Monday, May 28, 2012

Hum Apna Dard Kisi Ko Kahte Nahi,

Hum Apna Dard Kisi Ko Kahte Nahi,
Wo Sochte Hai Ki Hum Tanhayi Sahte Nahi,
Ankho Se Aansu Nikle Bhi To Kaise?
Qki Sukhe Hue Dariya Kabi Bahte Nahi.

Kitna majbur hu kismat ke aage,

Kitna majbur hu kismat ke aage,
Saare khwab toot jate hai ek raat ke aage,
Wafa ki baate to acchi lagti hai,
Par mujh se pucho kitna tadpta hai Dil Mohbat ke aage.

Gardish Me Duba Ek Taara Hai,

Gardish Me Duba Ek Taara Hai,
Hume To Kisi Ki Aarzu Ne Maara Hai,
Hum Unhe Ab Bhi Apna Kehte Hai Yaaro,
Jinhone Hume Maut Se Bhi PehLe Maara Hai.

Unki Khamoshi Se Hum Bhi Naraz The,

Unki Khamoshi Se Hum Bhi Naraz The,
Shayad Hi Tab Juba Pe Koi Alfaz THe,
Jinhe Bata Diya Sab Kuch Humne,
Unke DiL Me Hi Chupe Humare Raaz The.

Dhoke Bhare Nazaro Me Ji Nahi Lagta,

Dhoke Bhare Nazaro Me Ji Nahi Lagta,
Fiza Gayi To Baharo Me Ji Nahi Lgta,
Na Pucho Muje Aapke Gum Me Kya Guzarti Hai,
Yahi Kahuga Hazaro Me Ji Nahi Lgta.

Rehna to chahte the sath unke,

Rehna to chahte the sath unke,
Par is zamane ne rehne na dia,
Kabhi waqt ki khamoshi me khamosh rahe,
To kbhi unki khamoshi ne kuch kehne na dia.

Kahte Hai Bina Mehnat Ke Kuch Haasil Nahi Hota,

Kahte Hai Bina Mehnat Ke Kuch Haasil Nahi Hota,
Na Jane Gum Pane Ke Liye Humne Kaun Si Mehnat Ki Thi.

Usne Kabi Humara Dard Na Samjha,

Usne Kabi Humara Dard Na Samjha,
Fir Bhi Hum Unke Humdard Bante Rahe,
Aisi Diwangi Thi Ki Kanto Se Gujre,
Magar Unke Liye Phool Chunte Rahe.

Pyar Usko Milta Hai Jis Ki Taqdeer Hoti Hai,

Pyar Usko Milta Hai Jis Ki Taqdeer Hoti Hai,
Bahut Kam Hatho Me Ye Lakeer Hoti Hai,
Kabhi Juda Na Ho Pyar Kisi Ka,
Kasam Rab Ki Badi Taqleef Hoti Hai.

Nikle Jab Aansu Uski Aankho Se,

Nikle Jab Aansu Uski Aankho Se,
Dil Karta Hai Saari Duniya Jala Du,
Phir Sochta Hu Honge Duniya Me Uske Bhi Apne,
Kahi Anjane Me Use Aur Na Rula Du.

Sunday, May 27, 2012

Tum Rishta Bhulne Kaise Lage,

Tum Rishta Bhulne Kaise Lage,
Apne Gum Khushi Ko Chupane Kaise Lage,
Hath Chodna Tha To Pahle Bol Dete,
Aise Gum Naam Magrur Hone Kaise Lage.

Haqikat kaho to unko khwab lgta hai,

Haqikat kaho to unko khwab lgta hai,
Shikayat karo to unko mazak lagta hai,
Kitni shiddat se unhe yaad karte hai hum,
Aur ek wo hai jinhe ye sab ittfaak lgta hai.

Jab Tere Aane Ki Aahat Milti Hai,

Jab Tere Aane Ki Aahat Milti Hai,
Dekh Lu To DiL Ko Rahat Milti Hai,
Chahte To Bahut Kuch The Kehna Tumse,
Par Kaha Ashiqon Ko Ijazat Milti Hai,

Socha Tha Na Honge Zndgi Me Ruswa,

Socha Tha Na Honge Zndgi Me Ruswa,
Par Pyar Ki Ruswai Tabah Kar Gayi,
Gaye The Mehfil Me Gam Bhulane,
Waha B Tanhai Apna Farz Ada Kar Gayi.

