Monday, December 28, 2015

Gujre Dino Ki Bhuli Hui Baat Ki Tarah,

Gujre Dino Ki Bhuli Hui Baat Ki Tarah,
Aankho Me Jaagti Hai Koi Raat Ki Tarah,
Usse Ummid Thi Ki Nibhayegi Saath Wo,
Wo Bhi Badal Gayi Mere Halaat Ki Tarah.

Saturday, December 26, 2015

Kyu tujhko dekhna chahti hai meri aankhe,

Kyu tujhko dekhna chahti hai meri aankhe,
Kyu khamoshiya karti hai bas teri baate,
Kyu itna chahane laga hu tujhko mai,
Ki taare ginte hue kat-ti hai meri raate,
Tu hi kuch bata de kya mai karu inka,
Har pal jo mujhe tadpati hai teri yaade.

Friday, December 25, 2015

Kitni Jaldi Zindgi Gujar Jati Hai,

Kitni Jaldi Zindgi Gujar Jati Hai,
Pyas Bujhti Nahi Barshaat Chali Jati Hai,
Teri Yaad Kuch Is Tarah Aati Hai,
Nind Aati Nahi Magar Raat Gujar Jati Hai.

Wednesday, December 23, 2015

Ek Tamanna Thi Jo Hasrat Ban Gayi,

Ek Tamanna Thi Jo Hasrat Ban Gayi,
Kabhi Dosti Thi Ab Mohabbat Ban Gayi,
Kuch Is Tarha Shamil Hue Tum Zindagi Me Ki,
Tujhe Sochte Rahna Meri Aadat Ban Gayi.

Tuesday, December 22, 2015

Maine apni har ek saans,

Maine apni har ek saans,
Tumhari gulaam kar rakhi hai,
Logo me ye zindgi badnaam kar rakhi hai,
Ab ye aaina bhi kya kaam ka mere,
Maine to apni parchayi bhi,
Tumhare naam kar rakhi hai.

Monday, December 21, 2015

Mere DiL Me Basa Hai Pyar Tumhara,

Mere DiL Me Basa Hai Pyar Tumhara,
Meri Aankho Me Hai Intezar Tumhara,
Ek Sukoon Sa Miilta Hai DiL Ko Mere,
Jab Hota Hai Mujhe Didaar Tumhara.

Friday, December 18, 2015

Mai Chahta Tha Wafa Unse,

Mai Chahta Tha Wafa Unse,
Unhone Hume Bhula Diya,
Isi Tadapte Gum Ne Yaro,
Mujhe Shayar Bana Diya.

Wednesday, December 16, 2015

Khushbu bikherti hui gulaab ki kali ho,

Khushbu bikherti hui gulaab ki kali ho,
Titali si udati hui naajo se pali ho,
Sangmarmari badan liye sancho me dhali ho,
Kitno ko loot liya tum wo manchali ho.

Saturday, December 5, 2015

Wo aa to jaye magar Intezar hi kam hai,

Wo aa to jaye magar Intezar hi kam hai,
Wo bewafa to nahi mera pyar hi kam hai,
Mai kaise maan lu uspe koi asar hi na ho,
Ki dil tadapta rahe aur use khabar hi na ho.

Thursday, December 3, 2015

Thukra Ke Usne Mujhe Kaha Ki Muskurao,

Thukra Ke Usne Mujhe Kaha Ki Muskurao,
Mai Hans Diya Sawal Uski Khushi Ka Tha,
Maine Khoya Wo Jo Mera Tha Hi Nahi,
Usne Khoya Wo Jo Sirf Usi Ka Tha.

Sunday, November 29, 2015

Baat hi uski kuch alag hai,

Baat hi uski kuch alag hai,
Uski chahat ki carcha mai kaise karu,
Har roj hoti hai guftgu khamoshi me,
Muhabbat dil e gum bayan kaise karu.

Saturday, November 28, 2015

Kaash Aisa Ho Ki Tumko Tumse Chura Lu,

Kaash Aisa Ho Ki Tumko Tumse Chura Lu,
Waqt Ko Rok Kar Waqt Se Ek Din Chura Lu,
Tum Paas Ho To Is Raat Se Ek Raat Chura Lu,
Tum Saath Ho To Is Jahan Se Ye Jahan Chura Lu.

Friday, November 27, 2015

Dil Toota To Ek Aawaj Aayi,

Dil Toota To Ek Aawaj Aayi,
Cheer Ke Dekha To Kuch Chiz Nikal Aayi,
Socha Kya Hoga Is Khali Dil Me,
Lahu Se Dhokar Dekha To Teri Tasvir Nikal Aayi.

Thursday, November 26, 2015

Bikta Hai Gum Hansi Ke Bazar Me,

Bikta Hai Gum Hansi Ke Bazar Me,
Lakho Dard Chipe Hote Hai Ek Chote Se Inkaar Me,
Wo Kya Smjh Payenge Pyar Ki Kasish,
Jinhone Fark Hi Nahi Samjha Pasand Aur Pyar Me.

Wednesday, November 25, 2015

Pyari Pyari Yaade Palko Me Saza Lena,

Pyari Pyari Yaade Palko Me Saza Lena,
Sath Guzre Lamho Ko Dil Me Basa Lena,
Nazar Na Aau Agar Dil Me,
Muskura Kar Mujhe Khwabo Me Bula Lena.

Tuesday, November 24, 2015

Bikhre Hue Tukde Chunkar Teri Yaado Ke,

Bikhre Hue Tukde Chunkar Teri Yaado Ke,
Beete Lamho Ki Tasveer Banata Hu,
Har Khushi Apni Tere Naam Likh Ke,
Tere Dukho Ko Apni Taqdeer Banata Hu.

