Tuesday, April 23, 2013

Kash wo is dil ka ehsas samjh pate,

Kash wo is dil ka ehsas samjh pate,
Mere sine me atki har saans ko samjh pate,
Unki aanko ne to dekhi hai mehfile hazar,
Meri aanko me unke didar ki aas samjh pate.

Badalna aata nahi humko mausmo ki tarah,

Badalna aata nahi humko mausmo ki tarah,
Har ek raat me tera intejar karte hai,
Na tum samet sakogi jise kyamat tak,
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hai.

Bina Kisi Aas Ke DiL Laga Baithe,

Bina Kisi Aas Ke DiL Laga Baithe,
Parchaiyo Ke Piche Hosh Gawa Baithe,
Diwangi Is Se Badh Kar Aur Kya Hogi,
Jo DiL Ke Sath Jaan Bhi Gawa Baithe.

Khelna Seekh Liya Ab To Dard Se Humne,

Khelna Seekh Liya Ab To Dard Se Humne,
Jeena Seekh Liya Bewafai Ke Sath Ab To,
Dil Kis Kadar Toota Hai Kya Bataye Hum,
Marne Se Pahle Kafan Odhna Sikh Liya Humne.

Mere Bas Me Ho To....

Mere Bas Me Ho To....
Rakh Lu Tujhe Apne Dil Me Chupa Kar,
Ki Tujhe Sab Dekhte Hai,
Aur Mujh Se Ye Dekha Nahi Jata.

Beimteha mahobbat hai aapse batau to kaise,

Beimteha mahobbat hai aapse batau to kaise,
Khafa ho aap hamse Manau to kaise,
Kuch dil se kahna chahte hai hum,
Magar alfazo bayan karu to kaise.

Usne kaha bhrosa dil pe itna nahi karte,

Usne kaha bhrosa dil pe itna nahi karte,
Maine kaha pyar me kabhi socha nahi karte,
Usne kaha bahut kuch duniya ke nazaro me hai,
Maine kaha jab tum sath ho to hum kuch or dekha nahi karte.

Tumne Pucha Hai Chalo Hum Bata Dete Hai,

Tumne Pucha Hai Chalo Hum Bata Dete Hai,
Jo Hum Par Guzri Hai Tum Ko Bhi Suna Dete Hai,
Tere Baad Hume Khud Pe Bhi Aitbar Nahi,
Lafz Likhte Hai Likh Kar Mita Dete Hai,
Nami Ankho Me Liye Kabhi Logo Se Hans Le,
To Aisa Lagta Hai Ki Khud Ko Saza Dete Hai,
Teri Yaad Se Ek Pal Bhi Door Na Rahe,
Yu Hi Dil Ke Bahal Jane Ko Bhula Dete Hai,
Humne Hans Ke Guzare The Tere Saath Kabi,
Yaad Aate Hai Wo Pal To Rula Dete Hai.

Rasto ko pathar ki kami nahi hai,

Rasto ko pathar ki kami nahi hai,
Dil me tute hue sapno ki kami nahi hai,
Hum chahte hai unko apna banana,
Par wo kahte hai unke paas apno ki kami nahi hai.

Tujhe Dil Se Juda Kabhi Hone Nahi Denge,

Tujhe Dil Se Juda Kabhi Hone Nahi Denge,
Tujhe Nind Bhi Aaye To Sone Nahi Denge,
Tera Pyar Hume Itna Pyara Hai Ki,
Hum Mar Bhi Gaye To Tujhe Rone Nahi Denge.

Monday, April 22, 2013

Yaado Me Humari Aap Bhi Khoye Honge,

Yaado Me Humari Aap Bhi Khoye Honge,
Khuli Aankho Se Kabhi Aap Bhi Soye Honge,
Mana Hasna Hai Ada Gam Chupane Ki,
Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge.

Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai,

Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai,
Kasam Rab Ki Wahi Dhokha Khaya Hai,
Kyu Dosh Dete Hai Hum Kaanto Ko,
Zakhm To Humne Phulo Se Hi Paya Hai.

Aaj fir teri yaad aayi barish ko dekh kar,

Aaj fir teri yaad aayi barish ko dekh kar,
Dil pe zor na raha apni bebasi ko dekh kar,
Roye is kadar teri yaad me ki,
Baarish bi thum gayi meri Ashqo ki barish dekh kar.

Zaroori Kaam Hai Lekin Rozana Bhul Jata Hu,

Zaroori Kaam Hai Lekin Rozana Bhul Jata Hu,
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Batana Bhul Jata Hu,
Teri Galio Me Firna Itna Accha Lagta hai,
Mai Rasta Yad Rakhta Hu Thikana Bhul Jata Hu.

