhulaya Na Gaya,

Chaha Tha Humne Jise Use Bhulaya Na Gaya,
Zakhm Dil Ke Logo Se Chupaya Na Gaya,
Bewafai Ke Baad Bhi Itna Pyar Karta Hu Ki,
Bewafa Ka Ilzam Bhi Us Par Lagaya Na Gaya.

Friday, May 23, 2014

Pahli mohabbat me khata kar raha hu,

Pahli mohabbat me khata kar raha hu,
Kisi bewafa se wafa kar raha hu,
Usne thukra diya to kya hua mere Rabba,
Tu hi mila de tujhse dua kar raha hu.

Tuesday, May 20, 2014

Dekh Kar Tanha Mujhse Pucha Baharo Ne,

Dekh Kar Tanha Mujhse Pucha Baharo Ne,
Kaha Gaya Tera Wo Hamsafar,
Tujhe To Bada Naaz Tha Us Par,
Ye Dekh Kar Mai Chup Raha Magar,
Mere Aansuo Ne Jawab Diya,
Milna Kismat Me Bichdna Nasib Tha,
Wo Mujhse Itna Door Ho Gayi,
Jitna Wo Mere Kareeb Thi.

Aankh ka aansu koi utha nahi sakta,

Aankh ka aansu koi utha nahi sakta,
Kismat me likha koi mita nahi sakta,
Aapka pyar hai jaan hamari,
Aur ye jaan hamse koi chura nahi sakta.

Thursday, May 15, 2014

Jyada gum jab se najare ho gaye,

Jyada gum jab se najare ho gaye,
Gardish me hamare sitare ho gaye,
Nibhayi hai kuch yaro ne dosti aisi,
Ki dushman bhi dost se pyare ho gaye.

Tuesday, May 13, 2014

Chup Rahte Hai Hum Ki Aap Khafa Na Ho Jao,

Chup Rahte Hai Hum Ki Aap Khafa Na Ho Jao,
Lagta Hai Dar Ki Aap Ruswa Na Ho Jao,
Paya Hai Aapke Pyar Ko Badi Mushkil Se,
Darte Hai Ki Milne Ke Baad Juda Na Ho Jao.

Wednesday, May 7, 2014

Aansu Tab Nahi Aate,

Aansu Tab Nahi Aate,
Jab Aap Kisi Ko Kho Dete Ho,
Aansu To Tab Aate He Jab,
Aap Khud Ko Kho Kar Bhi,
Kisi Ko Pa Nahi Sakte.

Jazbaat Mere Kahi Kuch Khoye Hue Se Hai,

Jazbaat Mere Kahi Kuch Khoye Hue Se Hai,
Kahu Kaise Wo Tumse Thoda Sharmaye Hue Se Hai,
Par Aaj Na Rok Sakunga Jazbato Ko Mai Apne,
Karte Hai Pyar Hum Tumhi Se Par Ghabraye Hue Se Hai.

Friday, May 2, 2014

Zindagi tere bin aduri hai,

Zindagi tere bin aduri hai,
Na jane kyu tere mere bich ye doori hai,
Sochte hai bhula de tujhe par,
Teri ek muskaan meri kamjori hai.

Monday, April 28, 2014

Bina Bataye Usne Na Jane Kyu Ye Doori Kar Di,

Bina Bataye Usne Na Jane Kyu Ye Doori Kar Di,
Bichad Ke Usne Mohabbat Hi Aduri Kar Di,
Mere Mukkadar Me Gam Aaye To Kya Hua,
Rab Ne Uski Kwahish To Poori Kar Di.

Saturday, April 26, 2014

Dil Se Roye Magar Hontho Se Muskura Baithe,

Dil Se Roye Magar Hontho Se Muskura Baithe,
Yu Hi Hum Kisi Se Wafa Nibha Bathe,
Wo Hume Ek Lamha Na De Paye Apne Pyar Ka,
Aur Hum Unke Liye Zindagi Luta Baithe.