Bahut Ajeeb Kal Ki Raat Guzri,

Bahut Ajeeb Kal Ki Raat Guzri,
Kuch Tanha Par Kuch Khas Guzri,
Na Neend Aai Na Khwab Koi,
Bas Tere Khayalo Ke Sath Guzri.

Meri Zindagi Ek Band Kitab Hai,

Meri Zindagi Ek Band Kitab Hai,
Jise Aaj Tak Kisi Ne Khola Nahi,
Jisne Khola Usne Padha Nahi,
Jisne Padha Wo Samjha Nahi,
Aur Jo Samaj Saka Wo Mila Nahi.

Har dard humsafer hai meri zindgi ke saath,

Har dard humsafer hai meri zindgi ke saath,
Har zakhm khelta hai meri bebasi ke saath,
Loota hai kisi ne mujh ko muhabat ke naam per,
Kiya fareb meri saadgi ke saath,
Manga nahi hai khuda se kuch bhi tere siwa,
Shamil meri dua hai meri bandagi ke saath,
Shayad muqame ishq se woh na wakif hai,
Use to dushmani hai meri dosti ke saath.

Khayal me aata hai jab us ka chehra,

Khayal me aata hai jab us ka chehra,
To labon pe aksar faryaad aati hai,
Hum bhool jate hai us k sare sitam,
Jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai.

Kuch meethe lamhe mange the,

Kuch meethe lamhe mange the,
Kuch sard hawai mangi thi,
Hum ne to zamane walo se,
Do chaar wafae mangi thi,
Barsaat k her ek badal ne,
Jee bhar k hum ko tarsaya,
Hum bheeg sake ye socha tha,
Aur kali ghatae mangi thi,
Nakam hue jo ulfat me,
Majboor hue jo milne se,
Kuch un k liye kuch apne liye,
Hum ne bhi duae mangi thi.

Mere pyar ki wo had poochte hai,

Mere pyar ki wo had poochte hai,
Dil me hai kitni jagah poochte hai,
Chahte hai sirf unhi ko kyu itna,
Iski bhi wo humse wajah poochte hai.

Friday, May 25, 2012

Usko Pyar Sikhane Me Nakam Rahe Hum,

Usko Pyar Sikhane Me Nakam Rahe Hum,
Jo Chalka Na Paye Wo Jaam Rahe Hum,
Na Pucho Kya Gujri Mere Dil Pe,
Jab Wafa Nibha K Bhi Badnam Rahe Hum.

Nigahe mila ke kiya dil ko jakhmi,

Nigahe mila ke kiya dil ko jakhmi,
Adaao se tum kya sitam dha rahi ho,
Wafao ka kya khub badla diya hai,
Tadapta mujhe chhod ke ja rahi ho.

Dil ke kehne par dil ki duniya chod aaye,

Dil ke kehne par dil ki duniya chod aaye,
Sabhi risto se muh mod aaye,
Humse mat mangna hisab wafai ka yaro,
Unki chahat me na jane kitno ke dil tod aaye.

Jin Siddaton Se Koshish Kar Raha Hu...

Jin Siddaton Se Koshish Kar Raha Hu...
Ab Mai Tumhe Bhulane Ki,
Kabhi Bahut Dil Se Dua Manga Karta Tha...
Tumhe Apna Banane Ki.

Is Aas Me Chala Jjaunga Mmai Ye Jahan Chod Kar,

Is Aas Me Chala Jjaunga Mmai Ye Jahan Chod Kar,
Ki Shayad Mera Marna Hi Kuch Kaam Aayega,
Shayad Chali Aaye Tu Us Pal Mere Paas Daud Kar,
Jis Pal Tere Paas Meri Maut Ka Paigam Aayega.

Bhula kar hame wo khush reh payenge,

Bhula kar hame wo khush reh payenge,
Sath me nahi to mere jane k baad muskurayege,
Dua hai khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to seh lenge par wo toot jayenge.

Tu Ne To SangDili Ki Intiha Kar Di,

Tu Ne To SangDili Ki Intiha Kar Di,
Mujhe Dekh Maine Zindagi Fida Kar Di,
Tujhe Chahne Ka Jurm Hi Kiya Tha Na,
Tune Pal Pal Marna Meri Saza Kar Di.