Monday, November 23, 2015

Pyar Karke Use Dil Se Mitana Mushkil Hai,

Pyar Karke Use Dil Se Mitana Mushkil Hai,
Wo Tufan Palko Me Rok Pana Mushkil Hai,
Aasan Lga Use Yaad Karke Mar Jana,
Kyuki Bhul Ke Use Jee Pana Mushkil Hai.

Friday, November 20, 2015

Maine Sapno Ko Door Hote Dekha Hai,

Maine Sapno Ko Door Hote Dekha Hai,
Jo Mila Nahi Use Khote Dekha Hai,
Log Kahte Hai Raat Ko 'Oos' Girti Hai,
Par Maine To Phoolo Ko Akele Me Rote Dekha Hai.

Tuesday, November 17, 2015

Peene de yaar abhi raat baaki hai,

Peene de yaar abhi raat baaki hai,
Mere hisse ke do jaam baaki hai,
Jana hai sab kuch bhula ke mujhe maykhane se,
Peene de dil me abhi kisi ki yaad baaki hai.

Friday, November 13, 2015

Us jaisa moti poore samundar me nahi hai,

Us jaisa moti poore samundar me nahi hai,
Wo chiz maang raha hu jo mukaddar me nahi hai,
Kismat ka likha to mil jayega mere khuda,
Wo chiz adaa kar jo kismat me nahi hai.

Wednesday, October 28, 2015

Abhi Suraj Nahi Dooba Jara Si Shaam Hone Do,

Abhi Suraj Nahi Dooba Jara Si Shaam Hone Do,
Mai Khud Laut Jaunga Mujhe Nakaam Hone Do,
Mujhe Badnaam Karne Ka Bahana Dhoodhte Ho Kyo,
Mai Khud Ho Jaunga Badnaam Pahle Naam Hone Do.

Tuesday, October 27, 2015

Hasin hai duniya chal ke dekho,

Hasin hai duniya chal ke dekho,
Is Ranj-O-Gam se nikal ke dekho,
Tamaam baate hongi safar me,
Nishan na honge is pal ke dekho,
Use nahi hai kadar tumhari,
To yaar tum bhi badal ke dekho,
Na chura le dil fir nazar kisi ki,
Jise bhi dekho sambhal ke dekho,
Koi zidd tumhari bhi hogi poori,
Baccho jaise machal ke dekho,
Ho jaye roshan kisi ka ghar jo,
Tinka tinka tum jala ke dekho.

Monday, October 26, 2015

Ruthkar baith na jana humko manane wale,

Ruthkar baith na jana humko manane wale,
Raah khud bhul na jana Raah dikhane wale,
Aapke aangan me barse khusi ka baadal,
Yahi duaa karte hai hum ashk bahane wale.

Sunday, October 25, 2015

Mohabbat Dukh Nahi Deti,

Mohabbat Dukh Nahi Deti,
Agar Be_Garz Ho Jazba,
Agar Manzil Bane Rashta,
Agar Chahat Ke Parde Me,
Koi Lalach Na Ho Lipta,
Agar Tum Saunp Do Sab Kuch,
Sile Me Kuch Nahi Maango,
Agar Sauda Na Ho Koi,
Mohabbat Bas Mohabbat Ho,
To Fir Ye Sukh Hi Deti Hai,
Kabhi Bhi Dukh Nahi Deti.

Thursday, October 22, 2015

सरे आम न जुल्फे यूँ बिखरा के चलिए,

सरे आम न जुल्फे यूँ बिखरा के चलिए ,
हुजुर इस कदर भी न इतरा के चलिए,
इन मदमस्त आँखों से तुम्हारी कोई हो इशारा ना जाये,
बेमौत कोई तुम्हारे पीछे यूँ ही मारा ना जाये,
सीने से दुपट्टा ना सरका के चलिए,
सरे आम न जुल्फे बिखरा के चलिए,
मीठी मीठी बातें तो सहेलियों से हो रही हैं,
पर ना जाने क्यू नजरें कहीं और खो रही हैं,
यूँ सहेलियों को भी न पागल बनके चलिए,
सरे आम न जुल्फे बिखरा के चलिए,
तेरी आँखों का काजल सागर की गहराई ले बैठा,
क्या होगा अगर कोई मासूम दिल तुमको दे बैठा,
सरे बाज़ार ना यूँ आँखों को तुनका के चलिए !
सरे आम न जुल्फे बिखरा के चलिए ।।

Monday, October 19, 2015

Kahne ko humare paas lafz nahi,

Kahne ko humare paas lafz nahi,
Bhejne ko accha sa SMS nahi,
Par dil se ek aawaz aati hai har baar,
Apna khayal rakha karo,
Kyuki humare paas aap jaisa dost nahi.

Saturday, October 17, 2015

Fool Jaise Dosto Se Bhi Kya Dosti Karna,

Fool Jaise Dosto Se Bhi Kya Dosti Karna,
Kuch Pal Ke Baad Murjha Jate Hai,
Dosti Karni Hai To Hum Jaise Kaanto Se Karo,
Jo Chubne Ke Baad Bhi Yaad Aate Hai.

Thursday, October 15, 2015

Har Saans Ke Saath Mujhe Socha Karoge Tum,

Har Saans Ke Saath Mujhe Socha Karoge Tum,
Apne Hi Aks Me Dhoonda Karoge Tum,
Jab Yaad Ayegi Tumko Wafa Meri,
Fir Har Shaks Ko Chahat Se Dekha Karoge Tum,
Aaj Meri Tanhaiyo Pe Hans Rahe Ho Na,
Mujhse Bichad Ke Isi Baat Pe Roya Karoge Tum.