Sakoon Naseeb Raha Jab Tak Tere Paas Rahe,

Sakoon Naseeb Raha Jab Tak Tere Paas Rahe,
Fir Us Ke Baad Jaha Bhi Rahe Beqarar Rahe,
Tere Saath Se Door Kya Hue Hum Ae Jaan,
Jis Jagah Bhi Rahe Udas Udas Rahe.

Dil ke dard ko chupana kitna muskil hai,

Dil ke dard ko chupana kitna muskil hai,
Toot ke fir muskurana kitna muskil hai,
Kisi ke saath door tak jao aur fir dekho,
Akele laut kar aana kitna muskil hai.

Mujhko Udaas dekh kar Zamane ne ye Sawal kiya,

Mujhko Udaas dekh kar Zamane ne ye Sawal kiya,
Wo kaun Hai zalim Jisne tera ye haal kiya,
Maine kaha wo mohabbat hai jo meri unke sath hai,
Wo nikle bewafa bus itni si baat hai.

Wo jante hai ki hum unke intezar me hai,

Wo jante hai ki hum unke intezar me hai,
Isliye shayad wo der laga rahe hai,
Waqt kat-ta nahi unke bina hamara,
Ye jante hue bhi hame sata rahe hai,
Na jane kya milta hai unhe hame yu sata kar,
Jo der se aakar bhi wo muskura rahe hai.

Naraz Na Ho Humse Hum Na Reh Payenge,

Naraz Na Ho Humse Hum Na Reh Payenge,
Itna Bada Sadma Hum Na Seh Payenge,
Deti Hai Gum Zindagi Pal Pal Hume,
Tune Diya To Jeene Se Pahle Hi Mar Jayenge.

Jaha dekhu samne nazar aati ho tum,

Jaha dekhu samne nazar aati ho tum,
Pyar ki parchaiyo se hamesha yaad aati ho tum,
Mere Khwabo ki duniya me rahti ho tum,
Mere paas aake muskurati ho tum,
Mohabbat ki in raho me aake tadapati ho tum,
Pyar hume de kar door chali jaati ho tum.

Sunday, April 21, 2013

Bichadte Waqt in Aankho Ka Bhar Jana Zaruri Tha,

Bichadte Waqt in Aankho Ka Bhar Jana Zaruri Tha,
Tumhare Bin Mera Chup Chaap Mar Jana Zaruri Tha,
Mai Hans Kar Jhel Leta DiL Pe Saare War Qismat Ke,
Mujhe Khabar To Kar Dete Agar Jana Zaruri Tha,
Meri Aankho Me Apne Aks Ko Tum Dekh Na Paye,
So Mera Be Niyazi Se Guzar Jana Zaruri Tha,
Mai Jeewan Ke Safar Me Hans Ke Sab Kuch Seh Gaya Lekin,
Jo Tum Bichdte To Fir Mera Aag Me Jal Jana Zaruri Tha.

Tum se Bahut Kuch Kahna Hai Magar,

Tum se Bahut Kuch Kahna Hai Magar,
Kabhi Tum Nahi Milte Kabhi Alfaz Nahi Milte,
Ye Dooriya To Mita Du Mai Ek Pal Me Magar,
Kabhi Kadam Nahi Chalte To Kabhi Raste Nahi Milte,
Tumhe Pana Chahta Hu Umar Bhar Ke Liye Magar,
Kabhi Halat Nahi Milte To Kabhi Jazbaat Nahi Milte.

Ab Intazar Ek Aadat Si Ho Gayi Hai,

Ab Intazar Ek Aadat Si Ho Gayi Hai,
Khamoshi Se Ek Cahat Si Ho Gayi Hai,
Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai,
Kyuki Is Tanhai Se Ab Mohbbat Si Ho Gayi Hai.

Uski sharafat-e-musk­ aan mujhe aaj bhi yaad hai,

Uski sharafat-e-musk­ aan mujhe aaj bhi yaad hai,
Uski har wada-e-zuban mujhe aaj bhi yaad hai,
Yaad hai mujhe wo ronak saari mehfil-e-yaar ki,
Wo apna shehar-e-viraan­ mujhe aaj bhi yaad hai,
Ret ke gharo se bani apni to har khwaish thi,
Uske wo hasrat-e-makaan­ mujhe aaj bhi yaad hai,
Chod kar tanha mujhe wo chale gaye the jahan,
Wo sara rasta-e-shamsha­n mujhe aaj bhi yaad hai,
Aansu se dhula hua wo chehra mere yaar ka,
Aur wo mera dil-e-tufan mujhe aaj bhi yaad hai,
Mar to na sake par kabhi jee bhi na paye hum,
Wo meri maut-e-anjaan mujhe aaj bhi yaad hai.