Rone Se Kisi Ko Kuch Haasil Nahi Hota,

Rone Se Kisi Ko Kuch Haasil Nahi Hota,
Jo Bichhad Jaye Wo Sathi Nahi Hota,
Doosro Ki To Hum Mehfil Sajate Hai,
Par Humari Tanhai Me Koi Shamil Nahi Hota.

Uski Ankho Me Nazar Aata Tha Sara Jahan Mujh Ko,

Uski Ankho Me Nazar Aata Tha Sara Jahan Mujh Ko,
Magar Uski Ankho Me Khud Ko Kabhi Dekha Hi Nahi.

Kaha Se Laye Fursat,

Kaha Se Laye Fursat,
Hum Gham-E-Duniya Ke Liye,
Jo Jaage to Wo Khayalo Ke Malik,
Jo Soye to Wo Khwabo Ke Malik.

Tuesday, May 22, 2012

Yu Na kheech Apni Taraf Mujhe,

Yu Na kheech Apni Taraf Mujhe,
Be-Bus Kar Ke ”Raani”
Ki Khud Se Bhi Bichad Jau,
Aur Tu Bhi Na Mile.

Kis Qadar Anjan Hai Ye “Silsila-e-ISHQ” Bhi..!

Kis Qadar Anjan Hai Ye “Silsila-e-ISHQ” Bhi..!
Muhabat To Qaim Rehti Hai,
Magar “INSAN” Toot Jate Hai.

Toot Sa Gya Hai Meri Chahto ka Wajood,

Toot Sa Gya Hai Meri Chahto ka Wajood,
Ab Koi Accha B Lage To Izhaar Nahi Karte,

Mere tanhaiyo ki gawah hai teri yaade,

Mere tanhaiyo ki gawah hai teri yaade,
Her pal chali aati hai teri yaade,
Sath nibhane ka wada kiya tha tune,
Aur sath nibhati rahe hai teri yaade.

Jab paya humne khud ko tanha uske bin,

Jab paya humne khud ko tanha uske bin,
Tab jake judai ka vishwas hone laga..!

Guzra kuch waqt aise uski yaado me,

Guzra kuch waqt aise uski yaado me,
Hume khud ko unke sath hone ka ehsas hone laga,
Har chehre me wohi nazar aane lagi,
Aur har chehra hamare liye khaas hone laga.

Meri Mulakat Ko Chahe Musibat Kahna,

Meri Mulakat Ko Chahe Musibat Kahna,
Apni Nazar Ko Mere Liye Nafrat Kahna,
Par Akele Me Jab Ansu Bhari Ankhe,
Meri Yad Dilaye To Use Meri Mohbat Kahna.

Mohabbat Me Lakho Zakham Khaye Humne,

Mohabbat Me Lakho Zakham Khaye Humne,
Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi,
Mat Pucho Kya Guzarti Hai Dil Par,
Jab Wo Kehte Hai Hume Tum Se Pyar Nahi.

Kaash Kabhi To Wo Shaam Aaye,

Kaash Kabhi To Wo Shaam Aaye,
Mere Yaar Ko Yaad Mera Naam Aaye,
Kya Wajah Hai Jo Bhula Baitha Hai,
Koi Khabar Mile Koi To Paigaam Aaye,
Yun To Aadat Ho Gai Hai Tanhaai Ki,
Aadat Nahi Rahi Shikwe Aur Ruswaai Ki,
Magar Kuch To Ho Aisa Ki Tadapte Dil Ko Aaram Aaye,
Kaash Kabhi To Wo Shaam Aaye.

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde,

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe Hai Maine,
Koi Khusi Ab To Muqadar Karde.
Bahut Muskil Lagta Hai Usse Door Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Door Chale Gaye Wo Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi,
Aur Mujhe Fanna Karde.

Saturday, May 19, 2012

Mere Bas Me Ho To...,

Mere Bas Me Ho To...,
Lehro Ko itna HAQ Bhi Na Du,
Likhu Kinare Pe Naam Tumhara,
Aur Use Chhune Tak Na Du..!

Mohabat Me Teri Fitrat Kya Thi,

Mohabat Me Teri Fitrat Kya Thi,
Is Kadar Humse Nafrat Kya Thi,
Teri Chahat Pe Wafa Ki Thi Maine,
TuJhe Bewafa Hone Ki Zarurat Kya Thi.

