Saturday, March 17, 2012

Koi zakham nahi, na koi dard hai,

Koi zakham nahi, na koi dard hai,
Bas ek khamoshi si is dil me hai,
Kuch diya b nahi, to kuch koya bhi nahi,
bas ek adhoora pan is dil me hai.
Na kuch kehne ko hai na sunne ko,
Sawal b man me nahi karne ko,
Bhulana ko kya koi yaad b nahi,
Bas ek baichaini si is dil me hai kahi.
Chaand se kya kahu, koi andhera b nahi,
Na din ki talaash hai, na roshni ki kami,
Gum, udaasi, koi Aansoo b nahi,
Fir is dil ko kis cheez ki hai kami?

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.