Jin raho pe ek umar tere sath raha hu,

Jin raho pe ek umar tere sath raha hu,
Kuch roz se wo raste sunsan bahut hai,
Mil jao kabhi laut ke fir aao na tum,
Kamzor hu mai raah me toofan bahut hai,
Ik tum hi nahi meri judai me preshan,
Ham bhi to teri chah me veeran bahut hai,
Ik tark-e-wafa per mai use kaise bhula du,
Mujh par abhi us shaks ke ehsaan bahut hai,

Zindagi Jaise Ek Saza Si Ho Gayi Hai,

Zindagi Jaise Ek Saza Si Ho Gayi Hai,
Gam Ke Sagar Me kuch Is Kadar Kho Gayi Hai,
Tum Aa jao Wapas Ye Guzarish Hai Meri,
Shayad Mujhe Tumhari Aadat Si Ho Gayi Hai.

Waqt Ne Rukh Badla Hai Tufano Ka,

Waqt Ne Rukh Badla Hai Tufano Ka,
Meri Chahat Ne Ghar Jalaya Hai Mere Armano Ka,
Zamana Badal Gaya Par Hum Nahi Badle,
Ab Bhi Keemat Chuka Rahe Hai Tumare Ahsano Ka.

Udass zindgi Udass waqt Udass mausam,

Udass zindgi Udass waqt Udass mausam,
Kitni cheezo pe ilzam lag jate hai,
Ek tumhare baat na karne se.

Ban ke tasveer e gum rah gaye hai,

Ban ke tasveer e gum rah gaye hai,
Khoye khoye se hum reh gaye hai,
Baant li sab ne aapas me khushiya,
Mere hisse me Gum rah gaye hai.

Kabhi aabad karti thi kabhi barbad karti thi,

Kabhi aabad karti thi kabhi barbad karti thi,
Sitam wo roz ek naya ijad karti thi,
Zamana ho gaya lekin khabar lene nahi ayi,
Jo panchi roz mere naam par aazad karti thi.

Saturday, April 20, 2013

Bhar Aayi Meri Aankhe Jab Uska Naam Aaya,

Bhar Aayi Meri Aankhe Jab Uska Naam Aaya,
Ishq Nakaam Sahi Fir Bhi Bahut Kaam Aaya,
Hamne Mohabbat Me Aisi Bhi Guzari Raate,
Jab Tak Aansu Na Bahe DIL Ko Na Aaram Aaya.

Roye Hai Bahut Tab Zara Karaar Mila Hai,

Roye Hai Bahut Tab Zara Karaar Mila Hai,
Is Jahan Me Kise Bhala Sacha Pyar Mila Hai,
Guzar Rahi Hai Zindagi Imtehan Ke Daur Se,
Ek Khatam Hua To Dusra Tayar Mila Hai.

Raat itni haseen thi,

Raat itni haseen thi,
Ki saare so rahe the,
Hum hi aise badnaseeb the,
Jo kisi ki yaad me ro rahe the.

Fitrat me nahi humare mohabbat me aansu bahana,

Fitrat me nahi humare mohabbat me aansu bahana,
Bewafai ko unki apni yado me dohrana,
Do boond sharab ki bhula deti hai sare gam,
Aur fir kisi nayi mehbooba ki talash me nikal padte hai Hum.

Tu Laakh Bhula Ke Dhek mujhe,

Tu Laakh Bhula Ke Dhek mujhe,
Hum Rishta Fir Bhi Nibhayenge,
Tum Paani Pi Pi Ke Thak Jaoge,
Hum Hichkiya Ban Ban Kar Aayenge.

Ye aansu ye gam kam nahi honge,

Ye aansu ye gam kam nahi honge,
Ye yade ye lamhe ye har pal nahi honge,
Bita lyia karo kuch pal hamare saath,
Bahut yaad karoge jab hum nahi honge.

Ye duniya hai yaha pe ye tamasha ho bhi sakta hai,

Ye duniya hai yaha pe ye tamasha ho bhi sakta hai,
Abhi jo gum humara hai tumhara ho bhi sakta hai,
Tum apne aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
Ye sauda hai mohabbat ka khasara ho bhi sakta hai,
Tum ye mat samajhna tum hi meri aakhri mohabbat ho,
Mohabbat jurm hai hum se dobara ho bhi sakta hai.

Gulab ki mehak bhi fhiki lagti hai,

Gulab ki mehak bhi fhiki lagti hai,
Kaun si khushbu mujhme basa gayi ho tum,
Zindgi hai kya teri chahat ke siwa,
Ye keisa khawab aankho ko dikha gayi ho tum.