Wednesday, October 14, 2015

Rashme ulfat ko nibhaye to nibhaye kaise,

Rashme ulfat ko nibhaye to nibhaye kaise,
Har taraf aag hai daaman ko bachaye kaise,
Bojh hota jo gamo ka to utha bhi lete,
Zindgi bojh bani to fir uthaye kaise.

Wednesday, October 7, 2015

Mere Dil Ki Duniya Pe Tera Hi Raaj Tha,

Mere Dil Ki Duniya Pe Tera Hi Raaj Tha,
Kabhi Tere Sir Par Bhi Wafao Ka Taaj Tha,
Tune Mera Dil Toda Par Pata Na Chala Tujhko,
Kyuki Toota Dil Diwane Ka Be-Aawaj Tha.

Sunday, September 27, 2015

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Me,

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Me,
Use Uski Sakhiyo Ne Sajaya Hoga,
Gore Hatho Ko Mehandi Se Sajaya Hoga,
Bahut Gehra Chadha Hoga Mehandi Ka Rang,
Us Mehandi Me Usne Mera Naam Chupaya Hoga.

Saturday, September 26, 2015

Mehfil Me Hansna Mera Mizaz Ban Gaya,

Mehfil Me Hansna Mera Mizaz Ban Gaya,
Tanhai Me Rona Ek Raaz Ban Gaya,
Dil Ke Dard Ko Chehre Se Zahir Na Hone Diya,
Yahi Mere Jeene Ka Andaaz Ban Gaya.

Friday, September 25, 2015

Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye,

Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye,
Tasvir Ho Gaya Hu Tasvir Dekh Kar,
Tujhe Kya Khabar Teri Yaad Ne Mujhe,
Kis Tarah Se Sata Diya ?
Kabhi Akele Me Hansa Diya,
Kabhi Mehfilo Me Rula Diya.

Wednesday, September 23, 2015

Dosti Najaro Se Ho To Kudrat Kahte Hai,

Dosti Najaro Se Ho To Kudrat Kahte Hai,
Sitaro Se Ho To Jannat Kahte Hai,
Husn Se Ho To Mohabbat Kahte Hai,
Aur Aapse Ho To Use Kismat Kahte Hai.

Tuesday, September 22, 2015

हद-ए-शहर से निकली तो गाँव गाँव चली,

हद-ए-शहर से निकली तो गाँव गाँव चली,
कुछ यादें मेरे संग पांव पांव चली,
सफ़र जो धूप का किया तो तजुर्बा हुआ,
वो जिंदगी ही क्या जो छाँव छाँव चली।

Monday, September 21, 2015

Takdir likhne wale ek ehsaan likh de ,

Takdir likhne wale ek ehsaan likh de,
Mere dost ki takdir me sirf muskan likh de,
Na mile zindgi me kabhi bhi dard usko,
Tu chahe to uski kismat me meri jaan likh de.

Thursday, September 17, 2015

Na maang kuch zamane se ye de kar fir sunate hai,

Na maang kuch zamane se ye de kar fir sunate hai,
Kiya ehsaan jo ek baar to laakh baar jatate hai,
Jinke paas daulat hai samjhte hai bhagwan khud ko,
Tu maang apne bhagwan se jaha mangne wo bhi jate hai.

Monday, September 14, 2015

Uske siwa koi mere jazbaat me nahi,

Uske siwa koi mere jazbaat me nahi,
Aankho me jo nami hai wo barshat me nahi,
Pane ki use koshish bahut ki magar,
Wo ek lakeer hai jo mere haath me nahi.

Saturday, September 12, 2015

Har baar dil se ye paigam aaye,

Har baar dil se ye paigam aaye,
Juban kholu to tera hi naam aaye,
Tum hi kyu bhaye dil ko kya maloom,
Jab nazro ke samne hasin tamam aaye.

Aaj har ek pal khoobsurat hai,

Aaj har ek pal khoobsurat hai,
Dil me sirf teri hi soorat hai,
Kuch bhi kahe ye duniya gam nahi,
Duniya se zyada humko teri zarurat hai.

Friday, August 28, 2015

Ye yaad hai tumhari ya yaado me tum ho,

Ye yaad hai tumhari ya yaado me tum ho,
Ye khwab hai tumhare ya khwabo me tum ho,
Hum nahi jaante hume bas itna bata do,
Hum jaan hai tumhari ya humari jaan tum ho.

Kaash Yaado ka matlab wo samajhte,

Kaash Yaado ka matlab wo samajhte,
Kaash khwabo ka matlab wo samajhte,
Nazar milti hai hazaar nazro se,
Kash hamari nazar ka matlab wo samajhte.

Tuesday, August 25, 2015

Koshish karta hu jab sher banane ki kabhi,

Koshish karta hu jab sher banane ki kabhi,
To kambakht pyar yaad aa jata hai,
Aur jab koshish karta hu pyar yaad karne ki,
To na jaane kaise sher ban jata hai.

Sunday, August 23, 2015

Jara palat kar to dekh lete,

Jara palat kar to dekh lete,
Hum wahi khade the,
Pal do pal to aap muskura lete,
To un palo me hum apni saari zindagi jee lete.

Friday, August 21, 2015

Aankho ki saja tab tak jab tak didar na ho,

Aankho ki saja tab tak jab tak didar na ho,
Dil ki saja tab tak jab tak yaar na ho,
Ye zindagi bhi ek saja hai,
Jab tak kisi se pyar na ho.

Tuesday, August 18, 2015

Dard ka ehsaas janna hai to pyar kar ke dekho ,

Dard ka ehsaas janna hai to pyar kar ke dekho ,
Apni aankho me kisi ko utar kar dekho,
Chot unko lagegi aansu tumhe aa jayege,
Ye ehsaas jaanna ho to dil haar kar dekho.

