Thursday, September 13, 2012

Hum jaise tanha logo ka ab rona kya or hansna kya,

Hum jaise tanha logo ka ab rona kya or hansna kya,
Jab chahne wala koi nahi fir jeena kya marna kya,
Sau rang me jisko chaha tha sau roop me jisko socha tha,
Wo jaan to rooth gyi ab us ka haal sunana kya,
Awaz kisi ko de lekin ek nam Us ka honton par,
Har shakal me ubhre Wo hi bus khud ko magar bahlana kya,
Rato ka safar hai din ke liye aur din me tamana rato ki,
Jab pao me manzil kho jaye fir rukna kya ghar jana kya.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.