Wo zakham itne diye ki jaise zakhm ki aadat ho gayi,

Wo zakham itne diye ki jaise zakhm ki aadat ho gayi,
Juda un se ho kar jaise gam ki aadat ho gayi,
Pyar aaya to aaya ek sitamgar pe,
Pyar hua to jaise sitam ki aadat ho gayi,
Hum na the shayar na shayari hamara pesha,
Jab se hua hai pyar jaise kalam ki aadat ho gayi,
Zamana sara hame diwana kahta hai,
Ham sare zamane ko diwana kahte hai.

Wednesday, April 16, 2014

Sahil par khade humne shaam kar di,

Sahil par khade humne shaam kar di,
Apna dil aur duniya uske naam kar di,
Ye bhi na socha kaise gujregi zindagi,
Bina soche har khushi uske naam kar di.

Monday, April 14, 2014

Wo hume bhulane ki baat karte hai,

Wo hume bhulane ki baat karte hai,
Zara pucho hume kitna Yaad karte hai,
Chehre pe hansi ka dikhawa hai,
Magar Tanhai me Aansuo se fariyad karte hai.

Chupke se chand ki roshni aapki ho jaye,

Chupke se chand ki roshni aapki ho jaye,
Dhire se hawa aap ko kuch kah jaye,
Dil me jo hai use maang lo rab se,
Hum dua karenge ki aapki har chahat puri ho jaye.

Thursday, April 10, 2014

Nazar Ne Nazar Se Mulakat Kar Li,

Nazar Ne Nazar Se Mulakat Kar Li,
Rahe Dono Chup Par Baat Kar Li,
Khushiyo Ka Mausam Kuch Iss Kadar Badla Ki,
In Aankho Ne Ro-Ro Kar Barsaat Kar Li.

Toote hue khwabo se zindagi bana leta hu,

Toote hue khwabo se zindagi bana letau,
Mai kaanch ke tukdo se aaina bana leta hu,
Fhenkte hai log jo patthar mujhpe,
Mai sabko jodkar moorat bana leta hu,
Raah-e-manzil me ho kitni bhi mushkile,
Mai jab thaanta hu rashta bana leta hu,
Raat ke andhere me bhatkta nahi mai,
Har sitare ko apna chaand bana leta hu,
Na poocho mujhse meri sehat ka raaj,
Mai har dard ko dawa bana leta hu,
Wo itrate hai apni haath ki lakiro pe,
Mai mehnat se apni taqdeer bana leta hu,
Mere ret ke mahal dekh ke hansne walo,
M irado ko faulaad bana leta hu,
Aate nahi jo bure waqt pe kaam mere,
Mai aise dosto ko gujra hua waqt bana leta hu,
Aasman me chaand ko takta nahi mai,
Aage haath bada ke apna bana leta hu,
Milta nahi jab mandiro me wo,
Mai mohabbat ko apna Rab bana leta hu,
Manzil pe pahunch ke rukta nahi mai,
Ek naye suraj ko apna mukaam bana leta hu,
Jeewan me ho mere kitna bhi andhera,
Insaan hu do patthar se aag bana leta hu,
apno se karta nahi koi gila shikwa,
Mai dushmano ko bhi apna dost bana leta hu,
Daulat shohrat ke piche bhagta nahi,
Bhid se alag pehchan bana leta hu,
Ummid ka daman kabhi chodta nahi,
Ek deepak se diwali bana leta hu.

Sunday, April 6, 2014

Ham to musafir hai,

Ham to musafir hai,
Chod jaoge hame yuhi kahi,
Zindagi ki raftaar me hamare khayal se,
Muh mod jaoge yuhi kahi,
Andaza kaha hai tumhe,
Kitne keemti ho tum mere liye,
Laparwah tanha apna jahan bna jaoge yuhi kahi.