Sukun MiL Gya DiL Ko Badnaam Ho kar,

Sukun MiL Gya DiL Ko Badnaam Ho kar,
Har ILzam Pe Be Zuban Hokar,
Log Padh Lenge Teri Ankho Me Mohabat Meri,
Tu Lakh Inkar Kare Anjaan Ho kar.

Kya Wajah Hai Mere Darne Ki,

Kya Wajah Hai Mere Darne Ki,
Ab To Khwaish Hai Unki Yaado Me Marne Ki,
Unhe Kyu Itna Yaad Karta Hai Dil,
Jinhe Fursat Nahi Hume Yaad Karne Ki.

Pyar Nahi Likha Tha Kismat Me,

Pyar Nahi Likha Tha Kismat Me,
To Rab Ne Pyar Q Krwa Diya,
Shayad Tadpte Hue Dekhna Chahta Tha Wo KisiKo,
Jiske Liye Usne Mujhe Mohra Bana Liya.

Haqiqat ke roop me khwab banta gya,

Haqiqat ke roop me khwab banta gya,
Dhire-2 wo chehra kitab banta gya,
Usne kaha ki mujhe paani accha lagta hai,
Aur meri aankho ka har aansu talab banta gya.

Unhe Koi Aur Bhi Chahe,

Unhe Koi Aur Bhi Chahe,
Is Baat Se Hum Thoda-Thoda Jalte Hai,
Par "Fakr" Hai Hume Is Baat Ka,
Ki Sab Humari Pasand Pe Marte Hai.

Uski Bewafai Par Wafa Mai Karunga,

Uski Bewafai Par Wafa Mai Karunga,
Yaad Ko Uski DiL Se Juda Mai Karunga,
Itna Chaha Fir Bi Use Yakin Nai,
Aisi Zindgi Ji Kar Mai Kya Karuga.

Juda Hokar Bhi Unki Hasrat Na Gyi,

Juda Hokar Bhi Unki Hasrat Na Gyi,
Uski judai Par Bhi Usse Mohbat Na Gyi,
Wo chale Gaye KISI Or Ke Sath,
Fir Bhi Aankho ko Uske Intzar Ki Aadat Na Gyi.

Mehfil Ko Yaaro Jab Bhi Sajaya Gaya,

Mehfil Ko Yaaro Jab Bhi Sajaya Gaya,
Usme Mujhe Isharo Se Bulaya Gaya,
Jab Bhi Zarurat Padi Unhe Roshni Ki,
To Mujh Gareeb Ka Hi DiL Jalaya Gya.

Wednesday, May 16, 2012

Ek Tamanna Hai iss Fakir Ke Paas,

Ek Tamanna Hai iss Fakir Ke Paas,
Rakh Lena Apni Taswir Meri Taswir Ke Paas,
Taaki Log Dekh Kar Kahe,
Dekho Kaise Baitha Hai...
Ranjha Apni Heer Ke Paas.

Tuta DIL Kabhi Pyaar Nahi Kar Sakta,

Tuta DIL Kabhi Pyaar Nahi Kar Sakta,
Thak Gaya Jo Wo Intzar Nahi Kar Sakta,
Maut Ko Gale Laga Lega Wo Par,
Kisi Ke Pyaar Par Aitbar Nahi Kar Sakta.

Ashq Ki Laharo Se Har Shaam,

Ashq Ki Laharo Se Har Shaam,
Palko Ka SahiL Geela Hai,
Shukriya Tera Ae Khuda,
Wafa Na Sahi Bewafa Yaar To MiLa Hai.

Hajar sapne aakho me dekar chale gaye,

Hajar sapne aakho me dekar chale gaye,
Apno ko bhula kar chale gye,
Bahot khub mila mohbat ka Sila,
Pehle hasaya phir Rulakar chale gaye.

Dil tute to zindgi bikhar jayegi,

Dil tute to zindgi bikhar jayegi,
Ye koi zulf nahi jo har bar sawar jayegi,
Tham lo daman uska jo Aapko pyar de,
Warna Ro-Ro ke zindagi guzar jayegi.

Pathrai Aankho Me Sapne Sajaye Jate Hai,

Pathrai Aankho Me Sapne Sajaye Jate Hai,
Barsat Ke Bahane Aansu Bahaye Jate Hai,
Ab Haal Ye Hai Dil Ke Chirago Ka,
Ki Ye Thokro Se Bujaye Jate Hai.

