Sunday, November 27, 2016

हम उनकी ज़िन्दगी में सदा अंजान से रहे,

हम उनकी ज़िन्दगी में सदा अंजान से रहे,
और वो हमारे दिल में कितनी शान से रहे,
ज़ख्म गैरों के तो बेअसर थे हमारी हस्ती पर,
अपनों ने लगाई चोट तो थोड़ा परेशान से रहे,
चालाकियां ज़माने की देखा किये सहा किये,
उम्र भर लेकिन वही सादा-दिल इंसान से रहे,
गरजमंद थे हम किस मुंह से शिकायत करते,
उलटे खफा हमेशा अपने दिल ऐ नादान से रहे।।

Saturday, November 26, 2016

Ye dard mit gaya to fir,

Ye dard mit gaya to fir,
Ye zakham sill gaya to fir,
Bichad kar sochta hu mai,
Wo fir se mil gayi to fir,
Mai titliyo ke shehar me,
Rahu to mujhko fiker hai,
Wo phool jo khila nahi,
Wo phool khil gaya to fir,
Tujhe bhi kuch nahi mila,
Mujhe bhi kuch nahi mila,
Tamam umer k liye,
Ye dard mil gaya to fir,
Main is liye to aaj tak,
Sawal bhi na kar saka,
Agar mere sawal ka,
Jawab mil gaya to fir.

Friday, November 25, 2016

Dil teri yaad me jab bhi ghabrayega,

Dil teri yaad me jab bhi ghabrayega,
Kaun yado ko zanjir pahnayega,
Sath guzri hui har khushi ki kasam,
Aey mere hamsafar tere jane ka gam,
Naksh ban kar mere dil pe rah jayega,
Kaun yado ko zanjir pahnayega,
Sangdil hai jahan pyar majboor hai,
Dekh to zindagi kitni benoor hai,
Bin tere kis tarah mujko chain aayega,
Kaun yado ko zanjir pahnayega.

Apni Gali Se Usne Guzarne Na Diya,

Apni Gali Se Usne Guzarne Na Diya,
Dil Ne Kahi Bhi Mujhko Thehrne Nahi Diya,
Aankho Me Aake Jam gaya Sare Badan Ka Khoon,
Lekin Tumhari Yaad Ne Marne Nahi Diya,

Thursday, November 24, 2016

Zindgi Ko Jee Rahi Hu Mai Ek Nasihat Ki Tarah,

Zindgi Ko Jee Rahi Hu Mai Ek Nasihat Ki Tarah,
Waqt Ki Aag Me Jalti Hu Aksar Lakdiyo Ki Tarha,
Is Kadar Bulandiyo Pe Pahuncha Diya Teri Chahat Ne Ki,
Gir Ke Aaj Bikhri Padi Hu Kaanch Ke Tukdo Ki Tarh,
Na Labo Pe Aah Hai Koi Na Chehre Pe Hai Mayusi,
Bus Har Dard Ko Seh Leti Hu Bezuban Patthar Ki Tarha,
Talabgar Hu Kabse Teri Baho Me Sone Ke Liye Mai,
Kisi Roz Aake Tu Seene Se Laga Le Mujhe Dulhan Ki Tarah.

Mujhko Mera Sabak Mil Gaya,

Mujhko Mera Sabak Mil Gaya,
Mitti Sa Tha Mitti Me Mil Gaya,
Dekho Kaise Hans Rahi Kisamat,
Karwan Me Bhi Tahna Chhut Gaya,
Ye To Maine Socha Na Tha,
Paap Ka Matka Fir Bhi Toot Gaya,
Mere Kiye Jo Mere Samne,
Manzil Par Jab Safar Ruth Gaya,
Mujhko Mera Sabak Mil Gaya,
Mitti Sa Tha Mitti Me Mil Gaya,
Barkha Sirf Ek Bahana Ab Hai,
Naino Ka Baand Jo Yu Foot Gaya,
Maine Koshish Bahut Ki Tairne Ki,
Apni Galtiyo Me Kuch Aisa Doob Gaya,
Mujhko Mera Sabak Mil Gaya,
Mitti Sa Tha Mitti Me Mil Gaya.

Wednesday, November 23, 2016

Yu Dil Na Lage Na Dard Uthe,

Yu Dil Na Lage Na Dard Uthe,
Mat Roz Milo To Accha Hai,
Na Pyar Bade Na Jhagda Ho,
Tum Door Baso To Accha Hai,
Is Pyar Ki Sundar Baho Me,
Ab Baahe Daal Ke So Bhi Chuko,
Yun Jee-Jee Ke Ab Marne Se,
Mar-Mar Ke Jio To Accha Hai,
Le Ke Zanzire Hatho Me,
Kuch Log Tumhari Taaq Me Hai,
Aey Ishq Humari Galiyo Me,
Na Aur Firo To Accha Hai.

Tuesday, November 22, 2016

Na Kar Zikra Mera,

Na Kar Zikra Mera,
Zaban Ladkhada Jaayegi,
Hasti Ankho Me Teri,
Meri Dundhli Yaad Sama Jayegi,
Wo Pad Lenge Tera Man,
Raaz Ki Ganth Khul Jayegi,
Mujh Jaisi Fizul Fitrat Ke Liye,
Tu Yuhi Ruswa Ho Jayegi,
Mere Dil Ka Raqeeb Bhi Tu Hai,
Chupa Le Kab Tak Chupayegi,
Gaur Dena Zara Ishq Nishaniyo Pe,
Warna Duniya Ye Jaan Jayegi.

Monday, November 21, 2016

तेरी चौखट से सिर उठाऊं तो बेवफा कहना,

तेरी चौखट से सिर उठाऊं तो बेवफा कहना,
तेरे सिवा किसी और को चाहूँ तो बेवफा कहना,
मेरी वफाओं पे शक है तो खंजर उठा लेना,
मैं शौक से मर ना जाऊं तो बेवफा कहना।

Sunday, November 20, 2016

कुछ बातें करके वो हमे रुला के चली गई,

कुछ बातें करके वो हमे रुला के चली गई,
हम न भूलेंगे यह एहसास दिला के चली गई,
आयेगी कब वो अब तो यह देखना है उम्र भर,
बुझ रही है वो आग जिसे वो जला कर चली गई।