Thursday, April 3, 2014

Tumhari yaad aati hai to aankhe bhig jati hai,

Tumhari yaad aati hai to aankhe bhig jaati hai,
Tumhari yaad aati hai to raat beet jaati hai,
Bhulana to bahut chaha magar yaade to yaade hai,
Kabhi hum haar jaate hai kabhi ye jeet jaati hai.

Wednesday, March 26, 2014

Bewafa To Wo Khud Thi,

Bewafa To Wo Khud Thi,
Par Ilzaam Kisi Aur Ko Deti Hai,
Pahle Naam Tha Mera Uske Hontho Par,
Ab Wo Naam Kisi Aur Ka Leti Hai.

Tuesday, March 25, 2014

Hum Khak Zamin Ki Ho Kar,

Hum Khak Zamin Ki Ho Kar,
Us Chand Ki Hasrat Kar Baithe,
Wo Cheez Rab Se Unchi Thi,
Hum Jis Se Mohabbat Kar Baithe.

Kash Humari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti,

Kash Humari Bhi Parwah Kisi Ne Ki Hoti,
To Ye Duniya Humse Ruswa Na Hoti,
Agar Aata Aap Jaisa Muskurana Hume,
To Humse Bhi Kisi Ne Mohabbat Ki Hoti.

Thursday, March 20, 2014

Har dil fariyad nahi karta,

Har dil fariyad nahi karta,
Har koi kisi ko yaad nai karta,
Hum bhul jaye tumko ek pal ke liye,
Dil to kya Rab bhi is baat par viswas nahi karta.

Jee Bhar Ke Dekhu Tujhe Agar Tujhko Gawara Ho,

Jee Bhar Ke Dekhu Tujhe Agar Tujhko Gawara Ho,
Betab Meri Nazre Ho Aur Pyar Tumhara Ho,
Jaan Ki Fikar Ho Na Zamane Ki Parwah,
Ek Tera Pyar Sirf Aur Sirf Hamara Ho.

Thursday, March 13, 2014

Koi Anjan Jab Apna Ban Jata Hai,

Koi Anjan Jab Apna Ban Jata Hai,
Na Jane Kyu Wo Bahut Yaad Aata Hai,
Laakh Bhulana Chaho Us Chehre Ko Magar,
Chehra Uska Har Cheez Me Nazar Aata Hai.

Meri Zindagi Mujhe Ye Bata,

Meri Zindagi Mujhe Ye Bata,
Mujhe Bhula Ke Tujhe Kya Mila,
Meri Hasrato Ka Jawab De,
Mujhe Rula Ke Tujhe Kya Mila,
Tere 4 Din Ke Pyar Se,
Mujhe Umar Bhar Ka Gam Mila,
Mai To Toot Ke Bikhar Gaya,
Magar Mujhe Tod Ke Tujhe Kya Mila.

Tuesday, March 11, 2014

Mujhe Ishq Me Iljamo Ki Parwah Nahi;

Mujhe Ishq Me Iljamo Ki Parwah Nahi,
Mai Ashiq Hu Jurm-E-Ishq Ka Gawah Nahi,
Teri Khusi Isme Hai To Mai Hajir Hu Samne,
Lakh Sitam Kar Lo Mere Labo Pe Aah Nahi,
Mujhe Samjha Ke Waqt Jaya Kar Rahe Ho,
Ishq Me Magrur Log Lenge Kabhi Salah Nahi,
Chalo Mana Tune Bhula Diya Hai Mujhe,
Ye Kahte Hue Kya Bhigi Teri Nigah Nahi,
Mai Sar Ko Jhuka Lu Mumkin Hi Nahi Hai,
Hai Kaun Badshah Mujhe Parwah Nahi.

Sunday, March 9, 2014

Ye Mat Kahna Ki Teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha,

Ye Mat Kahna Ki Teri Yaad Se Rishta Nahi Rakha,
Mai Khud Tanha Raha Dil Ko Magar Tanha Nahi Rakha,
Tumhari Chahto Ke Phool To Mehfooz Rakhe Hai,
Tumhari Nafrato Ki Peedh Ko Zinda Nahi Rakha.