Monday, May 14, 2012

Jab Raat Ko Yaad Unki Aati Hai,

Jab Raat Ko Yaad Unki Aati Hai,
Sitaro Me Unki Tasveer Nazar Aati Hai,
Khojti Hai Nigahe Us Pyare Se Shaks Ko,
Yaad Me Jinki Subah Ho Jati Hai.

Gustakhi Ye Hai Hamari,

Gustakhi Ye Hai Hamari,
Sab Se Rishta Jod Lete Hai,
Log Kehte Hai Mera Dil Patthar Ka Hai,
Lekin Kuch Log Aise Hai Jo Ise Bhi Tod Dete hai.

Khubsurat Hai Zindgi Khawab Ki Tarah,

Khubsurat Hai Zindgi Khawab Ki Tarah,
Jane Kab Tut Jaye Kanch Ki Trah,
Mujhe Na Bhulana Kisi Ki Tarah,
Apne Dil Me Hi Rakhana 1 Yaad Ki Tarah.

Seene Se Nikli Aah Ankho Me Thehar Jati Hai,

Seene Se Nikli Aah Ankho Me Thehar Jati Hai,
Ankhe Chalak Na Jaye Isliye Jhuk Jati Hai,
Jinda Hone Ka Ehsaas Hota Hai Saanso Ke Chalne Se,
Par Koi Yaad Aye To Ye Bhi Ek Pal Theher Jati Hai.

Koi Chupata Hai Koi Batata Hai,

Koi Chupata Hai Koi Batata Hai,
Koi Rulata Hai To Koi Hasata Hai,
Pyar To Har Kisi Ko Hai Kisi Na Kisi Se,
Fark Itna Hai Koi Azmata Hai Or Koi Nibhata Hai.

Wednesday, May 9, 2012

Meri Aankhe Bhi Ek Din MujhSe Ye Keh Dengi,

Meri Aankhe  Bhi Ek Din MujhSe Ye Keh Dengi,
Mere Dost...
Khwab Na Unka Dekha Karo,
Hum Se Ab Roya Nhi Jata.

Jaagte Hai Tanha Raato Me,

Jaagte Hai Tanha Raato Me,
Khote Hai DiL UnKi Baato Me,
Mili Nahi DiL Ki Manzil Aajtak,
Kyuki Dard Hi Dard Likhe Hai In Haatho Me..!

Tere Haath Jo Kaanto Par Aayenge,

Tere Haath Jo Kaanto Par Aayenge,
Wohi Kaante Mere DiL Me Chub Jayenge,
Dard Tere Haath Me Hoga,
Par Log Us Dard Ko Meri Aankho Me Payenge.

Koi Mila Hume Chand Ki Chandni Ban Kar,

Koi Mila Hume Chand Ki Chandni Ban Kar,
Koi Mila Pariyo Ki Kahani Ban Kar,
Par Jisko Palko Me Basaya Humne,
Wo Nikal Gaya Aakh Se Pani Ban Kar.!

Mohbbt se hume kya ummid hoti hai,

Mohbbt se hume kya ummid hoti hai,
Mohbbt to khud beummid hoti hai,
Chahte hai jinhe hum jaan se bhi jyada,
Bewafai unhi se to nasib hoti hai.

Kisi Ki Yaad Kbhi Raaz Nahi Hoti,

Kisi Ki Yaad Kbhi Raaz Nahi Hoti,
Waqt K Pahiye Me Awaz Nahi Hoti,
Jane Kis Waqt Kiski Yaad Aa Jaye,
Qki Yaden Kbhi Waqt Ki Mohtaj Nahi Hoti.

Agar Yuhi Rulana Tha Toh Pehle Hi Bata Dete,

Agar Yuhi Rulana Tha Toh Pehle Hi Bata Dete,
Hum Is Wafa Bhare Dil Ko Aag Laga Dete.

Zubaan se naam lete hai,

Zubaan se naam lete hai,
Aankhon se aansu chalak jaate hai,
Kabhi hazaro baate kiya karte the,
Aaj ek baat ke liye taras jaate hai.

Apka Daman Humse Chootne Laga,

Apka Daman Humse Chootne Laga,
Sitaro Ka Noor B Humse Roothne Laga,
Is Dard Ki Kashmakash Me Hum Kabhi Roye Nahi,
Dard Khud Hume Chukar Rone Laga.