Monday, August 17, 2015

Aisi deewangi dekhi na kahi,

Aisi deewangi dekhi na kahi,
Hum haste to aasman toot jata kahi,
Hum aankhe milate to aag lag jati kahi,
Hum bolte to qayamat aa jaye kahi.

Sunday, August 16, 2015

Dil abhi poori tarah toota nahi,

Dil abhi poori tarah toota nahi,
Dosto ki meharbani chahiye,
Aapne jo gam diya hai shukriya,
Pyar ki kuch to nishani chahiye.

Friday, August 14, 2015

Wahi toot te hai dil jaha pe ikrar hota hai,

Wahi toot te hai dil jaha pe ikrar hota hai,
Wafaye wahi hoti hai jaha pe aitbar hota hai,
Ajeeb hoti hai fitrat mehbooba ki,
Kare aankho se izhar mukh pe inkar hota hai.

Wednesday, August 12, 2015

Tere gam ko apni rooh me utaar lu,

Tere gam ko apni rooh me utaar lu,
Zindagi teri chahat Me sawar lu,
Mulakat ho tum se kuch is tarah ki,
Tamam umar bas ek mulakat me gujar du.

Sunday, July 26, 2015

Dil abhi poori tarah toota nahi,

Dil abhi poori tarah toota nahi,
Dosto ki meharbani chahiye,
Aapne jo gam diya hai shukriya,
Pyar ki kuch to nishani chahiye.

Wahi toot-te hai dil jaha pe ikrar hota hai,

Wahi toot-te hai dil jaha pe ikrar hota hai,
Wafaye wahi hoti hai jaha pe etbaar hota hai,
Ajeeb hoti hai fitrat mehbooba ki,
Kare aankho se izhar mukh pe inkar hota hai.

Saturday, July 25, 2015

Aansu ko aankho ki dehliz par laya na karo,

Aansu ko aankho ki dehliz par laya na karo,
Apne dil ki halat kisi ko bataya na karo,
Log mutthi bhar namak liye ghumte hai,
Apne zakhm kisi ko dikhaya na karo.

Wednesday, July 22, 2015

Aap har manzil ko mushkil samajhte hai,

Aap har manzil ko mushkil samajhte hai,
Hum aap ko manzil samajhte hai,
Bada fark hai aapke or hamare nazariye me,
Aap hume sapna or hum aapko apna samajhte hai.

Tujhe dekhu to sara jaha rangin nazar aata hai,

Tujhe dekhu to sara jaha rangin nazar aata hai,
Tere bina dil ko chain kaha aata hai,
Tum hi ho mere dil ki dhadkan,
Tere bina ye sansar suna suna nazar aata hai.

Monday, July 20, 2015

Baat kah di jaye juba se zaroori to nahi,

Baat kah di jaye juba se zaroori to nahi,
Zindgi guzri hai aadhi poori to nahi,
Samjhenge wo nigaho se mere dil ki dastan,
Door baithe hai par dilo me doori to nahi.

Friday, July 17, 2015

Meri Zindagi Ko Ek Tamasha Bana Diya Usne,

Meri Zindagi Ko Ek Tamasha Bana Diya Usne,
Bhari Mehfil Me Tanha Bitha Diya Usne,
Aisi kya Thi Nafrat Usko Mere Masoom Dil Se,
Khushiya Chura Kar Gam Thama Diya Usne,
Bahut Naaz Tha Uski Wafa Pe Kabhi Humko,
Mujhko Hi Meri Nazro Me Gira Diya Usne,
Kisi Ko Yaad Karna To Uski Fitrat Me Shamil Nahi,
Hawa Ka Jhonka Samjh Kar Bhula Diya Usne.

Thursday, July 16, 2015

Yaad aata hai wo guzra hua waqt,

Yaad aata hai wo guzra hua waqt,
Sochta hu bewafa mai hu ya wo,
Tod di thi humne duniya ki rashme,
Lekin ek raah par chal na paye,
Wo pyar hi tha na jo humne kiya,
Lekin jhoota to koi hai mai ya wo,
Hum bichad to gaye hai lekin,
Hai udas kaun mai ya wo,
Humne jeene marne ki saath khayi thi kashme,
Lekin jee raha hai kaun mai ya wo.

Yaado ki dhund me aapki parchai si lagti hai,

Yaado ki dhund me aapki parchai si lagti hai,
Kaano me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me sanse bhi parai si lagti hai.

Saturday, July 11, 2015

Shikayat nahi karta zamane se koi,

Shikayat nahi karta zamane se koi,
Agar maan jata manane se koi,
Kisi ko fir yaad na karta koi,
Agar bhul jate bhulane se koi.

Friday, June 26, 2015

Kahi Mile To Use Ye Kahna,

Kahi Mile To Use Ye Kahna,
Fasle-Nafrat Gira Raha Hu,
Gaye Dino Ko Bhula Raha Hu,
Wo Apne Wado Se Fir Rahi Hai,
Mai Apne Wade Nibha Raha Hu,
Kahi Mile To Use Ye Kahna,
Na Dil Me Koi Malal Rakhe,
Hamesha Apna Khayal Rakhe,
Wo Apne Sare Gum Mujhko De De,
Tamam Khushiya Sambhal Rakhe.

Wednesday, June 24, 2015

Tere haath ki mai wo lakeer ban jau,

Tere haath ki mai wo lakeer ban jau,
Sirf mai hi tera muqadar teri takdeer ban jau,
Mai tujhe itna chahu ki tu bhool jaye har rishta,
Sirf mai hi tere har rishte ki tasveer ban jau,
Tu aankhe band kare to aau mai hi nazar,
Es tarah mai tere har khawab ki tabeer ban jau.