Wednesday, March 5, 2014

Ye Ishq Wale Wafa Ki Kimat Kya Jane,

Ye Ishq Wale Wafa Ki Kimat Kya Jane,
Bewafa Hai Ye Gam e Mohabbat Kya Jane,
Milta Ho Jinhe Har Mod Pe Naya Humsafar,
Wo Sacche Pyar Ki Kimat Kya Jane.

Sunday, February 23, 2014

Mehfil kabhi udas nahi hoti,

Mehfil kabhi udas nahi hoti,
Pyar ki manzil itni pass nahi hoti,
Hota hai kabhi kabhi aisa bhi zindagi me,
Mil jate hai wo bhi jinki kabhi talash nahi hoti.

Ishq pane ki tamanna me kabhi kabhi,

Ishq pane ki tamanna me kabhi kabhi,
Zindagi khilona ban jati hai,
Jise dil me basana chahte hai,
Wo surat sirf yaad bankar reh jati hai.

Kitna pyar karte hai hum unse,

Kitna pyar karte hai hum unse,
Kaash unhe bhi ye ehsaas ho jaye,
Kahi aisa na ho ki wo hosh me tab aaye,
Jab hum kisi aur ke ho jaye.

Friday, February 14, 2014

Mohabbat ki kasam tumko kiye wade wafa karna,

Mohabbat ki kasam tumko kiye wade wafa karna,
Hamesha ke liye ek sath rahne ki duaa karna,
Tumare pyar ke daam se meri duniya me raunak hai,
Tumare pyar ke badle Ye duniya le kar kya karna,
Tumhe ye kaun kahta hai ki mere paas aa baitho,
Mujhe bas door se hi dekh kar tum hans diya karna.

Kabhi hasati hai to kabhi rulati hai,

Kabhi hansati hai to kabhi rulati hai,
Ye zindagi bhi na jane kitne rang dikhati hai,
Hanste hai to bhi aankho me nami aa jati hai,
Na jane ye kaisi yaade hai jo dil me bas jati hai.

Thursday, February 13, 2014

Maine jamane ke ek beete daur ko dekha hai,

Maine jamane ke ek beete daur ko dekha hai,
Dil ke sukun ka aur galiyo ke shor ko dekha hai,
Mai jaanta hu ki kaise badal jate hai insaan aksar,
Maine kai baar apne andar kisi aur ko dekha hai.

Wo Pani Ki Lehro Pe Kya Likh Rahi Thi,

Wo Pani Ki Lehro Pe Kya Likh Rahi Thi,
Rab Jane Mohabbat Ya Dua Likh Rahi Thi,
Likhe The Jisne Wafa Ke Maane Adhure,
Wo Shakhs Pyar Ki Inteha Likh Rahi Thi,
Zara Se Bhi Uski Aankh Se Aansu Na Nikle,
Wo Shakhs Jab Zindagi Ko Saza Likh Rahi Thi,
Mohabbat Me Nafrat Mili Thi Usse Bhi,
Jo Har Shakhs Ko Bewafa Likh Rahi Thi.

Zuban khamosh aankho me nami hogi,

Zuban khamosh aankho me nami hogi,
Ye bus ak dastan e zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayenge,
Kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi.

Saturday, February 8, 2014

Hume Bhi Pyar Karne Ka Khayal Aaya,

Hume Bhi Pyar Karne Ka Khayal Aaya,
Jab Bhi Ye Khayal Aaya Khud Ko Akela Paya,
Dhundte Rahe Is Duniya Me Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz To Kisi Ko Bewafa Hi Paya.

Koi Chahat Ki Baat Karta Hai,

Koi Chahat Ki Baat Karta Hai,
Aur Koi Chahne Wale Ki,
Hum To Dono Azma Ke Baithe Hai,
Na Chahat Mili Na Chahne Wali.