Na Mukammal Meri Justju reh Gayi,

Na Mukammal Meri Justju reh Gayi,
Milke Bhi Milne ki Aarzo Reh Gayi,
Ek Dariya Tha fir Bhi wo pyasi Rahi,
Mgar zuban par yehi Guftagu Reh Gayi.

Matlabi ladki se acchi to meri cigrette hai Dosto,

Matlabi ladki se acchi to meri cigrette hai Dosto,
Jo mere honto se apni zindgi shuru karti hai,
Aur mere kadmo ke niche apna dum tod deti hai.

Lafzo Me FASANE Dhundhta Hu Mai,

Lafzo Me FASANE Dhundhta Hu Mai,
Lamho Me ZAMANE Dhundta Hu Mai,
Pila JAHER Apne Hasin Hatho Se,
Tere Hatho Ko Cumne K Bahane Dhundta Hu Mai.!

Kisi Aur Ki Baho Me Rehke,

Kisi Aur Ki Baho Me Rehke,
Wo Humse Wafa Ki Baat Karte Hai,
Ye Kaisi chahat Hai Dosto,
Wo Bewafa Hai Ye Jaan Ke Bhi,
Hum Usi Se Pyar Besumar Karte hai.

Apki Yado ko Lekar Duniya Se Chale jyenge,

Apki Yado ko Lekar Duniya Se Chale jyenge,
Asma Me Rhkar B Apko Na Bhul Pyenge,
KrogeYad jo  1Pal Hume,
To Bankar Barish Apke Kadmo Me Bikhar jyenge.

Pyar wo bepana kar gye,

Pyar wo bepana kar gye,
Phir zindagi me humko tanha kar gye,
Chahat thi unke ishq me fanna hone ki,
Par woh laut kar aane ko bhi mana kar gaye.

Wo Aksar Muzse Kaha Karti Thi,

Wo Aksar Muzse Kaha Karti Thi,
Zindgi Tere Naam Kardi..
Na Jaane Kyu Zindgi Mere Naam Kar Ke,
Wo Khud Kisi Aur Ki Ho Gai.?

Kisi ki chahat me barbaad ho Gye,

Kisi ki chahat me barbaad ho Gye,
Apni hi khusiyo k khilaf ho Gye,
Chale the hum sabko khusi dene,
Aaj khud Apni khusi ke liye Mohtaj ho Gye.

Humari Pyas Ka Andaaz Bhi Alag Hai Yaaro,

Humari Pyas Ka Andaaz Bhi Alag Hai Yaaro,
Kabhi Samandar Ko Thukrate Hai,
To Kabhi Aansu Tak Pee Jaate Hai.

Aaj barish me tere sang nahana hai,

Aaj barish me tere sang nahana hai,
Sapna ye mera kitna suhana hai,
Barish ki bunde tere hotho pe gire,
Un katro ko apne hotho se uthana hai.

Tumhe pa ke khona mere bus me nahi,

Tumhe pa ke khona mere bus me nahi,
Ab koi or zakham pirona mere bus me nahi,
Ek umer tak dhoya hai Dil ke daago ko,
Dukhon me ab aur rona mere bus me nahi,
Tere baad nazar aati nahi mujhe koi bhi manzil,
Kisi AUR ka hona ab mere bus me Nahi.

Wednesday, May 2, 2012

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi,

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi,
Jab Unki Nigahe Humari Nigaho Ke Saath Hogi,
Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Me,
Jab Unke Hontho Ki Surkhiya Humare Hontho Ke Saath Hogi.

Jazbat Behkate Hai Jab Tumse Milta Hu,

Jazbat Behkate Hai Jab Tumse Milta Hu,
Arman Machalte Hai Jab Tumse Milta Hu,
Saath Hum Dono Ka Koi Bardasht Nahi Karta,
Sab Humse Jalte Hai Jab Tumse Milta Hu.

Labo Pe Bulbul Ke Taraana Aa Jaye,

Labo Pe Bulbul Ke Taraana Aa Jaye,
Baharo Ka Fir Wo Zamana Aa Jaye.
Badi Aarzu Hai Seene Me,
Ek Pal Ke Liye Meri Diwani Aa Jaye.

Muskurati Rahe Ye Zindgi Tumhari,

Muskurati Rahe Ye Zindgi Tumhari,
Ye Dua Hai Har Pal Khuda Se Hamari,
Phoolo Se Sazi Ho Har Raah Tumhari,
Jis Se Mehke Har Subah Aur Shaam Tumhari.