Saturday, June 20, 2015

Zindagi Hans Ke Basar Karna,

Zindagi Hans Ke Basar Karna,
Nafrato Ke Raste Par Na Safar Karna,
Wafa Na Ho To Mohabbat Adhuri Hai,
Mohabbat Ke Safar Me Wafa Ki Fikar Karna,
Mohabbat Har Kisi Ka Muqaddar Nahi Hoti,
Mile Jo Mohabbat To Iski Kadar Karna.

Thursday, June 18, 2015

Rone Ki Saza Na Rulane Ki Saza Hai,

Rone Ki Saza Na Rulane Ki Saza Hai,
Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Saza Hai,
Haste Hai To Aankho Se Nikal Aate Hai Aansu,
Ye Us Shaks Se Dil Lagane Ki Saza Hai.

Wednesday, June 17, 2015

Aye Rabba Kya Cheez Mohabbat Tune Banayi Hai,

Aye Rabba Kya Cheez Mohabbat Tune Banayi Hai,
Kisi Ko Ye Mil Jaati Hai Aur Koi Sahta Umar Bhar Ki Tanhai Hai,
Saath Chalne Ke Khwab Dekhte Hai Jo Log Mohabbat Me,
Koi Pa Leta Hai Apni Manzil Ko Aur Koi Sahta Umar Bhar Ki Judai Hai.

Ek pal ke liye mujhe door jaane do,

Ek pal ke liye mujhe door jaane do,
Tere pyar ke nashe me doob jaane do,
Kaabil na raha ab mai tere pyar ka,
Wo ek sapna hi tha ab toot jaane do.

Sunday, June 14, 2015

Badi mushkil se bana hu toot jane ke baad,

Badi mushkil se bana hu toot jane ke baad,
Mai aaj bhi ro deta hu muskurane ke baad,
Tujhse mohabbat thi mujhe beintiha,
Lekin aksar ye mehsus hua tere jane ke baad,
Ab tak dhundh raha hu apne andar ke us shaks ko,
Jo nazar se kho gaya hai nazar aane ke baad.

Friday, June 12, 2015

Naam uska likh kar mita raha tha mai,

Naam uska likh kar mita raha tha mai,
Dil ko apne yu bahla raha tha mai,
Na thi jisko mere pyar ki kadar dosto,
Ittefaq se usi ko chah raha tha mai,
Usi diye ne jala diya mere hatho ko,
Jisko hawa se bacha raha tha mai.

Thursday, June 11, 2015

Rula Gai Aaj Wo Aankhe Fir Mujhe,

Rula Gai Aaj Wo Aankhe Fir Mujhe,
Dard Me Dooba Ek Shaks Nazar Aa Gaya,
Mai To Hans Ke Har Gam Bhula Deta Tha,
Wo Meri Hansi Ko Hi Chura Gaya.

Wednesday, June 10, 2015

Bahut Kuch Kho Chuka Hu,

Bahut Kuch Kho Chuka Hu,
Ab Tujhe Pana Chahta Hu,
Apni Baho Me Bhar Lo,
Sar Rakhke Tere Dil Pe Rona Chahata Hu,
Sardiyo Ke Mausam Me Ek Chaddar Ke Niche,
Tere Seene Pe Sar Rakh Kar,
Sukun Ki Nind Sona Chahata Hu.

Friday, May 29, 2015

Betab Se Rahte Hai Teri Yaad Me Aksar,

Betab Se Rahte Hai Teri Yaad Me Aksar,
Raat Bhar Nahi Sote Teri Yaad Me Aksar,
Jism Me Dard Ka Bahana Sa Bana Kar,
Hum Toot Ke Rote Hai Teri Yaad Me Aksar.

Thursday, May 28, 2015

Tanhai Mere Dil Me Samati Chali Gayi,

Tanhai Mere Dil Me Samati Chali Gayi,
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi,
Mehkti Fiza Ki Khusbu Me Jo Deka Pyar Ko,
Bas Yaad Unki Aayi Aur Rulati Chali Gayi.

Kaise Kahu Ki Apna Bana Lo Mujhe,

Kaise Kahu Ki Apna Bana Lo Mujhe,
Nigaho Me Apni Sama Lo Mujhe,
Aaj Himmat Kar Ke Kahta Hu Ki,
Mai Tumhara Hu Ab Tum Hi Sambhalo Mujhe.

Wednesday, May 27, 2015

Ajeeb Bhi Tu Hai Nasib Bhi Tu Hai,

Ajeeb Bhi Tu Hai Nasib Bhi Tu Hai,
Duniya Ki Bhid Me Karib Bhi Tu Hai,
Teri Duao Se Hi Chalti Hai Zindagi,
Kyuki Rabb Bhi Tu Hai Taqdir Bhi Tu Hai.

Monday, May 25, 2015

Har khushi Hai Logo Ke Daman Me,

Har khushi Hai Logo Ke Daman Me,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi,
Din Raat Daudti Duniya Me,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi,
Saare Naam Mobile Me Hai,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi,
Gairo Ki Kya Baat Kare,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi,
Aankho Me Hai Nind Badi,
Par Sone Ka Waqt Nahi,
Dil Hai Gamo Se Bhara,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi,
Paiso ki Daud Me Aise Daude,
Kya Thakne ka Bhi Waqt Nahi,
Paraye Ehsaso Ki Kya Kadar Kare,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Saturday, May 23, 2015

Pyar ke panno se bhari kitab ho tum,

Pyar ke panno se bhari kitab ho tum,
Rishto ke phulo me gulab ho tum,
Kuch log kahte hai ki pyar saccha nahi hota,
Un logo ke har sawal ka jawab ho tum.

Friday, May 22, 2015

Jaati Nahi Aankho Se Surat Teri,

Jaati Nahi Aankho Se Surat Teri,
Na Jaati Hai Dil Se Mohabbat Teri,
Tere Jaane Ke Baad Hota Hai Mehsus Yu,
Hume Aur Bhi Jyada Hai Zaroorat Teri.

Tuesday, May 12, 2015

Tum beshaq hume dil se nikal do,

Tum beshaq hume dil se nikal do,
Hum tumhe dil ke sheeshe me hamesha sajayenge,
Tum chahe jitne bhi door jao humse,
Tumhe satane teri yaado me aa jayenge,
Kabhi bhulne ki koshish ki jo tumne to yaad rakhna,
Hum khwab me aake tumhe jaga jayenge.

Tuesday, May 5, 2015

Yaade aksar hoti hai satane ke liye,

Yaade aksar hoti hai satane ke liye,
Koi rooth jata hai fir maan jane ke liye,
Rishte nibhana koi mushkil to nahi,
Bas dilo me pyar chahiye use nibhane ke liye.

Sunday, May 3, 2015

Dard ki bhi aadat pad jati hai,

Dard ki bhi aadat pad jati hai,
Dard na ho to nind nahi aati hai,
Mai sochta tha ki ye haal sirf mera hai,
Par aaj saari duniya hi apni si nazar aati hai.

Friday, April 24, 2015

Wo yaro ki mehfil wo muskurate pal,

Wo yaro ki mehfil wo musukrate pal,
Dilse juda hai apna bita hua kal,
Kabhi guzrti thi zindgi waqt bitane me,
Ab waqt guzar jata hai kagaz ke chand note kamane me.

Wednesday, April 22, 2015

Aansu ko Bahut samjhaya tanhai me aaya karo,

Aansu ko Bahut samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me humara mazaak na udaya karo,
Ispar aansu tadapkar bola,
Itne logo me aapko tanha pate hai,
Isliye to chale aate hai.

Tuesday, April 21, 2015

Kho Na Jao Kahi Tum Duniya Ki Bheed Me,

Kho Na Jao Kahi Tum Duniya Ki Bheed Me,
Isliye Dil Me Chupakar Rakhta Hu,
Tumko Lage Na Kisi Ki Buri Nazar,
Isliye Aankho Me Basakar Rakhta Hu.

Monday, April 20, 2015

Raate gum naam hoti hai,

Raate gum naam hoti hai,
Din kisi ke naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jeete hai,
Ki har lamha sirf aapke hi naam hota hai.

Friday, April 17, 2015

Tu Mera Sapna Mera Armaan Hai,

Tu Mera Sapna Mera Armaan Hai,
Par Shayad Tu Apni Ahmiyat Se Anjaan Hai,
Mujhse Kabhi Bhi Ruth Mat Jana,
Kyuki Meri Duniya Tere Bina Viraan Hai.

Wednesday, April 15, 2015

Mujhse Roothegi Jab Tu To Mujhe Rula Degi,

Mujhse Roothegi Jab Tu To Mujhe Rula Degi,
Fir Khud Hi Apni Shararto Se Hansa Degi,
Udas Hota Hu To Jee Karta Hai Tere Kandhey Pe Sar Rakh Du,
Mujhe Yakin Hai Ek Tu Hi Mujhe Hausla Degi,
Us Roz Mai Zindagi Se Hi Ruth Jau Shayad,
Jis Roz Tu Mujhe Apne Dil Se Bhula Degi,
Teri Bato Pe Is Kadar Mujhe Kyu Pyar Aata Hai,
Ye Mera Pyar Tujhe Ek Din Maghrur Bana Dega,
Kadar Tumhari Meri Tarah Na Koi Kar Payega,
Khud Wqat Tujhe Ek Din Ye Baat Samjha Dega.

Tuesday, April 7, 2015

Ye Zamane Ki Wafaye Mere Kaam Ki Nahi,

Ye Zamane Ki Wafaye Mere Kaam Ki Nahi,
Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi,
Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi,
Ye Tamam Muskurahate Kisi Daam Ki Nahi,
Mujhe Gum Hai To Uske Chale Jaane Ka,
Parwah Mujh Par Lage Kisi Ilzaam Ki Nahi,
Mera Haath Dekh Kar Rabb Ye Bola,
Bahut Si Chahate Tere Liye Hai Baki Lekin,
Tere Haath Me Koi Bhi Lakir Uske Naam Ki Nahi.

Monday, April 6, 2015

Zindigi me bas ek dil se chaha unhe,

Zindigi me bas ek dil se chaha unhe,
Akele ho ke bhi unke khayalo ke sang jiya humne,
Gum dard sab me bhi muskaraya humne,
Par najane kyu humari mahobbat ka yakin hua na unhe.

Sunday, April 5, 2015

Tere seene se lag kar teri aarzu ban jau,

Tere seene se lag kar teri aarzu ban jau,
Teri sanso se milkar teri khushbu ban jau,
Faasle na rahe koi hum dono ke darmiya,
Mai mai na rahu bas tu hi tu ban jau.

Friday, April 3, 2015

Fizao ka mausam jane par baharo ka mausam aaya,

Fizao ka mausam jane par baharo ka mausam aaya,
Gulab se gulab ka rang tere gaalo par aaya,
Tere naino ne kaali ghata ka kajal lagaya,
Jawani jo tum par chadi to nasha meri aankho me aaya.

Friday, March 27, 2015

Tamana hai meri ki aapki aarzu ban jau,

Tamana hai meri ki aapki aarzu ban jau,
Aapki aankh ka tara na sahi aapki aankh ka aansu ban jau,
Mai aap ki zindagi ki kushi banu ya na ban saku,
Aapke gum me aapka sahara ban jau.

Monday, March 23, 2015

Yeh Hum Bhi Gawara Karte Hai,

Ye Hum Bhi Gawara Karte Hai Ye Tum Bhi Gawara Kar Lena,
Ro Ro Ke Guzari Hai Humne Tum Hans Ke Guzara Kar Lena,
Betabi Had Se Badh Jaye Aur Nind Na Aaye Raato Ko,
To Doob Ke Meri Yaado Me Duniya Se Kinara Kar Lena,
Jis Waqt Janaza Guzrega Us Shaks Ka Tere Kooche Se,
Jazbat Pe Kabu Kar Lena Khidki Se Nazara Kar Lena.

Sunday, March 22, 2015

Teri Nashili Nigaho Ki Garmi Patthar Ko Bhi Pighla De,

Teri Nashili Nigaho Ki Garmi Patthar Ko Bhi Pighla De,
Tere Husan Ki Ek Jhalak Kitne Hi Tajmahal Banwa De.
Rab Ki Kasam Teri Bheegi Saanse Sone Sa Rang,
Insaan To Kya Tu Farishto Ka Bhi Imaan Dagmaga De.

Saturday, March 21, 2015

Kabhi Tum Muje Karib Se Aa Ke Dekna,

Kabhi Tum Muje Karib Se Aa Ke Dekna,
Aise Nahi Jara Aur Paas Aa Ke Dekhna,
Mai Tum Se Kitna Pyar Karta Hu,
Mujhe Kabhi Seene Se Laga Kar Dekna,
Mai Tujhe Ashqo Ki Kataar Me Nazar Aaunga,
Meri Yaad Mai Kabhi Aansu Baha Ke Dekna,
Meri Gazal Padh Kar Bhi Tum Par Asar Na Ho,
To Logo Ko Meri Gazal Suna Ke Dekhna.

Thursday, March 19, 2015

Gamo Ki Barsat Samete Baitha Hu,

Gamo Ki Barsat Samete Baitha Hu,
Kisi Bewafa Se Fareb Khaye Baitha Hu,
Jane Kab Dega Uparwala Maut Mujhe,
Rab Ke Bharose Aas Lagaye Baitha Hu.

Wednesday, March 18, 2015

Zaruri nahi ki pyar ki manzil mil jaye,

Zaruri nahi ki pyar ki manzil mil jaye,
Jise hum chahte hai wo hame mil jaye,
Na mile fir bhi na kaho use bewafa,
Dua Karo koi hamse bhi pyara use mil jaye.

Thursday, March 12, 2015

Akele hi yaade basa raha hu mai,

Akele hi yaade basa raha hu mai,
Khud ko aapke naam se sata raha hun mai,
Meri bahe sooni-sooni hai aapke bin,
Meri ye har raat adhoori hai aapke bin.

Tuesday, March 10, 2015

Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khyal Unka,

Dil Ko Aata Hai Jab Bhi Khyal Unka,
Tasvir Se Puchte Hai Fir Haal Unka,
Wo Kabhi Humse Pucha Karte The Judai Kya Hai,
Aaj Samajh Aaya Hai Hume Sawal Unka.

Raat ko dekh kar tanhai kyu chali aati hai,

Raat ko dekh kar tanhai kyu chali aati hai,
Tanhai ko dekh kar aansu kyu chale aate hai,
Ab in aansuo ko mai kaise roku mere hamdam,
Bas Teri yaad mujhe bahut aati hai.

Wednesday, March 4, 2015

Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye,

Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye,
Suna Hai Aajkal Wo Hamara Naam Tak Bhul Gaye,
Kasam Khayi Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro,
Aaj Wo Hamari Laash Par Aana Hi Bhul Gaye.

Wednesday, February 25, 2015

Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,

Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,
Sapno me aake mujhse milna kabhi,
Maine duniya sazai hai tere liye,
Meri nazro ki ummid ban'na kabhi,
Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,
Jara hum kadam banke mere sath chalna kabhi,
Bahut najuk seene mai DIL hai mera,
Tum andaj mohabbat banke dhadkna kabhi.

Monday, February 23, 2015

Waqt Aur Khushi Tere Gulam Honge,

Waqt Aur Khushi Tere Gulam Honge,
Ye Pal Ye Pahlu Tere Hi Naam Honge,
Jara Niche Mud Kar Dekhna Mere Humsafar,
Tere Har Kadam Ke Niche,
Mere Haatho Ke Nishan Honge.

Friday, February 20, 2015

Har aahat humara ehsas dilayegi,

Har aahat humara ehsas dilayegi,
Har hawa kissa humara sunayegi,
Itni yade bhar denge aapki zindagi me,
Na chahte hue bhi aapko humari yaad aayegi.

Thursday, February 19, 2015

Apni zindagi me mujhko karib samajhna,

Apni zindagi me mujhko karib samajhna,
Koi gum aaye to sharik samjhna,
De denge muskurahat aansu ke badle,
Magar hazaro me thoda aziz samjhna.

Monday, February 16, 2015

Ye duniya wale bhi bade ajeeb hai,

Ye duniya wale bhi bade ajeeb hai,
Kabhi hamse door to kabhi kareeb hai,
Dard na bataye to hume kayar kahte hai,
Aur dard bata de to shayar kahte hai.

Friday, February 13, 2015

Dil ki aawaz se nagme badal jate hai,

Dil ki aawaz se nagme badal jate hai,
Saath na ho to apne badal jate hai,
Palke bhi jara sambhal kar jhapakna.
Kyuki palke jhapakne se aksar sapne badal jate hai.

Tuesday, February 10, 2015

Khushbu mangi thi Rabb se,

Khushbu mangi thi Rabb se,
Wo hume lajawab phool thama gaye,
Thodi khushi mangi thi dua me,
Wo hume aapse milakar sabse khush nashib bana gaye.

Friday, February 6, 2015

Zindagi mujhse yu daga na kar,

Zindagi mujhse yu daga na kar,
Mai zinda rahu bin uske ye dua na kar,
Dekhta hai use koi to hoti hai jalan,
Aye hawa tu bhi use chuaa na kar.

Wednesday, February 4, 2015

Kismat par naaz hai to wajah teri rehmat hai,

Kismat par naaz hai to wajah teri rehmat hai,
Khushiya jo paas hai to wajah teri rehmat hai,
Mere apne mere sath hai to wajah teri rehmat hai,
Mai tujhse mohabbat ki talab kaise na karu,
Chalti jo ye saans hai to wajah teri rehmat hai.

Monday, February 2, 2015

Ek pal ki judai gawara na kar sake,

Ek pal ki judai gawara na kar sake,
Aisa ishq hum dobara na kar sake,
Zindagi bhar palat ke na dekha kabhi,
Hum fir bhi shikwa tumhara na kar sake,
Tune to har kisi se dil laga ke dekha,
Magar hum apne dil ko aawara na kar sake,
Jaan tak luta di unke pyar me magar,
Ek dil hi wo apna humara na kar sake.

Tuesday, January 27, 2015

Jo Lut Gaye Nashe Me,

Jo Lut Gaye Nashe Me,
Wo Sharab Ko Ilzaam Dete Hai,
Jo Lut Gaye Bewafai Se,
Wo Shabab Ko Ilzaam Dete Hai.

Milti Thi Mujhe Wo Kbhi Pal Pal Ke Fark Se,

Milti Thi Mujhe Wo Kbhi Pal Pal Ke Fark Se,
Fir Rafta Rafta Fark Ye Saalo Me Aa Gya,
Fir Yu Hua Ki Aankh Se Aansu Nikal Pade,
Chehra Kabhi Jo Uska Khyalo Me Aa Gya.

Sunday, January 25, 2015

Gam Ke Maare Jo Muskuraye Hai,

Gam Ke Maare Jo Muskuraye Hai,
Aansuo Ko Bhi Pasine Aaye Hai,
Kya Bala Hai Khushi Nahi Malum,
Hum To Bus Naam Sunte Aaye Hai.

Saturday, January 24, 2015

Usne hontho se chu kar,

Usne hontho se chu kar,
Paani ko gulabi kar diya,
Hamari baat to aur thi yaaro,
Machliyo tak ko bhi sharabi kar diya.

Tuesday, January 20, 2015

Fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,

Fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
Samne baithi thi mere aur wo meri na thi,
Ye sab hi viraniya un ke juda hone se thi,
Aankh dhundlayi hui thi shehar dhundlaya na tha,
Wo ek khushbu ki tarah faili thi mere charo or,
Mai jise mehsus kar sakta tha par chu sakta na tha,
Raat bhar pichali hi aahat kaan me aati rahi,
Jhank kar dekha gali me koi bhi aaya na tha,
Yu to chehre the hazaro anjuman me,
Aankh jisko dhundhti thi ek wo chera na tha,
Yaad kar ke bhi unhe taklif hoti thi,
Bhul jane ke siwa ab koi bhi chara na tha.

Monday, January 19, 2015

Ye zulf agar khul ke bikhar jaye to accha hai,

Ye zulf agar khul ke bikhar jaye to accha hai,
Is raat ki takdir sanwar jaye to accha hai,
Jis tarah se thodi si zindgi tere saath kati hai,
Baaki bhi usi tarah guzar jaye to accha hai,
Duniya ki nigaho me bhala kya hai aur bura kya,
Ye bojh agar dil se utar jaye to accha hai,
Waise to tumhi ne mujhe barbaad kiya hai,
Ilzaam kisi aur ke sar jaye to accha hai.

Sunday, January 18, 2015

Justaju jiski thi usko to na paya humne,

Justaju jiski thi usko to na paya hamne,
Is bahane se magar dekh li duniya hamne,
Tujhko ruswa na kiya khud bhi pasheman na huye,
Ishq ki rasm ko is tarah nibhaya hamne,
Kab mili thi kaha bichadi thi hume yaad nahi,
Zindagi tujhko to bas khawab me dekha hamne,
Aye sanam aur sunaye bhi to kya hal apana,
Umar ka lamba safar tay kiya tanha hamne.

Saturday, January 17, 2015

Ye gazlo ki duniya bhi ajeeb hai,

Ye gazlo ki duniya bhi ajeeb hai,
Yaha aansuo ka bhi jaam banaya jata hai,
Kah bhi dete hai agar dard-e-dastan,
Fir bhi wah-wah hi pukara jata hai.

Sunday, January 11, 2015

Jab Paas Ho To Rukh Se Nigahe Na Modna,

Jab Paas Ho To Rukh Se Nigahe Na Modna,
Jab Door Ho To Mera Tasavvur Na Chodna,
Aye Dost Dil Lagane Se Pehle Ye Soch Le,
Muskil Bahut Hai Rishto Ki Zanjire Na Todna.

Saturday, January 3, 2015

Ek Nazar Bhi Dekhna Gawara Nahi Use,

Ek Nazar Bhi Dekhna Gawara Nahi Use,
Zara Bhi Ehsaas Hamara Nahi Use,
Wo Sahil Se Dekhte Rahe Doobna Hamara,
Hum Bhi Khuddar The Pukara Nahi Use.