Tujhe udas bhi karna tha khud bhi rona tha,

Tujhe udas bhi karna tha khud bhi rona tha,
Ye hadsa bhi meri jaan kabhi to hona tha,
Wo mujhe tod ke fir jodti rahi aksar,
Mai uske waste jaise koi khilona tha.

Yaad aau to bus itni si inayat karna,

Yaad aau to bus itni si inayat karna,
Apne badle hue lahjay ki wazahat karna,
Tum to chahat ka shah kaar hua karte the,
Kis se seekha hai ye ulfat me milawat karna,
Hum sazao ke haqdaar bane hai kab se,
Tum hi keh do ki jurm hai kya mohabat karna,
Teri furqat me ye aankhe abhi tak nam hai,
Kabhi aana mere ashko ki ziyarat karna,
Dil me ab bhi mohabat ke diye hai roshan,
Dekh bhule nahi teri hasti ki sajawat karna.

Wednesday, April 3, 2013

Kuch Likha Tha Teri Yaad Me,

Kuch Likha Tha Teri Yaad Me,
Mere Aansuo Ne Mita Diya,
Dosto Se Chhupai Thi Dil ki Baat,
Mere Chehre Ne Sab Kuch Bata Diya,
Meri Chahto Ka Bhi Kya Sila Mila,
Maine Jise Toot Ke Chaaha,
Aaj Usne Mujhko Bhula Diya.

Ek Baar Hi Jee Bhar Ke Saza Kyu Nahi Dete,

Ek Baar Hi Jee Bhar Ke Saza Kyu Nahi Dete,
Mai Harf-E-Galat Hu To Mita Kyu Nahi Dete,
Moti Hu To Daman Me Piro Lo Mujhe Apne,
Aansu Hu To Palko Se Gira Kyu Nahi Dete,
Saya Hu To Sath Na Rakhne Ki Wajah Kya,
Pathar Hu To Raste Se Hata Kyu Nahi Dete.

Rone Ki Saza Hai Na Rulane Ki Saza Hai,

Rone Ki Saza Hai Na Rulane Ki Saza Hai,
Ye Dard Mahobbat Ko Nibhane Ki Saza Hai,
Haste Hai To Aankh Se Nikal Aate Hai Aansu,
Ye Ek Shaks Ko Be Inteha Chahne Ki Saza Hai.

Bighi Palko Tale Hum Ne Chupaye Aansu,

Bighi Palko Tale Hum Ne Chupaye Aansu,
Hasna Chaha Maghar Aankh Me Aaye Aansu,
Tum Ko Malum Shayad Ho Ki Na Ho,
Tere Jane Pe Bahut Hum Ne Bahaye Aansu,
Pyar Ik Khel Kaha Tha Ki Tamasha Karte,
Hum Ne Ye Soch Ke Khud Se Bhi Chupaye Aansu,
Jo Tere Sangh Beete The Wo Din Yaad Bahut Aaye,
Hum Ne Injame Muhabat Pe Bahaye Aansu,
Tu Sada Khush Rahe Teri Aankh Me Kabhi Ek Bhi Na Aaye Aansu.

Kaise Khud Se Tujhe Juda Rakhu,

Kaise Khud Se Tujhe Juda Rakhu,
Ye Mere Bas Me Nahi Ki Tujhe Khafa Rakhu,
Nahi Hai Paas Mere Kuch Bhi Tere Siwa,
Mai Tujhe Bhula Du To Yaad Kya Rakhu.

Tuesday, April 2, 2013

Koi To Dost Mere Zindagi Me Aisa Ho,

Koi To Dost Mere Zindagi Me Aisa Ho,
Phoolo Ki Tarah Ho Wafao Jaisa Ho,
Meri Talash Ki Had Us Par Khatam Ho Jaye,
Zameen Par Ho Magar Aasmaan Jaisa Ho.

Mat muskurao itna ki,

Mat muskurao itna ki,
Phoolo ko khabar lag jaye,
Ki kare wo tumhari tareef,
Aur tumhe uski nazar lag jaye.

Tum har taraf pyar se dekha na karo,

Tum har taraf pyar se dekha na karo,
Har taraf pyar ki ek kahani banegi,
Nazar jo zuki to sayari nayi banegi,
Nazar jo uthi to gazal dil ki zubani banegi.

Kaise jiyenge tum bin ye khyal to kiya hota,

Kaise jiyenge tum bin ye khyal to kiya hota,
Jo dard saha humne wo dard tumne bhi kabhi saha hota,
Bas chal diye daman chuda ke begano ki tarah,
Kam se kam hans ke ek dafa alvida to kaha hota.

Is kadar hum zindgi ko manane nikle,

Is kadar hum zindgi ko manane nikle,
Uski chahat ke pagal diwane nikle,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
Uske honto se waqt na hone ke bahane nikle.