Kaise kahe ki aap kitni khubsurat hai,

Kaise kahe ki aap kitni khubsurat hai,
Kaise kahe ki hum aap pe marte hai,
Ye to sirf mera dil hi janta hai,
Ki hum aap pe hamari jawani qurban karte hai.

Tumhe dil me basaye rakhta hu,

Tumhe dil me basaye rakhta hu,
Aur duniya ko bhulaye rakhta hu,
Tumhe meri nazar na lag jaye,
Iss liye nazare jukaye rakhta hu.

Sookh Jaate Hai Lub, Lufz Milte Nahi,

Sookh Jaate Hai Lub, Lufz Milte Nahi,
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan,
Unhe Kaise Batau Dil Ki Lagi,
Kaise Sikhau Aankho Ki Zubaan!

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,

Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil me hume jagah de sake wo meharban nahi milta.

Mere aangan me kabhi phool khila karte the,

Mere aangan me kabhi phool khila karte the,
Meri ankho me bhi khwab basa karte the,
Mujhko halat ki aandhi ne giraya warna,
Mere saaye me bhi kuch log raha karte the.
Hai yad hume rafaqat ki wo ghehraiya ab bhi,
Dil ki dhadkan bhi tere sath suna karte the,
Aaj wo mehfil me anjan bane baithe hai,
Jo kabhi mujhe apni jaan kaha karte the.

Tu Har Roz Mere SAPNO Me Aati Hai,

Tu Har Roz Mere SAPNO Me Aati Hai,
Teri YAAD Khoon K Aansu Rulati Hai,
BEBAS Hai Hum Ab Aur Kya Kare Jaan,
RuK-RuK K Teri Yaad BahuT SATATI Hai.

Dukhon Me Kabhi Pachtawe Ke Aansu Na Bahao,

Dukhon Me Kabhi Pachtawe Ke Aansu Na Bahao,
Balki Ye Socho Ki Tum Wo Khush Nasib Ho...
Jise "Rub" Ne Aazmaish Ke Qaabil Samjha Hai.

Chehra wahi tha chehre ka libas wahi tha,

Chehra wahi tha chehre ka libas wahi tha,
The to juda par sath wahi tha,
Kaise unhe bewafa keh de yaaro,
Aaj bhi unke dekhne ka andaz wahi tha.

Taazi Hai ab bhi us mulaqat ki khusbu,

Taazi Hai ab bhi us mulaqat ki khusbu,
Jazbat me dubi hue lamhat ki khushbu,
Jis hath ko pal bhar k lie tham liyaTha,
Muddat se Hath me Hai us hath ki khusbu.

Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,

Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni taklif kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.

Har ilzaam ke hakdaar wo hume bana jate hai,

Har ilzaam ke hakdaar wo hume bana jate hai,
Har khata ki saza wo hume suna jate hai,
Hum har baar khamos rah jate hai,
kyoki wo har baar apna hone ka haq jata jate hai.

Kyu dil ke mere tukde kar diye,

Kyu dil ke mere tukde kar diye,
Kyu mere aansu ko apni muskan se baha diye,
Gunah kya tha mera bus chahna tumhe,
Kyu meri zindagi me tune dard bhar diye.

Wo To Pani Ki Bund Hai Jo Ankho Se Bah Jaye,

Wo To Pani Ki Bund Hai Jo Ankho Se Bah Jaye,
Aansu To Wo Hai Jo Tadap Ke Ankho Me Hi Reh jaye,
Wo Pyar Kya Jo Lafzo Me Byan Ho,
Pyaar To Wo Hai Jo Ankho Me Nazar Aye.. !!

Majbooriyo Ko Hum Aankho Me Chupa Lete Hai,

Majbooriyo Ko Hum Aankho Me Chupa Lete Hai,
Hum Kahan Rote Hai Halat Rula Dete Hai,
Hum To Har Pal Yaad Karte Hai Aapko,
Par Aap Yaad Na Karne Ka Ilzaam Laga Dete Hai,
Humne Bhi Chaha Tha Chalna Ik Safar Suhana Zindagi Ka,
Par Gumnaam Andhere Raaste Zindagi Ko Udaas Bana Dete Hai.

Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki,

Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki,
Bigde rishte na bane to khudai kis kam ki,
Beshak apni manzil tak jana hai,
Par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki.