Meri yaad aayegi tumhe jab mai door chala jaunga,
Dur itna ki kabhi laut kar nai aaunga,
Ab tak tumhare dil me rahta tha,
Fir tumhari yaado me bas jaunga,
Yaad aayegi tumhari baate aur mulakate,
Magar tumse kabhi mil nai paunga,
Tadpogi tum bhi mere bare me soch kar,
Magar mai fir najar nahi aaunga,
Tumhe jaan se jyada chahta hu,
Magar mai sabit nahi kar paunga,
Log kahte hai pyar amar hota hai,
Fir to mai khud ko hi amar kar jaunga,
Mere payr ko sahara dena tab,
Jab aakhri dam par tumhe bulaunga,
Meri yaad aaye to raat ko bahar aakar dekhna,
Mai ek chamkta hua tara ban jaunga,
Aansu mat bahana mujhe yaad karke,
Warna naraaj mai ho jaunga,
Suna he saat janam milte hai insan ko,
Wada raha baaki ke janam bhi tumhare sath bitaunga.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.