Friday, January 17, 2014

Jab se dekha hai teri aankho me jhank kar,

Jab se dekha hai teri aankho me jhank kar,
Koi bhi aaina accha nahi lagta,
Teri mohabbat me aise hue hai diwane,
Tumhe koi aur dekhe to accha nahi lagta.

Jab Chote The Hum Zor Se Rote The,

Jab Chote The Hum Zor Se Rote The,
Jo Pasand Hota Use Pane Ke Liye,
Aaj Bade Ho Gaye To Chupke Se Rote Hai,
Jo Pasand Hai Use Bhulane Ke Liye.

Ghaw Itna Gahra Hai Bayan Kya Kare,

Ghaw Itna Gahra Hai Bayan Kya Kare,
Hum Khud Nishana Ban Gye Ab War Kya Kare,
Jaan Nikal Gayi Magar Khuli Rahi Aankhe,
Ab Isse Jyada Unka Intejar Kya Kare.

Hume Hasne Hasane Ki Aadat Hai,

Hume Hasne Hasane Ki Aadat Hai,
Nazro Se Nazar Milane Ki Aadat Hai,
Par Hamari To Nazar Unse Hai Ja Mili,
Jinhe Nazar Jhukake Sharmane Ki Aadat Hai.

January Ki Dhoop Ho,

January Ki Dhoop Ho,
Febuary Ki Sham Ho,
March Ki Khushbu Ho,
April Ki Hawa Ho,
May Ki Subah Ho,
June Ki Chaow Ho,
July Ki Barish Ho,
August Ki Taaro Bhari Raat Ho,
Septmber Ki Rim Jhim Ho,
October Ki Chandni Raat Ho,
November Ki Bahar Ho Aur,
December Ki Sard Shaam Me Tum Hamare Sath Ho.

Wednesday, January 8, 2014

Raat Me Jab Tadapte Hai Nind Ke Liye,

Raat Me Jab Tadapte Hai Nind Ke Liye,
Tab Dilse Bas Yahi Dua Nikalti Hai Ki,
Bahut Buri Hai Ye Cheez Mohabbat,
Kisi Dushman Ko Bhi Na Ho.

Yaad Kar Ke Bhulana Na Aaya Hume,

Yaad Kar Ke Bhulana Na Aaya Hume,
Kisi Ke Dil Ko Manana Na Aaya Hume,
Kisi Ke Liye Tadapna To Sikh Liya Humne,
Par Apne Liye Kisi Ko Tadpana Na Aaya Hume.

Koi to mere khayalo ko chahne wala ho,

Koi to mere khayalo ko chahne wala ho,
Mohabbato ke khazane lutne wala ho,
Us ek shaks ko duniya ki har khushi de du,
Jo mere dard ko apna banane wala ho,
Mujhe bhi apni wafao pe naaz hai lekin,
Yaha koi to wafa azmane wala ho,
Jise aziz ho duniya udhar ka rukh kar le,
Yaha wo aaye jo duniya lutane wala ho,
Rab gawah hai ki badi mushkilo se milta hai,
Wo ek dil jo mohabbat nibhane wala ho.

Friday, January 3, 2014

Aaj Wo Apne Ho Ke Bhi Begane Lage,

Aaj Wo Apne Ho Ke Bhi Begane Lage,
Hawa Ke Thande Jhoke Hume Jalane Lage,
Ek Aah Pe Girte The Jinke Hazaro Aansu,
Aaj Wo Mere Zakhmo Pe Muskurane Lage.

Ek mai jo chah kar bhi tumse kuch kah na saka,

Ek mai jo chah kar bhi tumse kuch kah na saka,
Ek tum jo samajh kar bhi anjaan rah gaye,
Kami to kuch nahi thi hamari chahato me,
Na jane kyu fir bhi hum begane ho gaye.